Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

622. doosre mulkon mein muqeem foujiyon ke liye qasar-o-jam’a ka hukm

doosre mulkon mein muqeem foujiyon ke liye qasar-o-jam’a ka hukm

[Sawaal]

Musallah afwaaj ke woh sipaahi jo apne watan ke ‘ilaawa kisi doosre mulk mein muqeem hon Kia un ke liye bhi qasar-o-jam’a jaaiz hai? Jo shakhs kisi mulk ke daar-ul-hukoomat se apne kaam ki jagah par jaane ke liye rozaana ek sau tees kilometer safar karta ho, To Kia woh rozaana us safar par aate jaate jam’a-o-qasar kar sakta hai?

[Jawab]

Agar un ki iqaamat ki niyyat chaar dinon se ziyaada ki ho to phir unhein Namaz poori padhni ho gi aur jam’a bhi nahi kar sakte kyunke safar ki rukhsatein is shart ke saath mashroot hain ke muddat-e-iqaamat chaar dinon se ziyaada na ho aur agar wahan iqaamat na ho ya iqaamat to ho lekin woh chaar din ya us se kam muddat ke liye ho to phir mashoor mazhab ke mutaabiq woh qasar aur jam’a kar sakte hain.

Is sawaal ki doosri shaq ka jawaab yeh hai ke jab tak un ki rehaaish gaah us mulk ke daar-ul-hukoomat mein se hai to un ke liye daar-ul-hukoomat mein qasar aur jam’a karna jaaiz nahi aur jab woh daar-ul-hukoomat ko chod kar apne kaam ki jagah ya kisi aur aisi jagah jaaein ke musaafat assi kilometer se ziyaada ho to woh safar ki rukhsaton ko ikhtiyaar kar sakte hain hatta ke apni rehaaish gaah par wapas aa jaaein. Jam’a-o-qasar ka ta’lluq bhi safar ki rukhsaton mein se hai, Haan yeh us soorat mein hai, Jab wahan chaar din se ziyaada iqaamat ki niyyat na ho aur agar aisi niyyat ho to phir jam’a-o-qasar jaaiz nahi.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents