596. ‘Amaama (Pagdi) ke baghair Imaamat
‘Amaama (Pagdi) ke baghair Imaamat
[Sawaal]
Hamare ‘ilaaqe mein ba’az log us Imaam ke peeche Namaz jaaiz nahi samajhte Jis ne ‘amaama na pehna ho balkeh ‘amaama ke baghair Imaamat ko woh Sunnat ke khilaaf samajhte hain, Isi liye ba’az log apni Masjidon ke mehrabon mein ‘amaamon ko tayyaar rakhte hain taake bawaqt-e-Imaamat Imaam ‘amaama ko apne sar par rakh le to is masla mein shar’ī hukm Kia hai?
Kia shar’i nuqtah-e-nigaah se is mein koi farq hai ke bawaqt-e-Imaamat sar par ‘amaama ho ya topi? Nez bawaqt-e-Imaamat log mukhtalif qism ki topiyaan jo iste’maal karte hain to un ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Ja’afar-bin-‘Amr-bin-Harees ne apne baap se riwaayat kiya hai ke unhon ne kaha main ne Rasoolullah (ﷺ) ko mimbar par dekha hai ke:
رَأَيْتُ رَسُولَ اللهِ ، عَلَى الْمِنْبَرِ وَعَلَيْهِ عِمَامَةٌ سَوْدَاءُ قَدْ أَرْخَى طَرَفَهَا بَيْنَ كتفيه
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Ḥajj, Baab Jawaaz Dakhaul Makka baghair Ahraam, Ḥ: 1359,-O-Sunan Abi Daawood, Kitaab Al-Libaas, Baab fi Al-‘Amaaim, H: 4077,-O-Al-lafz lahu)
“Aap ne siyaah ‘amaama pehna hoa tha aur us ke kinaare ko aap ne apne donon kandhon ke darmiyaan latka rakha tha.”
Imaam Tirmizi ne Naf’a Az Ibn-e-‘Umar رضى الله عنها sanad se zikr kiya hai ke Rasoolullah (ﷺ) jab ‘amaama baandhte to ‘amaama ko apne donon kandhon ke darmiyaan latka lete the, (1) In riwaayaat ke pesh-e-nazar bohat se ‘Ulama ne Imaam ho ya muqtadi sab ke liye ‘amaama pehnna aur us ke kuch hissa ko latkaana mustahab qaraar diya hai. Haafiz Ibn-e-qaaim رحمة الله ne zikr farmaaya hai ke Nabi Kareem (ﷺ) kabhi topi par ‘amaama baandhte kabhi topi ke baghair aur kabhi aap topi hi pehn lete the aur ‘amaama ist’emaal na farmaate. Is masla mein gunjaaish hai kyunke yeh saabit nahi ke Nabi Kareem (ﷺ) ne ‘amaama iste’maal karne ka hukm diya ho ya aap ne khud is ki hamesha paabandi farmaai ho aur is par bhi tamaam Ummat ka ijm’a hai ke ‘amaama Namaz ya jama’at ki sehat ke liye shart bhi nahi hai to is ko laazim qaraar dena bhi din mein takalluf aur tashaddud hai aur jo shakhs Deen mein takalluf aur tashadud ko ikhtiyaar kare ga. Deen us par ghaalib aajaae ga. Wa billah al-toufeeq.
(وصلی الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم)
___Fatwa-e-committee
(1) Sunan Tirmizi’ Kitaab Al-Libaas’ Baab fi Sadal Al-‘Imaamat bain Al-Katafeen, H: 1736
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…