SHOHAR KA BIWI PAR BILA WAJAH ZULM O ZIYADTI KARNA
SHOHAR KA BIWI PAR BILA WAJAH ZULM O ZIYADTI KARNA
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Romanised: Khadija Muhammadi
Sawal: Ek Bahan Ka Dard Bhara Sawaal Hai Ke Kya Shohar Biwi Ko Bagair Galati Ke Gaali De Sakta Hai, Bila Wajah Kosna, Ta’ne Dena, Bad Dua Karna Shohar Ko Islaam Ne Ijazat Di Hai. Woh Saza De, Maare, Sataaye, Aur Aurat But Bani Sab Kuch Dekhti Sehti Rahe? Is Se Mutalliq Islaami Hukm Kya Hai Hame Is Se Aagah Karen. Allaah Aap Ko Iska Behtareen Badla De. Aameen
Jawab: Waqai Bahut Sare Gharon Me Mardon Ki Halat Aysi Hi Hai, Apni Mardangi Ka Izhaar Maidaan e Jung Me Nahi Sinf e Naazuk Par Karte Hain. Bila Wajah Aurton Ko Gaali Dena, Unhein Kosna, Maarna, Satana, Bad Dua Karna, Dhamki Dena Zulam aur Ziyadti Ka Pesha Bana Liya Hai. Allaah Ayse Zalimon Ka Sakht Muhasba Karega. Aurat Ke Sabr Aur Zabt Se Faidah Utha Kar Bahut Se Zaalim Log Tarah Tarah Ki Sazaayen Bhi Dete Hain. Aurat Apne Shohar Ka Khayaal Kar Ke Maike Me Bhi Kuch Nahi Bataati Taaki Apne Ghar Ki Aur Shohar Ki Be-Izzati Na Ho. Aysa Pakizah Khayaal Aurat Ke Andar Hi Hota Hai, Mardon Ki Aksariyat Is Sifat Se Door Hai. Ayse Log Woh Mard Hain Jo Aurat Ke Maqaam o Martabe Aur Unki Bulandi Se Jahil Hote Hai.
Aurat Ghar Ki Hi Nahi Kaainaat Ki Zeenat Hai, Duniya Se Agar Aurat Khatam Ho Jaaye To Uska Rang Aur Roop Khatam Ho Jaaye, Zindagi Se Aurat Chali Jaaye To Zindagi Sooni Sooni aur Ajeeran Si Ho Jaaye. Mardon Ko Sukun Aur Rahat Aurat Se Hi Milta Hai, Mardo Ke Gam Aur Zindagi Ka Bojh Halka Karne Wali Aurat Ki Hi Zaat Hoti Hai. Bimaari Se Le Kar Kaam Kaaj Tak Har Mod Par Sahara Dene Wali Aurat Hai. Shadi Ke Baad Insaan Aurat Ka Maqaam Bhool Jata Hai Jab Ke Maloom Hona Chaahiye Ke Yahi Mard Jab Bagair Biwi Ke Zindagi Guzaare To Log Use Na Mard Kahenge. Aurat Hi Mardon Ki Mardangi Ki Nishani Hai, Imaan Ke Mukammal Hone Ka Zariya Aur Buland Me’yaar Par Faaiz Hone Me Iska Aala Kirdaar Raha Hai. Jo Mard Kamzor Aur Be Zabaan Aurat Par Apna Zulm Dhaate Hain Woh Mard Bhi Kisi Aurat Ki Kokh Se Nikal Kar Aaye Hain Jise Muqaddas Aur Mohtaram Lafz Maa Kaha Jaata Hai. Is Liye Mardon Ko Aurton Ke Haq Me Allaah Se Darte Rehna Chaahiye Aur Unke Huqooq Ki Adaayegi Me Susti Se Bachna Chaahiye. Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai, Sahih Muslim Ki Hadees Hai:
فاتقوا الله في النساء
Tarjumah: Aye Logo! Tum Aurton Ke Muamle Me Allaah Se Daro.
(Sahih Muslim: 1218)
Ek Dusri Hadees Me Nabi ﷺ Farmate Hain:
خيركم خيركم لأهله واناخيركم لأهلي
Tarjumah: Aye Logo! Tum Me Sab Se Behtareen Aadmi Woh Hai Jo Apne Ahel o Ayaal Ke Liye Behtareen Ho Aur Main Tum Me Apne Ahel o Ayaal Ke Liye Sab Se Behtareen Hun.
(Sahih ul Jame: 3314)
Is Liye Piyare Bhaiyo! Apni Biwi Ko Bila Wajah Gaali Mat Do, Use Baat Baat Par Ta’ne Na Do, Kabhi Galati Kar Jaaye To Piyaar Se Samjha Do Magar Tanz Se Uska Nazuk Sina Chalani Na Karo. Zulm Aur Ziyadati Se To Sachchi Taubah Kar Lo, Allaah Hamare Har Amal Se Ba-Khabar Hai Aur Aakhirat Me Zarre Zarre Ka Hisaab o Kitaab Lega.
Dusri Taraf Main Aurton Ko Bhi Sabr Ki Naseehat Karta Hun. Aap Yaqeen Karen Ke Agar Mardon Ke Zulm Ke Saamne Sabr Ka Pahaad Ban Jaayen To Mard Aap Ke Sabr Ke Pahaad Ke Saamne Bona Nazar Aayega. Aurat Ke Andar Allaah Ne Bahut Si Khoobiyan Rakhi Hain, Un Me Se Ek Sabr Ke Alawah Khubi Yah Hai Ke Woh Apne Meethe Aur Dil Moh Lene Wale Andaaz Aur Ada Se Shohar Ka Dil Jeet Sakti Hai. Aap Ka Shohar Jis Baat Se Naaraaz Hota Hai Usko Dil Par Lene Ki Bajaaye Baat Sahih Ho To Apni Islaah Kar Le Shohar Aap Se Raazi Ho Jaaega Aur Baat Khatam Ho Jaayegi. Kayi Baar Mamooli Si Baat Miya Biwi Ke Darmiyan Bade Jhagde, Talaaq Aur Judaai Ka Sabab Ban Jaati Hai. To Aap Ke Haath Ghar Ki Kashti Hai Use Shambhaal Kar Chalaayen, Laakh Tufaan Aaye, Aandhi Aaye Kashti Hichkole Khaae Aap Kashti Ko Sahih Se Chalaayen. Main Maanta Hun Ke Kuch Shohar Bila Wajah Biwi Ko Maarte Hain, Gaali Dete Hain, Baat Baat Par Ghar Se Nikalne Aur Talaaq Dene Ki Dhamki Dete Hain, In Sab Halaat Me Aap Sabr Karen, Sabr Ka Badla Jannat Hai. Ka’ab Bin Ujrah Radhiallahu Anhu Kehte Hain Ki Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaya:
الا اخبركم بنسائكم في الجنة؟ كل ودود ولود،اذا غضبت او أسيء اليها [اؤ غضب زوجها] قالت:هذه يدي في يدك، لا اكتهل يغمض حتى ترضى
Tarjumah: MainTumhein Jannati Auraton Ke Bare Me Na Bataaun? Har Muhabbat Karne Aur Ziyadah Bachche Janne Waali Aurat Jannat Me Hai, Jab Woh Naaraaz Ho Jaaye, Ya Fir Uske Saath Bura Sulook Kiya Jaaye, Ya Shohar Naaraaz Ho Jaaye To Aurat Shohar Se Kahe: Mera Haath Tere Haath Me Hai, Main Us Waqt Tak Neend Nahi Karungi Jab Tak Tu Raazi Nahi Hota.
(As Silsilah As Sahihah: 3380)
❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁
शौहर का बीवी पर बिला वजह ज़ुल्म ओ ज़्यादती करना
सवाल: एक बहन का दर्द भरा सवाल है कि क्या शौहर बीवी को बग़ैर ग़लती के गाली दे सकता है? बिना वजह कोसना, ताने देना, बद्दुआ करना शौहर को इस्लाम ने इजाज़त दी है? वह सज़ा दे, मारे, सताए, और औरत बुत बनी सब कुछ देखती सहती रहे? इस से मुताल्लिक़ इस्लामी हुक्म क्या है हमें इससे आगाह करें। अल्लाह आपको इसका बेहतरीन बदला दे। आमीन।
जवाब: वाक़ई बहुत सारे घरों में मर्दों की हालत ऐसी ही है। अपनी मर्दानगी का इज़हार मैदान-ए-जंग में नहीं बल्कि सिफ़त-ए-नाज़ुक पर करते हैं। बिना वजह औरतों को गाली देना, उन्हें कोसना, मारना, सताना, बद्दुआ करना, धमकी देना ज़ुल्म और ज़्यादती का पेशा बना लिया है। अल्लाह ऐसे ज़ालिमों का सख़्त मुहासबा करेगा। औरत के सब्र और ज़ब्त से फ़ायदा उठाकर बहुत से ज़ालिम लोग तरह-तरह की सज़ाएं भी देते हैं। औरत अपने शौहर का ख़्याल करके मायके में भी कुछ नहीं बताती ताकि अपने घर की और शौहर की बेइज़्ज़ती न हो। ऐसा पाकीज़ा ख़्याल औरत के अंदर ही होता है, मर्दों की अक्सरियत इस सिफ़त से दूर है। ऐसे लोग वो मर्द हैं जो औरत के मक़ाम-ओ-मर्तबे और उनकी बुलंदी से जाहिल होते हैं।
औरत घर की ही नहीं काइनात की ज़ीनत है, दुनिया से अगर औरत ख़त्म हो जाए तो उसका रंग और रूप ख़त्म हो जाए, ज़िंदगी से औरत चली जाए तो ज़िंदगी सूनी-सूनी और अजीरन सी हो जाए। मर्दों को सुकून और राहत औरत से ही मिलता है, मर्दों के ग़म और ज़िंदगी का बोझ हल्का करने वाली औरत की ही ज़ात होती है। बीमारी से लेकर कामकाज तक हर मोड़ पर सहारा देने वाली औरत है। शादी के बाद इंसान औरत का मक़ाम भूल जाता है, जबकि मालूम होना चाहिए कि यही मर्द जब बिना बीवी के ज़िंदगी गुज़ारे तो लोग उसे नामर्द कहेंगे। औरत ही मर्दों की मर्दानगी की निशानी है, ईमान के मुकम्मल होने का ज़रिया और बुलंद मेयार पर फ़ाइज़ होने में इसका आला किरदार रहा है। जो मर्द कमज़ोर और बेज़बान औरत पर अपना ज़ुल्म ढाते हैं, वो मर्द भी किसी औरत की कोख से निकल कर आए हैं, जिसे मुक़द्दस और मोहतर्म लफ्ज़ ‘माँ’ कहा जाता है। इसलिए मर्दों को औरतों के हक़ में अल्लाह से डरते रहना चाहिए और उनके हुक़ूक़ की अदाइगी में सुस्ती से बचना चाहिए। नबी ﷺ का फ़रमान है, सहीह मुस्लिम की हदीस है:
فاتقوا الله في النساء
तर्जुमा: ऐ लोगो! तुम औरतों के मामले में अल्लाह से डरो।
(सहीह मुस्लिम: 1218)
एक दूसरी हदीस में नबी ﷺ फ़रमाते हैं:
خيركم خيركم لأهله واناخيركم لأهلي
तर्जुमा: ऐ लोगो! तुम में सबसे बेहतरीन आदमी वो है जो अपने अहल-ओ-अयाल के लिए बेहतरीन हो और मैं तुम में अपने अहल-ओ-अयाल के लिए सबसे बेहतरीन हूँ।
(सहीह उल जामे: 3314)
इसलिए प्यारे भाइयों! अपनी बीवी को बिना वजह गाली मत दो, उसे बात-बात पर ताने मत दो, कभी ग़लती कर जाए तो प्यार से समझा दो मगर तंज से उसका नाज़ुक सीना छलनी मत करो। ज़ुल्म और ज़्यादती से तो सच्ची तौबा कर लो, अल्लाह हमारे हर अमल से बाख़बर है और आख़िरत में ज़र्रे-ज़र्रे का हिसाब-किताब लेगा।
दूसरी तरफ़ मैं औरतों को भी सब्र की नसीहत करता हूँ। आप यक़ीन करें कि अगर मर्दों के ज़ुल्म के सामने सब्र का पहाड़ बन जाएं तो मर्द आपके सब्र के पहाड़ के सामने बौना नज़र आएगा। औरत के अंदर अल्लाह ने बहुत सी ख़ूबियां रखी हैं, उनमें से एक सब्र के अलावा ख़ूबी यह है कि वो अपने मीठे और दिल मोह लेने वाले अंदाज़ और अदा से शौहर का दिल जीत सकती है। आपका शौहर जिस बात से नाराज़ होता है, उसे दिल पर लेने की बजाय, बात सही हो तो अपनी इस्लाह कर लें, शौहर आप से राज़ी हो जाएगा और बात ख़त्म हो जाएगी। कई बार मामूली सी बात मियाँ-बीवी के दरमियाँन बड़े झगड़े, तलाक़ और जुदाई का सबब बन जाती है। तो आपके हाथ घर की कश्ती है, उसे संभाल कर चलाएं, लाख तूफ़ान आए, आँधी आएं, कश्ती हिचकोले खाए, आप कश्ती को सही से चलाएं। मैं मानता हूँ कि कुछ शौहर बिना वजह बीवी को मारते हैं, गाली देते हैं, बात-
बात पर घर से निकालने और तलाक़ देने की धमकी देते हैं, इन सब हालात में आप सब्र करें, सब्र का बदला जन्नत है। क़ा’ब बिन उज़राह रज़ियल्लाहु अन्हु कहते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया:
الا اخبركم بنسائكم في الجنة؟ كل ودود ولود،اذا غضبت او أسيء اليها [اؤ غضب زوجها] قالت:هذه يدي في يدك، لا اكتهل يغمض حتى ترضى
तर्जुमा: मैं तुम्हें जन्नती औरतों के बारे में न बताऊं? हर मोहब्बत करने वाली और ज़्यादा बच्चे जनने वाली औरत जन्नत में है। जब वह नाराज़ हो जाए, या फिर उसके साथ बुरा सुलूक किया जाए, या शौहर नाराज़ हो जाए, तो औरत शौहर से कहे: मेरा हाथ तेरे हाथ में है, मैं उस वक्त तक नींद नहीं करूंगी जब तक तू राज़ी नहीं होता।
(अस-सिलसिला अस-सहीहा: 3380)