07. Allah ke tamam Asmaa nihayat umdah hain
Satwan Mabhas:
Allah ke tamam Asmaa nihayat umdah hain
Allah kay tamaam Asma nihayat ache hain un mein say koi naam bhi siray say us kay ilawa nahi hai. Aur yeh baat pehly guzar chuki hai kay Allah kay ba’az namoon ka itlaaq Allah par fa’ail kay aitbaar say hota hai. Jaise الخالق (Paida karne waala) الرازق (Rozi dene waala) المحیی (zinda karne waala) aur الممیت (Maut deny waala) aur yeh is baat par dalalat karta hai kay Allah kay tamaam Asma sarapa Khair-o-Bhalaai hain. In mein siray say koi Shar-o-Burai nahi hai. Kiunkeh agar Allah nay koi kaam bura kiya hota tu koi naam us say bhi mushtaq hota. Allah kay tamaam Asma umdaah aur behtareen na hote jabke yeh baatil hai. Allah Ta’ala ko Shar-o-Burai say koi saro kar nahi. Na Allah kay Sifaat mein shar dakhil hai, Na us ki zaat say wabastah hai, Aur na hi Us kay af’aal mein dakhil hai. Lihaza Allah ko shar say koi nisbat nahi. Us ki taraf shar ki nisbat fa’aili ya wasfi kisi bhi tarha nahi ki ja sakti. Bs shar Allah kay maf’ulaat mein dakhil hai. Aur fail (karne) aur maf’ul (ki hui) cheez mein numayaan farq hai. Kiunkeh shar us maf’ul (kardah) say mutlaq hai jo Allah say alag hai. Na kay us fa’il (karne ) say jo Allah ka amal hai! Lihaza isy achi tarha samjh lyn. Kiunkeh yeh cheez bohat say mutakallimeen say ujhal reh gai. Aur is mein bohat say qadam phisal gaye aur bohat si aqalein behak gayn. Albattah is ikhtilaaf mein Allah Ta’ala nay apne hukm say Ahl-e-Haq ko hidayat ata farmai aur Allah jisy chahta hai Sirat-e-Mustaqim ki hidayat deta hai. (Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/163)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.