10. Wo Asmaa-e-Husnaa jo tamam Asmaa-o-Sifat ka marja hain
Daswan Mabhas:
Allah talaa ke who Asmaa-e-Husnaa jo tamam Asmaa-o-Sifat ka marja hain
Imaam Ibn-e-Qayyim رحمہ الله Surah Fatiha ki tafseer mein raqamtaraaz hain:
Jaan lena chahiye kay yeh surat puri tarha buland tareen maqaasid ki buniyaadon par mushtamil hai aur inhain khub achi tarha samoye huwe hai. Chunacah yeh surat un teen Asma kay zariye Ma’abud-e-Haqeeqi Allah Tabaarak-o-Wa Ta’ala ki ta’areef par mushtamil hai jo tamaam tar Asma-ul-Husna aur Sifaat-e-Aaliya ka Marja’ah-o-Mah-o-r aur madaar hain: Aur woh: Allah, Rabb aur Rahman hain.
Aur is surat ki buniyaad Uloohiyt, Rububiyat aur rahmat par hai. Chunacah Farmaan-e-Baari اِيَّاكَ نَعْبُدُ (Ham Teri hi ibaadat karte hain) Uloohiyt par mabni hai aur وَاِيَّاكَ نَسْتَعِيْنُ (Aur Tujh say hi madad chahte hain) Rububiyat par aur Sirat-e-Mustaqim ki rahnumai Sifat-e-Rahmat say hai. Aur Hamad, Ulohiyat Rububiyat, Aur rahmat teenon umoor ko shaamil hai. Chunacah Allah Ta’ala apni Ulohiyat Rububiyat aur rahmat teenon Sifaat mein mahmood aur Qabil-e-Tareef hai aur Majad-o-Sana Allah ki maaldaari ka kamaal hain. Isi tarha yeh surat (Al-Fatiha) kai nahiyun say nubaw-o-ton kay isbaat ko bhi shaamil hai.
- Chunkeh Allah رَبِّ الْعٰلَمِيْنَ (Saare jahaanon ka Rabb) hai is liye usy zeb nahi deta kay apne bandon ko yunhi bemaqsad chod de. Jo cheezain un kay liye Duniyawi-o-Ukhrawi zindagi mein nafa’ah bakhash hain aur Jo cheezain Duniya-o-Akhirat mein nuqsan dah hain, Unhain un ki shanaakht na karaye. Kiunkeh yeh Allah ki Rububiyat ki tanqees hai. Aur Rabb ko is cheez ki taraf mansoob karna hai jo us kay Shayaan-e-Shaan nahi. Aur jo isy Allah ki taraf mansoob kare woh Allah ki kamahaquho qadar karne waala nahi.
- Allah Subhan-o-Ta’ala kay naam “Allah” say jis kay ma’aina مالوہ yani ma’abud kay hain. Aur bandon kay pas Allah ki ibaadat ki ma’arifat ka rastah Allah ke rasuloon ke ila-o-h kuch nahi.
3. Allah ke naam “الرحمن” se, Kiunkeh Allah ki rahmat is baat se mane hai keh woh apney bandun ke sath la par-o-hi barte, Aur unhian in baton ki marifat baham na pohnchaye jis kay zari’ye woh intihaye kamaal ki rasai kar saken. Lihaza jo “الرحمن” naam ko us ka haq de ga. Khub jaan le ga kay yeh naam baarish utarne, Ghaas ugane, Aur daane nikalne say kaheen zayaada Rauloon ko bhejne aur kitaabon ko utaarne ko mutazammin (shaamil) hai. Kiunkeh jin cheezon say Qulub-o-Arwaah ko zindagi milti hai unhain in cheezon ki banisbat rahmat ki zayada zarurat hu-o- karti hai. Jin say jismon aur ashkhaas ko zindagi milti hai. Lekin jin ki ‘aqalon par pardha pada hai unhon nay is naam say mahaz chopaayon aur maweshiyon ka hissa samjha. Jabke aqal mandon nay is kay peechay kuch aur hi mu’amla samjha. ( Hashiya: Madarij-ul-Salikeen: 1/8, Aur is ke baad Allamah Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ ne Sorat-ul-Fatiha ke nubuwwaton ko mutazammin hone ke kai pahlo zikar farmay hain lekin mein sirif Asmaa-e-Husnaa ke khas pahlo par iktifaa karun ga.)
Aur surah Al Fatiha Tuheed ki teen qismon ko shaamil hai jin par tamaam Rusul (علیہم الصلاۃ والسلام) muttafiq hain aur woh yeh hain:
1: Tuheed-e-Ilmi: Is naam ki wajah yeh hai kay is ka ta’alluq Khabar-o-Ma’arifat say hai. Isy Tuheed-e-Asma-o-Sifaat bhi kaha jata hai.
2: Tuheed-e-Qasdi iraadi: Is naam ki -o-jah yeh hai kay is ka ta’alluq Qasad-o-Iraadah say hai aur is dusari qisam ki 2 qismein hain Tuheed-e-Rububiyat aur Tuheed-e-Ulohiyat. Is tarha kul 3 qismein ho jati hain.
Tuheed-e-Ilmi (Tuheed-e-Asma-o-Sifaat) ka Dar-o-Madaar Sifaat-e-Kamaal kay isbaat, Tashbeeh-o-Misaal ki nafi aur Allah Ta’ala ko Uyoob-o-Naqais say munazza aur paak karne par hai. Aur is par 2 cheezain dalalat karti hain.
Alif: Mujmal
Bey: Mufassal
Alif: Mujmal ya’ani Allah Subhan-o-Ta’ala kay liye Hamad saabit karna.
Bey: Mufassal ya’ani sifat “Uloohiyt, Rububiyat, Rahmat, Aur Milkiyat-o-Baadshahaht” ka zikar aur Asma-o-Sifaat ka Dar-o-Madaar inhi chaaron par hai.
Hamad in Sifaat ko is tor par shaamil hai kay mahmood ki Madah-o-Sataish us say muhabbat, Raza mandi aur taab’edaari kay sath us kay Sifat-e-Kamaal aur Ausaaf-o-Jamaal kay zariye hoti hai. Chunacah mahmood ki Sifaat ka inkaar karne waala isi tarha us ki muhabbat aur taab’edaari say a’airaaz karne -o-ala us ki hamad karne -o-ala nahi ho sakta. Aur mahmood ki Sifaat jis qadar zayada hongi us ki hamad utni hi kamil tar hogi. Aur us kay Sifaat-e-Kamaal jitne hi kam hongy us ki hamad mein usi qadar kami waq’e hogi.
Is liye tamaam ta’reefen Allah Subhan-o-Ta’ala kay liye hain, Baain tor kay unhain Allah kay siwa koi shumaar nahi kar sakta. Kiunkeh Allah kay Sifaat-e-Kamil aur bohat zayaada hain aur isi bunyaad par Allah ki makhluqaat mein koi Allah ki Hamad-o-Sana ka Shumaar-o-Ihatah nahi kar sakta. Kiunkeh Zaat-e-Baari Ta’ala aise Sifaat-e-Kamaal aur Ausaaf-e-Jamaal ki Malik hai jin ka shumaar us kay siwa kay liye mumkin nahi. Jaisa kay Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Irshaad hai:
“االھم انی اعوذ برضاک من سخطک، وبمعافاتک من عقوبتک، وبک منک، لا احصی ثناء علیک انت کما اثںیت علی نفسک”
“Ay Allah mein Teri naarazgi say, Teri raza-mandi ki, Teri saza aur garift say Teri Maa’afi ki aur tujh say teri panaah chahta hon. Teri tamaam Hamad-o-Sana karna mery bas mein nahi, Tu wesa hai jaise Tu nay khud apni tareef ki hai” (Sahi Muslim, Kitab-ul-Salat, Baab-o-Maa Uqalo Fil Rukoo-e-Wal Sujoodi, Hadees: 486)
Yeh Tuheed Asma-o-Sifaat par dalalat hai.
Ab raha masla in 5 namoon ya’ani “Allah, Al-Rabb, Al-Rahman, Al-Raheem aur Al-Malik” kay Allah kay Asma-o-Sifaat par dalalat karne ka tu woh 2 usolon par moquf hai:
Asal-e-Awwal: Rabb Subhan-o-Ta’ala kay Asma us kay Sifat-e-Kamaal par dalalat karte hain kiunkeh woh Sifaat say mushtaq hai. Chunacah woh Asma bhi hain aur ausaaf bhi aur isi liye woh Hasna hain warna agr woh mahaz alfaaz hote un mein koi ma’aina na hota na hi Madah-o-Sataish aur kamaal par dalalat karte. Neez Ghazab-o-Intiqaam waale namoon ka Rahmat-o-Ahsaan ki jagah isti’maal karna. Aur isi tarha is kay bar-‘aks (ya’ani Rahmat-o-Ahsaan waale namoon ka Gazab-o-Intiqaam ki jagah isti’maal) bhi jaiz hota. Maslan kaha ja sakta: Ay Allah! Mein ny apni zaat par zulam kiya hai Lihaza mujhe bakhash de kiunkeh Tu hi intiqaam lene waala hai. Aur Ay Allah! Mujhe ata farma kiunkeh Tu hi nuqsaan pohnchany -o-ala rokane -o-ala hai! Aur is jaisi deegar misalen Allah Tabaarak-o-Wa Ta’ala zalimoon ki baat say bohat Buland-o-Baala hai.
Aur Asma-ul-Husna kay ma’aina ki nafi karna Allah kay namoon mein aik bohat bada ilhaad hai. Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
وَذَرُوا الَّذِيْنَ يُلْحِدُوْنَ فِيْٓ اَسْمَاۗىِٕهٖ ۭ سَيُجْزَوْنَ مَا كَانُوْا يَعْمَلُوْنَ ١٨٠
“Aur aise logon say ta’alluq bhi na rakho jo us kay namoon mein kajrawi karte hain, Un logon ko un kay kiye ki zarur saza mile gi” ( Al Aaraf: 180)
Aur is liye bhi kay agar yeh Asma ma’aini aur Sifaat par dalalat na karte tu un kay bare mein un kay masadir kay sath batana aur Allah ko un say muttasif kiya jana jaiz na ho. Jaisa kay irshaad hai:
اِنَّ اللّٰهَ هُوَ الرَّزَّاقُ ذُو الْقُوَّةِ الْمَتِيْنُ 58
“Allah Ta’ala tu khud hi sab ka rozi rassan ta-o-nai -o-ala aur zor aa-o-r hai” (Al Zaariyat: 58)
Chunacah mauloom hu-o- kay “Al-Qawi” Allah kay namoon mein say hai aur is ka ma’aini yeh hai kay Allah Ta’ala quw-o-t ki sifat say muttasif hai. Isi tarha irshaad baari hai:
فَلِلّٰهِ الْعِزَّةُ جَمِيْعًا
“Allah Ta’ala hi ki saari izzat hai” (Al Fatir: 10)
Chunacah Azeez -o-hi hota hai jis kay pas izzat ho, Lihaza agr Allah kay liye quwwat aur izzat ka subut na hota tu us ka naam Qawi hota na Azeez. Isi tarha irshaad Baari hai:
اَنْزَلَهٗ بِعِلْمِهٖ
“Usy apne ilm say utara hai” (Al Nisaa: 166)
Aur Musalmanoon ka ijmaa’ hai kay agar koi shakhs Allah ki zindagi, Ya us ki smaa’t ya basaarat ya quw-o-t, Ya izzat ya a’zmat ki qasam khaye. Tu us ki qasam mun’aqid hogi, Aur puri na karne ki surat mein us ka kaffarah dena hoga: Kiunkeh yeh Allah kay Sifaat-e-Kamaal hain jin say Allah kay naam mushtaq kiye gaye hain.
Neez is liye kay agar Allah Subhan-o-Ta’ala kay Asma ma’aini aur Sifaat par mushtamil na hote tu Allah kay bare mein in Sifaat kay af’aal (kamoon) ki khabar dena bhi jaiz na hota, Ya’ani yeh nahi kaha ja sakta keh Allah Ta’ala sunta hai, Dekhta hai, Jaanta hai, Qudrat rakhta hai, Aur iradah karta hai wagera kiunkeh Sifaat kay ahkaam ka subut Sifaat kay subut hi ki faraa’ (hissa) hai jab asal sifat hi ki nafi ho jaye gi tu us kay hukum ka saabit hona mahaal hoga. Lihaza Allah Subhan-o-Ta’ala kay Asma kay ma’aini ki nafi karna Allah kay namoon mein sab se bada ilhaad hai. Aur Allah kay Asma mein ilhaad ki ka’ai qismen hain, Yeh un mein say aik hai.
Asal-e-dom: Allah Tabaarak-o–o-Ta’ala kay namoon mein say koi bhi naam jaise zaat aur sifat par Bator-e-Mutabaqat dalalat karta hai jis say woh naam nikala gaya ho, waisy hi woh dusari dalalaten Bator-e-Tazammun aur iltazaam bhi karta hai.
Chunaacha woh naam sirf sifatt par aur isi tarha sifatt say khaali sirf zaat par Bator-e-Tazammun dalalat karta hai. Aur dusri sifatt par Bator-e-Iltizaam dalalat karta hai.
Chunaacha Allah ka naam السمیع (Sunane waala) Zaat-e-Baari Ta’ala aur us ki smaa’at par Bator-e-Mutabaqat dalalat karta hai. Aur sirf zaat aur sirf Sifat-e-Smaa’at par Bator-e-Tazammun dalalat karta hai. Aur Allah kay naam الحی (Zinda) aur sifatt zindagi par Bator-e-Iltazaam dalalat karta hai. Yahi ma’amla Allah Ta’ala kay deegar tamaam Asma-o-Sifaat ka hai. Lekin Dalalat-e-Iltazaam hone aur na hone ki ma’arifat kay silsale mein logon kay darjaat mukhtalif hain.
Ab jab yeh donon usool saabit hogaye tu Allah ka zaati naam “Allah” teenon dalalaton, Mutabaqat, Tazammun aur iltizaam ki roshani mein Allah kay tamaam Asma-ul-Husna -o- Sifaat-e-Aaliya par dalalat karta hai.
Is liye kay yeh naam Allah ki Uloohiyt par dalalat karta hai jo Allah kay Sifaat-e-Uloohiyt kay subut ko. Un kay khilaaf umoor ki nafi kay sath shaamil hai. Aur Uloohiyt kay Sifaat ya’ani Allah Ta’ala hi tanha Ma’abood-e-Haqeeqi hai us ka koi shareek nahi. Woh Sifaat-e-Kamaal hain jo Allah Ta’ala ko Tashbeeh-o-Tamseel aur tamaam tar Uyoob-o-Naqais say munazza aur paak karte hain. Isi liye Allah Ta’ala tamaam Asma-ul-Husna ko isi azeem naam ki taraf mansoob karta hai. Jaisa kay irshaad hai:
وَلِلّٰهِ الْاَسْمَاۗءُ الْحُسْنٰى
“Aur ache ache naam Allah hi kay liye hain” (Al Aaraf: 180)
Aur yeh kaha jaye ga kay: “الرحمن, الرحیم, القدوس, السلام, العزیز, الحکیم” waghaira Allah kay namoo mein say hain, Yeh nahi kaha jaye ga kay: اللہ الرحمن kay namoo mein say hai, Na hi yeh kaha jaye ga kay Al-‘Azeez kay namoo mein say hai -o-ghaira.
Maloom huwa kay Allah ka naam “Allah” Asma-ul-Husna kay tamaam ma’aini ko lazim hai. Aur ijmaali taur par un tamaam ma’aina par dalalat karta hai aur tamaam Asma-e-Husna un Ilaahi Sifaat ki Tafseel-o-Wazaahat aur bayaan hain jin say “Allah” naam ko mushtaq kiya gaya hai. Aur “Allah” ka naam is baat par dalalat karta hai kay woh Ma’abud aur mustahaq ibaadat hai. Tamaam makhluqaat muhabbat, Ta’azeem, ‘Aajzi, Aur Hajaat-o-Zaruriyaat mein us ki taraf ghabraate huwe, Usi ki ibaadat karte hain. Aur yeh cheez Allah ki kamaal Rububiyat-o-Rahmat ko multazim hai jo dono Allah ki kamaal baadshaahat aur Hamad-o-Sana ko shaamil hai. Us ki Uloohiyt, Rububiyat, Rahmaniyat, Aur baadshaahat us kay tamaam Sifaat-e-Kamaal ko lazim hain. Kiunkeh jo zindah na ho, Sunane waala na ho, Dekhne waala na ho, Qudrat waala na ho, Bolne waala na ho, Jo chahe kar guzarne waala na ho. Aur apne kamoon mein Hakeem-o-Daana na ho us kay liye is cheez ka subut hi mahaal hai.
Aur Jalaal-o-Jamaal kay ausaaf naam “Allah” kay sath khaas hain.
Aur fa’il qudrat, Nafa’ah-o-Nuqsaan, Aur dene na dene ki tanha milkiyat, Mashiyat ki tanqeed, Kamaal quw-o-t aur makhluqaat kay ma’amla ki tadbeer naam “Al-Rabb” kay sath hain.
Aur Karam, Sakhaawat, Bhalaai, Shafqat, Ahsaan, Rahmat, aur Lutaf kay ausaaf naam “Al-Rahman” kay sath khaas hain.
Aur Allah Ta’ala nay sifatt (rahmat) kay subut aur is kay asar kay husool aur muta’alliqah umoor say is ka ta’alluq batlaane kay liye rahmat ko mukarrar zikar farmaaya. Chunaacha Al-Rahman woh hai jis ki sifatt rahmat ho, Aur Al-Raheem ya’ani apne bandon par raham karne -o-ala. Isi liye Allah Ta’ala nay farmaya hai:
وَكَانَ بِالْمُؤْمِنِيْنَ رَحِيْمًا
“Aur Allah Ta’ala mominoon par bohat hi Mehrbaan hai” ( Al Ahzaab: 43)
Yeh nahi aaya kay Allah apne bandon par Rahman hai. Na hi yeh keh mominoon par Rahman hai bawujood yeh kay naam Al-Rahman bawrozan فعلان mein is Sifatt-e-Rahmat ki wusa’at aur mosof mein is kay bharpur ma’aina ka subut hai. Kiunkeh فعلان ka wazan kushaadgi aur shamul kay liye aata hai. Isi liye Allah kay mustawi ‘arsh hone ko zayada tar isi naam kay sath joda jaata hai. Jaise Allah Ta’ala ka irshaad hai:
الرحمن عَلَي الْعَرْشِ اسْتَوٰى
“Rahman ‘arsh par mastawi hu-o-“ ( Taaha: 5)
Kiunkeh ‘arsh tamaam makhluqaat ko samoye huwe hai aur Allah ki rahmat bhi makhluqaat ko muheet aur shaamil hai, Jaisa kay Irshaad-e-Baari hai:
وَرحمتِيْ وَسِعَتْ كُلَّ شَيْءٍ
“Aur meri rahmat tamaam ashiya par muheet hai” ( Al Aaraf: 156)
Aur sahih mein Abu-Hurrairah رضي الله عنه ki hadees hai, Bayan karte hain kay Rasool Allah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya:
لما قضی اللہ الخلق کتب فی کتابه علی نفسه فھو موضوع عندہ علی العرش، ان رحمہتی تغلب غضبی، وفی لفظ ؛ فھو عندہ علی العرش۔
“Jab Allah Ta’ala nay makhluqaat ka faisla farmaaya tu aik kitaab mein apni zaat par likha jo us kay paas ‘arsh par rakhi hui hai keh meri rahmat mere gazab par gaalib rahe gi” Aur aik riwayt mein hai keh woh kitaab Allah kay paas ‘arsh par hai. (Sahi Bukhari, Kitab-o-Bad-e-Al Khalaq, Baab-o-Maa Jaa Fi Quolillahi Talaa: وَهُوَ الَّذِيْ يَبْدَؤُا الْخَــلْقَ ثُمَّ يُعِيْدُهٗ وَهُوَ اَهْوَنُ عَلَيْهِ (Al Room: 27),
Hadees: 3194, Wa Sahi Muslim, Kitab-ul-Taubah, Baab Fi Siat-e-Rahmat-e-Allah Talaa: وانھا سبقت غضبہ Hadees: 2751)
Rahmat kay zikar kay sath us kitaab ki khasusiyat aur us kay apne paas ‘arsh par rakhne par zara gaor karen. Aur usay Farmaan-e-Baari Ta’ala:
الرحمن عَلَي الْعَرْشِ اسْتَوٰى
“Rahman ‘arsh par mastawi hu-o-“ ( Taaha: 5)
Aur isi tarha:
ثُمَّ اسْتَوٰي عَلَي الْعَرْشِ ڔ اَلرحمہٰنُ فَسْـَٔــلْ بِهٖ خَبِيْرًا 59
“Phir ‘arsh par mastawi huwa, Woh Rahman hai, aap Us kay bare mein kisi khabrdaar say puch len” ( Al Furqaan: 59)
Kay sath mila kar dekhen. Aap kay saamne Rab Subhan-o-Ta’ala ki ma’arifat ka bada azeem darwazah khule ga, Bashartye-keh Ta’ateel-o-Tajheem nay aap kay liye usy band na kar rakha ho.
Aur ‘Adal-o-Insaaf Phelaane-o-Samaitne, Past-o-Buland karne, Dene na dene, Izzat-o-Zillat dene, aur Qahar-o-Faisla wagera Sifaat naam “المالک” kay sath khaas hain. Aur Allah nay usy faisla kay din (qayaamat) kay sath khaas kiya hai, Ya’ani Adal-o-Insaaf kay mutabiq badla ka din: Kiunkeh us din Hukum-o-Faisla ka Maalik tanha Allah hi hoga, Aur is liye bhi kay woh haqeeqi din hoga. Us say pehly ka arsa aik ghadi ki maanind hoga: Neez is liye bhi kay Matloob-o-Maqsood din wahi hoga. Duniya kay din mahaz us din tak pohanchany kay marahil hain.
Aur Farmaan-e-Baari:
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِيْنَ Ǻۙ الرحمہٰنِ الرَّحِيْمِ Ąۙ مٰلِكِ يَوْمِ الدِّيْنِ Ǽۭ
“Sab tareef Allah kay liye hai jo tamaam jahaanon ka paalne waala hai. Bara Mehrbaan, Nihayat raham karne waala, Badle kay din ya’ani qayamat ka Maalik hai” (Al Fatiha: 1-3)
Mein in namoon ko hamad kay baad zikar karne aur hamad ko in namoon kay Mazmoon-o-Maqsood par isti’maal karne say m’aalum hota hai kay Allah Subhan-o-Ta’ala apni Ulohiyat mein bhi Laiq-e-Tareef hai, Apni Rububiyat mein bhi Laiq-e-Tareef hai, Apni Rahmaniyat mein bhi Laiq-e-Tareef hai, Aur apni baadshaahat mein bhi Laiq-e-Tareef hai, Aur woh hamad shudah Ma’abood hai, Hamad shudah Rabb hai aur hamad shudah baadshah hai. Khulasah ainkeh har qisam ka kamaal Allah hi kay liye hai.
Alihadah aik naam ka kamaal, Alihadah dusare naam ka kamaal, Aur donon namoon kay baham milne ka kamaal. Is ki misaal Allah Ta’ala kay yu farameen hain:
وَاللّٰهُ غَنِيٌّ حَمِيْدٌ
“Aur Allah tu hai hi bohat be-niyaaz, Sab khubiyon waala” (Al Taghabun: 6)
وَاللّٰهُ عَلِيْمٌ حَكِيْمٌ
“Aur Allah Ta’ala janane -o-ala, Hikmat waala hai” ( Al Nisaa: 26)
وَاللّٰهُ قَدِيْرٌ ۭ وَاللّٰهُ غَفُوْرٌ رَّحِيْمٌ Ċ
“Allah ko sab qudraten hain, Aur Allah (bada) Gafur Raheem hai” (Al Mumtahinah: 7)
Chunaacha be-niyaazi Sifatt-e-Kamaal hai, Aur “hamad” Sifatt-e-Kamaal hai, Aur Allah ki be-niyaazi ka hamad kay sath yakjaah hona bhi kamaal hai. Aise Allah ka ilm kamaal hai, Aur hikmat kamaal hai, Aur ilm ka hikmat kay sath yakja hona bhi kamaal hai.
Isi tarha Allah ki qudrat kamaal hai, Aur us ki magfirat bhi kamaal hai, Aur Qudrat-o-Magfirat ka yakja hona bhi kamaal hai. Isi tarha qudrat kay ma’aini bhi kamaal hai, irshaad hai:
اِنَّ اللّٰهَ كَانَ عَفُوًّا غَفُوْرًا
“Beshak Allah Ta’ala ma’aaf karne waala, Bakhshane waala hai” (Al Nisaa: 43)
Kiunkeh har qudrat waala maa’af nahi karta, Na har maa’af karne waala qudrat hote huwe maa’af karta hai, Na har janne waala Haleem-o-Burdbaar hota hai, Aur na har Haleem-o-Burdbaar ‘ilm waala hota hai, Lihaza Hilm-o-Ilm, Maa’afi-o-Qudrat, Baadshaahat-o-Hamad-o-Sana, Aur Izzat-o-Rahmat say zayada khubsurat kisi do wasaf ko baham yakja nahi nahi kiya gya. Irshaad-e-Baari hai:
وَاِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيْزُ الرَّحِيْمُ ١٩١ۧ
“Beshak Allah Ta’ala ma’aaf karne waala bakhshane waala hai” (Al Shuraa: 191)
Aur is mein nihayat wazih daleel hai keh Rabb Subhan-o-Ta’ala kay Asma kuch Ausaaf-o-Ma’aini say mushtaq hain, Jo us say wabastah hain, Aur har naam kay sath Allah ka jo bhi fa’il ya hukum mazkur hai ya us kay sath milaya gya hai, Woh is kay munasib hai, Aur Allah hi durusti ka tufeeq dahandah hai. ( Hashiya: Madarij-ul-Salikeen Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 124-37, Bitasarrufin)
Sail jab (اللھم انی اسئلک ) “Ay Allah ma tujh say sawaal karta hon) Kehta hai tu woh goya yeh kehta hai kay: Mein us Allah kay Asma-o-Sifaat kay waseelay say Dua karta hon jis kay ache ache naam hain aur Buland-o-Bartar khubiyaan hain. Chunaacha Allah kay akheer mein “meem” lgata hai jis say jama’ah ka pata chalta hai, Yeh batlaane kay liye kay woh Allah Ta’ala say us kay tamaam Asma kay waseelay say dua kar raha hai, Jaisa kay Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) nay sahih hadees mein farmaya:
“ما اصاب احدا قط ھم ولا حزن، فقال، اللہم انی عبدک ابن عبدک ابن امتک، ناصیتی بیدک، ماض فی حکمک، عدل فی قضاؤک، اسالک بکل اسم ھو لک سمیت به نفسک، او علمته احدا من خلقک، او انزلته فی کتابک او استاثرت به فی علم الغیب عندک ان تجعل القرآن ربیع قلبی ونور صدری وجلاء حزنی وذھاب ھمی، الا اذھب اللہ ھمه وحزنه، وابدله مکانه فرحا، قال فقیل یا رسول اللہ! ان لا نتعلمھا بلی ینبغی لمن سمعھا ان یتعلھما”
“Jab kisi banda ko koi fikar ya Ranj-o-Gam lahaq ho aur woh yeh dua padh le: Ay Allah mein tera banda hon, Tere bande ka beta hon, Teri baandi ka beta hon, Meri peshani tere hath mein hai, Mere silsaly mein tera faisla teh hai, Mere baare mein tera faisla mabni bar adal hai, Mein tere har us naam kay waseelay say dua karta hon jo tera hai, Jo yu nay apna naam rakha hai, Ya tu nay apni kitaab mein utara hai, Ya tu nay apni makhluq mein say kisi ko sikhaya hai, Ya tu ny apne Ilm-e-Gaib mein usay chupa rakha hai keh tu Quran Kareem ko mere Dil ki bahar aur mere seenay ka noor bana de. Aur mere gam ka mada-o- aur mere Ranj-o-Malaal ko khatam karne -o-ala bana de” Tu Allah Ta’ala us ka Ranj-o-Gam taal de ga, Aur usy Farhat-o-Musarrat say badal de ga. Sahaba nay arz kiya “Ay Allah kay Rasool! Kya ham isy seekh na len? Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: kyun nahi, Yeh dua jo bhi suny usay yaad kar Lena chaahiye. ( Musnad-e-Ahmad: 1/391, Musnad-e-Abu Yaala: 9/198-199, Wa Mustadrak Hakim: 1/509-510, Wa Amal-ul-Yaom Wal Lailati Libn-e-Sunni, Hadees: 339-340. Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ne asy Silsilat-ul-Sahiha (1/337) mein Sahi qarar dia hai.)
Lihaza dua karne -o-ale ko chahiye kay Allah Ta’ala say us kay Asma-ul-Husna aur Sifaat-e-Aaliyah kay waseela say dua kare. Jaisa kay Ism-e-Aazam mein hai:
اللھم انی اسئلک بان لک الحمد، لا الہ الا انت المنان، بدیع السماوات والارض، یا ذا الجلال والاکرام، یا حیی یا قیوم۔
“Ay Allah mein tujh say is waseela say sawal karta hon kay tamaam ta’reefen tere hi liye hain, Tere siwa koi ma’abud nahi, Tu ahsaan farmaane waala, Aasmaan aur zameen ko az-sare nao wujood bakhshany wala hai. Ay Jalal-o-Azmat aur karam waale, Ay hamesha zinda rehny waale, Ay thaamne waale.” (Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Witri, Baab-ul-Duaa, Hadees: 1495 Wa Jame Tirmizi, Kitab-ul-Dawat, Baab: 99, Hadees: 3544, Wa Sunan Ibn-e-Majah, Kitab-ul-Duaa, Baab-o-Ism-e-Allah-e-Al Aazam, Hadees: 3858, Wa Sunan Al Nasai, Kitab-ul-Sahao, Baab-ul-Duaa Baad-e-Al Zikri, Hadees: 1298. Aur Allama Albani رحمہ اللہ ne isy Sahi Sunan Abu Dawood (Hadees: 1495) mein sahi qarar dia hai.)
Aur dua ki 3 qismen hain:
1: Aap Allah Ta’ala say us kay Asma-o-Sifaat kay waseelay say mangen.
2: Aap Allah Ta’ala say apni mohtaajgi, Faqeeri aur inkasari kay zari’ye say mangen. Aur kahain: Mein Faqeer, Miskeen, Zaleel, Panaah ka talabgaar banda hon. wagera.
3: Aap apni hajat ka sawal karen, Mazkurah donon baaton mein say kuch bhi zikar na karen, Tu pehli qisam dusari say kamil tar hai, Aur dusari qisam teesari say kamil tar hai. Aur agr dua mein teenon cheezain ikatthi ho jaen tu sab say behtar hai. Aur Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ki duain aksar aisi hi huwa karti theen.
Chunaacha Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Sadiq-e-Akbar رضي الله عنه ko jo dua sikhaai us mein mazkurah teenon qismein mujood hain:
1: Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay shuru mein farmaya:
“اللھم انی ظلمت نفسی ظلما کثیرا”
“Ay Allah mein nay khud par bada zulam kiya” ( Sahi Bukhari, Kitab-ul-Aazan, Baab-ul-Duaa Qabal-al-Salami, Hadees: 834, Wa Sahi Muslim, Kitab-ul-Zikri Wal Duaa Wal Taubati Wal Istighfari, Baab-o-Istihbab-e-Khafz-e-Al Saoti Bil Zikri, Hadees: 2705)
Yeh dua karne waale ki haalat hai.
- Phir farmaaya:
“ولا یغففرالذنوب الا انت”
“Aur Tere siwa koi gunahon ki magfirat nahi kar sakta”
Yeh masool (jis say dua ki ja rahi hai ya’ani Allah Ta’ala) ki halat hai.
- Phir farmaaya “فاغفرلی” “Lihaza meri magfirat farma”
Ya’ani apni hajat ka zikar kiya, Aur dua ko Allah kay Asma-ul-Husna mein say do namoon kay zariye khatm kiya. Jo maqsood kay munasib aur is kay taqaazah kay mutabiq hain. Phir Imaam Ibn-e-Qayyim رحمہ الله farmaate hain: Yeh qol jo ham nay ikhtiyaar kiya hai salaf mein ka’ai logon say aya hai:
Imaam Hasan Basari رحمہ الله farmaate hain “اللھم” dua ka sangam hai.
Aur Abu Rajaa ‘Aatardi farmaate hain: “اللھم” ki meem mein Allah kay namoon mein say 99 naam hain.
Aur Nazar Bin Shumail farmaate hain: Jis nay “اللھم” kaha us nay Allah kay tamaam Asma kay waseelay say dua kiya. (Al Tafseer-ul-Qayyim Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ, Page: 210-211. Boht mamoli Tasarruf ke sath.)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.