01. AQEEDAH KI TAREEF [Definition Of Aqeedah]
Aqeedah
Aqa’aid un umoor ko kehte hain jin ki nafs tasdeeq karta aur is par dilon ko itmenaan naseeb hota hai aur ‘Ahel Aqeedah ke yahan wo yaqeeni hote hain jis main kisi qism ka shak o shuba nahi hota-
Aur “Lughat” mein Aqeedah maadah(Aqada) se makhooz hai jis ka madar lazim aur takeed, pukhtagi par hai.
Allah Ta’alaa ne Quran-e-majeed mein irshad farmaya hai:
“Allah Ta’alaa tumhen un qasmon par nahi pakrega jo pukhta na ho haan uski pakar us cheez par hai jo tumhare dilon ka fail ho.“
Aur qasmon ki pukhtagi dil ke qasd aur uske azm ke saat hoti hai kaha jata hai keh (Aqd al habl: yani us ne rassi ko girah lagaee) yani aik dusre ke saat bandha.
Aur Al Iteqad: Ye Aqd se hai jiska maana baandhna aur mazboot karna hai- kehte hain keh (Ateqadt kaza, mein ye iteqad banaya) yani iska main ne dil mein azm kiya, tou iteqad pukhta zahen ka hukum hai.
Sharaiy istelah mein aqeedah ye hai keh:
Aise umoor jin ka musalman par apne dil mein Aqeedah rakhna wajib aur un par baghair kisi shak o shuba ke pukhta emaan rakhna wajib ho.
Kyun keh Allah Ta’alaa ne un umoor ka ba tareeq e wahi Apni kitab mein ya phir apne Nabi (ﷺ) par wahi karke bataya hai.
Aur Aqeedah ke usool jinke iteqad ka Allah ta’aala ne hamen hukum diya hai woh us farmaan mein mazkoor hain:
“Rasool imaan lae us cheez par jo us ki tarf Allah ta’aala ki janib se nazil hui aur mumin bhi imaan lae ye sab Allah Ta’alaa aur Us ke farishton par aur Us ki kitabon par aur uske Rasoolon par kisi aik mein bhi tafreeq nahi karte unho ne keh dya keh ham ne suna aur ita’at ki, Ae hamare Rab! ham teri bakhshish ke talabgaar hain aur hamen teri tarf hi loutna hai.
” Aur Rasool (ﷺ) ne un ki tahdeed mashoor Hadees-e-Jibraeel(علیہ السلام) mein is qawl ke saat farmaye hai (Imaan ye hai keh:” Tu Allah ta’aala aur Us ke farishton aur Us ki kitaab aur Is ki mulaqat aur Is ke rasoolon par imaan lae aur dusri dafa uthne par imaan lae)
Tou islam mein aqeedah ye hua keh: wo masaiyl ilmiya jin kay muta’aliq Allah ta’aala aur uske Rasool(ﷺ) ki tarf se sahih khabr di gae aur jin par musalman ka Allah aur Us ke Rasool (ﷺ) ki tasdeeq karte hue iteqaad rakhna wajib hai.
Wallahu Aalam.
REFERENCE:
Definition Of Aqeedah
Aqeedah refers to those matters which are believed in, with certainty and conviction, in one’s heart and soul. They are not tainted with any doubt or uncertainty.
The Arabic word ‘aqeedah stems from the root ‘aqada, which conveys meanings of certainty, affirmation, confirmation, etc. In the Qur’aan, Allaah says (interpretation of the meaning):
“Allaah will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths (bimaa ‘aqqadtum al-aymaan)…”
[al-Maa’idah 5:89]
The verb paraphrased here as “deliberate oaths” is ‘aqqada/ta’qeed, which refers to when one has determination in the heart. It may be said in Arabic, ‘aqada’l-habl (the rope was tied), i.e., it was pulled tight together. The word i’tiqaad (belief) is also derived from this root, and has the meaning of tying up and making strong. The phrase a’taqadtu kadhaa (I believe such and such) means: I am convinced of it in my heart; this is a rational conviction.
In Islam, ‘aqeedah is the matter of knowledge. The Muslim must believe in his heart and have faith and conviction, with no doubts or misgivings, because Allaah has told him about ‘aqeedah in His Book and via His Revelations to His Messenger (peace and blessings of Allaah be upon him).
The principles of ‘aqeedah are those which Allaah has commanded us to believe in, as mentioned in the aayah (interpretation of the meaning):
“The Messenger believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allaah, His Angels, His Books and His Messengers. They say, ‘We make no distinction between one and another of His Messengers’ – and they say, ‘We hear, and we obey. (We seek) Your forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all).”
[al-Baqarah 2:285]
And as defined by the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) in the famous hadeeth which describes how Jibreel came to him and asked him about Islam etc.: “Eemaan (faith) is to believe in Allaah, His angels, His Books, the meeting with Him on the Last Day, His Messengers, and the Day of Resurrection.”
So in Islam, ‘aqeedah refers to the matters which are known from the Qur’aan and sound ahaadeeth, and which the Muslim must believe in his heart, in acknowledgement of the truth of Allaah and His Messenger.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/951/what-is-aqeedah
عقائد
عقائدان امورکوکہتےہیں جن کی نفس تصدیق کرتےاوراس پردلوں کواطمینان نصیب ہوتاہےاوراہل عقیدہ کےہاں وہ یقینی ہوتےہیں جس میں کسی قسم کاشک وشبہ نہیں ہوتا۔
اورلغت میں عقیدہ مادہ (عقد) سےماخوذہےجس کامدارلازم اورتاکید، پختگی پر ہے ۔
اللہ تعالی نےقرآن مجیدمیں ارشادفرمایا ہے :
اللہ تعالی تمہیں ان قسموں پرنہیں پکڑےگاجوپختہ نہ ہوں ہاں اس کی پکڑاس چیز پر ہے جوتمہارے دلوں کافعل ہو ۔
اورقسموں کی پختگی دل کےقصداوراس کےعزم کےساتھ ہوتی ہے کہاجاتا ہے کہ (عقدالحبل) یعنی اس نےرسی کوگرہ لگائی ) یعنی ایک دورسرےکےساتھ باندھا ۔
اورالاعتقاد : یہ عقدسے ہے جس کامعنی باندھنا اورمضبوط کرنا ہے ۔کہتےہیں کہ (اعتقدت کذا) میں یہ اعتقادبنایا ) یعنی اس کامیں نےدل میں عزم کیا،تواعتقادپختہ ذہن کا حکم ہے ۔
شرعی اصطلاح میں عقیدہ یہ ہے کہ :
ایسےامورجن کامسلمان پراپنےدل میں عقیدہ رکھناواجب اوران پربغیرکسی شک وشبہ کے پختہ ایمان رکھناواجب ہو ۔
کیونکہ اللہ تعالی نےان امورکابطریق وحی اپنی کتاب میں یاپھراپنے نبی صلی اللہ علیہ وسلم پروحی کرکے بتایا ہے ۔
اورعقیدے کےاصول جن کےاعتقادکااللہ تعالی نےہمیں حکم دیاہے وہ اس فرمان میں مذکور ہیں :
رسول ایمان لایااس چیز پرجواس کی طرف اللہ تعالی کی جانب سےنازل ہوئی اورمومن بھی ایمان لائےیہ سب اللہ تعالی اوراس کےفرشتوں پراوراس کی کتابوں پراوراس کے رسولوں پرایمان لائے ہم اس کےرسولوں میں کسی ایک میں بھی تفریق نہیں کرتے انہوں نے کہہ دیا کہ ہم نےسنااوراطاعت کی اے ہمارے رب ! ہم تیری بخشش کےطلبگارہیں اورہمیں تیری طرف ہی لوٹنا ہے ۔
اور رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے ان کی تحدیدمشہورحدیث جبریل علیہ السلام میں اس قول کےساتھ فرمائی ہے (ایمان یہ ہے کہ : کہ تواللہ تعالی اوراس کےفرشتوں اوراس کی کتاب اوراس کی ملاقات اوراس کےرسولوں پرایمان لائےاوردوسری دفعہ اٹھنے پرایمان لائے )۔
تواسلام میں عقیدہ یہ ہوا کہ : وہ مسائل علمیہ جن کےمتعلق اللہ تعالی اوراس کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم کی طرف سےصحیح خبردی گئی اورجن کامسلمان اللہ اوراس کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم کی تصدیق کرتےہوئےاعتقاد رکھناواجب ہے ۔
واللہ اعلم .
REFERENCE:
https://islamqa.info/ur/answers/951/%DA%A9%D9%84%D9%85%DB%81-%D8%B9%D9%82%DB%8C%D8%AF%DB%81-%DA%A9%D8%A7%D8%A7%D8%B4%D8%AA%D9%82%D8%A7%D9%82-%D8%A7%D9%88%D8%B1%D8%A7%D8%B3-%DA%A9%D8%A7%D9%85%D8%AF%D9%84%D9%88%D9%84