Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

610. Cigrette noshi waghaira karne waale ki Imaamat

Cigrette noshi waghaira karne waale ki Imaamat

[Sawaal]

Bahaws Al-‘Ilmiya-o-Al-Iftaa ki Fatwa committee ke saamne woh sawaal aaya jo ke ‘izzat ma’aab janaab director general ki khidmat mein jabaar al-‘Ulama committee ke secretery ki taraf se (hawaala number 151 2) pesh kiya gaya tha aur jis ki ‘ibaarat yeh hai:

“Namaz ka waqt ho gaya tha aur main ne ba jama’at-e-Namaz paa li lekin jab mein aage badha to ma’loom hoa ke Imaam un logon mein se hai, Jo cigrette noshi karte ya sawika iste’maal karte hain, Jis se muntaqa junoob mein “Shama” kaha jaata hai ya darakht qaat ke patton ko ya un sab cheezon ko iste’maal karte hain. Jab mujhe yeh ma’loom hoa to main ne is Imaam ke saath Namaz adaa karne ke bajaae, Infiraadi taur par Namaz padh li aur ba’az Namaaziyon ne mujhe kaha ke tum ne yeh ghalat kaam kiya hai. Kia yeh waqa’i meri ghalti thi aur yeh jaaiz tha ke mein un logon ke saath mil kar Namaz adaa karta ya mera alag Namaz padhna durust tha? Aur yeh main ne ijtihaad ki buniyaad par aisa kiya aur main ne alhamdulillah’ Allah Ta’ala ke fazal-o-Karaam se aaj tak in cheezon mein se kabhi bhi koi cheez iste’maal nahi ki to Kia jo shakhs in cheezon ke iste’maal ka ‘aadi hai woh logon ka Imaam ban kar Namaz padha sakta hai?”

[Jawab]

Committee ne is sawaal ka hasb-e-zail jawaab diya:

Cigrette noshi Haraam hai aur is ke peene par israar aur dawaam-o-hameshgi karna hurmat mein aur bhi izaafa kar deta hai kyunke yeh khabees cheezon mein se hai aur khabees cheezon ke baare mein Irshaad-e-Baari Ta’ala hai :

وَيُحَرِّمُ عَلَيۡهِمُ الۡخَبٰۤئِثَ

(Al-A’iraaf 7 157)

“Aur woh napaak cheezon ko un par Haraam thehraate hain.”

Cigrette aur tambaaku noshi muzar-e-sehat hai aur Nabi (ﷺ) ka Irshaad-e-Giraami hai:

((الا ضَرَرَ وَلا ضرار))

(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Ahkaam, Baab min bani fi haqahu maa yuzar bajaarihi H: 2340, 2341, -O-Masnad Ahmad 1313, Bahiqui 669, 670, 10457, 1013)

Yaane “Kisi se nuqsaan uthaao na kisi ko nuqsaan pohanchaao.”

Jo shakhs tambaaku noshi mein mubtala ho, us se Imaam ban kar Namaz nahi padhaani chaahiye illa yeh ke muqtadi bhi usi ki tarah ya us se badh kar tambaaku noshi karne waale hon lekin yeh waqa’i tumhari ghalti thi, Jo tumne un ke saath Namaz ba jama’at adaa karne ki bajaae alag Namaz padhi kyunke paanchon Namaazon ko ba jama’at adaa karna Farz hai jaisa ke Kitaab-o-Sunnat ke dalaa’il se saabit hai aur phir jab tumne Imaam ke tambaaku noshi ki wajah se Jama’at tark kar di’ To waajib tha ke kisi doosri Jama’at ke saath shaamil ho kar Namaz adaa karte aur agar halaat aise the ke kisi doosri Jama’at ke milne ki umeed na thi to phir usi Jama’at ke saath Namaz adaa kar lete taake Farz Namaz ba jama’at adaa hoti aur aula-e-shar’iya se yeh saabit hai ke gunaah gaaron ke peeche bhi Namaz ho jaati hai.

__Fatwa-e-committee__

Kasra se muraad zer hai aur zamma se muraad pesh hai ae fatha se muraad zabr hai.

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents