12. Islam kay khawateen par ahsanaat
Islam kay khawateen par ahsanaat
Khutba-e-Masnoona
بسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
يَايُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًا كَثِيرًا وَنِسَاءً وَاتَّقُوا اللَّهَ الَّذِي تَسَاءَلُونَ بِهِ وَالْأَرْحَامَ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيبًا
(Al Nisaa: 1)
Qabil-e-Qadar saami’een hazraat! Allah Rab-ul-Izzat nay N’oo-e-Insaaniyat ko Izzat aur takreem di hai. Farmaya keh وَلَقَدْ كَرَمْنَا بَنِي آدَمَ (Bani Israeel: 70) keh ham nay Aulaad–e-Aadam ko takreem say nawaza hai aur Izzat ataa farmaai hai. takreem ki do qismein hain: Aik umoomi takreem jo sab ko haasil hai. Musalmaan hon, Kaafir hon, Allah Ta’ala nay sab ko aik jesa banaya. aur khubsoorat chehray ataa farmaye. Aik achi khilqat di: لَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَنَ فِي أَحْسَنِ تَقْوِيمٍ (Al Teen: 4) Yeh saaray insaanon ka zikar hai. Aur yeh umoomi takreem hai keh ba A’itbaar-e-Khilqat insanon ko baqiya kaainaat par fazeelat di aur Izzat-o-Takreem di. Aik khusoosi takreem hai, Woh takreem imaan ki hai, Aqeeday aur taqwa ki hai. Farmaya keh اِن اَكْرَمَكُمْ عِنْدَ اللَّهِ أَتْقَكُمْ (Al Hujuraat: 13) Allah Ta’ala kay nazdeek tum sab mein ikram, Izzat aur takreem ka mustahiq woh shakhs hai jo bada muttaqi aur zayada parhaizgaar hai. Yeh takreem ki do qismein ho gain: Umoomi aur khusoosi. Umoomi takreem sab kay liye hai aur poori N’oo-e-Insaaniyat kay liye hai, Jabkeh khusoosi takreem ka talluq Ahal-e-Taqwa, Ahal-e-Imaan aur Ahal-e-Tauheed kay saath hai. In ko Allah Rab-ul-Izzat nay khaas takreem ataa farmaai. Aur phir khawateen is takreem say alag nahin hain. Yeh mardon ki shaqaaiq hain. Yeh shaqaaiq hona bohat badi Izzat hai. Yoon samjhen keh kisi cheez ko kisi cheez say nikala jaye. Yeh shaqaaiq hain, Y’ani mardon ki misal hain.Mardon mein say nikli huwi hain aur mardon ki misal hain. Ahkaam mein, Ahkaam-e-Shariy’at mein aur deegar saaray umoor mein illa yeh keh shariy’at Mard-o-Aurat kay mabain kisi amar mein farq rakhay. Woh farq hikmat say khaali nahin hoga. Lekin yeh aik Hadees bohat badi daleel hai keh Islam nay aurat ko kya maqaam diya? Mardon kay amsaal aur shaqaaiq qarar diya. Yahan lafz misal bhi istemaal ho sakta tha. Is ko aik aur misaal say samjhen. Nabi علیہ السلام ki Hadees hai keh sila rahami ki badi ahmiayat hai. Aur Allah Ta’ala nay yeh lafz raham: ر،ح،م Apnay naam Rahaman say nikala hai, Yeh lafz raham Allah Rab-ul-Izzat kay naam Rahaman-o-Raheem say nikla hai. Kiunkeh Rahaman-o-Raheem ka madah bhi raham hai. Yeh sila rahami rishton ko jodna, Is ka madah bhi raham hai. Is lihaaz say yeh ishtiqaq Allah Ta’ala kay naam say hai. To Allah Ta’ala kay naam say is ka Mushtaq hona, Aik badi azmat ka haamil hai. Isi liye Qayaamat kay din sila rahami Allah Ta’ala kay bohat qareeb hogi. Aur Allah Ta’ala say musalsal yeh kehti rahay gi: اللَّهُمَّ صِلْ مَنْ وَصَلَنِي وَاقْطَعْ مَنْ قَطَعَنِي Ya Allah! Jis nay duniya mein mujhay joda usay tu bhi apnay saath jod lay aur jis nay mujh ko toda us ko to bhi tod day. (Al Mujam-ul-Ausat Lil Tabarani: 3321) Yeh us ki aik mustaqil faryaad hogi. To is say sila rahami ki ahmiayat aur is ki azmat waazeh hoti hai keh Allah Rab-ul-Izzat nay yeh naam apnay naam say nikala hai. To aurton ko mardon ka shaqaaiq kaha gaya hai. Shaqaaiq honay kay kai maaini hain. Ba maana misal bhi hai aur ba maana ishtiqaq bhi hai keh yeh aurtein mardon mein say nikli hain. Aur yeh haqeeqat khud Qur’an nay paish ki: يَايُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًا كَثِيرًا وَنِسَاءً (Al Nisaa: 1) Keh aey logo! Apnay Rab say daro jis nay tum ko aik jaan say peda kiya. Yeh aik jaan Aadam علیہ السلام hain. وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا Phir is aik jaan say un ki biwi nikaali. Un ki biwi isi aik jaan say nikli. Aik jaan say peda huwi. Is ki tafseel aik aur Hadees mein hai keh إِنَّ الْمَرْأَةَ خُلِقَتْ مِنْ ضلع (Bukhari: 3331) Aurat ki khailqat pasli say huwi hai. To Ulamaa nay is Hadees ko is aayat say munsalik kiya hai, وخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا Keh Allah Rab-ul-Izzat nay Aadam علیہ السلام say un ki biwi ko peda kiya, Y’ani Aadam علیہ السلام ki pasli say jo dil kay saath hai. Dil say kiun nahin? Pasli mein aik hikmat hai. Us mein thodi si kaji hai. Pasli mein thoda sa theedh pan hota hai. Aur isi theedh pan kay saath hi itna kaam karti hai. Allah Ta’ala nay aik aurat kay baaray mein mard ko tanbeeh ki aur yeh naseehat di keh tum aurat ko us ki asal khilqat kay a’itbaar say dekhna. Yeh pasli say peda huwi hai, Is mein thodi si kaji hai. To aurat kay akhlaq mein bhi kahein na kahein, Us kay rawaye mein kahein na kahein thodi bohat kaji ho sakti hai, Tum nay us kaji kay saath guzara karna hai. Farmaya keh aurat ka aik khuluq agar tumhein napasand hai to saikdon pasand bhi hon gay. Is pasli ko seedha karnay ki koshish na karna warna toot jaye gi. Is kaji kay saath hi guzara karna. Yeh takreem hai, Y’ani shariy’at aurat ko kahan bithati hai. Warna Daur-e-Jahliyat aur yeh European culture to aurat ko insaan tasleem karnay par tayyar nahin hai. Woh kehtay hain: Aurat mein rooh hai magar woh haiwani rooh hai. Is liye aurat kay saath jaanwaron jesa sulook karo. To woh ho raha hai. Aurat kay andar rooh hai aur woh jaanwaron jesi rooh hai. Kutton aur khinzeeron jesi. Us kay saath wahi ghatiya sulook karo. Aur woh ho raha hai jis kay mazahir ham suntay rehtay hain, Padhtay rehtay hain aur dekhtay rehtay hain. Muhazzab alfaaz mein aap yeh bhi keh saktay hain keh Europe mein hazaron aisay bachay hain jin kay maa baap ka Ilm hi nahin. Woh khail jo jaanwar sadkon par kheltay hain wesa hi khel khela ja raha hai. Kya is mein takreem hai? Yeh takreem Islam nay di hai. Aurat ko شقائق الرجال kaha hai keh yeh mardon jesi hai, Mard say nikli hai. Mard ki pasli say is ko banaya gaya jo dil kay qareeb hai. Yeh shafqat aur mahabbat ki cheez hai, Ahtiram ki cheez hai. Jahliyat kay daur mein bachi ki pedaaish ko Mu’ajib-e-Malamat thehraya jata aur Baa’is-e-Zillat samjha jata tha. Isi liye bachiyon ko peda hotay hi zindah dargor kar detay thay. Balkeh ba’az gharon mein jab wiladat ka waqt aata to aurat ko ghar say nikaal diya jata keh gaawon kay kunway ki mandhair par chali ja. To jo bacha peda hoga us ko dekha jaye. Agar woh ladka hai to daya ko hukum hota keh us ko Izzat say lay aaw, Ladki hai to kunway mein phenk do. Woh aik saans lenay kay bhi qabil nahin. Woh is ghar ki chaardeewari kay bhi qabil nahin. Wiladat bhi kunway ki mundeer par ho. Aur ba’az khaandanon mein, Gharon mein wiladat hoti aur kuch arsa bachi ko rakha jata aur phir us ko tayyar kar kay, Saja kar baap kisi bahanay apnay saath lay jata, Apnay haath say qabar khoddta aur us ko zindah qabar mein gaad deta. koi Takreem nahin thi. Jab kisi shakhs ko khabar di jati keh aap kay haan bachi ki wiladat huwi hai to ظَلَّ وَجْهُهُ مُسْوَدًا وَهُوَ كَظِيمٌ (Al Nahal: 58) Qur’an kehta hai keh un kay cheharon par is khabar ko sun kar kalak cha jati. Intehai naraaz hotay, Intehai khajalat mehsoos kartay aur phir sochtay ab is bachi kay saath kya sulook karein. ایمسکہ علی هُونِ أَمْ يَدُسُّهُ فِي التُّرَابِ (Al Nahal: 59) Keh is ko zillat kay saath zindah rakhen, Zillat apni bhi aur is ki bhi, Apni zillat kya? Logon kay taanay, logon ki malamatein keh tumharay ghar beti hai. Us ki zillat kya hai? Us ki koi takreem nahin, Us ki ihaanat hi ihaanat, Us ko nokaron say, Jaanwaron say badtar bana kay rakhna, Makhsoos ayyaam mein bilkul jaanwaron kay darbay mein daakhil kar dena. Bartanon ko choo nahin sakti, Saath khaa pee nahin sakti. To kya aik aurat ki Takreem thi! Haan Shariy’at-e-Islamiya nay kuffar ki is Aadat-e-Bad ko lalkaara: وَإِذَا الْمَوْؤدَةُ سئلَتْ بِأَي ذَنْبٍ قُتِلَتْ (Al Takweer: 9) Keh aik hashar ka din qaim honay wala hai jab Allah Rab-ul-Izzat zindah dargor karnay walay aur jisay zindah dargor kiya gaya donon ko saamnay khada karay ga. Zindah dargor karnay walay say poocha jaye ga: Tu nay kis gunah ki padaash mein is ko qatal kiya aur zindah qabar mein gaad diya. Bachi say poocha jaye ga: Tumhara kya qasoor tha keh tumhein peda hotay hi qabar mein gaad diya gaya? Kis gunah kay tahat? Kiunkeh jo khoon ka maamla hai khawa woh haq ho ya nahaq, Paish hoga. Nabi علیہ السلام ki Hadees hai: أَوَّلُ مَا يُقْضَى بَيْنَ النَّاسِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِي الدِّمَاءِ (Muslim: 1678) Qayaamat kay din sab say pehlay Huqooq mein say khoon kay tasfiye hon gay. Hazrat Ali رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki Hadees Sahih Bukhari mein hai: أَنَا أَوَّلُ مَنْ يَجْلُوا بَيْنَ يَدَيِ الرَّحْمَنِ لِلْخُصُوْمَةِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ (Bukhari: 3965) Mein Qayaamat kay din woh pehla shakhs hon ga jo Rahaman kay saamnay bethoon ga aik jhagday kay talluq say, Aik khoon kay talluq say. Sab say pehlay is ummat mein Qayaamat kay din Allah Ta’ala kay saamnay do zaanon ho kar kisi khoon ka hisaab mein nay dena hai. Yeh Ali Bin Abi Taalib رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Ameer-ul-Momineen ka farmaan hai. Wajah kya thi? Wajah yeh thi keh Islam ka pehla qatal un ki talwaar say huwa. Ma’arka-e-Badar mein jab donon safein aamnay samnay aagain to kuffar ki saf mein say teen dushman niklay. Un ko waqt say pehlay qatal honay ka shoq tha. Unhon nay mubarzat ki, Challenge kiya, Ham say koi bhi laday. Qissa taweel hai. To un teen shakhson ki Umar kay tanasub say Islami lashkar say teen shakhs niklay. Un mein aik Waleed Bin Utbah tha. Intehai naujawan, Badi us ki haibat, Us kay muqaabilay mein Ameer-ul-Momineen Ali Bin Abi Taalib Haidar-e-Karrar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ niklay. Us ko bada zu’am tha, Bada itrata tha, Magar un ka aik waar na seh saka aur jahhanum wasil ho gaya. Yeh pehla qatal Raah-e-Haq mein huwa, Magar Allah Ta’ala us ko bhi nahin choday ga. Ali aur Waleed Bin Utbah donon ko Allah Ta’ala bulaye ga. Aur yeh pehla jhagda hai, Is ummat mein behnay wala pehla khoon hai. Allah Ta’ala nay Ali رَضِيَ اللهُ عَنْهُ say poochna hai: Tum nay is ko kiun qatal kiya? Maqtool say poochna hai: Tum kiun qatal huway? Phir yeh saaray maamlay khulein gay. Allah Ta’ala yeh sunna pasand karta hai. Teri raah mein jihaad kartay huway qatal kiya. Phir kitni takreem day ga, Kitna ajar day ga aur kaafir maqtool manhoos ko kitni saza aur kitna gunah day ga. Yeh maamla hai. Yeh jhagda laa mahala paish hoga. To yeh وَإِذَا الْمَوْدَةُ سئلت (Al Takweer: 9) Zindah dargor huwi bachi aik saffakiyat ki bheint chadhi, Kuffaar-e-Quraish ka yeh wateerah tha. Islam nay is bad aadat ko lalkaara. Is say panja aazmaai ki. Bachiyon ko rahmat qarar diya, Khawateen ko rahmat qarar diya, Un ki takreem ki keh tum is qadar un ki tazleel aur ihaanat par musir ho. Aur udhar aman kay piyamabar, Tauheed kay da’ii Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) say aik khatoon kay talluq say kya jazbaat hain? Sahih Bukhari mein Nabi علیہ السلام ki Hadees hai: إِنِّي لَأَدْخُلُ في الصَّلَاةِ Ba’az auqaat mein Namaz mein daakhil hota hoon وَأَنَا أُرِيدُ إِطَالَتَهَا Aur mera iradah hota hai keh aaj Namaz lambi padhaoon ga. Lambi qir’at karoon ga. فَأَسْمَعُ بُكَاءَ الصبي Kisi bachay kay ronay ki awaaz sunta hoon. فَأَتَجَوَّزُ فِي صَلَاتِي To mein apni Namaz chotti kar deta hoon. Kisi dar say? مِنْ شِدَّةِ وَجْدِ أُمِّهِ (Bukhari: 709) Keh us ki maa par kya bait rahi hogi. Yeh do chaar minute jo maa par giran guzrein gay, Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ko is ka bhi ahsaas hai keh Namaz chotti kar detay hain. Us bachay kay ronay ki awaaz sun kar keh us ki walida par kya bait rahi hogi. Yeh shafqat aur mahabbat Islam nay aurat ko di. To aurat kya hai? Aurat شقیقۃ الرجال hai. Mardon kay ham misal, Mardon kay hamsar hai. To ba’az cheezon mein agar Islam nay mardon ko qawwaam (Nigraan) qarar diya hai to ba’az cheezon mein aurton ko bartari haasil hai. Koi farq nahin hai. Jab is nateejay par ghour karein gay keh aurat kya cheez hai? Arabi mein aurat ko امرأَة kehtay hain ya مرأَة yeh munnas hai aur is ka muzakkar hai مرْء ya إِمْرَ) – إِمْرَء) ka munnas إِمْرَأَةٌ aur مَرْء ka munnas مَرْأَةٌ, امرأۃ ki ya مرآۃ ki lafzi jama nahin hai balkeh is ki jama ghair lafzi hai aur woh hai نساء aurtein. Aurat kya cheez hai? Aurat aik intehai muhtaram makhlooq hai jo kisi na kisi taur mard say musharkat rakhti hai. Jo Islam nay ham ko faham diya hai, Us faham ki roshni mein ham aurat ki tareef yeh kartay hain: Aik intehai muhtaram hasti jo apni Umar kay marahil mein kisi na kisi taur mard ki shareek kaar hai. Peda ho kar yeh mard ki beti hoti hai. Aankhon ki thandak hoti hai. Thodi si badi ho kar kisi mard ki behan hoti hai, Thodi si aur badi ho kar kisi mard ki biwi hoti hai, Thodi si aur badi ho kar kisi mard ki maa hoti hai. Kisi na kisi Marhala-e-Hayat mein yeh mardon kay shareek kaar hai. Yeh Islam nay takreem di hai. Yeh marahil Islam nay bayan kiye hain. Har marhalay mein aurat ki Izzat ka hukum diya. Jahiliyat kay daur mein bachi ko zindah dargor kya ja raha hai. Sunyie, Hamaray paighambar nay kya farmaya. Masnad-e-Ahmad ki Hadees hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya keh مَنْ كَانَتْ لَهُ أُنْثَى فَلَمْ يَئِدْهَا وَلَمْ يُهِنهَا وَلَمْ يُؤْثِر وَلَدَهُ عَلَيْهَا أَدْخَلَهُ اللهُ الْجَنَّةَ (Musnad-e-Ahmad: 1/223) Allah Ta’ala jis shakhs ko bachi day. فَلَمْ يَئِدْهَا Us nay usay zindah dargor nahin وَلَمْ يُهِنهَا Aur na us ki ihaanat ki, Na us ko kamtar samjha. Aur teesri cheez par tawajjah do, Mein bhi doon aap bhi dein, Kiunkeh yeh cheez aam hai hamaray gharon mein. وَلَمْ يُؤْثِر وَلَدَهُ عَلَيْهَا Aur apnay kisi bachay ko, Betay ko us par tarjeeh na day, Betay ko beti par tarjeeh na day. Gharon mein khaana taqseem hota hai pehlay beton ko milta hai. Acha acha un ko diya jaye. bacha khacha betiyon ko diya jaye, Yeh na insafi hai. Farmaya aisa na ho balkeh bachi Allah nay di hai to apnay betay ko us par tarjeeh na day. To us ko kya sila milay ga? أَدْخَلَهُ اللهُ الْجَنَّةَ Allah Ta’ala us ko jannat mein daakhil farma day ga. In teen umoor par jannat hai. To Islam nay kya ahsaan kiya aurat par! Aurat ki kya ihaanat hoti thi aur Islam nay us ko Q’ar-e-Mazillat say, Zillat kay gadhay say uthaya aur asmaanon ki bulandiyon tak pohancha diya. Aurat ki takreem ka hukum diya aur is takreem ka sila jannat qarar diya. To aurat woh makhlooq hai jis ki takreem say aap jannat haasil kar saktay hain. Yeh aurat Husool-e-Jannat ka zariy’a ban sakti hai. Kis soorat mein? Apnay beton ko betiyon par tarjeeh na di jaye. Barabar ka sulook kiya jaye. Khilanay mein, Pilanay mein, Pehnanay mein tarjeeh na di jaye. To yeh bachi, Chotti si bachi jo peda hotay hi itni baa sa’aadat hai keh apnay walidein kay liye jannat ki zamanat ban chuki hai. Agar walidein Husn-e-Sulook say paish aaein, Jannat ki zamanat ban gai. To shariy’at nay aik aurat ko yeh maqaam diya, Us ko yeh takreem di, Us ko yeh Izzat di. Kahan isi daur mein bachiyon ko zindah dargor kiya ja raha hai aur kahan is bachi kay baaray mein yeh Irshad-e-Giraami keh bachon ko bachiyon par tarjeeh na day. Balkeh barabar ka rawayya rakhay, Acha sulook karay to Allah Ta’ala is barabari par, Munsifana sulook par us shakhs ko jannat mein daakhil farma day ga .
Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki bohat si Ahadees hain, Aik yeh hai: مَنِ ابْتُلِيَ بِشَيْءٍ مِّنَ الْبَنَاتِ فَصَبَرَ عَلَيْهِنَّ Allah Ta’ala jis shakhs ko betiyon say aazamaye aur woh un ki tarbiyat par sabar karay, Un say Husn-e-Sulook say paish aaye, Taleem-o-Tarbiyat ka ahtimaam karay, Farmaya keh كُنَّ لَهُ حِجَابًا مِّنَ النَّارِ (Tirmizi: 1913) Yeh bachiyan Qayaamat kay din us kay liye Jahannam kay saamnay hijaab ban jayein gi. Allah Ta’ala in betiyon ko us shakhs kay liye Jahannam aur us kay darmiyan hijaab bana day ga. Aik shakhs nay kaha keh ya Rasoolullah! Agar do betiyan hon? Farmaya keh do bhi hon to bhi. (Ibn-e-Maajah: 3670) Kya takreem hai aur kya aizaz hai. Balkeh aik Hadees mein paighambar علیہ السلام ka irshad hai: مَنْ عَالَ جَارِيَتَيْنِ حَتَّى تَبْلُغَا Jo do bachiyon ki kifalat karay hatta keh woh donon jawan ho jayein. جَاءَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ Yeh shakhs Qayaamat kay din aaye ga انا وَهُوَ وَضَمَّ أَصَابِعَهُ (Muslim: 2631) Mein aur woh shakhs is tarah hon gay. Is tarah aap nay do ungliyon ko jod kar ishara kiya keh woh shakhs aur mein Qayaamat kay din istarah hon kon? Jis ko Allah nay do bachiyan din. Aur woh un ki kifalat karta hai. Kisi bukhal kay baghair aur kisi tazleel aur ihaanat kay baghair kisi tana zani kay khauf kay baghair. Is ko sharaf samajhta hai. Un ko Allah ki Dain aur aankhon ki thandak qarar deta hai, Un ki taleem aur tarbiyat ka ahtimaam karta hai aur in saaray marahil mein sabar karta hai. Farmaya: Qayaamat kay din mein aur woh shakhs is tarah hon gay. Yeh saaray ahkaam kis cheez ki daleel hain? Yeh Shariy’at-e-Islamiya, Shariy’at-e-Mutahhara aik khatoon kay liye kis qadar mohsin hai. Us ko kitni bulandi aur Riffat ataa farmaai. Mardon ko kis tarah targheeb aur tahzeez di keh woh khawateen kay saath acha sulook karein. Woh sulook jo jahili muashron mein hota hai aur kaafiron kay muashray mein hota hai, Intehai bura sulook hai. Yeh kitna aala sulook hai keh Allah Rab-ul-Izzat jannaton kay waaday farma raha hai. Un ki tarbiyat par, Kifalat par aur Husn-e-Ahtimaam par jannat kay waaday farma raha hai. Aur paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) kis sa’aadat ki baat farma rahay hain keh mein aur woh Qayaamat kay din yoon hon gay, Bilkul saath. Yeh aik khatoon kay liye woh sharaf hai jo hamaray Deen nay khatoon ko ataa farmaya. Jis ka ham sab ko Ilm aur sha’oor hona chahiye aur m’arifat honi chahiye. Aur ham is raastay say apnay parwardigaar ki Raza aur us ka qurb haasil karein.
Yahi bachi kisi ki behan hai to paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Hadees hai keh jo shakhs teen behnon ki azmaaish mein daal diya jaye, Teen behnein us kay ghar mein hain. Agar woh Husn-e-Ahtimaam karta hai aur un ki maqdoor bhar tarbiyat, Kifalat jo us say ho woh karta hai, Kar raha hai to us kay liye bhi aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay jannat ka waada farmaya, Y’ani Hadees mein jis tarah teen betiyon ka zikar hai is tarah teen behnon ka bhi zikar hai. Banat aur Akhawat donon ka zikar hai, Teen betiyan hon ya teen behnein hon. (Abu Dawood: 5148) Aur agar bhai un behnon ki kifalat mein mehnat karta hai aur kifalat mein bukhal nahin karta, Tarbiyat aur taleem ka ahtimaam karta hai to Allah Ta’ala nay us kay saath bhi jannat ka waada farmaya hai.
Aur yahi aurat kal ko biwi banti hai. Yeh bhi us ka aik roop hai. To Qur’an-e-Paak nay kis tarah mard aur aurat ki mahabbat aur muruwwat ka zikar kiya. Dilon ki rahmat ka zikar kiya. Donon ko aik doosray ka libaas kaha. Aur kitnay Ahkaam Shariy’at mein mujood hain. Nabi علیہ السلام ki Hadees hai: خَيْرُكُمْ خَيْرُكُمْ لِأَهْلِهِ وَ أَنَا خَيْرُكُمْ لِأَهْلِي (Tirmizi: 3895) Tum sab mein behtareen woh hai jo apni biwi kay liye behtareen hai. Jis kay achay akhlaq ki gawahi us ki biwi day. Bahir to tumhein acha akhlaq rakhna hi padta hai. Bahir baday baday matlab hotay hain. Kisi say karoobaari, Kisi say lein dein aur kisi say laalach to sab say khush akhlaqi say paish aana padta hai. Farzi salam tak karnay padtay hain. Lekin asal akhlaq banday ka woh hai jis ki gawahi ghar say aati hai. Do Hadeeseen jo Ayesha Siddiqa رضي الله عنها say marwi hain keh كَانَ فِي مِهْنَةِ أَهْلِهِ (Bukhari: 6039) Jab Allah kay paighambar ghar mein hotay to apnay Ahal ki khidmat kartay. Kis ki baat ho rahi hai? Jo Akram-ul-Khalaaiq hai. Jis ka farmaan hai: Qayaamat kay din mein saaray Nabiyon ka khateeb hon. Aur fakhar ki baat nahin hai. (Tirmizi: 3610) انا سَيِّدُ وَلَدِ آدَمَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ Mein Qayaamat kay din poori Aulaad-e-Aadam ka sardar hon ga. وَ أَوَّلُ مَنْ يَنْشَقُ عَنْهُ الْقَبْرُ وَ أَوَّلُ شَافِعٍ وَ أَوَّلُ مُشَفَّعِ (Muslim: 2278) Mein woh pehla shakhs hon ga Qayaamat kay din jis ki qabar phattay gi aur mein qabar say bahir nikloon ga. Mein awwal shaf’e hon ga. Sab say pehli shafaa’at mein karoon ga. Awwal mushffa’ hon ga, Ya’ni jis ki shafaa’at qabool ki jaye. Sab say pehla mein hon ga. Kitna ooncha maqaam aap ka! Aur ghar mein apnay Ahal ki khidmat kartay. Husn-e-Ishrat ka muzahara kartay. Yeh nahin keh ghar mein fir’on ban kar rehtay. Apnay Ahal ki khidmat kartay thay. Doosri gawahi kisi nay Umm-ul-Momineen say poocha keh أَنْبِئِينِي عَنْ خُلُقِ رَسُولِ اللہ Allah kay paighambar kay akhlaq kay mutalliq bataiye? Y’ani bahir to ham nay aap ko dekha, Aap kay akhlaq dekhay. Ghar mein akhlaq kesay thay? Farmaya keh فَإِنَّ خُلُقَ نَبِيِّ اللَّهِ صلی اللہ علیہ وسلم كَانَ الْقُرْآنَ (Muslim: 746) Poora Qur’an Allah kay paighambar ka akhlaq hai. Yeh ghar ki tasweer hai. Qur’an aik kitaabi shakal mein hai, Qur’an agar insaani shakal mein hota to Muhammad ka chehra hota, (صلی اللہ علیہ وسلم). Yeh ghar say gawahi hai. Aur rawayya kya hai? Apnay Ahal ki khidmat karna. Itna ooncha maqaam aur yeh aap ka Husn-e-Talluq, Husn-e-Ishrat. Bas aurat agar biwi kay roop mein hai to kis takreem ki mustahiq hai. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) farma rahay hain keh tum sab mein behtareen kon hai? Theek hai Namazein padhtay hogay, Rozay rakhtay hogay, Har saal Hajj ko jaatay hogay, Umray kartay hogay, Zakatein detay hogay, Theek hai lekin sab say behtareen woh hai jis kay behtareen honay ki gawahi ghar say aaye. Ghar say gawahi milay keh sirf yeh bahir hi Namazein nahin padhta ghar mein bhi padhta hai. Sirf bahir lambay lambay sajday nahin karta ghar mein bhi is ki Namazein aisi hi hain. Aur sirf bahir hi akhlaq ka paikar nahin hai balkeh ghar mein bhi Mujjasam-e-Akhlaq hai. Gawahi ghar say aaye to yeh gawahi us insaan kay behtareen honay ki takmeel hogi. Agar ghar say gawahi nahin hai sirf bahir hi bahir us ki paarsaai kay roop nazar aatay hain to yeh na kaafi gawahi hai. Haan ghar say gawahi aati hai, Akhlaq kesa hai? Mail jaul kesa hai? Rawwaya kesa hai? Aur ghar mein rehn sehen kesa hai? To phir yeh gawahi mukammal hogi. Is Hadees mein ishara hai keh aurat jab biwi kay roop mein ho badi takreem aur badi Izzat ki mustahiq hai. Jis tarah Allah kay paighambar takreem kartay thay, Husn-e-Ishrat ki aap talqeen kartay thay, Khawateen aur aik aurat kay liye Nabi علیہ السلام nay Riffat ka kitna maqaam zikar kiya. Mardon ko hidayatein din keh aurat ko qabeeh na kaho, Kabhi sarznash karnay kay liye halka phulka maarna paday to chehray par na maaro, Us kay husan mein bigaad ka andesha hai. Aur jo tum khaaw us ko khilaaw. Jo pehno us ko pehnaaw. Yeh masawi sulook nahin hai? Masawi rawwaya nahin hai? Aur yeh sirf Islam hi ki shaan hai. Is rawwaye ki targheeb aur tahzeez di ja rahi hai. Jabkeh doosray maashron mein khatoon kay saath jo sulook hai woh jaanwaron jesa hai.
Aur joon joon yeh aurat aagay badh rahi hai utna hi rutbay mein izafah ho raha hai. Kal yeh khatoon maa ban jayegi. To shariy’at mein kitnay ahkaam hain. Maa ka kya maqaam hai? Kya izzat hai? Aik sahabi paighambar علیہ السلام key paas aaya aur sawal kiya: يَارَسُولَ اللَّهِ مَنْ أَحَقُّ بِحُسْنِ صَحَابَتِي؟ Ya Rasoolullah! Sab say ziyada meray Husn-e-Sulook ka mustahiq kon hai? To aap nay farmaya: أمك Tumhari walida hai. Poocha: ثُمَّ مَنْ Phir kon hai? Farmaya: ثُمَّ أُمَّكَ Phir bhi tumhari walida. Poocha: Phir kon? Farmaya keh phir tumhari walida. Teen baar poocha, Phir kon? Farmaya, Yeh poochta hi ja raha hai to phir is ki diljoi ki ثُمَّ أبوك (Bukhari: 5971) Phir tumhara baap. Yeh baap hai, Yeh bhi khush ho jaye. Lekin zikar maa hi ka aa raha hai. teen baar poocha. Tumhari maa, Tumhari walida Husn-e-Sulook ki mustahiq hai. Kya us ka sila hai? Nabi (علیہ السلام) ka farmaan: Aik din mein nay jannat say kisi ki Qur’an padhnay ki awaaz suni. Khush ilhani say koi jannat say Qur’an padh raha hai. Mein ney ghour kiya awaaz kis ki hai? To yeh awaaz meray sahabi Harisa Bin-Nouman ki thi, Harisa Bin Nouman رَضِيَ اللهُ عَنْهُ. Aagay kya farmaya keh Harisa ko yeh sila kyun mila? Farmaya keh كَذلِكَ الْبِرُّ، كَذَلِكَ الْبِرُّ (Musnad-e-Ahmad: 1/166) Maa kay saath Husn-e-Sulook ka nateeja yeh hai. Jo apni walida kay saath acha sulook karay ga, Maa ki khidmat karay ga, Us ka sila yahi hai, Us ka Samrah yahi hai jo Allah nay Harisa ko diya. Yeh tamayyuz (Imtiyazi maqaam) kiun haasil huwa jannat mein hai aur Qur’an padh raha hai. Aur Allah nay un ki shaan ujaagar karnay kay liye woh awaaz apnay paighambar ko sunaai, Halaankeh Harisa ki aik neki aur bhi hai aur woh yeh hai keh woh Shuada-e-Badar mein say hain. Badar kay m’arkay mein shaheed huwa tha. Lekin paighambar علیہ السلام kay is farmaan ka maana yeh waazeh karta hai keh Harisa ko yeh maqaam shahadat ki bina par nahin mila, Jannat mein Qur’an padhna aur us ki awaaz paighambar ko sunwana balkeh Harisa ko yeh Izzat is bana par mili keh apni maa kay saath Husn-e-Sulook say paish aata tha. To farmaya keh sab say zayada tumharay Husn-e-Sulook ki mustahiq tumhari walida hai. Yeh aurat joon joon badh rahi hai us ki takreem badh rahi hai. Us ki shaan badh rahi hai. Allah Rab-ul-Izzat nay is aurat ko maa honay kay naatay ahkaam mein apnay saath joda. وَقَضَى رَبُّكَ إِلَّا تَعْبُدُوا إِلَّا إِيَّاهُ وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَنًا (Bani Israeel: 23) Tumharay parwardigaar kay do faislay: Aik yeh keh mat pukaro magar usi ko, Apni tauheed ka zikar kiya, Y’ani do Huqooq ka zikar kiya. Aik haq Allah ka: Haq-e-Tauheed, Apnay Haq-e-Tauheed kay saath aik haq ko aur joda وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَنًا Apnay maa baap kay saath Husn-e-Sulook say paish aaw. Woh Hadees aap kay zehnon mein hogi. Jibreel علیہ السلام nay bad dua di aur Allah kay paighambar nay ameen kahi, Teen duaein. Un mein say aik yeh bhi thi keh شَقِي عَبْدٌ أَدْرَكَ وَالِدَيْهِ أَوْ أَحَدَهُمَا فَلَمْ يُدْخِلَاهُ الْجَنَّةَ Us shakhs ko Allah ki rahmat say dhutkaar diya jaye jo apnay maa baap ko budhapay ki haalat mein paalay, Donon ko ya un mein say aik ko, Aur un ki khidmat kar kay jannat haasil na kar sakay. (Al Adab-ul-Mufrad Lil Bukhari: 644) Jab maa baap ko pa liya aur jannat haasil nahin kar saka to jannat kab haasil karay ga? Kitna ooncha sila! To in donon nusoos mein walidein ka zikar hai. Aik aur Hadees mein irshad hai: أَطِعْهُمَا وَ إِنْ ظَلَمَاكَ Apnay maa baap ki baat maano khawa woh tum par zulm kartay hain. Un kay zulm par sabar karo, Un ki itaa’at karo. Haan un ki itaa’at mein khaaliq ki masiyat na ho. Jab tak aisa khadsha nahin hai tab tak un ki itaa’at karo, Un ki Izzat aur takreem karo. Hatta keh Nabi علیہ السلام ki yeh naseehat un sahaba ko bhi thi jin kay maa baap mushrik thay keh shirk mein un ki itaa’at nahin magar jo insaani Huqooq hain un mein un ka khayaal rakho. Un ki Izzat, Un ki takreem, Un ki khidmat karo. To in nusoos mein maa baap donon ka hukum hai, Lekin maa baap mein say walida ka haq zayada aham hai. Tabhi Nabi علیہ السلام nay saail say kaha tha keh sab say zayada tumharay Husn-e-Sulook ki mustahiq tumhari walida hai. Aur Chouthi martaba waalid ka zikar kiya, Y’ani walida ka haq kitna muqaddam hai. Shariy’at nay kitni takreem di! Kitna bada ahsaan hai khawateen par shariy’at ka keh aik khatoon ko maa kay roop mein kya sharaf aur kya martaba ataa farma diya. Aur yeh faham Salaf-e-Saliheen ka bhi tha. Imam Bukhari رحمہ الله nay aik Yamni ka aik waqiya naqal kiya hai. Woh Hajj karnay gaya tha. Aur us ki pusht peechay aik gathri thi, Us ko uthaye phir raha hai. Haraam-e-Makkah mein aik Majlis-e-Dars jami huwi hai aur aik muhaddis dars day raha hai. Poocha: مَنِ الْمُحَدِّثُ؟ Yeh muhaddis kon hai? Logon nay kaha: Abdullah Bin Umar, Nabi علیہ السلام ka sahabi Abdullah Bin Umar, Ameer Umar Bin Khattaab رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka beta. To raasta banatay huway aagay badha. Jab Majlis khatam huwi, Un say aik sawal kiya keh yeh gathri, Is mein mera samaan nahin hai balkeh meri walida hai. Aur mein is tarah is ko pusht par laad kar laya hoon. Raastay mein khidmat kartay huway paidal hi aaya hoon. Kahan Khurasan aur kahan Makkah Mukarrama paidal laya hoon raastay mein khidmat kartay huway, Safaai suthraai kartay huway, Khilatay pilatay huway aur poora Hajj mein nay paidal apni walida ko pusht par utha kar kiya. Aur ab mein nay isi tarah wapas bhi jaana hai. Yeh kai maah ki mushaqqat hai. Sawal yeh tha keh mein nay yeh sab kuch kar kay apni maa ka Haq-e-Khidmat adaa kar diya? Farmaya keh nahin. Yoon ishara kiya: لَا ، وَلَا بِزَفْرَةِ وَاحِدَةِ Nahin, Abhi tak tum nay apni maa ki zachgi ki aik tees ka haq bhi adaa nahin kiya. (Al Adab-ul-Mufrad: 11) Shariy’at kitni Mohsin hai aik khatoon kay liye. Aik khatoon ka maqaam kahan say kahan pohancha diya. Allah Ta’ala do Huqooq ko aik pairaye mein, Aik hi siyaq mein zikar kar raha hai. Aik apna haq, Haq-e-Tauheed aur doosra Huqooq-ul-Ibad mein say maa baap ka haq. Aur paighambar علیہ السلام nay bhi in do cheezon ko isi siyaq mein jama kiya jab aap nay Akbar-ul-Kabaair ka zikar kiya. Baday baday gunaahon ki list aap nay paish ki to الْإِشْرَاكُ بِاللَّهِ وَ عُقُوقُ الْوَالِدَيْنِ Pehla Allah kay saath shirk karna, Doosra maa baap ki nafarmani karna, In ko aik hi siyaq mein zikar kiya. (Bukhari: 6920) Kitna muqaddam haq hai. Aur shariy’at aik khatoon ko kahan pohanchana chahti hai. Us kay kis sharaf ka taaruf hamaray samnay paish karna chahti hai keh joon joon yeh khatoon bachi say behan, Behan say biwi, Biwi say maa yeh marahil aatay ja rahay hain, In tamaam marahil mein yeh khatoon aik mard ki shareek kaar hai. Aur toon toon us ki Izzat-o-Takreem mein izafah hota ja raha hai, Takreem badhti ja rahi hai. Aur jo shariy’at ki apni takleef hai, Us nay mardon ko bhi mukallaf qarar diya aur aurton ko bhi mukallaf qarar diya. Mard bhi mukallaf hain, Aurtein bhi mukallaf hain. Is takleef mein shariy’at nay jo tawazun rakha hai woh tawazun bhi aik aurat par ahsaan hai. Jab us kay makhsoos ayyaam ayen to Namaz maaf hai. Us kay haan bachay ki wiladat hogi, Namaz maaf hai. Maah-e-Ramzaan kay Rozay aa gaye na rakho, Baad mein qaza day lo. Yeh asasni peda ki. Khawateen ne paighambar علیہ السلام say sawal kiya keh kya ham par jihaad hai? Farmaya keh haan! جِهَادُ كُنَّ الحج “Tumhara jihaad Hajj hai.” (Bukhari: 2875) Tum jaakar Hajj kar lo, Tumhein Hajj ka ajar milay ga aur aik mujahid ka sawab milay ga. Kya yeh takreem nahin hai? Kitni asaani aur kis qadar Ajar-o-Sawab ki bohtat hai. إِذَا صَلَّتِ الْمَرْأَةُ خَمْسَهَا وَصَامَتْ شَهْرَهَا وَحَصَّنَتْ فَرْجَهَا وَأَطَاعَتْ زَوْجَهَا، قِيلَ لَهَا: ادْخُلِي الْجَنَّةَ مِنْ أَيِّ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ شِئْتِ Aik aurat agar paanch Namazein padh lay, Ramzaan kay Rozay rakh lay, Y’ani poori amanatdaari kay saath, Apni Izzat ki hifazat karay aur apnay shohar ki farmabardari kar lay, Qayaamat kay din Allah Ta’ala farmaye ga: Jannat kay jis darwaazay say chaho, Daakhil ho jaaw. (Sahih-ul-Jaame: 660)
Jannat kay aath darwaazay khulay hain tumharay liye, Jahan say chaho daakhil ho jaaw. Kaam kya hai? Sirf chaar kaam. Halaankeh khatoon kay liye raahat hi raahat hai. Aik insaan ki siyasat ki do qismein hain. Siyasat-e-Kharjiya aur Siyasat-e-Daakhila. Daakhli siyasat ghar ki siyasat, Yeh fareeza aurat ka hai. Ghar ki malika ghar ki hukumaran, Ghar ki siyasat teray zimmay, Tu is ghar ki malika hai. Siyasat-e-Kharjiya, Subah ghar say niklana aur shaam tak takrein maarna rizq kay liye, Iktisab kay liye yeh mard ki zimmedaari hai. Aurat ko raahat hi raahat hai. Is raahat kay bawujood farmaya keh chaar kaam kar lay, Jannat kay aathon darwaazay khol diye jayein gay. Yeh aurat ka maqaam hai. Aik aurat Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki khidmat mein haazir huwi aur aap say kisi cheez ka sawal kiya. Aap nay usay teen khajooren ataa kardein. Us khatoon nay aik khajoor aik bachay ko di, Doosri doosray ko di. Bachay jhat say kha gaye. Aur woh khatoon khaanay lagi to dekha keh meray bachay is khajoor ko dekh rahay hain. To us nay khud nahin khaai, Us kay do tukray kar kay donon bachon ko khila diye. Yeh manzar dekh kar Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya keh حَامِلَاتٌ وَالِدَتْ رَحِيمَاتٌ لَوْلَا مَا يَأْتِينَ إِلَى أَزْوَاجِهِنَّ دَخَلَ مُصَلِّيَاتُهُنَّ الْجَنَّةَ (Ibn-e-Maajah: 2013) Yeh aurtein hamal ki takleef bardasht karti hain, Phir pedaaish ki, Phir bachon kay saath shafqat aur mahabbat ka maamla karti hain. Farmaya keh apnay shoharon kay saath agar yeh bad sulooki na karein to Namaz padhnay wali aurat ka thikana jannat kay siwa kuch nahin. Y’ani in umoor ki bina par. Hamal ki takleef, Razaat ki takleef, Bachon kay saath mahabbat aur shafqat ki takleef, Baday sabar kay saath woh un marahil ko tay karti hai. Farmaya keh agar woh Namazi ho aur apnay shohar say bad sulooki na karay to us ka thikana jannat kay siwa kuch nahin. To shariy’at nay aurat kay faraaiz mein kami bhi kardi aur is kami kay bawujood ajar mein izafah kar diya. Ajar ko badha diya. Faraaiz mein kami kardi, Lekin sawab ko badha diya, Y’ani kis kis pehlu say aurat ki takreem aur us par ahsaan kiya. Phir aurat ki masharti zindagi kay talluq say shariy’at kay jo ahkaam hain, Woh Deen-e-Islam ki taraf say aik aisi takreem hai keh aisi takreem aur koi paish nahin kar sakta. Koi Mazhab, Koi qanoon, Koi dastoor is takreem ko paish nahin kar sakta, Y’ani shara’i ahkaam aik aurat kay talluq say, Aik aurat kay parday kay talluq say, Ghar ki chaardeewari kay talluq say. Us ki chaadar kay tahagfuz kay talluq say, Us ki Izzat ki hifazat kay talluq say jo nizaam aur jo ahsaan Shariy’at-e-Mutahhara ka hai woh kisi aur Dastoor-e-Aalam ka nahin hai. Kisi aur qanoon mein nahin hai. وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُن (Al Ahzaab: 33) “Aurton apnay gharon mein tikki raho.” Tumharay ghar ki chaardeewari jis ki tum maalik ho, Tumharay liye kaafi hai. Apnay ghar mein tikki raho. Is mein tumhara tahaffuz, Is mein tumhari chaadar ka tahaffuz, Tumhari Izzat ka tahaffuz, Aik aurat kay liye yeh hukum hai. Aur yeh koi zulm ya jabar nahin hai balkeh aurat ki raiyyat hai, Is raiyyat ki had us ka ghar hai. Is ghar mein us ka rehna us ki takreem hai. Yeh mardon ko aik tarah say samjhaya gaya hai keh aurton ka kaam kay liye ghar say bahar niklana is ka koi jawaz nahin. Balkeh paighambar علیہ السلام ki Hadees hai keh aurat ka mardon kay saath kaaroobaar mein shareek hona Alaamaat-e-Qayaamat mein say hai. (Musnad-e-Ahmad: 1/407) Alaamaat-e-Qayaamat mein say aik aurat ka mardon kay saath kaaroobaar mein shareek hona hai. Aaj ka culture aurat ko mardon kay shana bashana kaam karnay ka da’ii hai. Magar hamari shariy’at kehti hai: وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُن Apnay gharon mein tikki raho. Nabi علیہ السلام kay intiqaal kay baad Nabi علیہ السلام ki biwi Umm-ul-Momineen Sodah رضي الله عنها apnay ghar mein mahsoor ho kar reh gain. Kisi nay kaha keh tum kabhi to ghar say niklo, Kam az kam Hajj-o-Umra karnay kay liye niklo. Jesay aur aurtein jati hain, Tum bhi chali jaya karo. Kaha keh nahin. Jo Hajj mujh par farz tha woh kar chuki hoon, Umray bhi apnay paighambar kay saath, Apnay shohar kay saath kar chuki hoon. Ab meray parwardigaar ka hukum hai keh mein apnay ghar mein rahoon. Mein apnay parwardigaar kay hukum ko radd nahin kar sakti. (Al Durr-ul-Mansoor, Al Ahzaab: 33) Mein ghar hi mein rahoon gi.
Aik khatoon us takreem ko qabool karti hai jo Sharaf shariy’at nay diya aur ghar say niklana paday to apni poori chaadar ki hifazat kay saath, Apnay parday ki hifazat kay saath nikalti hai. Kaisi kaisi khawateen hain. Nabi علیہ السلام ki aik Hadees Umm-e-Salma رضي الله عنها nay suni. Woh Hadees kya thi? مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلَاءَ لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ Jo shakhs apnay kapday ko ghaseetay ga, Y’ani takhnay say neechay rakhay ga, Allah Ta’ala us ko Qayaamat kay din nahin dekhay ga. Aik Hadees mein irshad farmaya keh jo apnay kapday ko takhnay say neechay latkanay wala hai, Allah us ko na dekhay ga, Na us ko paak karay ga balkeh us ko Azaab-e-Aleem mein jhonk day ga. Umm-e-Salma رضي الله عنها nay yeh Hadees suni. Kaha: Ya Rasoolullah! Aurton ka kya hukum hai? Y’ani libaas ghaseetnay wala jahanumi hai aur Allah us ko dekhay ga nahin. Aurton kay liye kya hukum hai, Yeh to pareshani hamaray liye hai keh ham bhi upar rakhen. Farmaya keh nahin, Tumhein neechay rakhna hai. يُرْخِينَ Aurtein apnay libaas ko latkayein gi. Takhnon say neechay rakhen gi. Kaha: Ya Rasoolullah! Itna to kaafi nahin hai. Kapday ko takhnon say neechay kar lena, Itna kaafi nahin hai. Paawon kay khul janay ka andesha hai. Aap aik aurat ki fikar dekhein. Paawon kay khul janay ka andesha hai. Farmaya keh يُرْخِينَ شِبْرًا To phir apni chaadar paawon say aik balisht neechay kar lein. Jo upar ka abaya hai ya jo bhi chaadar hai, Us ko apnay paawon tak rakhay aur paawon say aik balisht neechay kar lay. Kaha keh ya Rasoolullah! Is mein bhi andesha hai paawon keh khul janay ka, Maslan: Hawa aati hai ya ba’az auqaat moud mudti hain to hawa takrati hai. Is mein bhi andesha hai paawon kay khul jaanay ka. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: فَيُرْخِينَهُ ذِرَاعًا Phir aik haath ko neechay latkayein. (Tirmizi: 1731) Poora aik haath us ko neechay latkayein, Y’ani khawateen nay kis tarah apni is takreem kay pehlu ko qabool kiya. Aur yahan aik baat badi asaani say aap samajh jayein gay. Kuch log, Un mein Ulamaa bhi hain, Jo chehray ki bay pardgi kay qaail hain. Is Hadees par ghour karo, Jo shariy’at aik aurat kay paawon dhaanp rahi hai woh us kay chehray ko nanga karay gi? Y’ani paawon dhaanp rahi hai, Aik aik haath kapday ko ladkaaw. Paawon nahin khulna chahiye to woh shariy’at aurat kay chehray ko barhana karay gi, Y’ani thoda sa tadabbur kijiye. Itni takreem! Yeh Deen-e-Islam hai. Aik aur pehlu, Paighambar علیہ السلام ki aik aur Hadees. Nabi علیہ السلام nay khawateen ko eid gaah aanay ka hukum diya. Eid ki Namaz padho. Yahan tak farmaya keh agar makhsoos ayyaam hon phir bhi aajaaw. Namaz na padho magar duayon mein shareek ho jaaw. Yahan tak farmaya keh agar tumharay paas jilbaab, Y’ani badi chaadar na ho to tum apni kisi seheli say abaya chaadar mustaar lay lo, Udhaar lay lo. Us mein lipat kar aaw. Agar seheli kay paas abaya nahin hai, Chaadar aik hi hai to donon us aik mein lipat kar aajaaw. Sawal yeh keh aik bhi na ho to phir na aaw, Phir majboori hai. Halaankeh maamla ibaadat ka hai. Aur shariy’at ibaadat mein aurat ko bhi bulaa rahi hai, Lekin pooray parday kay saath. To ghair ibaadat kay liye, Bazaar jana hai, Shopping karni hai, Sair-o-Tafreeh kay liye jana hai, Is mein aurat ki bay pardgi ka koi jawaz banta hai? Y’ani shariy’at ibaadat kay liye bhi ghar say nikaal rahi hai to kis ahtimaam say. To yahan ibaadat maqsood nahin hai, Doosray kaam hain to us mein koi jawaz hai aurat ki bay pardgi ka. To Allah ka khauf kijiye. Yeh shariy’at kya chahti hai aur aik aurat ko kya takreem dena chahti hai? Is ko aik Kanz-e-Maknoon bana kar paish kar rahi hai, Aik makhfi khazana jo parday kay andar hai. Yahan to kaha keh jab chalo to ahistgi say chalo. Qadmon ko patakh kar na chalo. وَلَا يَضْرِ بْنَ بِأَرْجُلِهِنَّ (Al Noor: 31) Apnay paawon patakh patakh kar na chalo. Allah-u-Akbar. Tumharay paawon ki jo aahat hai aur ba’az auqaat paawon mein agar paazeeb pahni hai to us ki jhankaar bhi bay apardgi ka baa’is ban sakti hai. Na bhi pehni ho to yeh jo paawon ki aahat hai, Yeh bhi parda hai. Kisi ajnabi say baat karni hai to karakht ho kar baat karo. Narmi say nahin. Narmi say baat karogi to us kay dil mein koi ghalat fahami peda ho sakti hai. Is ka shaaiba tak khatam kar diya. To shariy’at aik aurat kay talluq say kis qadar ghayoor hai. Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay sawal kiya keh koi shakhs apnay ghar mein jaye aur kisi ajnabi ko apnay ghar mein dekhay, Kya karo gay? To Saad Bin Ubadah رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay kaha: Mein talwaar say, Talwaar ki pusht say nahin balkeh talwaar ki dhaar say waar kar kay us ki gardan hi udaa doon ga. (Bukhari: 7416) Aap nay mana nahin kiya. Yeh Ghairat-e-Haq hai. Aur shariy’at is talluq say ghayyoor hai. Aik aurat kay talluq say shariy’at ka yeh hukum badi ghairat par mubni hai. Nabi علیہ السلام ki Hadees hai: مَنْ قُتِلَ دُونَ أَهْلِهِ فَهُوَ شَهِيدٌ Jo mard apni biwi kay difa mein maara jaye, Woh shaheed hai. (Tirmizi: 1421) Is mein do paigham hain: Aik yeh keh biwi ka difa karay. Yeh hamaray muashray ki Zeenat hai. Yeh hamari shariy’at ki Zeenat hai, Baqi muashron mein apni biwi ka difa karna nahin hai. Agar difa kartay kartay tum nay usay maar diya, Woh khoon maaf hai. Agar tum qatal ho gaye to tum shaheed ho. Tumharay liye shahadat ka maqaam hai. Yeh ghairat aik aurat kay talluq say hai. Deen-e-Islam is ghairat ka da’i hai. Is ghairat ka mutaqazi hai. Chotta sa tareekhi waqiya yaad aa gaya. Qaazi Moosa ki Majlis mein aik aurat paish huwi. Us aurat kay awliya bhi thay, Baap ya bhai waghaira. Unhon nay us aurat kay shohar kay khilaaf adaalat mein dawa daair kiya keh shohar nay paanch so dinar haq meher muqarrar kiya tha. Ab woh denay say inkaar kar gaya hai. Paanch so dinar haq meher muqarrar kiya tha. Aur us nikaah mein falaan falaan gawah tha. Zahir hai keh gawahi ghar kay fard ki to nahin chalay gi. Bachi ki gawahi us ka baap to nahin day ga. Woh us kay Ahal mein say hai. Gawahi to ghair hi day ga. Qaazi nay kaha: Gawah paish karo. Shohar bhi betha huwa hai, Aurat bhi mujood hai. Aur do teen gawah paish ho gaye. Us Majlis-e-Nikaah mein ham thay aur yeh meher ham nay suna tha. Unhon nay yeh gawahi Deeni thi. Magar shahadat kay saaray muratib pooray karnay kay liye qaazi nay yeh hukum diya keh yeh gawahi denay walay mard hain, Pehlay us khatoon ko dekhein gay taakeh pehchan sakein keh wahi khatoon hai. Koi dhoka na ho, Koi dagha na ho taakeh gawahi poori m’arifat kay saath ho. Aur pooray wasooq kay saath ho, Chunacha aurat ko chehra kholnay ka hukum diya keh apnay chehray ko zara bay niqaab karo aur apnay parday ko hata kar gawahon ko dekhnay ka mauqa do. Mard peechay say bol utha: Meri biwi ko, Us kay chehray ko barhana na kiya jaye woh meher mein qabool karta hoon. Woh paanch so dinar mein adaa karnay kay liye tayyar hoon. Yeh hai ghairat. Aurat nay suna keh mera shohar is tarah meri ghairat ka muhafiz hai. Us nay kaha: Mein nay apnay shohar ka meher maaf kar diya. Yeh paanch so dinar mein nay maaf kar diye. Qaazi ash ash kar utha. اجْعَلُوهَا فِي مَكَارِمِ الْأَخْلَاقِ Is waqiye ko sonay kay paani say likho. Makaarim-e-Akhlaq mein yeh waqiya hamesha zindah aur tabindah rahay ga. Yeh Deeni ghairat hai. Yeh ghairat kis nay di? Yeh ahkaam kahan say aaye? Yeh Deen-e-Islam ki khoobi hai keh hamari shariy’at kis tarah roshni muhayya karti hai. Aur kis tarah aik khatoon ki muhafiz hai. Bas khawateen apni zimmedaariyon ko poora karein. Allah Ta’ala ki ibaadat ki, Rozon ki, Namazon ki aur deegar shara’i ahkaam ki hifazat karein aur phir jo ba’az cheezon say roka gaya, Maslan: Shohar ki na shukri, Nafarmani aur zabaan ki hifazat, Zabaan par Ta’an-o-Malamat na ho. Gaali galoch na ho. Nabi علیہ السلام kay saamnay do aurton ka zikar huwa: Aik aurat ki Husn-e-Ibaadat ka zikar huwa. Aur us ki fayyazi ka zikar huwa. Magar sahaba nay kaha hai keh توذي جيرَانَهَا بِلِسَانِهَا Zabaan ki meethi nahin hai. Us nay apnay padosiyon ko hamesha takleef aur aziyat mein daal rakha hai. Padosiyon par musallat hai. Farmaya keh هِي فِي النَّارِ Yeh aurat jahhanum mein jaye gi. Us ki ibaadatein, Mehnatein, Namazein kahan gain, Sadqay aur khairaat kahan gain. Aik aur aurat ka zikar huwa. Ghareeb hai. Farz ka ahtimaam karti hai. Nawafil ka ahtimaam nahin kar paati. Sadqa nahin day paati. Haan kabhi kabhi kuch tukray paneer kay sakhawat karti hai. Magar لا تُؤْذِي جِيرًا نَهَا بِلِسَانِهَا Zabaan ki meethi hai. Akhlaq achay hain. Kisi ki gheebat nahin ki, Kisi ki chughli nahin ki. Sab-o-Shatam nahin kiya. Gaali galoch nahin ki. Zabaan ki achi hai. Farmaya: هِي فِي الْجَنَّةِ (Musnad-e-Ahmad: 2/440) Apnay Husn-e-Khulq ki bana par jannat ki mustahiq hai. To bohat thodi zimmedaari hai, Bohat thodi. Allah kay piyaaray paighambar nay eid ka khutba irshad farmaya: Aap nay mehsoos kiya keh is dafa majm’aa bada hai, Meri awaaz peechay nahin gai hogi. Bilal Habshi رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ko saath lay kar khawateen kay ijtima mein chalay gaye. Unhein bhi kuch naseehat ki aur do baatein khaas taur par irshad farmaain. يَا مَعْشَرَ النَّسَاءِ تَصَدَّقْنَ وَ أَكْثِرْنَ الْإِسْتِغْفَارَ Ae aurton! Sadqa do aur kasrat say Istighfar karo. فَإِنِّي رَأَيْتُكُنَّ أَكْثَرَ أَهْلِ النَّارِ Mein nay jahhanum mein tumhein zayada dekha hai. Tum jahhannum mein zayada ho aur mard kam hain. Aik aurat nay himmat kar kay pooch liya: Ya Rasoolullah! Kiun? Farmaya: Do asbaab hain: تكْثِرْنَ اللَّعْنَ وَتَكْفُرْنَ العشير Tumhari zabaanon par la’an ta’an bohat hota hai. Gheebatein, Malamatein, Gaali galoch aur shoharon ki na shukri karti ho. Shoharon ki nafarmani karti ho. (Muslim: 79) In do asbaab ki bina par tum jahhanum mein zayada ho. Lekin yeh na samjha jaye keh khawateen jannat mein kam hongi. Khawateen jis tarah jahhanum mein mardon say zayada hain, Isi tarah jannat mein bhi mardon say zayada hongi. Is ki daleel Nabi علیہ السلام ki Hadees hai keh jannat mein har mard ko us ki biwi kay saath duniya ki do aurtein bhi di jayein gi. Maana jo mardon ki tadaad hai us say dugni tadaad aurton ki hai. Yeh sharaf nahin kya? Yeh Tashreef-o-Takreem nahin hai aik khatoon kay liye? Baqi jo log propeganda kartay hain hamaray Deen-e-Islam kay khilaaf, Woh sab kaj fahami ka nateeja hai. Yeh Islam ko badnaam karnay ki saazish hai keh aurat ki kya takreem hai? Us ki gawahi aadhi, Us ki diyat aadhi, Us ki meeras aadhi. لِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الْأُنْثَيَيْنِ (Al Nisaa: 11) keh betay ka hissa dugna hai aur aurat ka hissa is say aadha. To kya takreem hai? Bhai! Yeh takreem hai. Tum nahin samajhtay. Agar mard ko dugna diya ja raha hai aur aurat ko aadha diya ja raha hai to aurat ka sarmaya jo us ko haasil hai, Woh munjamid kar sakti hai. Us ko kharch na karay apnay liye mahfooz rakhay, Usay ikhtiyar hai. Lekin mard kay zimmay kifalat hai. Aurton ki kifalat, Behnon ki kifalat, Betiyon ki kifalat. Woh apnay us maal ko kharch kartay hain. Mard nay tijarat karni hai. Usay kisi naffa bakhsh kaaroobaar mein laga sakta hai. Lekin aik aurat nay yeh kuch nahin karna, Us ko maal milna hai. Us ki zimmedaari mein kisi ki kifalat nahin. Agar aap hisaab lagayein gay to aurat ko zayada nawaza ja raha hai. Aurat ki diyat aadhi hai. Mard ki diyat poori hai. Mard ki diyat so oont hai. Aurat ki pachaas oont. Bhai thoda sa socho. Aik biwi aur shohar. Agar shohar qatal ho jaye To us ki diyat so oont hai woh kis ko milay gi? Woh us ki biwi ko milay gi. Aurat qatal ho jaye to us ki diyat pachaas Oont. milay gi? Mard ko. Zayada maal kis ko mil raha hai? Aurat ko ya mard ko, Y’ani shariy’at is hukum kay zariy’e kis ko Nawaz rahi hai? Yeh sab kaj fahami ka nateeja hai. Islam ko badnaam karnay ki aik saazish hai. Warna haqeeqat yeh hai keh Islam mein jo takreem aik khatoon ko muyassar hai woh kisi aur muashray mein nahin hai. Allah Ta’ala in ba’az masaail par, In farmoodaat par amal ki taufeq day aur ham yeh shariy’at jis kay itnay mahaasin hain, Itna is ka husan, Allah kay liye ham is shariy’at kay husan ko apnay upar qaim karein aur apnay aap ko acha banaaein. Khud ko shariy’at kay tanaazur mein Hasseen banaaein. Taakeh kal ham Allah Ta’ala ko pasand ajayein. Jo Allah kay paighambar ki dua hai keh ya Allah tujh say do cheezon ka sawali hon: Aik mujhay apnay chehray kay deedar ki lazzat ataa farma dena aur doosra meray dil ko apni mulaqaat kay shoq say bhar day. (Al Nasaai: 1306) Yeh shoq kya hai? Meray andar teri mulaqaat ka shoq peda ho jaye. Jab shoq peda hoga, Phir aap tayyari karein gay na. Kisi bichday huway Aziz kay aanay ki aamad ki ittila mil jaye to us say mulaqaat ka shoq aap kay andar peda hoga. Us ki tayyari karein gay. Us ka ahtimaam karein gay. Achay pakwaan banwayein gay. Achay kapday pehnein gay. To ya Allah! Meray andar, Meray dil mein teri mulaqaat ka shoq paiwast ho jaye. Har waqt ki mulaqaat jo meray saamnay rahay. Us ki mein tayyari karoon. Aisa ban kar Roz-e-Qayaamat teray saamnay aawon keh mein tujhay pasand aa jaawon. Tujhay acha lagoon. Allah paak is ki taufeeq day.
وَأَقُولُ قَوْلِي هَذَا وَ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ لِي وَلَكُمْ وَآخِرُ دَعْوَانَا أَنِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَلَمِينَ
Reference:
Book: “KHUTBAT”
“Allamah Fazilatus Shaikh Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullahu Ta’aala”