01. Fazilat-ul-Shaikh Professor Abdulullah Nasir Rahmani حفظہ الله ki zindagi aur Kamalaat-e-Faiqah par aik nazar
Fazilat-ul-Shaikh Professor Abdulullah Nasir Rahmani حفظہ الله ki zindagi aur Kamalaat-e-Faiqah par aik nazar
Islam nay jis tarah Rang-o-Nasal aur Ilaqaai ta’asub ka sanam kadah toda isi tarah khaandani Fakhar-o-Mubahaat ka but bhi paash paash kar diya. Qur’an-e-Kareem nay إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِنْدَ اللهِ اتقاکم ka ailaan kar kay hameesha kay liye bata diya keh shakhsi Azmat-o-Fazeelat ka asal mayaar Taqwa-o-Parhaizgaari hai. Allah Ta’ala ka bada fazal hai, Fazilat-ul-Shaikh Professor Abdullah Nasir Rahmani apni shakhsi takreem kay liye khaandani nisbat ya kisi aur kharji saharay kay muhtaaj nahin. Unhon nay Deeni uloom ki gehri m’arifat aur apnay zaati mahasin ki badolat apnay liye itni oonchi jagah banaai keh khud un ki zaat un kay khaandani Waqar ko chaar chaand laganay ka zariy’a ban gai. Un kay khaandan ka sharaf yeh hai keh yeh khaandan muroosi nahin balkeh sha’oori musalmaan hai. Zara un ka nasab nama dekhiye:
Abdullah Bin Abdul Rasheed Bin-Raheem Bakhsh Bin Qaim Deen Bin Muhammad Boota Bin Dasandi Singh.
Y’ani un kay buzurgon mein say aik sahib Boota Singh Musharraf ba Islam ho kar Muhammad Boota ban gaye. Is tarah Professor Abdullah Nasir Rahmani kay khaanwaday ko taqleedi Islam ki bajaye tahqeeqi Islam ki Mat’aa-e-Bay baha naseeb huwi.
Professor Abdullah Nasir Rahmani حفظہ اللہ 28 Decemeber 1955/1956 ko Karachi mein peda huway. Woh khaandani a’itbaar say work biraadri say talluq rakhtay hain, Jo Punjab ki mar’oof jat biraadri hai. Jahan tak un ki nisbat Rahmani ka talluq hai, Yeh un kay Waalid-e-Giraami say mansoob hai. Unhon nay Rahman ki taraf nisbat kartay huway khud ko Rahmani kehlwaya.
Professor Abdullah Nasir Rahmani حفظہ الله nay ibtedaai taleem Karachi say haasil ki, Phir Deeni taleem ka noo saala coursay Sars-e-Nizami mukammal kiya aur الشهادة العالية ki Sanad-e-Aliya haasil ki. Intermediate private taur par kiya aur jamiya Karachi say molwi fazil honay ka aizaz imtiyazi nambaron say haasil kiya. Jaamia Al-Imaam Muhammad Bin-Sa’ood Al-Islamiya say 1401 1402 mein bachelor tak taleem paai. Wifaq-ul-Madaris-Al-Salafiyyah say 1405 mein master ki sanad haasil ki.
Professor Abdulullah Nasir حفظہ الله nau (9) bhai behan hain. 6 bhai aur 3 behnein hain.
Professor Sahib حفظہ الله ki aulaad mein chaar betay aur do betiyan hain. Baday betay Sufyan sahib hain. Unhon nay Qur’an-e-Kareem kay saat paaray hifz kiye hain aur chodaan jamaa’atein padhi hain. Doosray sahibzaaday Salman sahib hain. Unhon nay Qur’an-e-Kareem hifz kar rakha hai. Teesrey Farzand Usmaan sahib hain. Yeh pilot hain. Chouthay Farzand Badi-ul-Deen sahib hain. Yeh 1996 mein peda huway aur 2006 mein Al-M’ahad Al-Salfi lil-Taleem-o-Al-Tarbiyah mein Mulana Qaari Muhammad Suhiab sahib say Qur’an-e-Kareem hifz kiya. Isi jamiya mein Uloom-e-Islamiya (Dars-e-Nizami) kay aakhri saal mein padh rahay hain aur apnay Waalid-e-Giraami ki Ilmi wiraasat kay haqeeqi janisheen hain. وباللہ التوفیق!
Professor Abdullah Nasir Rahmani حفظہ الله kay Astaadza-e-Kiraam ki Tafseel-e-Jameel:
- Aap kay Ibtidaai astadaza mein Shaikh Haroon Al-Rashid رحمہ الله hain.
- Ustaaz-ul-Asataza, Muhaddas-ul-Asar, Mulana Haakim Ali Muhaddis Dhalwi رحمہ الله. Yeh Shaikh Jaame-ul-Manqool kay laqab say mashoor hain.
- Mulana Abdul Aziz Faisal Abadi رحمہ الله.
- Mulana Kareem-ul-Deen Salafi رحمہ الله
- Moulana Abdul Jabbar jehlam walay walay رحمہ الله (Khateeb moti Masjid ).
- Molana Abdullah Mas’ood Baltistani رحمہ الله.
- Mulana Abdul Rashid Ladakhi رحمہ الله.
- Mulana Yousuf Yaqoob رحمہ الله
v Ilaawa azeen aap nay Riyaz university mein bohat say Ulama-e-Kiraam say Ilmi istifada kiya. Un mein say mashoor yeh hain:
- Muhaddas-ul-Asar Allama Abdul Aziz Bin Abdulallah Bin Ba’az رحمہ الله
- Muhaddas-ul-Asar Al Faqeeh Al-Allama Muhammad Bin Saleh Al-Usayemein رحمہ الله.
- Shaikh abdul Ra’oof.
- Mulla Abdul Qadir (Urdan).
- Mulana Abdul Khaliq Quddoosi رحمہ الله say bhi aap nay Ilmi istefada kiya.
Woh Shuyookh jin say aap ne Ijaaza liya hai:
- Shaikh-ul-Arab wal Aajam Muhaddis-e-Diyaar Sindh Allama Sayyad Abu Muhammad Badi-ul-Deen Shah Rashdi رحمہ الله (Mutawaffa: 1996)
- Mulana Muhammad Hayaat Lashari رحمہ الله (Mutawaffa: 2006)
- Muhaddas-ul-Asar Moulana Sultan Mahmood Jalal poori رحمہ الله (Mutawaffa:1996).
- Moulana Abdul Ra’oof Jhandanagri رحمہ الله Neepal (Mutawaffa: 1999).
- Mulana Mou’een-ul-Deen Lakhwi رحمہ الله (Mutawaffa: 2011).
- Muhaddas-ul-Asar Qaari Abdul-Al-Khaliq Rahmani رحمہ الله (Mutawaffa: 2006 ).
- Saudi Arab kay Shaikh Abdulullah .
- Qir’aat-o-Sayma’aa Muhaddas-ul-Asar Shaikh-ul-Hadees Mulana Haakim Ali رحمہ الله say bhi ijazaa hai.
- Shaikh Atiya (Muhammad Salim) رحمہ الله say bhi ijaaza hai.
Jamaa’ati-o-Dawati sargarmiyan
Is waqt aap jamiyat Ahal Hadees Sindh kay Ameer hain. Mulk aur Beroon-e-Mulk Dawati-o-Islahi parogramon mein bharpoor shirkat kartay hain. Mahnama risala :Dawat-e-Ahal-al-Hadees” Sindhi aur Urdu zabaan mein aap hi kay Zair-e-Nigrani shaya hota hai, Neez aik azeem Islami, Ilmi aur tarbiyati Danishgaah المعهد السلفى للتعليم و التربيه bhi aap kay Zair-e-Ahtimaam kaam kar rahi hai.
Tadreesi sargarmiyan
- Jaam’e Abi Bakar Al-Islamiya mein 1402 say 1405 tak Hadees aur Usool-e-Hadees padhatay rahay.
- Jaame daar-ul-Hadees Rahmaniya mein 1406 say 1416 tak Hadees aur Usool-e-Hadees ka dars diya.
- haal mein المعهد السلفى للتعليم و التربية mein Hadees, Usool-e-Hadees aur aqeeday ka dars day rahay hain.
Taleefaat:
- Al-Manhaj-ul-Asad fi Tarteeb-e-Musand-ul-Imaam Ahmad, Chaar jldon mein Riaz say shaya huwi hai.
- Manhaj-ul-Qur’an fi Tarbiyat-e-Al-Rijaal, Yeh Urdu mein shaya huwi hai.
- Manhaj-ul-Hafiz-Ibn-e-Hajar Al-Asqalani fi Kitaab-e-Fatah-ul-Baari, Yeh Arbi zabaan mein taba huwi hai.
- Manhaj-ul-Muhaddisayen fi Khidmat-ul-Sunnah, yeh bhi Arbi zabaan mein hai.
- Al-Tauheed (Fazeelat-o-Ahmiayat) yeh Urdu mein hai.
- Sharah-e-Hadees Jibreel , Yeh Urdu zabaan mein hai.
- Sharah-e-Hadees Abu Zar (یا عبادی), Yeh Urdu mein hai.
- Kitaab-ul-Saum, Urdu mein hai.
- Hukum-o-Tay’een-e-Al Qaazi Al-Kafir-fil-Doulat-e-Al-Islamiya, Bhi Urdu zabaan mein hai.
Professor Sahib nay jin kutub ka Urdu mein tarjuma kiya, Woh yeh hain:
- “Taisayer-ul-Aziz-e-Al-Hamid sharah kitaab-ul-Tauheed” Is ka tarjuma do jildon mein hai.
- “Sharah Al-Aqeedah Al-Wastiyah” Ka Urdu tarjuma kiya. Yeh kitaab Imam Ibn-e-Tammiya رحمہ الله ki tasneef hai. Is ki sharah Shaikh Saleh Al-Fauzan ki hai aur tarjuma Professor Sahib nay kiya hai.
- “Al-Qawaid-ul-Musla fil Asama-e-Wal Sifaat” ka tarjuma kiya. Yeh kitaab Shaikh Ibn-e- Usaimeen رحمہ الله ki tasneef hai.
- Kitaab “Sharah Muqaddamat-Ibn-e-Abi Zaid-Al-Qairwani Bisim Qutuf-ul-Jani -Al-Daani Al Shaikh Abdul Mohsin Bin Hammad Al Ibad Shaikh.
- Saleh-Al-Fauzan ki kitaab “Sharah Lum’at-ul-Aitqaad”
- Shaikh Saleh-Al-Fauzan hi ki kitaab “Al-Wala Wal Bara” aur
- Shaikh Saleh-Al-Munjind ki kitaab “Al-Muharrmaat”.
Dawat-o-Tableegh kay liye jin mumalik ka dorah kiya:
- Mamlikat-e-Saudi Arab 2. Kuwait 3. Muttahidda Arab Imaraat
- Behrein. 5. Misar 6. Bangladeesh.
Reference:
Book: “KHUTBAT”
“Allamah Fazilatus Shaikh Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullahu Ta’aala”