YAHOOD-O-NASARA AUR KUFFAR-O-MUSHRIKEEN KI EIDON MEIN KHUSHIYAN MANANA AUR MUBARAKBADI KA HUKAM
YAHOOD-O-NASARA AUR KUFFAR-O-MUSHRIKEEN KI EIDON MEIN KHUSHIYAN MANANA AUR MUBARAKBADI KA HUKAM
Yahood-o-Nasara aur Kuffar-o-Mushrikeen ki eidon mein khushiyan manana unhein mubarakbad dena un mein shirkat karna ya un ke hadaya(Gifts) tahaaif waghera qabool karne ke taluq se Ulma-e-Salaf ka moaqif Shaikh Iban-e-Baz رحمہ اللہ se sawal kia geya keh baaz Musalman Isaeeyon ki eidon mein shirkat karte hein to aap keya kahein gay aise logon ke bare mein ?
Aap رحمہ اللہ ne jawab dete huaye farmaya:
Kisi Musalman marad ya aurat ke liye Yahood-o-Nasara, Kuffar-o-Mushrikeen ki eidon mein shirkat karna jaaiz nahin hai balkeh unhein tarak karna wajib hai kiyoun keh jo shakhs kisi qoam ki mushabihat ikhtiyar karta hai goya woh usi mein se hai aur Rasoolullah ﷺ ne humein un ki mushabihat ikhtiyar karne un ke tor tareeqe, aadab-o-Akhlaq apnane se mana kiya hai. Pus har Musalman marad-o-aurat ko is se bachna chahiye aur kisi Musalman marad-o-aurat ke liye un ka t’aavun karana jaaiz nahin kiyoun keh un ki Eidein hamari shariat ke mukhalif hain to hamara un mein shirkat karna jaaiz nahin aur na hi un ki madad karna jaaiz hai kisi bhi etbar se, chahe woh qehwa ya bartan waghera hi de kar kiyoun na ho. Kiyoun keh Allah ka irshad hai:
(( تعاونوا علی البر والتقوی و لا تعاونوا علی الاثم والعدوان ))
” Naiki aur khair mein aik doosare ki madad karo aur gunah-o-masiyat mein madad na karo.”
Pus Kuffar-o-Mushrikeen ki Eidon mein t’aavun karna yeh gunah aur masiyat mein t’aavun hai.
Shaikh Ibne Uthaymeen رحمہ اللہ se pocha geya keh Kuffar-o-Mushrikeen ko Christmas ke mouqe par mubarkbad paish karne ka kiya hukam hai aur agar woh humein mubarakbad dein to hum us ka jawab kaise dein ?
Is munasibat se un ki taraf se khushiyon ke liye munaqad ki jane wali jaghon par jane ka kiya hukam hai ? Keya koi Musalman agar mazkoora cheezein baghair maqsad ke karta hai to gunahgar ho ga ? Yani mujamilat ( flattery ) ke tor par karta hai ya sharam ki wajah se ya kisi doosare sabab ki buniyad par karta hai
Shaikh رحمہ اللہ jawab dete huaye kehte hein:
” Kuffar-o-Mushrikeen ko Eid Christmas ke mouqe par mubarkbad dena haram hai jaisa keh Imam Ibn-e-Qayyim رحمہ اللہ ne apni kitab ” Ahkaam Ahluz-Zimmah ” mein naqal kiya hai, farmate hein: keh Kuffar ke khas sha’aair ( deeni cheezon ) par mubarakbad dena bil-itefaq haram hai. Maslan un ki Eidon ya un ke Rozon ke mouqou par mubarakbad dena, kehna keh yeh Eid tum ko mubarak ho, to aisa kehne wala agar kufar se mehfooz hai to woh bhi haram ka irtikab kar raha hai. is ka yeh amal aise hi hai jaise woh saleeb ke sajdon pe mubarakbad paish kar raha ho, balkeh yeh Allah ke nazdeek us se bhi bada juram hai, yeh to sharab peene aur zina karne ya na’haq kisi ka khoon bahane par mubarakbad dene se ziyada gunah hai aur Allah ki narazgi ko dawat dena hai. Bahut sare log jinhein Deen ka ilam nahin ya jo Deen ki qadar-o-qeemat nahin samajhte ya jinhein apne bure amal ki sangeeniyon ka ehsas nahin hota woh is kam ko bila jijhak karte hain. Pus jo shakhs kisi ko us ke gunah ya na’farmani ya bid’at ya kufar-o-shirk par mubarak bad deta hai, woh goya Allah ki narazgi aur Us ke ghusa ko aawaz de raha hai. Kaafiron ko un ke mazhabi tehwaron par mubarkbad dena haram hai kiyoun ke is mein un ke kufar ki ta’eed aur madad hoti hai. agarcheh mubarakbad dene wala kufar ko pasand nahin karta lekin Musalmanon par Kuffaar ke Deeni sh’aair ko pasand karna haram hai ya us par unhein mubarkbad dena haram hai kiyoun keh Allah T’aala is cheez ko pasand nahin karta. Chunancheh irshad-e-Rabbani hai:
((ان تکفروا فان اللہ غنی عنکم و لا یرضی لعبادہ الکفر و ان تشکروا یرضہ لکم ))
Aur farmaya:
(( الیوم اکملت لکم دینکم واتممت علیکم نعمتی ورضیت لکم الاسلام دینا ))
Kuffar ko unki eidon par mubarakbad paish karna haram hai chahe woh kisi ke business partner hi kiyon na hon agar woh humein apni tehwaron par mubarakbad paish karen to hum un ka jawab nahin dein gay kiyoun keh woh hamare tehwar to nahin hain balkeh woh aise tehwar hein jinhein Allah pasand nahin karta. Ya to woh unke apne gadhe huway tehwaar hain ya un ke shara’i tehwaar hein lekin Deen-e-Islam ne tamam adiyan ko mansookh kar diya. Nabi ﷺ ko Allah T’aala ne tamam insanon ke liye Nabi bana kar bheja aur farmaya:
(( و من یبتغ غیر الاسلام دینا فلن یقبل منہ وھو فی الاخرہ من الخاسرین ))
” Jo shakhs Deen-e-Islam ko chod kar koi aur Deen talash karta hai to us se woh Deen qabool nahin kiya jaye ga aur woh Aakhirat mein khasara pane walon mein se ho ga. “
Aur Musalmanon ka aisi munasibat se un ki dawat ko qabool karna us mein shirkat karna haram hai, un ki Eidon ke mouqe par khushiyan manana aur unhein tohfa tahaif dena ya lena mithaiyan bantna ya khane taqseem karna ye chutiyan karna waghera kiyoun keh Aap ﷺ ne farmaya: jo kisi ki mushabihat ikhtiyar karta hai woh unhien mein se hai.
Shaikh ul-Islam Ibn-e-Taymiyyah رحمہ اللہ apni kitab
” اقتضا۶ الصراط المستقیم مخالفہ اصحاب الجحیم”
mein kehte hein keh Kuffar-o-Mushrikeen ki eidon mein mushabihat ikhtiyar karna un ke dilon mein khushi dakhil karna hai. Batil par un ko support karna hai aur jo shakhs un ki tehwaron mein shirkat kare ya mubarkbad de ya t’aavun kare kisi bhi wajah se, woh gunahgaar hai. Kiyoun keh is se un ke Deen ko taqviyat milti hai aur unhein apne Deen par fakhar hota hai woh apne Deen ko behtar samajhte hai. Deen-e-Islam aur Musalmanon ko izzat dene wala Allah hai. Deen par sabit qadmi Allah deta hai Musalmanon ko un ke Dushmanon ke khilaaf madad karne wala unhein ghalba dene wala Allah hai, Wohi quwat-o-taqat aur izzat-o-ghalba wala hai. Saudi Arabiya ke behawas-e-ulmiya-o-dar-e-ifta mein yeh sawal poocha gaya keh Isaeeyon ke tehwaron mein shirkat ka kiya hukam hai ?
Jawab yoon diya geya keh Isaeeyon ya degar Kuffar-o-Mushrikeen ki Eidon mein shirkat karna jaaiz nahin hai kiyoun keh yeh gunah aur masiyat par t’aavun karna hai aur gunah ka iqrar karna hai aur un se dosti, mohabbat aur hamdardi karna hai jabkeh Allah aur Us ke Rasool ﷺ ne is se mana kiya hai aur Allah ne Apne mehboob bandon ki sifaat ka zikar karte huye farmaya:
(( والذین لا یشھدون الزور ))
“Keh Rehman ke bande woh hain jo jhooti gawahi nahin dete.”
Gunaah aur masiyat ki jaghon par nahin jate, kuffar-o-mushrikeen aur Yahood-o-Nasara ki Eidon waghera mein shirkat nahin karte. “Lajna Daaima” se yeh bhi poocha geya keh mere aur Musalman bhaiyon ke darmiyan Deen-e-Islam ko le kar munaqisha huwa keh Ghaana mein baaz Musalmaan, Yahood-o-Nasara ki chutiyon ki tazeem karte hain aur apni chutiyon ko chod dete hain yahan tak keh jab un ki Eid ka waqt aata hai to us munasibat se islami idaron mein chutiyan bhi rakhte hain aur kehte hein keh agar in Yahood-o-Nasara ki chutiyon ki pairvi karein gay to woh anqareb Islam mein dakhil ho jaein gay. Shaikhe Mohtaram un ke is amal ke taluq se aap ki kiya raaye hai kiya un ka yeh amal shara’i etbar se sahih hai ya nahin ?
To jawab diya gaya keh Musalmanon ke deeni sh’aair ko aam karna, Deeni Akhlaaq-o-aadab aur tor tareeqon ko nashar karna yeh Sunnat hai aur us ke izhar ko chod dena yeh Nabi ﷺ ke tareeqe ke khilaf hai kiyoun keh Aap ﷺ ne farmaya: tum meri aur mere Khulfa-e-Rashideen Mehdiyeenki sunnat ko lazim pakad lo Mazbooti se thaam lo usay apne jadon wale danton se jakad lo. Kisi Musalman ke liye Kuffar ki Eidon mein shirkat karna jaaiz nahin ya us munasibat se khushi ka izhar karna ya kam se chutti kar lena jaaiz nahin kiyoun keh is mein un ki mushabihat aur t’aavun hota hai jabkeh Kuffar ki mushabihat aur t’aavun se Shari’at-e-Islamiya ne mana kiya hai.
Allama Muhammad Bin Saleh Al-Uthaymeen رحمہ اللہ se aise sawal kiya geya keh Shaik aise mouqon par har naye saal ki aamad par kasrat se mukhtalif qisam ki mithaiyan aur cake waghera tayar kiye jate hain aur us par happy new year likhaya jata hai ya us par saleeb banaya jata hai, kiya aisa banana jaaiz hai un logon ke liye jin ki mithaiyon waghera ki dukan ho jabkeh yehi un ki tijarat aur faide ka waqt hai. Agar yeh haram hai to aap unhein nasihat karein aise hi maktabaat wale woh bhi aisi hi cheezein late hain is munasibat se jis par happy new year ya happy Christmas likha rehta hai.
Aap رحمہ اللہ ne jawab diya keh Allah ki qasam! yeh haram aur aisa karne wala kabhi kufar tak pohanch jata hai kiyoun ke Kuffar ki Eidon par mubarakbad dena un ke deen aur shariat se razamandi zahir karna hai aur kufar par razamandi bhi kufar hai. Imam Ibn-e-Qayyim رحمہ اللہ ne apni kitab Ahkaam Ahl-e-Zimma mein bayan kiya hai keh Kuffar ke kisi bhi Deeni sh’aair ka izhar kabhi bhi kisi bhi munasibat se jaaiz nahin hai.
aur Dukandar mithaiyan banane walon ya makatib walon ke liye happy new year ya happy Christmas likhna ya is jesi koi bhi cheez likhna jaaiz nain hai.
Allah ki Zaat pak hai hum logon ko Kuffaar ki Eidon par jo Allah aur Aakhirat par iman nahin late, mubarakbadiyan paish karte hain, aur to aur phir hum logon ko Yahood-o-Nasara ke tehwaron par mubarakbad dete hein jo Musalmanon ki izzat-o-aabroo ke sath khilwad karte hain un ka khoon bahate hain aur un ke gharon ko tabah-o-barbad karte hain. Agar unhein mouqa mil jaye to poore tor par Islam ko hi khatam kar dein, phir hum unhein kaise murakbad de sakte hein ?
Allah ki qasam! agar un ka koi mulki tehwar hota tabhi jaaiz nahi mubarak bad dena tou phir sharai tehwar to bhi woh mubarakbad ke mustahiq nahin to kaise unhein un ke Deeni aur sharai tehwaar par mubarakbad diya ja sakta hai jis mein kufar-o-shirk ka izhar hai aur Kuffaar ke Deeni shuaar par muarakbad dena kufar se razamandi hai, jis se dilon ke bhatakne aur gumrah hone ka khatra hai. Allah ki panah phir insan Allah ke dushman aur dost mein faraq nahin kar sakta. Hum gawahi dete hein Allah ke us qawl ki keh har Kafir-o-Mushrik Allah ka dushman hai aur woh hamara bhi dushman hai. Quraan-e-Kareem ki yeh aayat:
(( یا ایھا الذین امنوا لا تتخذوا عدوی و عدوکم اولیا۶ ))
” Aye Iman walo! mere aur apne Dushman ko Dost na banao”
Tou woh log jinhein Allah ne Dushman kaha hai aur hum dekh rahe hein keh woh hamare dushman hain aise logon ko hum dost kaise bana sakte hein, un ki Eidon mein khush kaise ho sakte hein, un ki us mubarakbadi ko kaise qabool kar sakte hein ya un ke is amal ko apne bachon bachiyon aur auraton mein kaise share kar sakte hein lekin Subhan Allah dil murda ho chuke hain Musalmanon ki zameer mar chuke hai is liye unhein Kuffaar se dosti un ka t’aavun un ki Eidon mein shirkat ya mubarkbad dena mamooli lagta hai woh usay haram nahin samajhte jabkeh shari’at ne issay haram kaha hai.
Allah hum sab ko Deen-e-Islam par qaaim rakhe, Deeni Usoolon ka paband banaye, “Wala aur Bara” ko samajhne aur Ussay Deeni taleemaat ki raushni mein baratne ki tofeeq de.
( Aameen )
و صل اللہ علی نبینا محمد و علی الہ وصحبہ وسلم
Source: Salaf Academy.
Urdu Tarjuma : SHAIKH ABDULMATEEN ABDULSALAM MADANI