09. Allah ke Asmaa-e-Husnaa mein se baaz Asmaa kai sifat par dalalat karte hain
Nawan Mabhas:
Allah ke Asmaa-e-Husnaa mein se baaz Asmaa kai sifat par dalalat karte hain
Imaam Ibn-e-Qayyim رحمہ الله farmaate hain:
Allah kay Asma-ul-Husna mein say ba’az naam kaai Sifaat par dalalat karte hain. Aur woh naam un tamaam Sifaat ko aise hi samaye hota hai jaise aik sifat par dalalat karne -o-ala naam us sifat ko samoye hota hai—- jaise Allah ka naam العظیم (‘Azmat waala), المجید (wusa’aton waala) aur الصمد (be niyaaz). Jaisa kay Imaam Ibn-e-Abi Hatim ki ra-o-ayat mein Ibn-e-Abbas (رضی اللہ عنہ) farmaate hain:
الصمد السید الذی قد کمل فی سؤددہ، والشریف الذی قد کمل فی شرفه، والعظیم الذی قد کمل فی عظمته، والحلیم الذی قد کمل فی حلمه—— والعلیم الذی قد کمل فی علمه، والحکیم الذی قد کمل فی حکمته، وھو الذی قد کمل فی انواع شرفه وسؤددہ، وھو اللہ سبحانه وھذہ صفته لا تنبغی الا لہ، لیس له کفو، ولیس کمثلہ شیئ
Samad woh sardaar hai jo apni sardaari mein kamaal par faiz ho aur woh Shareef-o-Buland martabah hai. Jo apni Sharafat-o-Bulandi mein baakamaal ho, Aur woh Azeem hai jo apni ‘azmat mein baakamaal ho, Aur woh Haleem-o-Burdbaar hai jo apni burdbaari mein baakamaal ho, Aur woh ilm wala hai jo apne ilm mein baakamaal ho, Aur woh Hakeem hai jo apni Hikmat-o-Danaai mein baakamaal ho, Khulasa kalam ainkeh samad woh hai jo Saharf-o-Sardaari ki tamaam qismon mein Darjah-e-Kamaal par faiz ho, Aur woh Allah Subhan-o-Ta’ala ki zaat hai. Aur yeh Allah ki aisi sifat hai jo sirf usi kay laiq hai, Koi uska hamsar nahi aur us kay misal koi cheez nahi, Allah wahid Qahaar ki zaat paak hai. (Ye alfaaz Ibn-e-Abi Hatim kay hain).
Yeh aham nuktah Asma-e-Husna ki tafseer par guftagu karne waale bohat say logon say ojhal reh gaya. Chunacah unhon nay haqeeqi -o-s’eeh ma’aina kay bagair mahaz naam ki tafseer kiya, Aur gair sha’ori tor par us mein nuqs paida kar diya. Lihaza jo is ki gehri mauloomaat na rakhe ga Asma-e-‘Azam ka haq gasab kar le ga. Aur is kay ma’aina ko zaya kar dy ga. Is liye isay achi tarha samjh lo.
(Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/168, Aedishan Maktabat-ul-Riaaz Al Hadisiyyah, Qadre tasarruf ke sath)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.