02. Shaan-e-Sahaba kiraam (رَضِيَ اللهُ عَنْهُ)
Shaan-e-Sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ
لِلۡفُقَرَآءِ الۡمُهٰجِرِيۡنَ الَّذِيۡنَ اُخۡرِجُوۡا مِنۡ دِيَارِهِمۡ وَاَمۡوَالِهِمۡ يَبۡتَغُوۡنَ فَضۡلًا مِّنَ اللّٰهِ وَرِضۡوَانًا وَّيَنۡصُرُوۡنَ اللّٰهَ وَرَسُوۡلَهٗؕ اُولٰٓئِكَ هُمُ الصّٰدِقُوۡنَۚ وَالَّذِينَ تَبَوَّءُوا الدَّارَ وَالايْمَنَ مِنْ قَبْلِهِمْ يُحِبُّونَ مَنْ هَاجَرَ إِلَيْهِمْ وَلَا يَجِدُونَ فِي صُدُورِهِمْ حَاجَةً مِمَّا أَوْ تُوا وَيُؤْثِرُونَ عَلَى أَنْفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ وَمَنْ يُوقَ شُحَّ نَفْسِهِ فَأُولَئكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ وَالَّذِيۡنَ جَآءُوۡ مِنۡۢ بَعۡدِهِمۡ يَقُوۡلُوۡنَ رَبَّنَا اغۡفِرۡ لَـنَا وَلِاِخۡوَانِنَا الَّذِيۡنَ سَبَقُوۡنَا بِالۡاِيۡمَانِ وَلَا تَجۡعَلۡ فِىۡ قُلُوۡبِنَا غِلًّا لِّلَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا رَبَّنَاۤ اِنَّكَ رَءُوۡفٌ رَّحِيۡمٌ (Al Hashar: 8-10)
Sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay talluq say manhaji baatein batana chahta hoon. Pehla masla sahabi ki tareef hai. Sahabi ki sab say jamee tareef Hafiz-Ibn-e-Hajar رحمہ الله nay bayan farmaai hai. Sahabi woh shakhs hai: لقِيَ رَسُولَ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم مُؤْمِنًا بِهِ Jo Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) say imaan laanay ki haalat mein mila ho. مَاتَ عَلَی الْإِسْلام Is ka intiqaal bhi Islam par huwa ho. Aakhir dam tak Islam par qaim raha ho. Tareef mein sahabiyat kay saboot kay liye chaar shariy’at hain. Pehli shart yeh hai keh sahabi ki mulaqaat Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) say saabit ho. Woh mulaqaat khawa choti ho ya badi ho. Khawah poori zindagi ka saath ho jesay Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ya chand lamhaat ka deedar ho jesay woh shakhs jo najad ki sarzameen say aaya tha. Nabi say aik sawal kiya: أَخْبِرْنِي بِعَمَلِ إِذَا عَمِلْتُهُ دَخَلْتُ الْجَنَّةَ Ya Rasoolullah! Woh konsa amal hai jis kay karnay say mein jannat mein daakhil ho sakta hoon. Us ka kehna yeh tha: أَتَيْتُ مِنْ أَهْلِي وَمَالِي وَ عشيرتي Mein yeh sawal poochnay kay liye apnay Ahal-o-Ayal, Apni tijaratein, Apni qoum biraadri sab kuch chod kar aa raha hoon. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Arkaan-e-Islam ki taleem di. Us nay baat ko samjha aur wapas janay kay liye muda taakeh apni qoum ko jaa kar dawat day. Ittefaq say us ki oontni ka paawon aik bill mein daakhil huwa, Tawazun biggad gaya aur woh shakhs gardan kay bal neechay gira. Wahein shaheed ho gaya. Yeh us ki Nabi علیہ السلام kay saath mukhtasar suhbat hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay usay apnay qareeb mangwaya. Sahaba utha kar laaye. Nabi علیہ السلام nay apna chehra mubarak us kay qareeb kiya, Phir peechay hata liya. Farmaya kay إِنِّي رَأَيْتُ مَلَكَيْنِ يَدُسَّانِ فِي فِيهِ مِنْ ثِمَارِ الْجَنَّةِ “Mein nay Allah kay do farishtay dekhay, Woh is kay mun mein jannat kay phal daal rahay thay.” فَعَلِمْتُ أَنَّهُ مَاتَ جَائِعًا Is say mujhay yeh andaza huwa, Yeh shakhs bhooka aur piyasa safar kar raha tha. Khaanay aur peenay ki koi hosh nahin thi. Aik hi hadaf tha, Aik hi Nasb-ul-Ai’n tha. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) tak jaldi pohanch jaawon, Apna sawal paish karoon aur jawab haasil kar kay amal shuru kar doon. Nabi علیہ السلام us ko dafan kar rahay hain aur saath farma rahay hain kay عمل قَلِيلًا وَ أَجِرَ كَثِيرًا isay amal karnay ka mauqa nahin mila lekin Ajar-o-Sawab be tahasha paa gaya hai. (Musnad-e-Ahmad: 4/359) To is ki jo suhbat hai Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay saath badi mukhtasar hai. Chunkeh Bahalat-e-Imaan yeh deedar haasil ho gaya, Yeh bhi sahabi hai.
Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ bhi sahabi hain, Yeh bhi sahabi hai.
Pehli shart لقاء ki, Y’ani mulaqaat ki hai.
Doosri shart yeh hai keh yeh لقاء Bahalat-e-Imaan ho. Chunacha kaafir aur Yahoodi aap say mlitay thay, Imaan nahin laaye, Woh sahabi nahin ho saktay. Munafiqeen aap say mlitay thay, Imaan nahin laaye. Kiunkeh imaan woh mu’atabar aur musllam hai jo Zahiran-o-Baatinan ho. Munafiqeen ka Islam zahiran tha, Haqeeqatan aur baatinan nahin tha. Allah paak ka farmaan hai:
وَإِذَا لَقُوا الَّذِينَ آمَنُوا قَالُوا آمَنَّا وَإِذَا خَلَوْا إِلَى شَيطِينِهِمْ قَالُوا إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِءُونَ (Al Baqarah: 14)
Munafiqeen jab musalmaanon say mlitay hain to kehtay hain: Ham imaan laa chukay hain, Musalmaan hain aur jab apnay shayateen kay paas jaatay hain, Kuffar kay paas jaatay hain to kehtay hain keh ham tumharay saath hain. Ham to upar upar say Islam ka izhaar kartay hain. To munafiq sahabi nahin ho sakta. Yeh doosri shart hai.
Teesri shart yeh hai keh aap (صلی اللہ علیہ وسلم) par imaan laaye. Aisay log bhi aap ko milay jo imaandaar to thay lekin Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) par imaan nahin laaye thay. Un ka imaan apnay Nabi par tha jesay Buhaira Raahib . Eesa علیہ السلام par imaan laya huwa tha. Esaai tha. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) par imaan nahin laa saka. Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) say himayat ka zikar kiya. Madad ka zikar kiya, Aap ki haqqaniyat ka zikar kiya. Imaan nahin laaya, Is liye Buhaira Raahib sahabi qarar nahin paa sakta.
Chouthi shart yeh hai keh isi imaan par us ka intiqaal ho. Kuch log imaan laaye thay lekin murtad ho gaye. Jesay Ubaidullah Bin jahash Umm-e-Habiba رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka sabiqa shohar hai. Islam laaya aur Habsha kay muhajireen kay saath Habsha ki taraf hijrat bhi ki, Lekin Habsha jaa kar nasrani ho gaya. Murtad ho gaya. Yeh sahabi qarar nahin paye ga. Yeh imaan to laaya, Bahalat-e-Imaan Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ka deedar kiya, lLekin phir Islam ko chod diya, Baghaawat aur irtidaad ikhtiyar kiya. Yeh musalmaan nahin ho sakta. Jesay Abdullah Ibn-e-Khatal hai. Islam laaya tha, Baad mein murtad ho gaya balkeh Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki hiju karta tha, Muzzamat karta tha. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Fatah-e-Makkah kay mauqa par sab ko amaan day di lekin farmaya kay Abdullah kay jaraim baday sangeen hain, Is ko qatal kar do. Us nay socha kay meray liye jaye panah Allah ka ghar hai. Allah kay ghar mein daakhil ho gaya aur baitullah kay parday ko pakad liya. Yahan mujhay kon maaray ga? Sahaba Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay paas aaye aur kaha: عبد الله مُتَعَلِّقُ بِأَسْتَارِ الْكَعْبَةِ kay Abdullah to khaanah kaaba kay ghilaaf ko pakday betha hai, Kya karein? Farmaya: Usay wahin qatal kardo. (Al Raheeq-ul-Makhtoom: 406) Is kay jaraim is qadar sangeen hain keh yeh kisi maafi ka mustahiq nahin. Is ko wahein qatal kar diya gaya. Yeh Islam laaya, Lekin baad mein murtad ho gaya. Sahabi ki tareef jis mein chaar cheezein jama hon. Aik Bahalt-e-Imaan Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ka deedar aur aap kay saath imaan aur us imaan par woh taa hayat qaim raha ho. Yaqeenan jis shakhs mein yeh chaar cheezein aa jayein, Woh sahabi hai. Aur woh badi fazeelat ka haamil aur baday oonchay maqaam ka mustahiq hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: لَا تَسُبُّوا أَصْحَابِي Meray kisi sahabi ko gaaliyan na dena. Un par tana zani ya tanqeed na karna. فَوَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ لَوْ أَنْ أَحَدَكُمْ أَنْفَقَ مِثْلَ أُحُدٍ ذَهَبًا مَا بَلَغَ مُدَّ أَحَدِهِمْ وَلَا نَصِيفَهُ (Bukhari: 3673) Us zaat ki qasam jis kay haath mein meri jaan hai! Agar tum log Uhad pahad kay barabar sona kharch karo, Mera aik sahabi sirf aik paaw khajoorein kharch kar day to Allah Ta’ala aik paaw khajoorein kharch karnay par jo ajar aur sawab meray sahabi ko day ga, Uhad pahad kay barabar sona kharch karnay par tumhen nahin day ga.
Yeh Hadees is baat ki daleel hai keh sahaba ko Nabi علیہ السلام ki ziyarat ka aur Nabi علیہ السلام kay deedar ka jo sharf haasil tha, Is bina par un ka darja, Un ka maqaam bada ooncha hai. Warna amal sab kar rahay hain, Namaz ham bhi padh rahay hain. Rozay ham bhi rakh rahay hain. Hajj ham bhi kartay hain. Amal wahi hain. Lekin sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ko aik darja mumtaz haasil hai aur woh Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki liqaa, Aap kay deedar ka sharf hai. Sahih Bukhari mein Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Hadees hai: يَغْزُو فِئَامٌ مِّنَ النَّاسِ Aik waqt aaye ga keh logon ka aik girooh Allah ki raah mein Jihaad-o-Qitaal karay ga. فَيُقَالُ لَهُمْ Us girooh say poocha jaye ga: هَلْ فِيكُمْ مِّنْ صَحِبَ رَسُولَ اللهِ؟ Kya tum mein koi shakhs aisa hai jis ko Allah kay paighambar ki suhbat ka sharf haasil ho. فَيُقَالُ: نعم kaha jaye ga: Haan! Is lashkar mein aisay log mujood hain jinhen Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki suhbat ka sharf haasil hai. فَيُفْتَحُ لَهُمْ Allah Ta’ala us lashkar ko fatah day day ga. Us lashkar ki fatah ki wajah aisay logon ka mujood hona hai jo Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay sahabi thay. Farmaya kay ثُمَّ يَغْزُو فِئَامٌ مِّنَ النَّاسِ Phir aik aur girooh qitaal aur jihaad karay ga. فَيُقَالُ لَهُمْ Wahan bhi poocha jaye ga هَلْ فِيكُمْ مَّنْ رَّأَى مَنْ صَحِبَ رَسُول اللہ؟ Kya tum mein aisa shakhs hai jis nay Allah kay paighambar kay kisi sahabi ko dekha ho? فیقال: نعم kaha jaye ga: Haan aisay log mujood hain jinhon nay paighambar علیہ السلام ko to nahin dekha, Lekin paighambar علیہ السلام kay sahaba ko dekha hai. فيُفْتَحُ لَهُم Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai keh Allah Taala us lashkar ko bhi fatah day day ga. Kis cheez ki barkat say? Keh is jamaa’at mein aisay log mujood hain jinhon nay paighambar علیہ السلام kay sahaba ka deedar kiya hai. Farmaya kay ثُمَّ يَغْزُو فِئَامٌ مِّنَ النَّاسِ، Phir logon ki aik aur jamaa’at Allah ki raah mein jihaad karay gi. فَيُسْأَلُ، wahan bhi poocha jaye ga: هَلْ فِيكُمْ مِّنْ رَأَى مَنْ صَحِبَ مَنْ صَحِبَ رَسُولَ اللهِ؟ Kya tum mein koi aisa shakhs hai jis nay us shakhs ko dekha ho jis shakhs nay Allah kay paighambar kay kisi sahabi ko dekha ho? Y’ani tab’a tab’ii فَيُقَالُ: نعم “Kaha jaye ga: Haan aisay afraad mujood hain. فَيُفْتَحُ لَهُمْ un ki bhi Allah Ta’ala madad karay ga aur un ko fatah ataa farma day ga. (Bukhari: 2897) Un ki fatah aisay logon ki mujoodgi ki barkat say hogi jinhon nay kisi sahabi ka deedar kiya. Yeh sahaba ki shaan, Un ka maqaam aur Rifaat-e-Tarja hai keh us ki mujoodgi fatah ka, Allah ki Raza ka, Us ki rahmat ka aur us ki madad ka baa’as hai.
Aik aur Hadees mein Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: النُّجُومُ أَمَنَةٌ لِّلسَّمَاءِ Asmaan kay sitaaray asmaan ki Amaan hain. Asmaan kay Muhafiz hain. Taarey Allah kay fouji hain. Aik daur tha keh yeh jin asmaanon ki taraf jatay aur farishton ki baatein sun kar asmaanon kay faislay uchaknay ki koshish kartay. Allah Ta’ala nay jab Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki baisat ka faisla farma liya, Us nay tay kar liya keh ab asmaanon ki khabren zameen par pohanchen gi sirf aik hi shakhsiyat kay zariy’e say aur woh shakhsiyat Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki hai. Baqi saaray raastay band kar diye. Sitaaron ko Allah Ta’ala nay yeh tasayer day di keh ab agar koi jin aaye to aag ka shola ban kar un ko jala dein, Chunacha yeh sitaaray Allah Ta’ala ki khabron kay muhafiz ban gaye. Farmaya keh sitaaray asmaanon ki amaan hain. وَأَنَا أَمَنَةٌ لأَصْحَابی aur mein, Y’ani Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) apnay sahaba kay liye amaan hon. Jab tak mein zindah hoon, Mujood hon, Muhafiz aur amaan hon apnay sahaba kay liye kitna pyaara talluq hai! Farmaya kay و أَصْحَابي أَمَنَةٌ لأُمتي aur meray sahaba meri ummat kay liye amaan hain. فَإِذَا ذَهَبَ أَصْحَابي jab meray sahaba chalay jayein gay, Fout ho jayein gay aur yeh zameen sahaba kay wujood say khaali ho jaye gi. أتى أُمَّتِي مَا يُوعَدُونَ Meri ummat ko woh saaray fitnay, Fasadaat laahiq hon gay jin ka Allah nay un say waada kiya hai. (Muslim: 2531) Lekin jab tak sahaba zindah hain, Meri ummat ko fitnay laahiq nahin hon gay. Yeh kon say fitnay murad hain? Yeh bidd’aat, Khurafaat, Shirk aur mukhtalif qisim kay inteshaar kay fitnay, Jahmiya, Karamiya, Rafiza , Murjiaa, Qadriyah, Jabriya, Mutazilah gumraah firqay peda hon gay. Ajeeb-o-Ghareeb un kay aqaaid. Farmaya keh meray sahaba ka wujood ummat kay liye amaan hai, Ummat kay liye barkat hai. Jab sahaba chalay jayein gay, Woh fitnay meri ummat ko laahiq hon gay jin ka Allah nay waada kiya hai lekin sahaba kay janay kay baad.
Yeh tamaam Hadeeseen sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُم ki fazeelat aur un kay Rifaat-e-Darja ki asaas hain, Bohat badi nishani hai keh yeh jamaa’at kitni Muqqadas aur kitni muhtaram jamaa’at hai. Un kay quloob bilkul saaf suthray aur nazeef hain. Ibn-e-Mas’ood رَضِيَ اللهُ عَنْهُ farmaya kartay thay:
إِنَّ الله نظر إلى قُلُوبِ الْعِبَادِ فَوَجَدَ قَلْبَ مُحَمَّدٍ مِّنْ خَيْرٍ قُلُوبِ الْعِبَادِ فَاصْطَفَاهُ لرسالَتِهِ ثُمَّ نَظَرَ إِلَى قُلُوبِ الْعِبَادِ فَوَجَدَ قُلُوبَ أَصْحَابِهِ مِنْ خَيْرٍ قُلُوبِ الْعِبَادِ فَاصْطَفَاهُمْ لِصُحْبَةِ نبيه (Musnad-e-Ahmad: 1/379)
Jab Allah Ta’ala nay apnay paighambar Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki baisat ka faisla farmaya to pehlay poori kaainaat mein mujood logon kay dilon ko dekha. Un kay dilon mein jhanka keh kis ka dil meri Nubuwwat kay qabil hai? Kis ka dil saaf suthra, Nazeef, Mukhlis aur mussafi hai. Sab kay dilon ko dekha to Allah nay kya paaya? فَوَجَدَ قَلْبَ مُحَمَّدٍ Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم) kay dil ko paaya. مِنْ خَيْرِ قُلُوبِ الْعِبَادِ Poori kaainaat mein sab say pakeeza aur musaffi dil apnay paghambar Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم) ka paaya فَاصْطَفَاهُ لرسالَتِهِ Allah nay is shakhsiyat ko apni risalat kay liye chun liya. ثُمَّ نَظَرَ إِلَى قُلُوبِ الْعِبَادِ Phir apnay bandon kay dilon ko dekha فَوَجَدَ قُلُوبَ أَصْحَابِهِ مِنْ خَيْرٍ قُلُوبِ العِبَادِ To Allah nay dekha keh paighambar kay sahaba kay dil tamaam logon kay dilon say musaffa hain, Saaf suthray hain, Pakeeza hain, Nazeef hain, Tahir hain, Matahhar hain aur bilkul Mukhlis hain. فَاصْطَفَاهُمْ لِصُحْبَةِ نَبِيِّهِ To Allah nay un logon ko apnay paighambar ki suhbat kay liye chun liya, Apnay paighambar ki rafaqat kay liye aur apnay paighambar ki maiyyat kay liye. Ab tak mein nay do baatein samjhaai hain:
(1) Sahabi ki tareef (2) Sahabi ka maqaam aur sahabi ki fazeelat.
Teesri manhaji baat yeh hai keh sahaba kiraam par jarah karna, Un par tanqeed karna ya un mein say kisi aik ko Sab-o-Shtam ka nishana banana, Gaali galoch karna, Is ko Ulamaa nay kufur qarar diya hai. Abu Zur’aa Al Raazi badi choti kay muhaddis hain, Farmaya kartay thay: إِذَا رَأَيْتَ الرَّجُلَ يَنْتَقِصُ مِنْ أَصْحَابِ رَسُولِ اللَّهِ صلی اللہ علیہ وسلم فَاعْلَمْ أَنَّهُ زِنْدِيقُ Jab tum kisi shakhs ko dekho keh woh Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay kisi sahabi ko gaali day raha hai, Un par tanqeed kar raha hai, Un ki Tanqees-e-Shaan kar raha hai, Un ki shaan mein kami peda karnay ki koshish kar raha hai. فَاعْلَمْ أَنَّهُ زِندِیقٌ To jaan lo keh woh shakhs zindeeq hai. Us mein kufur hai, Woh zanadiqa mein say hai. Is ki bohat si wujoohaat hain. Farmaya: Pehli baat to yeh hai keh un ki suhbat ka sharf aur un ka woh maqaam jo Allah nay bayan kiya Qur’an aur Hadees mein, Is ka inkaar hai. Qur’an-o-Hadees ka inkaar kufur hai. Aur doosri baat yeh hai keh yeh baat Deen par hamla hai. Yeh sahaba ki Tanqees-e-Shaan nahin balkeh Deen ki Tanqees-e-Shaan hai. Kiun? Farmatay hain keh ham yeh baat jaantay hain keh ان رَسُولَ اللهِ حَق Kay Allah kay paighambar haq hain. وَ أَنَّ الْقُرْآنَ حَقٌّ Aur Qur’an bhi haq hai. Aur paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ki sunnaton aur Qur’an-e-Paak ko hamari taraf muntaqil karnay wala kon hai? Yeh Qur’an-o-Hadees hamein is tarah nahin mila keh Allah nay hamaray gharon mein utaar diya ho ya pohancha diya ho. Balkeh Qur’an-o-Hadees ko Allah kay paighambar say lenay walay paighambar kay sahaba hain. To sahaba kiraam is Deen ko sab say pehlay lenay walay aur aagy pohanchanay walay hain. To agar yeh pehli jamaa’at hi majrooh qarar di jaye to yeh jarah us jamaa’at par nahin balkeh Deen par hai. Kiunkeh khabar laanay walay ko dekha jata hai keh khabar laanay wala kon hai? Agar woh za’eef aur kamzor hai, To us ki khabar bhi kamzor aur za’eef hai. Lihaza agar sahaba kiraam is la’an ta’an ka mahal hain, Nishana hain to phir unhon nay jo Qur’an-o-Hadees ham tak pohanchaya us par bhi yeh shuba warid ho raha hai, Is ki bhi tanqees lazim aa rahi hai. Yeh hamla sahaba par nahin balkeh yeh hamla Deen par hai. Yeh Qur’an par hai, Yeh Hadees par hai kiunkeh Qur’an-o-Hadees kay naaqileen to sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ hain. وَالْجَرْحُ بِهِمْ أَولی Saabit yeh huwa keh jo log sahaba par jarah kartay hain, Woh khud jarah kay mustahiq hain. (Aitiqaad-o-Ahl-e-Al Sunnati Fil Sahabati: 29) Un ka yeh waar sahaba par nahin balkeh Allah kay Deen par hai. Aur jo Allah kay Deen par waar karay ga woh mujrim hai, Woh aasi hai, Woh baaghi hai aur woh khud jarah ka mustahiq hai. Yeh qaul Abu Zar’aa Al-Raazi ka hai jo badi choti kay muhaddis, Balaa kay Hafiz thay, Un kay baaray mein aik chotta sa waqiya hai. Un kay aik shagird nay aik dafa jazbaat mein aakar keh diya keh meray Shaikh Abu Zur’aa Al-Raazi ko agar aik laakh Hadeeseen zabani yaad na hon to meri biwi ko talaq. Yeh ajeeb baat keh di. Ab maamla un tak pohancha keh aap ko aik laakh Hadeeseen yaad hain ya nahin? Agar yaad hain to biwi mahfooz hai, Agar yaad nahin to talaq waqiye ho jaye gi. Unhon nay poochnay walon say kaha keh أَحْفَظُ مِاةَ أَلْفِ حَدِيثٍ كَمَا يَحْفَظُ أَحَدُكُمْ قُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ Keh mujhay aik laakh Hadeeseen is tarah yaad hain jesay tum mein say kisi ko قل ھو اللہ احد yaad hoti hai. (Siar-o-Aalaam-e-Al Nubalaa: 13/69) سندا و متنا itnay baday muhaddis, Bala ka un ka hafza. Yeh qaul aik bada tareekhi qaul hai. Sahaba ki Tanqees-e-Shaan karnay wala dar haqeeqat mujrim hai jo us Deen par hamlay kar raha hai. Sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُم Nabi علیہ السلام ki in Ahadees ki roshni mein tazeem kay aur mahabbat kay mustahiq hain. Un ki tazeem aur un say mahabbat yeh Deen ki tazeem aur mahabbat hai. Un ka ahtiram Deen ka ahtiram hai. Un ki mahabbat Allah aur us kay Rasool ki mahabbat hai.
Imam Ahal-e-al-Sunna aur badi choti kay muhaddis Imam Ahmad Bin Hanbal ka qaul hai. Jo Imam Bukhari jesay muhaddis kay ustaad hain. Farmaya kartay thay: مَنْ سَبّ أَصْحَابَ رَسُولِ اللهِ هُوَ مُبْتَدِعُ رَافِضِي Jo Allah kay paighambar kay kisi sahabi ko gaali day, Un par jarah karay, Woh bidd’ati aur rafizi hai. Farmatay hain keh sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُم kay saath hamara chaar tarah ka talluq hona chahiye. Yeh chaaron baatein note kar lo. Yeh chaaron baatein Manhaj-e-Ahal-ul-Sunna hain. Hamaray aqeeday ka hissa hain. Farmatay hain keh 1.حُبُّهُم سنة: Un say mahabbat karna Allah kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ki sunnat hai. Is ki daleel Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan:
الله الله فِي أَصْحَابِي لَا تَتَّخِذُوهُمْ غَرْضًا بَعْدِي فَمَنْ أَحَبَّهُمْ فَبِحُبِّي أَحَبَّهُمْ وَ مَنْ أَبْعَضَهُمْ فَبِبُغْضِي أَبْغَضَهُمْ (Tirmizi: 3862)
Meray sahaba kay baaray mein Allah say dar kar rehna. Meray sahaba kay baaray mein Allah ka khauf peda kar lo. لَا تَتَّخِذُوهُمْ غَرْضًا بَعْدِی Aur meray baad meray sahaba par tanqeed na karna, Un par jarah na karna, Unhein Sab-o-Shtam na karna فَمَنْ أَحَبَّهُمْ jo un say mahabbat karay ga. فَبِحُبِّي أَحَبَّهُمْ us nay sahaba say is liye mahabbat ki keh usay mujh say mahabbat hai. Kis say? Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) say. Jo sahaba say mahabbat karay ga, Is liye karay ga keh usay mujh say mahabbat hai. فَمَنْ أَحَبَّنِي فَقَدْ أَحَبّ الله aur jis shakhs nay mujh say mahabbat kar li, Us nay Allah say mahabbat kar li. Yeh sahaba ki mahabbat Allah kay paighambar ki mahabbat hai aur Allah kay paighambar ki mahabbat, Allah ki mahabbat hai. وَمَنْ أَبْعَضَهُمْ jo shakhs un say bughz rakhay ga. فَبِبُغْضِي أَبْعَضَهُمْ us nay sahaba say i liye bughz rakha kay usay mujh say bughz hai. وَمَنْ أَبْغَضَنِي فَقَدْ أَبْغَضَ الله aur jo shakhs mujh say bughz rakhay ga, Us nay Allah say bughz rakha. Sahaba ka bughz mera bughz hai aur mera bughz Allah ka bughz hai. Sahaba say adawat, Meri adawat hai aur meri adawat Allah ki adawat hai. Baat kahan say kahan pohanch jati hai. Yeh jamaa’at mahabbat kay qabil hai. Is jamaa’at say mahabbat Allah kay paighambar ki mahabbat hai aur Allah kay paighambar ki mahabbat Allah ki mahabbat hai. Is jamaa’at ka bughz Allah kay paighambar ka bughz hai aur Allah kay paighambar ka bughz Allah ka bughz hai. Aur failan us qoum mein yeh saaray bughz mujood hain. Un ki kitaabon mein likha huwa hai keh Jibreel علیہ السلام dar haqeeqat wahi lay kar aaye thay Ali رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay paas, Un say ghalti ho gai aur woh Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم) kay paas aa gaye. Yeh bughz hai ya nahin? Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) kay baaray mein yeh bughz dilon mein chupa huwa hai. Aur phir yeh bughz Jibreel علیہ السلام kay saath bhi hai. Aur bhejnay walay parwardigaar kay saath bhi hai. Sab par tanqeed lazim aa rahi hai keh Allah nay kis ka intikhab kiya jis kay paas tameez hi nahin thi keh wahi kis kay paas lay kar jani hai. Wahi bhi ghalat aur wahi ka mahal bhi ghalat bhejnay wala bhi ghalat aur laanay wala bhi ghalat. Yeh bughz ki aik lambi daastaan hai. Imam Ahmed رحمہ الله farmatay hain keh حبهم سنة sahaba ki mahabbat sunnat hai. Sahih Bukhari mein Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Hadees hai: آيَةُ الْإِيمَانِ حُبُّ الْأَنْصَارِ وَآيَةُ النِّفَاقِ بَعْضُ الْأَنْصَارِ Keh Ansar sahaba ki mahabbat imaan ki nishani hai aur Ansar sahaba ka bughz nifaaq ki nishani hai. (Bukhari: 17) Jo shakhs Ansar sahaba say mahabbat karay ga to woh us kay imaan ki daleel hai aur jo shakhs Ansar sahaba say bughz rakhay ga, Woh munafiq hai. Yeh Hadees bhi sahaba say mahabbat ki aik badi qawi daleel hai. Farmaya keh حبهم سنة sahaba say mahabbat karna sunnat hai. Aur doosri cheez: وَ الدُّعَاء لَهُمْ قُرْبَةٌ aur sahaba kay liye dua maangna Allah ki qurbat hai. To Allah Rab-ul-Izzat aisay logon say mahabbat karay ga jo sahaba kay liye duaaein kartay hain. Un ka naam aa jaye to رَضِيَ اللهُ عنهم kehtay hain. رضوان اللہ علیہم اجمعین kehtay hain. Ya Allah! In say raazi hoja. Apni Raza ataa farma day. Tu un kay liye duaaein maangna Allah ki Raza ki, Rahmat ki, Un ka naam lay kar رَضِيَ اللهُ عنهم kehna, Yeh Allah ki qurbat hai. Woh log Allah ki mahabbat aur us kay qurb kay mustahiq hain jo sahaba ka naam lay kar un kay liye duaaein maangtay hain. Aur yeh bhi aik manhaj hai Ahal-ul-sunnah ka keh jab bhi sahaba ka naam lo un kay liye dua zaroor karo. رضي الله عنهم zaroor kaho. Agar un ka naam likho to kitaabat mein woh dua bhi likho. Ba’az log sirf “R” aur “Z” likh detay hain aur is par aiktifa kartay hain. Sahabi ka naam likha aur aagay R aur Zu’aad likh diya. Yeh durust nahin, Yeh ghalat hai. Yeh aghyar ki saazish hai. Poori dua likho رَضِيَ اللهُ عَنْهُ jab sahaba ka naam aaye ya رضوان اللہ علیہم اجمعین, رضي الله عنهم kaho, Allah un sab say raazi ho jaye. Farmaya keh un kay liye dua karna qurb hai, Allah ki mahabbat ki nishani hai. Aur teesri cheez kya hai? وَالْاقْتِدَاءُ بِهِمْ وَسِيلَةٌ un ki iqtida waseela hai. Kis cheez ka? Jannat kay husool ka, Kaamyabi ka, Duniya aur aakhirat ki kaamyabi ka waseela hai. Un ki pairwi zariy’a aur waasta hai Allah ki Raza ka, Jannat kay husool ka aur duniya aur aakhirat ki kaamyabi ka. Sahaba kay talluq say sab say aham nukta aur sab say aham manjahi baat yeh hai keh sahaba kiraam ki iqitda ki jaye. Is par Qur”an Shahid-e-Sdal hai. Surah-e-Baqra mein munafiqeen kay zikar mein farmaya keh وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ آمِنُوا كَمَا أَمَنَ النَّاسُ (Al Baqarah: 13) Jab un logon say kaha jata hai keh imaan laaw jesay log imaan laaye. Is mein kon imaan laaye thay? Sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ imaan laaye thay. Tum bhi imaan laaw, Kesay? Jesay yeh log imaan laaye. Wesay tum bhi imaan laaw . Is ka maana kya hai? Keh sahaba ka imaan misali imaan tha. Agar un kay imaan mein koi jhol hota, Koi qabahat hoti, Kisi bhi daur mein un kay imaan mein koi iztiraab hota to woh Qur’an jo Qayaamat tak Minbar-o-Maharab par padha jaye ga, Is Qur’an mein Allah Ta’ala nay sahaba kay imaan ko misali imaan kiun qarar diya? Keh jesay yeh log imaan laaye wesay tum imaan laaw. Tumhara imaan un jesa hona chahiye. To sahaba ka imaan misali imaan tha. Hamara yeh Farz-e-Mansabi hai keh ham imaan laayein aur hamaray imaan ki kefiyat, Hamaray imaan ka tareeqa, Hamaray imaan ki sift bilkul sahaba kiraam jesi ho, Un ka imaan ummat kay liye Misaal, Namoona aur ideal hai Aur yeh sahaba ki seerat ka sab say bada manhaj hai. Allah Ta’ala nay ja baja is baat ko zikar kiya. Farmaya keh
وَمَنْ يُشَاقِقِ الرَّسُولَ مِنْ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ الْهُدَى وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيلِ الْمُؤْمِنِينَ نُوَلِهِ مَا تَوَلَّى وَنُصْلِهِ جَهَنَّمَ وَسَاءَتْ مَصِيرًا (Al Nisaa: 115)
Keh jo Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ki nafarmani karein gay, مِنْ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ الْهُدَی Hidayat kay waazeh honay kay baad, Hidayat kesay waazeh huwi aur kis kay zariy’e waazeh huwi? Aagay farmaya: وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيلِ الْمُؤْمِنِينَ Aur woh momneen kay raastay kay ilaawa kisi aur raastay ki ittibaa karein. Rasool ka zikar, Momneen ka zikar. Rasool ki nafarmani karein aur momnin kay raastay ko chod kar kisi aur kay raastay ka taayyun kar lein to Rasool kay daur mein momneen kon thay? Yeh sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ thay. Is aayat mein bhi Allah Ta’ala nay sahaba kay imaan ko Misaal-e-Imaan qarar diya. To agar Rasool ki nafarmani karein aur sahaba kay raastay ko chod kar kisi aur ki raah ko apnayein to نُوَلِهِ مَا تَوَلَّى وَنُصْلِهِ جَهَنَّمَ وَسَاءَتْ مَصِيرًا Jis raah par woh chalein us raah ko ham un kay liye daraz kar dein gay, Dheel day dein gay, Rassi chod dein gay keh chalo kahan tak chaltay ho. Jo chaho kartay phiro lekin aik waqt aaye ga نصْلِهِ جَهَنَّمَ Un ko utha kar jahanum mein daal dein gay. Is Aayat-e-Karima mein bhi sahaba رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay imaan ko, Un kay tareeqay ko, Un kay manhaj ko misaal bana kar paish kiya. Aik aur maqaam mulahaza ho. Allah paak nay farmaya:
وَالسَّبِقُونَ الْأَوَّلُونَ مِنَ الْمُهْجِرِينَ وَالْأَنْصَارِ وَالَّذِينَ اتَّبَعُوهُمْ بِاحْسَان رَضِيَ اللهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ (Al Taubah: 100)
Do girohon ka zikar kiya. Aik muhajreen ka, Aik Ansar ka. jinhon nay Makkah choda aur Madinay aaye aur jinhon nay Madinay mein muhajireen ka istiqbaal kiya. Apnay gharon kay darwazay khol diye aur Eesaar ki azeem misalein qaim kar dein. Yeh do giroh hain. Yeh donon sahaba kay giroh hain. Sahaba ki jamaa’aten hain. Farmaya keh yeh do jamaa’tein aur teesri jamaa’at kon si? وَالَّذِينَ اتَّبَعُوهُمُ Teesri jamaa’at un logon ki hai jo un kay Naqsh-e-Qadam kay peerokaar banein. Un ki ittibaa karein, Un kay manhaj ko apnayein, Un jesa imaan layein, Un jesa amal karein, Un jesa aqeedah ho, Un jesa manhaj ho, Un jesay akhlaq hon, Un jesa kirdaar ho, Un jesi ma’eeshat ho, Un jesi tijarat ho. Farmaya keh teesra giroh yeh hai jo un ka peerokaar banay. Kya hai un ka hukum? رَضِيَ اللهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ Allah un say raazi hai aur yeh Allah say raazi hain. Allah un say raazi kiun hai? Unhon nay azeem qurbaniyan din. Ansar ka manhaj, Muhajreen ka aur un ka ittibaa karnay walon ka manba Azeem-ul-Shaan hai. Lihaza Allah un say raazi hai aur yeh Allah say raazi hain. Yeh Allah say raazi kesay hon gay? Keh jab yeh Allah kay paas jayein gay Allah un ko itna day ga, Itna nuwazay ga keh yeh khush ho jayein gay. Duniya kay dukh bhool jayein gay. duniya kay sapnay bhool jayein gay. Yeh taanay,Sab-o-Shatam aur yeh khoon raiziyan sab bhool jayein gay aur Allah kay diye huway inamaat par khush aur raazi ho jayein gay. To is maqaam par Allah ki Raza sirf teen jamaa’aton kay beech mein munhasir hai. Aik Ansar ki jamaa’at, Doosri muhajireen ki aur teesri un ki jo un kay Naqsh-e-Qadam kay peerokaar hain.
Yeh aayat is baat ki daleel hai keh sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka imaan, Un ka aqeedah aur manhaj, Un ki siyasat aur khulq , Un ki ma’eeshat aur mu’ashrat yeh sab kay sab misaal hain poori ummat kay liye. Lihaza ummat ka koi fard America mein ho, Africa mein ho, Asia mein ho, Arabi ho, Aajmi ho, Mashriq mein ho, Maghrib mein ho, Shumal mein ho, Junoob mein ho, Agar woh sahaba kay manhaj ka peerokaar hai to Allah ki Raza ka mustahiq hai aur agar woh sahaba kay manhaj ka peerokaar nahin hai to Allah kay ghazab aur us ki la’anaton ka mustahiq hai. Yeh Aayat-e-Karima is aham nuktay ki nishaandihi kar rahi hai.
Aik maqaam par Allah Ta’ala nay yoon farmaya: فَإِنْ آمَنُوا بِمِثْلِ مَا آمَنْتُمْ بِهِ فَقَدِ اهْتَدَوا (Al Baqarah: 137) Keh yeh log agar imaan layein, Kesa? Jesa tum imaan laaye ho, Mukhatib sahaba hain. Un ka imaan agar wesa ho jesa tumhara hai, Y’ani sahaba ka? فَقَدِ اهْتَدَوا phir yeh meri fahrist mein hidayat yaafta hain. Meri list mein hidayat yafta woh hai jis ka imaan sahaba kay imaan jesa ho. To is aham manji nuktay ko samajhnay ki koshish karein. In tamaam aayaton ki tafseer aur tashreeh Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki aik Hadees hai. Yeh Hadees agar aaj ham pallay baandh lein to saaray ikhtilafat khatam ho saktay hain. Manhaj-e-Haq waazeh hota hai. Jannat ka program simat kar hamaray saamnay aa sakta hai. Balkeh jannat hamaray saamnay khadi hai. Agar yeh Hadees ham samajh lein jo Hadees-e-Firaq kay naam say mashoor hai. Is mein Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay apni ummat mein firqoun kay wujood ki nishaan dahi ki. Us mein farmaya keh Yahoodiyon kay 71 firqay thay. Essaiyon kay bahattar firqay thay aur meri ummat kay tahattar firqay hon gay. Farmaya: كُلُّهُمْ فِي النَّارِ Saaray jahanami hain. إِلَّا مِلَّةَ وَاحِدَةً Siwaye aik kay. Tahattar mein say bahattar jahannami hain sirf aik jannati hai. Sahaba nay poocha: مَنْ هِيَ يَا رَسُولَ الله Ya Rasoolullah! Woh kon hain? To Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: مَا أَنَا عَلَيْهِ وَ أَصْحابي (Tirmizi: 2640-2641) Keh woh log hain jo us cheez par qaim hon jis par aaj mein aur meray sahaba qaim hain. Mein samajhta hoon keh yeh Hadees Qaate-ul-Nazaa hai. Agar poori kaainaat kay saamnay yeh aik hi Hadees hoti aur is ko ikhlaas say log samajh letay to yeh aik hi Hadees tamaam firqon ki nafi kar deti hai aur Manhaj-e-Haq waazeh kar deti hai. Haq woh hai jo sahaba kay paas tha. Haq woh hai jis par sahaba qaim thay. Ab aap Hanfi hain, Shafi hain, Maliki hain, Hanbli hain, Yeh saaray aimma sahaba kay daur mein thay? Nahin, Yeh baad ki peedaawar hain. Phir ham unhein kiun pakday bethay hain? Yeh Hanfi, Shafi, Malik aur seherwardi, Naqashbandi, Jafari, Yeh saaray wujood baad kay hain. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: Taaifa-e-Mansoora, Jannat ki jamaa’at Naji giroh, Naji firqa woh hai jo us cheez par qaim ho jaye jis par aaj mein hoon aur meray sahaba hain. Aur sahaba ki Seerat-o-Kirdaar hamaray saamnay aik khuli kitaab ki maanid hai. Is mein koi jhol nahin. Qur’an-o-Hadees waazeh hai aur sahaba ka manhaj bhi waazeh hai. Un ka manhaj Qur’an-o-Hadees kay mutabiq hai. Ab koi sahabi Hanfi tha? Koi Shafi tha? Koi Maliki tha? koi Jafari tha? Koi naqshbandi tha? Koi seherwardi tha? Yeh saari baatein sadiyon baad peda huwin. Sahaba in say mubarra thay, Paak thay.
Mein samajhta hoon kay Ashaab-e-Firaq aaj sirf is aik Hadees par ghour kar lein jo Qur’an ki un saari aayaton ki tafseer hai, Saaray ikhtilafat, Naza’aat, Firqay, Sab khatam ho jayein gay aur jannat ka parogramm nikhar kar hamaray saamnay aa jaye ga. Subhanallah! Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: أُعْطِيتُ جَوَامِعَ الْكَلِمِ Allah nay mujhay جَوَامِعَ الْكَلِمِ diye hain. جَوَامِعَ الْكَلِمِ ka maana yeh hai keh ba’az auqaat aik lafz bol kar, Jannat ka poora parogramm samjha saktay thay. Yeh Allah nay mujhay qudrat di hai. Aik hi jumlay mein hidayat ka haq ka, Kaamyabi ka, Duniya aur aakhirat ki falah ka, Jannat kay husool ka, Allah ki Raza kay husool ka poora parogramm waazeh kar sakta hoon aur waazeh kar diya. Manhaj-e-Haq kya hai? Taaifa-e-Mansoora kon hai? Kaamyab giroh kon hai? Kaamyab jamaa’at kon hai? Farmaya keh woh log hain jo us cheez par qaim hon jis par aaj mein aur meray sahaba hain. Woh chahay Mashriq ka baasi ho, Maghrib ka ho, Shumal ka ho, Junoob ka ho, Arabi ho, Ajmi ho, Gora ho, Kaala ho, Aajir ho, Ajeer ho, Hurr ho, Abd ho, Koi bhi ho, Us cheez ko thaam lay jis ko aaj mein nay aur meray sahaba nay thaama huwa hai, Woh kaamyab hai. Ab sahaba kay daur mein kon say firqay thay? Kon si dargahen theen? Kon si khurafaat theen? Konsi bidd’aat theen? Yeh maatam aur yeh seenah kobi aur yeh saari Bidd’aat-o-Khurafaat us daur mein theen? To yeh aik Hadees Qaate-ul-Naza hai. Sahaba ki Riffat, Bulandi-e-Darja keh un kay imaan ko misali imaan qarar diya. Aur rehti duniya tak aik formula, Aik kulliya chod diya gaya. Jo us cheez par qaim hai jis par sahaba qaim thay, Woh jannati giroh hai baqi saaray jahanami hain.
Allah ka khauf karo aur is Hadees ko saamnay rakho. Is Hadees ki roshni mein apnay aqeeday ka kirdaar ka manhaj ka tayyun karo keh sahaba ka kirdaar kya tha? Un ka aqeedah kya tha? Rawish kya thi? Un ki seerat ka mulakkhas aur nichod kya hai? Usay saamnay rakho. Yeh kaamyabi ka bada aqrab aur qawi tareen raasta hai. Sahaba ki seeraton mein yeh sab say aham manjhi nukta hai, Y’ani bilkul wesay ban jayein jesay sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ thay. Is liye ba’az Salaf-e-Saliheen kay baaray mein kai muhaddiseen ka qaul hai keh jab ham in ko dekhtay hain aisa mehsoos hota hai jesay ham nay Allah kay paighambar kay kisi sahabi ko dekh liya. Kon log hain yeh? Yeh woh log hain jo Manhaj-e-Ashaab-e-Rasool ko samajhtay hain aur wesa bannay ki koshish kartay hain. Sahaba kiraam apni poori zindagi janab Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) kay peerokaar rahay. Jo un par jarah karta hai, Un par tanqeed karta hai woh khud jarah ka mustahiq hai. In Rawafiz kay Waasil-e-Jahannam honay kay liye aik hi Hadees kaafi hai.
Nabi علیہ السلام safar mein thay. Azaan ho gai aur jamaa’at qaim honay wali hai. Sahaba nay socha kay agar ham wuzu mein der lagayein gay to Takbeer-e-Tahreema ham say choot jaye gi. Unhon nay jaldi jaldi wuzu kiya taakeh Takbeer-e-Tahreema , Takbeer-e-Aulaa ham say miss na ho jaye. Jaldi wuzu kar kay pohanch gaye. Un ka wuzu mukammal tha. Lekin ba’az ki eidyon mein kuch khushk nishaan nazar aa raha tha. Hadees mein hai khushki ki chamak dikhaai di. Aik ki, Doosray ki, Teesray ki. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: وَيْلٌ لِّلْأَعْقَابِ مِنَ النَّارِ (Abu Dawood: 97) Jin ki eidiyon mein khushki hai un kay liye Jahannam ki weel hai. Weel Jahannam ka tabqa. Jis ka maana yeh keh hamein wuzu baday ahtihyat say karna chahiye keh koi hissa khushk na reh jaye. Chahay woh aik naakhun kay barabar hi khushk kiun na ho. Farmaya keh un kay liye Jahannam ki weel hai. Ab un sahaba say to sahwa yeh khushki reh gai. Unhon nay jaakar haath geelay kar kay us khushki ko khatam kar diya aur aedhiyan geeli kar lein. Wuzu mukammal ho gaya. Lekin yeh rafizi qoum jaan boojh kay paawon nahin dhoti. Un ka to aqeedah yeh hai keh paawon par masah karein. Jab masah karo gay to sara paawon khushk reh jaye ga. Eidhiyan ghalti say khushk rehnay walon kay liye wayeed thi keh un kay liye Jahannam ki weel hai aur jin ka poori zindagi wuzu masah par qaim ho, Unhon nay kabhi paawon na dhoya ho, Un kay liye phir kesi weel hogi aur kaisi wayeed hogi?
Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ka aik aur farmaan hai jo is farmaan say marboot hai: إِنَّ أُمَّتِي يَأْتُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ غُرَّا مُحَجَّلِينَ مِنْ أَثَرِ الْوُضُو ءِ (Muslim: 246) Meri ummat Qayaamat kay din aaye gi. Un ko yeh sharaf haasil hoga keh un kay wuzu kay aaza chamak rahay hon gay. Wuzu mein paawon ko dhona farz hai Qur’an kehta hai. Ab jinhon nay saari zindagi paawon par masah kiya ho, Un kay aaza kya chamkein gay? Woh to is khushkhabri say mahroom hain. Un kay aqeeday ko chod do, Manhaj ko chod do, Is qoum kay Waasil-e-Jahannam honay kay liye yeh aik hi Hadees kaafi hai. Sahaba par tanqeed karnay wala aur sahaba par jarah karnay wala dar haqeeqat duniya aur aakhirat donon jahanon ki wayeedon ka mustahiq hai. Is liye mein nay guzashita Jummay kaha tha keh jis seenay mein sahaba ka bughz hai woh seenay Qayaamat tak pittay hi rahen gay. Peetnay walay doosray nahin khud apnay haath hain. Apnay haathon say pittay rahen gay, Un ka qasoor kya hai? Qasoor yeh hai keh un seenon mein sahaba ka bughz hai. Sahaba ki adawat hai. Is liye yeh seenay pittay hi rahen gay to sahaba kay talluq say yeh kuch mamhaji baatein hain.
Haan sahaba ki zindagi mein kuch mushajaraat, Kuch tanazu’aat thay. Aapas mein jungen aur ladaiyan huwin, Tanazu’aat khaday huway, Is baaray mein ummat ka mu’aqqif kya hona chahiye? Manhaj kya kehta hai? السُّكُوتُ فِيمَا تَشَاجَرَ أَصْحَابُ رَسُولِ اللَّهِ Is mein khamoshi ikhtiyar karein. Is mein lachay daar bahshein karnay ki bajaye khamoshi ikhtiyar karein. تِلْكَ أُمَةٌ قَدْ خَلَتْ (Al Baqarh: 141) Yeh girooh guzar chuka unhon nay jo amal kiye woh un kay liye un sahaba kiraam kay amal ko bura nahin keh saktay. Un kay ikhtilafat ki aik bunyaad thi aur woh un ka apna ijtehaad tha. Aik mu’aqqif durust samjha is par datt gaye, Phir is mu’aqqif ki khaatir ladaai aur qitaal bhi huwa. Yeh un ka apna ijtehaad tha. Is ijtehaad kay talluq say Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: إِذا حكم الحاكِمُ فَاجْتَهَدَ ثُمَّ أَصَابَ فَلَهُ أَجْرَانِ وَ إِذَا حَكَمَ فَاجْتَهَدَ ثُمَّ أَخْطَأ فَلَهُ أَجْرٌ (Bukhari: 7352) Koi ijtehaad karnay wala ijtehaad karay aur durust kar jaye us kay liye do ajar hain aur agar woh ijtehaad karnay mein ghalti kar jaye us kay liye aik ajar hai. To sahaba kiraam رضی اللہ عنہم kay darmiyan jo tanazu’aat aur ba’az khasoomaat huway woh un kay ijtihadi masaail thay. Is mein ghalti bhi ho sakti hai aur durusti bhi ho sakti hai. Jo ijtehaad durust kar gaye un kay liye do ajar hain aur jo ijtehaad ghalat kar gaye un kay liye aik ajar hai. Aur bidd’at koi nahin kiunkeh saaray mamlaat un kay ijtehaad par qaim hain aur ijtehaad kay baaray mein Nabi علیہ السلام nay khud farma diya keh ijtehaad durust bhi ho sakta hai ghalat bhi ho sakta hai. Durust ijtehaad par dohra ajar hai. Aik ajar ijtehaad karnay ka doosra durust karnay ka aur ghalat ijtehaad par akahra ajar hai keh ijtehaad kiya, Koshish ki ghalti ho gai, Allah ghalti ko maaf kar day ga aur koshish aur ijtehaad ka aik ajar ataa farma day ga. Un tanazu’aat kay baaray mein jo sahaba kiraam kay mabain qaim huway, Ummat ka yeh mu’aqqif hona chahiye. Qur’an-e-Hakeem nay sahaba ki teen qismein bayan ki. Aur teeno qismon kay baaray mein hukum lagaya. Ab sahaba teen qisim kay hain. Farmaya kay: لِلْفُقَرَاءِ الْمُهْجِرِينَ الَّذِينَ أُخْرِجُوا مِنْ دِيارِهِمْ وَأَمْوَالِهِمْ يَبْتَغُونَ فَضْلًا مِنَ اللهِ وَرِضوانَا (Al Hashar: 8) Kay fuqara muhajreen, Hijrat karnay walay Allah is baat ka a’itraaf kar raha hai keh unhon nay Deen aur imaan ki khaatir apnay ghar baar aur apnay maal chod diye balkeh ba’az nay apnay khooni rishtay tod diye. Biwi musalmaan hai shohar musalmaan nahin hai, Biwi shohar ko chod kar aa gai. Bhai musalmaan hai doosra kaafir hai, Bhai bhai ko chod kar aa gaya. Beta baap ko chod kar aa gaya, Baap betay ko chod kar aa gaya. Islam ki khaatir apnay rishtay tod diye. Apnay maal chod diye. Apnay ghar baar chod diye. Qoum biraadri chod di, Allah a’itraaf kar raha hai. Farmaya keh وَيَنْصُرُونَ اللهَ وَرَسُولَہ Phir woh log Allah aur us kay Rasool kay madadgaar hain. Deen aur Allah ki wahi kay madadgaar thay. Qur’an-o-Hadees kay madadgaar thay aur un ki shaan bayan ki aur aakhir mein farmaya: أُولئِكَ هُمُ الصَّدِقُونَ (Al Hashar: 8) Yeh log sachay hain. Un ki sidqat ka Allah Ta’ala nay iqraar kiya. Un ki sidqat ka a’itraaf kiya keh yeh log sachay hain. Yeh gawahi Qayaamat tak kay liye mahfooz hai. Yeh hain muhajireen sahaba.
Doosray log kon hain? Ansar farmaya keh وَالَّذِينَ تَبَوَّءُ والدَّارَ وَالْإِ يُمَنَ مِنْ قبلهم (Al Hashar: 9) Doosri jamaa’at woh hai in muhajireen kay Madina aanay say pehlay imaan aur daar, Y’ani Madina mein jagah pakad chukay thay. Imaan qabool kar chukay thay aur Madina mein jagah pakad chukay thay. Madina apna watan bana chukay thay. Us ghar ki sukoonat ikhtiyar karna apnay liye Izzat aur Iftikhar ka baa’is bana chukay thay aur Allah kay paighambar kay liye koshish kar rahay thay keh Hijrat kar kay Madeenay aa jayein. Un kay aanay say pehlay imaan ko apnay dilon mein jagah day chukay thay. Yeh Qur’an kehta hai. Aur yeh aanay walon say mahabbat kartay thay. Un muhajreen par unhon nay Eesaar kiya aur poori zindagi unhein apnay upar tarjeeh di. Un ko khilaya, pilaya, Tijaraton mein shareek kiya hatta keh agar kisi ki do biwiyan hain to apnay mohajir bhai ki khaatir aik biwi ko talaq denay par tayyar ho gaya keh is say nikaah kar lay. Eesaar ki ajeeb misalein. Poori zindagi qurbaniyan dein. Khaali safha Allah kay paighambar ko day diya. Aap Madeenay ajayein. Sharteen jo chahen tahreer karein. Lekin aap Madeenay aa jayein. Phir poori zindagi Allah kay paighambar ka difa kiya. Allah kay paighambar ki hifazat ki, Sahaba kiraam par jaanen qurbaan kar dein. Anas Bin Maalik رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka qaul hai keh sab say zayada qurbaniyan Ansar sahaba nay paish kein. Jung-e-Uhad mein sattar sahaba shaheed huway, Aksar ansari thay aik do kay ilaawa. Aur phir B’iar-e-Ma’oona kay mauqa par sattar qurra sahaba shaheed huway, Woh sab ansari thay. Jung-e-Yamama mein Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay daur mein sattar sahabi shaheed huway. Sab kay sab ansari thay. Farmatay hain keh Deen-e-Islam par sab say zayada qurbaniyan paish karnay walay ansar sahaba thay. Apnay upar tarjeeh di. Muhajireen say mahabbat ki. Un ki madad ki, Un ko khilaya aur pilaya. Yeh ansar sahaba ki seerat ka aijaaz hai. aur poori zindagi Allah kay Nabi say jab bhi talab kiya Deen talab kiya. Duniya kabhi talab nahin ki. Sirf aik mauqa aaya duniya ki talab kay liye pohanchay. Ansar ki aik jamaa’at duniya ki talab kay liye Allah kay paighambar kay paas gai. Nabi علیہ السلام nay chehron ko dekha, Un kay chehron par haajat padh li keh yeh aaj kuch maangnay aaye hain. In kay chehron par kuch sawal hai. Bada khush huway farmaya kay jo sawal karo gay poora hoga. Jo haajat paish karo gay ataa hogi. Jab Ansar nay Nabi علیہ السلام say itni badi guaranti suni to duniya ka mauzoo bhool gaye. Woh mauzoo kya tha keh Allah kay Nabi dua karein kay Allah Ta’ala Madeenay shehar say paani kay chashmay jaari kar day, Paani door hai, Paani laanay mein hamein takleef hoti hai. Madeenay shehar say paani kay chashmay jaari ho jayein taakeh hamaray baagh qareeb say sairaab ho jayein. Yeh sawal karnay aaye thay. Lekin Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki zabaan say itni badi guaranti suni to duniya ka yeh maamla bhool gaye aur kya sawal kiya? Ya Rasoolullah ! Hamari aik hi haajat hai, Aik hi talab hai aur woh yeh hai keh aap dua kar dein keh Allah hamaray gunaahon ko maaf kar day. yeh Ansar sahaba hain. Allah kay Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) nay dua kar di: اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِلْأَنْصَارِ وَلِأَبْنَاءِ الأنصار وأبناء أَبْنَاءِ الْأَنْصَار Ya Allah! Ansar ko maaf kar day, Ansar kay beton ko maaf kar day, Ansar kay poton ko maaf kar day. Ansar nay kaha: ولمو الينا Ya Rasoolullah! Hamaray ghulaamon kay liye bhi dua kar dein. Farmaya kay وَلِمَوَالِي الْأَنْصَارِ (Muslim: 2506) Ya Allah! Ansar kay ghulaamon ko bhi maaf kar day. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: آيةُ الإِيمَانِ حبُّ الأنصار (Bukhari: 17) Ansar ki mahabbat imaan ki nishani hai. Isi liye jab Nabi علیہ السلام kay intiqaal ki ghadi aa gai, Ansari sahaba Masjid mein jama ho gaye, Ikathay ho gaye aur Allah kay Nabi ko dekh kar aanay walon say poochhtay kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ka kya haal hai? Aur Ansar sahaba Masjid mein jama ho kar ro rahay hain. Nabi علیہ السلام ko itla di gai keg=h Ansar sahaba say Masjid bhari huwi hai. Aur sab kay sab pareshani mein ro rahay hain. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ko badi nakahat thi. Badi kamzori thi. Lihaza aap nay ghusul farma kar farmaya keh mujhay sahara day kar Masjid mein pohancha do. Ibn-e-Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay aik dafa poocha: Aaj kya din hai? Logon nay kaha: Jumeraat. Ro paday. Kaha: Kiun rotay ho? Kaha kay و ما يوم الخميس؟ tumhen kya maloom Jumeraat kya hai? اشْتَدَّ بِرَسُولِ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم وَجَعهُ Aaj kay din Allah kay paighambar ka marz sakht ho gaya. Woh aakhri baar jab ham nay Allah kay paighambar ko minabar par chadhay huway dekha. Surkh patti aap kay sar par lipti huwi hai. Aur aap minabar par aa kar beth gaye. Aa kar chand jumlay irshad farmaye, Khutba diya, Farmaya keh أوصيكم بالأنصارِ فَإِنَّهُمْ كَرِشِي وَعَيْبَتِي Mein tumhen wasiyat karnay aaya hoon keh Ansar ka khayaal rakhna, Achay sulook say paish aana. Un ka khayaal rakhna. فَإِنَّهُمْ كرشي و عيبتي Yeh duniya mein meray baday baa wafa aur raazdaar saathi thay. Meray dil kay saathi thay. Baday bawafa saathi thay. قَدْ قَضَوا الَّذِي عليهم وبقي الَّذِي لَهُمْ (Bukhari: 3799) Jo un kay faraaiz thay unhon nay khoob adaa kar diye, Un kay huqooq baqi reh gaye hain, Woh tum adaa karo. Un ki haq talfi na karna, Apnay faraaiz saaray adaa kar diye, Allah kay paighambar ki madad kar di, Sahaba par Eesaar kar diya, Poori zindagi qurbaniyan detay gaye, Faraaiz adaa ho gaye, Huqooq tum adaa karna. Yeh Ansar ki jamaa’at badi raazdaan jamaa’at hai, Yeh meray dil ki saathi hai. Isi liye aik mauqa par jab aik Ansari nay Sabqat-e-Lisani mein aur tezi mein aakar keh diya keh Nabi علیہ السلام nay Hunain ka Maal-o-Ghaneemat apni qoum ko day diya, Hamein chod diya. Hamari talwaaron mein aagay tak Hunain kay kuffar ka khoon laga huwa hai. Jihaad ham nay kiya, Un ko qatal ham nay kiya aur Maal-o-Ghaneemat ham nay ikhata kiya, Maal-o-Ghaneemat Allah kay paighambar nay apni qoum ko day diya. Makkah kay nau muslimon ko day diya. Yeh aik naujawan ki zabaan say jumla nikla. Bada pareshan kun Nabi علیہ السلام ko bada afsos huwa. Aik Qubbay mein Ansar sahaba ko jama kar liya. Aur jama kar kay farmaya keh yeh tum nay kya baat keh di? Unhon nay kaha: Ya Rasoolullah! Ham nay nahin kahi. Yeh aik naujawan ki baat hai. Yeh pooray Ansar ki baat nahin hai. Yeh us ki zaati baat hai jo Sabqat-e-Zabaan mein adaa ho gai. Aur woh pasheman hai, Nadim hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: أَلَمْ أَجِدكُمْ ضُلَالًا فَهَدَا كُمُ اللَّهُ بِي Meray sawal ka jawab do keh jab mein tumharay paas aaya, Kya tum gumraah nahin thay? Tumhen Allah nay meray zariy’e hidayat di. وَكُنْتُمْ عَالَةً فَأَغْنَاكُمُ اللهُ بِي Tum faqeer thay, Tumhein Allah nay meray zariy’e ghani aur maal daar kar diya. Jungein huwin, Fatohat huwin, Ghaneemat kay maal aaye, Taqseem huway aur tum malaa maal ho gaye. Ansar afsos bhi kar rahay hain aur saath saath keh rahay hain: اللهُ وَرَسُولُهُ أَمَن Allah aur Rasool kay baday ahsanaat hain. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: Haan, Tum aik baat keh saktay ho keh aap bhi to hamaray paas aaye thay dhutkaray huway, Aap ki qoum nay aap ko nikaal diya, Ham nay aap ko jagah di, Ham nay aap ki Izzat ki, Ham nay aap ko khilaya aur pilaya. Tum yeh keh saktay ho, Lekin aey Ansar! Mein tum say aik baat kehnay wala hoon jo tum say chupaye rakhi. Baat yeh hai keh أَلَا تَرْضَوْنَ أن يَذْهَبَ النَّاسُ بِالشَّاةِ وَالْبَعِيرِ وَتَذْهَبُونَ بِالنَّبِيِّ صلی اللہ علیہ وسلم إِلَى رِجَالِكُمْ Tumhein yeh baat khush na karay gi keh yeh log apnay gharon mein jayein, Bakriyan lay kar, Oont lay kar, Gaaye lay kar, Chandi aur sona lay kar aur tum log apnay gharon mein jaaw Allah kay paighambar ko lay kar? لَوْ سَلَكَ النَّاسُ وَادِيًا وَ شِعْبًا لَسَلَكْتُ وَادِيَ الْأَنْصَارِ وَشِعْبَهَا Agar log aik raah par chalein aur Ansar doosri raah par chalein to mein sab ko chod kar Ansar kay peechay jaawon ga aur Ansar ki raah par chaloon ga. Farmaya keh الْأَنْصَارُ شِعَارُ وَالنَّاسُ دِثار Baqi log meray upar kay kapday ki maanid hain aur Ansar meray liye andar kay kapday ki maand hain jo badan kay saath chipta ho. (Bukhari: 4330) Yeh Ansar sahaba ka imaan hai. Yeh un ka aqeedah, Un ka manhaj, Un ka Eesaar hai.
To Allah Ta’ala nay tamaam jamaa’aton ki tareef ki. Muhajireen bhi aa gaye. Ansar bhi aa gaye aur kuch sahaba woh thay jo baad mein aaye. Allah paak nay irshad farmaya: وَالَّذِينَ جَاءُوا مِنْ بَعْدِهِمْ (Al Hashar: 10) Jo log baad mein aaye, Woh kya kehtay hain: Aey Allah! Hamaray un bhaiyon ko maaf kar day jo ham say imaan mein sabqat lay gaye, Maana imaandaar yeh bhi hain lekin woh log imaan mein sabqat lay gaye. Un ko bhi maaf kar day. To yeh teenon jamaa’aten sahaba ki. Yeh sahaba ya Ansar hain ya muhajireen hain ya baad mein aanay walay. Allah nay teenon ka zikar kiya. Imaan kay saath zikar kiya. Un kay liye gawahiyan dein sidqat ki aur kaamyabi ki jo un par tabarra karay ga. Aaj kal Muharram kay din hain baatini taur par bada tabarra kiya ja raha hai. Sab-o-Shtam kiya ja raha hai, Haqeeqat mein woh log khud jarah kay qabil hain.
Yeh kuch manhaji nuktay thay jo sahaba ki seeraton kay baaray mein mein nay arz kar diye aur sab say badi baat yeh waazeh hoti hai keh aaj Bihamdullilah Manhaj-e-Haq aur Maslak-e-Haq jamaa’at Ahal-ul-Hadees kay paas hai kiunkeh sahaba kay manhaj kay peerokaar sirf Ahal-ul-Hadees hain. Sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay na kisi imam ki pairwi ki, Na kisi ki taqleed ki. Na koi dargaah thi, Na koi khanqah. Aik Allah kay paighambar ki shakhsiyat thi jin ki itaa’at kartay thay. Aik haath mein Qur’an aur aik haath mein Allah kay paighambar ki Hadees. Bihamdullilah is manhaj kay ham hamileen hain. Allah kay paighambar ki jamaa’at ka tasalsul aaj Jamaa’at-e-Ahal-ul-Hadees hai. Allah Ta’ala is jamaa’at ko Qaim-o-Daaim rakhay. Is dawat ko Qaim-o-Daaim rakhay. Allah Ta’ala hamein Manhaj-e-Saafi, Aqeedah-e-Safiya aur jannat ka raasta apnanay ki taufeeq ataa farma day. Woh zaati ghaltiyan jo ham mein paai jati hain, Allah Ta’ala un say rujoo karnay aur tauba taib honay ki taufeeq ataa farma day.
وَأَقُولُ قَوْلِي هَذَا وَأَسْتَغْفِرُ اللهَ لِي وَلَكُمْ وَآخِرُ دَعْوَانَا أَنِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Reference:
Book: “KHUTBAT”
“Allamah Fazilatus Shaikh Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullahu Ta’aala”
✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯