Search
Sections
< All Topics
Print

TUM JISE NA PASAND KARTE HO MUMKIN HAI USME KHAIR KA PEHLU HO

TUM JISE NA PASAND KARTE HO MUMKIN HAI USME KHAIR KA PEHLU HO

SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH

JEDDAH DA’WAH CENTER HAIYYUS SALAMAH,SAUDI ARABIA

Romanised: Khadija Muhammadi

Bar Sare Iqridaar BJP Hukoomat Me Ta’leem Sahat,Rozgaar Aur Maishat Aur Tijarat Din Ba Din Tanzuli Ka Shikaar Hai,Ayse Me Media Bataur E Khaas Awaam Ki Zabaan Band Karna Mushkil Hi Nahi Mahaal Tha,Go Ke Media Ke Aksar Hisso Par Ijarah Dari Bhi Isi Hukoomat Ki Hai Magar Aaj Socail Media Ka Daur Hai Kuch Achche Television Enkaro Ke Sath You Tuber Ki Kasrat Hai Jo Bhajpaai Pohnch Se Bahar Hai.

Hukoomat Ne Awaam Aur Media Ki Tavjjoh Mulk Ke Behraan Se Hata Kar Ayse Qanoon Aur Act Ki Taraf Karaani Chaahi Jis Me Kai Saal Tak Awaam Aur Media Mashgool Rahe Ge Aur Maashi Aur Tijarati Taalimi Aur Sahat Aur Rozgaar Ki Tanzuli Ki Taraf Dhiyaan Nahi Jaae Ga Magar Waar Ulta Padh Gaya.

Go Ke Un Behraano Ke Naahiye Se Abhi Bhi Media Me Charcha Nahi Hai Magar Awaam Aur Media Ko Maujudah Mohlik Hukoomat Ke Khilaaf Zabaan Kholne Ka Sab Ko Behtareen Mauqah Mil Gaya. Zara Taswwur Kare Ke Talaaq Par Pabandi Lagne Ke Baad Musalmaano Ki Taraf Se Kisi Qisam Ka Muzahirah Nahi Hua,Babri Masjid Ki Baazyaabi Ke Liye Sainkdo Saal Paish Ki Gai Qurbaani Ka Koi Samrah Baraamad Nahi Hua,Kam Az Kam Mujrimana Kaam Karne Walo Ko Adaalat Saza Bhi Muqarrar Kar Deti To Musalmaano Ka Kaleja Kuch Thanda Ho Jata Magar Woh Bhi Na Ho Saka Aur Musalmaan Ek Huruf Bhi Na Bol Sake,Is Se Hind Me Musalmaano Ki Be Basi Ja Andaza Lagaya Ja Sakta Hai.

Abhi Hukoomat Jo Kale Qanoon Logo Par Jabaran Thopne Ki Koshish Kar Rahi Thi Woh Phanda Ban Kar Usi Ke Gale Me Atak Gae Hai,Wapis Lene Me RSS Aur BJP Ki Naak Katne Ka Sawaal Hai Isliye Woh Khud Se Ruju Nahi Kar Sakte Is Liye Amit Shah Baar Baar Kehta Hai Ke CAA Kisi Surat Me Wapis Nahi Hoga,Is Baat Se Hukoomat Ki Saraseemgi Aur Sharmindagi Saaf Zaahir Hai,Hame Wapisi Ki Ummid Agar Hai To Adaalat Se Hi Hai Goya Abhi Jaha Musalmaano Ko Kaale Qaanoon Aur Zulam Ke Khilaaf Khada Hone Me Himmay Mili Wahi Deegar Tamaam Aqwaam Aur Millat Ko Hukoomat Ke Khilaaf Aawaaz Buland Karne Aur Is Hukoomat Ke Siyah Tareen Face Aur Guzishta Tamaam Kale Kaarnaame Expose Karne Ka Sunheri Mauqah Dastiyaab Hua Hai.

Allaah Ne Farmaya Hai:

كتب عليكم القتال وهو كره لكم وعسى أن تكرهوا شيئا وهو خير لكم وعسى أن تحبوا وهو شر لكم والله يعلم وأنتم لا تعلمون.

Tarjumah: Tum Par Jihaad Farz Kiya Gaya Chahe Woh Tumhe Dushwaar Maloom Ho Mumkin Hai Ke Tum Kisi Chiz Ko Buri Jaano Aur Dar Asal Wahi Tumhare Liye Bhali Ho Aur Yah Bhi Mumkin Hai Ke Tum Kisi Chiz Ko Achchi Samjho,Halanke Woh Tumhare Liye Buri Ho Haqeeqi Ilm Allaah Hi Ko Hai,Tum Mahaz Be Khabar Ho.

(Al Baqarah:216)

Allaah Se Khususi Dua Bhi Kare Ke Woh Hamare Sath Zulam Karne Walo Ko Ibrat Naak Saza De Aur Musalmaano Ko Hindustaan Me Aman Aur Rahat Ke Saath Rehne Ka Mahol Saazgaar Banaae. Aameen

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁

तुम जिसे ना पसंद करते हो मुमकिन है उसमें ख़ैर का पहलू हो

 

बर-सर-ए-इक़्तिदार (सत्ता में) बीजेपी हुकूमत में तालीम, सेहत, रोज़गार और म’ईशत (आर्थिक दशा) और तिजारत दिन-ब-दिन तनज़्ज़ुली (गिरावट) का शिकार है। ऐसे में मीडिया बतौर ख़ास अवाम की ज़बान बंद करना मुश्किल ही नहीं, बल्कि मुमकिन था। गो कि मीडिया के अक्सर हिस्सों पर इजारा-दारी (ठेकेदारी) भी इसी हुकूमत की है, मगर आज सोशल मीडिया का दौर है। कुछ अच्छे टेलीविज़न एंकरों के साथ यूट्यूबर की कसरत है जो बीजेपी की पहुंच से बाहर है।

हुकूमत ने अवाम और मीडिया की तवज्जोह मुल्क के बोहरान से हटा कर ऐसे क़ानून और एक्ट की तरफ़ करानी चाहिए, जिसमें कई साल तक अवाम और मीडिया मशग़ूल रहे और म’ईशत, तिजारत, तालीम, सेहत और रोज़गार की तनज़्ज़ुली (गिरावट) की तरफ़ ध्यान न जाए, मगर वार उल्टा पड़ गया।

गोया कि इन बोहरानो (संकट) के नाहिये (क्षेत्र) से अभी भी मीडिया में चर्चा नहीं है, मगर अवाम और मीडिया को मौजूदा मोहतल हुकूमत के ख़िलाफ़ ज़बान खोलने का सबको बेहतरीन मौक़ा मिल गया है। ज़रा तसव्वुर करें कि तलाक़ पर पाबंदी लगने के बाद मुसलमानों की तरफ़ से किसी क़िस्म का मुज़ाहिरा नहीं हुआ, बाबरी मस्जिद की बहाली के लिए सैकड़ों साल की गई क़ुर्बानी का कोई समरा (नतीजा) बर-आमद नहीं हुआ। कम से कम मुजरिमाना काम करने वालों को अदालत सज़ा भी मुक़र्रर कर देती तो मुसलमानों का कलेजा कुछ ठंडा हो जाता, मगर वो भी न हो सका और मुसलमान एक हर्फ़ भी ना बोल सके। इससे हिंद में मुसलमानों की बेबसी का अंदाज़ा लगाया जा सकता है।

अभी हुकूमत जो काले क़ानून लोगों पर जबरन थोपने की कोशिश कर रही थी, वो फंदा बनकर उसी के गले में अटक गया है। वापस लेने में RSS और बीजेपी की नाक कटने का सवाल है, इसलिए वो ख़ुद से रुजू नहीं कर सकते। इसलिए अमित शाह बार-बार कहता है कि CAA किसी सूरत में वापस नहीं होगा। इस बात से हुकूमत की सरासीमगी (परेशानी) और शर्मिदगी साफ़ ज़ाहिर है। हमें वापसी की उम्मीद अगर है तो अदालत से ही है। गोया अभी जहां मुसलमानों को काले क़ानून और ज़ुल्म के ख़िलाफ़ खड़ा होने में हिम्मत मिली, वहीं दिगर तमाम अक़वाम और मिल्लत को हुकूमत के ख़िलाफ़ आवाज़ बुलंद करने और इस हुकूमत के सियाह चेहरे और गुज़िश्ता तमाम काले कारनामे एक्सपोज़ करने का सुनहरा मौका दस्तियाब (प्राप्त) हुआ है।

 

अल्लाह ने फ़रमाया है:

 

كُتِبَ عَلَيْكُمُ الْقِتَالُ وَهُوَ كُرْهٌ لَّكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَهُوَ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَن تُحِبُّوا شَيْئًا وَهُوَ شَرٌّ لَّكُمْ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ (البقرہ:216)

 

तर्जुमा: तुम पर जिहाद फ़र्ज़ किया गया चाहे वह तुम्हें दुश्वार मालूम हो। मुमकिन है कि तुम किसी चीज़ को बुरी जानो और दरअसल वही तुम्हारे लिए भली हो और यह भी मुमकिन है कि तुम किसी चीज़ को अच्छी समझो, हालांकि वह तुम्हारे लिए बुरी हो। हक़ीक़ी इल्म अल्लाह ही को है, तुम महज़ बेख़बर हो।

 

अल्लाह से ख़ास दुआ भी करें कि वह हमारे साथ ज़ुल्म करने वालों को इबरत नाक सज़ा दे और मुसलमानों को हिंदुस्तान में अमन और राहत के साथ रहने का माहौल साज़गार बनाए। आमीन

 

 

✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
Table of Contents