599. Us shakhs ki Imaamat ka hukm’ Jis se hawa khaarij hone ka shak ho
Us shakhs ki Imaamat ka hukm’ Jis se hawa khaarij hone ka shak ho
[Sawaal]
Mein qauloon (Badi aant ke dard) ka daaimi mareez hoon aur is marz ki wajah se hawa khaarij hoti rehti hai, Khaas taur par Namaz mein aur hawa ke kasrat se kharsij ke baa’is mujhe Namaz mein bhi badbu mehsoos hoti hai hatta ke badbu agar kisi aur cheez se aa rahi ho to phir bhi mujhe yoon mehsoos hota hai ke yeh meri hawa khaarij hone ki wajah se hai to mein Namaz ke douraan Kia karoon? Kia shak ki soorat mein Wuzu waajib hai? Aur jab muqtadi achi tarah qira’at nahi kar sakte hon to Kia mere liye un ki Imaamat karaana jaaiz hai?”
[Jawab]
Asal baqa tahaarat hai lehaaza aap ke liye yeh waajib hai ke apni Namaz ko mukammal karo aur waswasa ki taraf tawajjuh na do illa yeh ke awaaz sunne ya badbu mehsoos karne ki wajah se aap ko yeh ma’loom ho jaae ke aap ki hawa khaarij hoi hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) se jab yeh sawaal kiya gaya ke aadmi apni Namaz mein kuch mehsoos karta hai to aap ne farmaaya:
لا يَنْصَرِفْ حَتَّى يَسْمَعَ صَوْتًا أَوْ يَجِدَ رِيحًا
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab laa Yatawadza’ min Al-Shak hatta Yastaqeen, H: 137, Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Daleel ‘Ali inna min tayaqun Al-Tahaarat . . . , H: 361)
“Woh us waqt tak Namaz ko na chode jab tak awaaz na sun le ya badbu mehsoos na kar le.”
Jab tamaam haazireen ki nisbatan aap Qur’an-e-Majeed ziyaada padhne waale hon, To Imaamat karwaane mein mumaani’at nahi basharteke hadas ki kefiyat musalsal na ho aur yeh ‘aarza kabhi kabhi laahaq hota ho aur jab Wuzu toot jaae to Namaz baatil ho jaati hai khuwah aap Imaam hon, Muqtadi hon ya akele Namaz padh rahe hon, Agar aap Imaam hon aur Wuzu toot jaae to apne peeche khade hue Jama’at ke logon mein se kisi ko apni jagah khada kar dein jo baaqi Namaz padhaae. Allah Ta’ala hamein aur aap ko ‘aafiyat ‘ataa farmaae!
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…