Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

593. Bidd’ati aur kapde ko neeche latkaane waale ki Imaamat

Bidd’ati aur kapde ko neeche latkaane waale ki Imaamat

[Sawaal]

Kia us shakhs ke peeche Namaz sahi hai jo bidd’ati hai aur kapde ko neeche latkaane waala ho ?

[Jawab]

‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq bidd’ati, Kapdon ko takhnon se neeche latkaane waale aur deegar gunaah gaaron ke peeche Namaz sahih hai, basharteke bidd’at kufur tak pohanchaaney waali na ho, Aur agar bidd’at kufur tak pohanchne waali ho, jaise jalehmiya waghaira bidd’ati hain jo apni kufriyah bidd’aat ke baa’is dqairah-e-Islam se hi khaarij hain, To un ke peeche Namaz sahih nahi hai. Lekin zimma daar ashaab par yeh waajib hai ke Imaamat ke liye aise logon ko muntakhib karen jo bidd’at aur fisq-o-fujoor se paak hon aur achi seerat-o-ikhlaaq ke maalik hon kyunku Imaamat ek ‘Azeem amaanat hai, Imaam musalmaanon ka qaa’id hota hai lehaaza agar achhe logon ko Imaamat par faaiz karna mumkin ho to Ahl-e-bidd’at-o-fasaq ko Imaam nahi banaana chaahiye.

Kapde ko takhnon se neeche latkaana bhi gunaah hai, Is se ijtinaab karna waajib hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne Irshaad farmaaya hai:

مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الْإِزارِ فَهُوَ فِي النَّارِ

“Jo kapda takhnon se neeche latkaaya gaya woh jahannum ki aag mein ho ga.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Libaas, Baab maa Asfala min Al-ka’abeen fahuwa fi Al-Naar, H: 5787)

Qamees , Shalwaar aur pent waghaira ka bhi yehi hukm hai. Yeh bhi sahih Hadees se saabit hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:

ثَلَاثَةٌ لا يُكَلِّمُهُمُ اللهُ وَلَا يَنظُرُ إِلَيْهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلا يُرَكِّيْهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ: الْمُسْبِلُ إِزَارَهُ، وَالْمَنَّانُ فِيمَا أَعْطَى، وَالْمُنَفَقُ سِلْعَتَهُ بِالْحَلِفِ الْكَاذِبِ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab bayaan ghalaz Tehreem asbaal Al-Izaar-o-Al-Aman baal’atiyat . . . , H: 106)

“Teen qism ke logon ki taraf Allah Ta’ala roz-e-Qayaamat nahi dekhe ga. Na unhein paak kare ga aur un ke liye dardnaak ‘azaab ho ga:

(1) Apni chaadar ko (takhne se) neeche latkaane waala

(2) De kar ehsaan jatlaane waala aur

(3) Apne sode ko jhooti qasam khaa kar bechne waala.”

Agar kapde waghaira ko takabbur ki wajah se latkaaya jaa raha ho to is mein gunaah aur bhi ziyaada hai aur is mein Allah Ta’ala ki taraf se jald giraft aur saza ka bhi khatrah hai. Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad-e-Giraami hai:

مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلَاءَ لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ»

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Libaas, Baab min jar izaarah min ghair khaila, H: 5783, 5784, 5791, 3665)

“Jis (Mard) ne apne kapde ko azraah-e-takabbur neeche latkaaya Allah Ta’ala roz-e-Qayaamat us ki taraf dekhe ga bhi nahi.”

Lehaaza har musalmaan par waajib hai ke kapde ke latkaane aur un tamaam deegar gunaahon ke irtikaab se ijtinaab karen, Jinhein Allah Ta’ala ne Haraam qaraar diya hai, Isi tarah har qism ki bidd’at se ijtinaab bhi zaroori hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne Irshaad farmaaya:

مَنْ عَمِلَ عَمَلاً لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ رَدُّه

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyat, Baab naqaz Al-Ahkaam Al-Baatilat . . . , H: 1718)

“Jis ne koi aisa ‘amal kiya jo hamare amar (Deen) ke mutaabiq nahi to woh (‘Amal)-e-mardood hai.”

Nez Aap Irshaad farmaaya karte the :

خَيْرُ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللهِ وَخَيْرُ الْهَدْيِ هَدْيُ مُحَمَّدٍ ، وَشَرُّ الْأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا وَكُلُّ بدعة ضلالة

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Jumm’at, Baab Takhfeef Al-Salaat-o-Al-Khutba, H: 867)

“Sab se behtareen baat Allah Ta’ala ki Kitaab hai aur sab se behtareen tareeqa Hazrat Muhammad (ﷺ) ka tareeqa hai, Badtareen umoor woh hain jo naye naye paida kiye gae hon aur har bidd’at-e-(Deen mein naya kaam) zalaalat-e-(Gumraahi) hai.

Hum Allah Ta’ala se sawaal karte hain ke woh hamein aur sab musalmaanon ko bidd’aat aur gunaahon se mehfooz rakhe. Faana khair mas’ool.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents