Search
Sections
< All Topics
Print

01. Pehla Mabhas: Allah ke Asmaa Tauqeefi hain

Pehla Mabhas:

Allah ke Asmaa Tauqeefi hain

 

Allah kay Asma tauqeefi hain un mein aqal ki koi gunjai’sh nahi, Is liye Allah kay naamon kay silsaly mein jo kuch Kitaab-o-Sunnat mein aaya hai usi par tawaqquf karna waajib hai. Us mein kuch izaafa kiya ja sakta hai na kami ki ja sakti hai, Kiunkeh Allah Subhan-o-Ta’ala kin naamon ka mustahiq hai aqal kay liye us ka idraak mumkin nahi, Is liye is baray mein nass par ta-o-qquf karna zaruri hai jaisa kay Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

 

وَلَا تَــقْفُ مَا لَيْسَ لَكَ بِهٖ عِلْمٌ  ۭ اِنَّ السَّمْعَ وَالْبَصرَ وَالْفُؤَادَ كُلُّ اُولٰۗىِٕكَ كَانَ عَنْهُ مَسْــــُٔــوْلًا  36؀

 

Jis bat ki tujhe khabar hi na ho us ke peche mat pad. Kiunkeh kaan aur aankh aur dil in mein se har aik se poch guch ki jane wali hai. (Al Israa: 36)

 

Neez irshaad hai:

 

قُلْ اِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ وَالْاِثْمَ وَالْبَغْيَ بِغَيْرِ الْحَقِّ وَاَنْ تُشْرِكُوْا بِاللّٰهِ مَا لَمْ يُنَزِّلْ بِهٖ سُلْطٰنًا وَّاَنْ تَقُوْلُوْا عَلَي اللّٰهِ مَا لَا تَعْلَمُوْنَ  33؀

 

Aap farmay keh albattah mere Rabb ne sirf haram kia hai un tamam fuhsh batun ko jo aalaniyah hain aur jo poshidah hain aur har gunah ki bat ko aur na haq kisi par zulm karne ko aur as bat ko keh tum Allah ke sath kisi aisi cheez ko sharik tahrao jis ki Allah ne koi sanad nazil nahi ki aur is bat ko ke tum log Allah ke zimme aisi bat laga do jis ko tum nahi jante. (Al Aaraf: 33)

Aur is liye bhi kay Allah Ta’ala ko koi aisa naam dena jis say khud us nay apnay aap ko musoom nahi kiya hai, Ya jin naamon say Us nay apnay aap ko musoom kiya hai un ka inkaar karna Allah Ta’ala kay haq mein aik na-Qabil-e Ma’aafi juram hai, Lihaza is baab mein adab ki raah apnaana aur nass mein ayi hui baat hi par ikitafa karna -o-jib aur zaruri hai.

(Al Qawaid-ul-Muslaa Fi Sifaat-e-Allah Wa Asmaa-e-Al Husnaa Az Shaikh Muhammad bin Salih Al Usaimeen رحمہ اللہ, Page: 13, Neez Dikhiy: Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/162)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

Table of Contents