Search
Sections
< All Topics
Print

01. Allah Ta’alaa Kay Asmaa-o-Sifaat Say I’lm ka Maqaam-o-Martabah.

✦ Allah Ta’alaa Kay Asmaa-o-Sifaat Say I’lm ka Maqaam-o-Martabah ✦

 

 

❁ Tauheed Asmaa-o-Sifaat, Tauheet ki teen aqsaam mein say aik mustaqil qism hai.

(Woh teen aqsaam yeh hain):

 

(1) Tauheed-e-Ruboobiyat

(2) Taeheed-e-Uloohiyat

(3) Tauheed-e-Asmaa-o-Sifaat

 

Tauheed-e-Asmaa-o-Sifaat (Jo hamaray is risaalay ka asal mozoo’ hai) ka deen mein Maqaam-o-Martabah bohot ounchaa hai aur is ki ahmiyat nihaayat a’azeem hai, Insaan kay liye us waqt tak Mukammal-o-Akmal tareeqey say Allah Ta’alaa ki i’baadat mumkin nahin hai jab tak usay Allah Ta’alaa kay Asmaa-o-Sifaat ka i’lm nah ho. (Is i’lm ki barkat say) woh badi basayerat kay saath Allah Ta’alaa ki i’baadat kar sakta hai. Allah Ta’alaa nay farmaaya hai:

 

“وَلِلّٰهِ الۡاَسۡمَآءُ الۡحُسۡنٰى فَادۡعُوۡهُ بِهَا‌ ۖ ﴿۱۸۰﴾”

 

“Allah Ta’alaa kay piyaray piyaray naam hain pas unhi naamon kay saath usay pukaroo”

(Surah Al Aaraaf: 180)

 

Is Aayat-e-mubaarakah mein Allah Ta’alaa kay naamon kay saath dua’aa karnay ka hukum hai, Is dua’aa say muraad Du’aa-e-Maslah bhi hai aur Du’aa-e-I’baadat bhi. Du’aa-e-Maslah ki surat yeh hai keh aap jab Allah Ta’alaa kay saamnay apni haajat rakhein to aisay naam ka waastah dein jo aap ki haajat kay mutaabiq aur munaasib hai, Maslan:

 

“يَا غَفُوْرُ اغْفِرْلِى” (Aey Gunahoon Kay Ma’aaf Farmaanay Waalay! Mujhay ma’aaf farmaa day)

 

“يَا رَحِيْمُ اِرْحَمْنِى” (Aey Raheem! Mujh par raham farmaa)

 

“يَا حَفِيْظُ احْفَظْنِىْ” (Aey Hafeez! Meri hifaazat farmaa)

 

Du’aa-e-I’baadah ki surat yeh hai keh aap un Asmaa-o-Sifaat kay taqazoon ko Madd-e-Nazar rakhtay huway us zaat ki bandagi karein. Maslan:

 

Aap taubah karein: Kiun keh Woh Allah “Al Tawwaab” ya’ani taubha qubool karnay waala hai.

Aap apni zubaan say us ka zikr karein; Kiun keh Woh “Al Samee’a” ya’ani sunnay waala hai.

Aap apnay aa’azaa say us ki bandagi karein; Kiun keh Woh “Al Basayer” dekhnay waala hai.

 

Aap tanhaaiyoon aur dil ki gehraaiyoon say Us say dartay hain; Kiun keh Woh “Al Lateef Al Khabeer” ya’ani badaa hi baareek been aur baa khabar rehnay waala hai. Is tarah deegar Asmaa-o-Sifaat kay taqazoon par ghour kartay jaaiye.

 

 

REFERENCE:
BOOK: “Qawaid ul Muthla” / Tawheed-e-Asma-o-Sifaat
Taleef: Fazilatus Shaikh Uthaymeen Rahimahullah.
Mutarjim/ Taqdeem : Allamah Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullah.

 

 

Table of Contents