Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

570. Jo kabhi Namaz padhta hai aur kabhi chod deta hai, Kia woh bhi kaafir hai? Kia us ki musalmaan biwi us ke liye halaal hai? Kia us se Zakaat di jaa sakti hai?

Jo kabhi Namaz padhta hai aur kabhi chod deta hai, Kia woh bhi kaafir hai? Kia us ki musalmaan biwi us ke liye halaal hai? Kia us se Zakaat di jaa sakti hai?

[Sawaal]

Ek aadmi do ya teen Farz Namaazein padhta aur phir chaar paanch din tak Namaz chod deta hai aur yehi is ka ma’mool hai aur mehez-e-kaahili , Susti aur ‘adam-e-ehtimaam ke siwa us ke paas koi ‘uzr bhi nahi. To Kia us se kaafir qaraar diya jaae ga? Kia us ki biwi us ke Nikkah mein reh sakti hai? Kia taarik-e-Namaz ko Zakaat di jaa sakti hai?

[Jawab]

Jo shakhs hamesha ke liye Namaz tark kar de ya mehez-e-susti-o-kotaahi aur ‘adam-e-ehtimaam ki wajah se chand dinon ke liye Namaz tark kar de to woh kaafir aur daaira-e-Islam se khaarij hai. Wa Al-‘Ayazu billah! Us se tawbah ka mutaaliba kiya jaae ga. Agar yeh tawbah kar le aur Namaz-e-panjgaanah ko bar waqt adaa kar le to alhamdulillah warna us ke murtad hone ki wajah se us se qatal kar diya jaae ga aur jab yeh tark-e-Namaz ki wajah se kaafir ho gaya to us ki biwi bhi us ke liye Halaal na rahi balkeh us ka irtidaad biwi ke liye talaaq ya faskh-e-‘aqad ka muwajjib ho ga. Agar biwi ki ‘iddat ke andar andar yeh tawbah kar le to naye ‘aqad ke baghair biwi us ke Nikkah mein aa jaae gi Taarik-e-Namaz ko Farz-e-maal Zakaat bhi nahi diya jaa sakta kyunke yeh us ka Ahl nahi hai.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents