Search
Sections
< All Topics
Print

08. Allah ke namoon mein se baaz ka itlaaq

Athwan Mabhas:

 

Allah ke namoon mein se baaz ka itlaaq Allah talaa par alihadah aur dusrey naam se mil kar hota hai aur baaz ka itlaaq alihadah nahi, Balkehh us ke muqabil se mil kar hota ha

 

 

Allah kay namoon mein say ba’az ka itlaaq Allah Ta’ala par alihadah aur dusary namoon say mil kar hota hai aur zayada tar naam aise hi hain. Jaise القدیر (Qudrat waala), السمیع (Sunane waala), البشیر (Dekhane waala), العزیز (Ghalib), Aur الحکیم (Daana-o-Hikmat waala).

In jaise namoon say Allah Ta’ala ko alihadah aur dusary naam say mila kar donon tarha pukaarna durust hai. Chunacah aap keh sakte hain: Ya Azeez ya Haleem (Ay Ghalib, Ay Haleem-o-Burdbaar) ya Ghafur ya Raheem (Ay Bakhashish waale ay Mehrbaan) aur har naam ko alihadah bhi zikar kiya ja sakta hai.

Isi tarha Allah Ta’ala ki Hamd-o-Sana aur Allah ki baabat koi baat batlaane kay liye bhi Alihadah-o-Ikattha isti’maal kiya ja sakta hai.

Aur ba’az namoon ka itlaaq alihadah nahi balkehh us kay muqaabil say mil kar hota hai jaise: المانع (rokane waala), الضار (Nuqsaan pohanchany waala), aur المنتقم (intiqaam lenay waala). Chunacah in jaise namoon ko un kay bil-muqabil namoon say alag nahi kiya ja sakta. Ye naam (biltarteeb), المطیع (‘Aata karne waala), النافع (Naf’aah pohnchany waala) aur العفو Al-‘Afuo (Afudar Guzar karne waala) say juday huwe hain. Chunacah Allah Ta’ala المطیع المانع, (daine na daine waala)  الضار النافع (Zarar-o-Nafa’ah pohnchany waala) المنتقم العفو (badla leny aur ma’af karne waala) aur المعز المذل (Izzat-o-Zillat deny waala) hai. Kiunkeh yahaan kamaal in namoon mein say har naam kay apne bil-muqabil say mitne mein hai. Is liye is ka maqsud yeh hai kay Allah Ta’ala Rububiyat, Makhluq ki tadbeer aur deny, Rokany, Nafa’ah nuksaan, Aur Ma’afi-o-Intiqaam wagera kay zariye un mein tasarruf mein yakta aur munfarid hai. Albattah mahaz rokany, Intiqaam lenay aur nuqsaan pohnchany ki sifat kay zariye Allah ki Madah-o-Sana karna ra-o- aur durust nahi hai.

Chunacah in dohare namoon ko aik naam ki tarha samjha jaye ga jis kay ba’az huroof ko ba’az say juda karna mana’a hota hai. Lihaza unhain aik say zayada hone kay bawujood aik hi naam ki jagah samjha jaye ga.: Isi liye ye naam alihadah nahi aye hain aur Allah Ta’ala par in ka itlaaq marakkb hi kiya gya hai. Lihaza isay achi tarha samjh lo. Bina bareen agar aap یا مذل (Ay zillat deny waale) یا ضار (Ay nuqsaan pohnchany waale) یا مانع ( Ay na deny waale) kahain gy aur is ki khabar dain gy tu Allah ki Hamad-o-Sana karne -o-ale na kehlain gy taa-aankaah in kay bil-muqabil namoon ka zikar karen.

(Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/167)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents