12. Chand batein jin ki maloomaat honi chaheye
Barwah Mabhas:
Chand batein jin ki maloomat honi chaheye
Pehli baat: Jo cheezain Allah Tabaarak-o-Wa Ta’ala kay baare mein khabar dene kay baab mein daakhil hain woh Allah kay Asma-o-Sifaat kay baab mein aane wali cheezon say wase’eh tar hain. Jaise cheez mujood, Qaim binafsihi (khud qaim): wagera kiunkeh in baton kay zariye Allah kay baare mein khabar di jaati hai. Yeh Allah kay Asma-ul-Husna aur Sifaat-e-Aaliya mein dakhil nahi hoti.
Dusari baat: Jab koi Sifatt-e-Kamaal aur nuqs do hisson mein taqseem ho th woh mutlaq taor par Allah kay namoon mein shaamil na hogi. Balkehh is sifatt ka siraf kamaal Allah par bola jaye ga. Jaise: مرید (iraadah karne wala), فاعل (kaam karne wala), صانع (banaane wala) ye alfaaz Allah kay Asma mein daakhil nahi hongy. Is liye Allah Ta’ala ko mutalqan صانع ka naam dene wale ki baat ghalat hai. Balkeh Allah Ta’ala (فعال لما یرید) (jo chahe use kar guzarne wala hai) kiunkeh iraadah, f’ail aur suna’ai ki kai qismein hain. Isi liye Allah nay apni zaat kay liye woh pehlu isti’maal farmaaya hai jo F’ail-o-Khabar kay ‘aitbaar say kaamil tareen hai.
Teesari baat: Allah Ta’ala kay silsale mein kisi baat ki muqayyad khabar dene jaane say laazim nahi aata kay us say Allah ka mutlaq naam mushtaq kiya jaye, Jaisa kay ba’az mutaakhrin nay is maasle mein ghalati ki hai. Aur “المضل” (gumrah karne wala), “الفاتن” (Fitnaah-o-Azmaish mein daalne wala) aur “الماکر” (makruh chaal chalne wala) wgera ko Allah kay Asma-ul-Husna mein shaamil kar diya hai. Is ki baat say Allah Buland-o-Bartar hai: Kiunkeh Allah Ta’ala nay un namoon ko apni zaat kay liye chand Makhsoos-o-Ma’yyan af’aal mein isti’maal kiya hai, Lihaza in kay zariye Allah Ta’ala ka mutlaq naam rakhna jaiz nahi. Wallah-o-‘Alam.
Chothi baat: Allah kay Asma-ul-Husna a’alaam (naam) aur ausaaf (donon) hain. Aur in kay zariye Allah ko mosuf karna ‘almiyat kay munaafi hai. Barkhilaf bandon kay Sifaat kay, Keh woh un ki ‘almiyat kay munaafi hain: Kiunkeh un kay Sifaat mushtarik hain, Lihaza khaas ‘almiyat say us ki nafi ho jati hai, Barkhilaf Allah Ta’ala kay ausaaf kay (kay un mein ishtirak nahi hai)
Paanchween baat: Allah kay Asma-ul-Husna ki do haisiyaten hain: Aik zaat ki haisiyat aur dusare Sifaat ki haisiyat, Chunaacha woh pehly kay aitbaar say mutraadif hain aur dusare kay aitbaar say judagaanah.
Chathi baat: jo baten Asma-o-Sifaat kay baab mein Allah Ta’ala par boli jati hain woh tauqeefi hain aur jo batain Allah Ta’ala kay baare mein khabar dene kay baab mein boli jaati hain un ka tauqeefi hona zaruri nahi, Jaise qadeem cheez, Mujood, Aur qaim binafisihi. Allah Ta’ala kay Asma kay masla mein kay aaya woh tauqeefi hain ya Allah kay baare mein ba’az aisi cheezain bhi boli ja sakti hain jo Kitaab-o-Sunnat mein warid nahi hain. Faisla Kun baat hai.
Satween baat: jab Allah Ta’ala par naam ka itlaaq kiya jaye tu us say masdar aur fa’il mushtaq karna jaiz hai. Chunaacha Allah kay baare mein fa’il aur masdar ki haisiyat say khabar di ja sakti hai. Jaise السمیع, البصیر, القدیر jaise namoon say masdar, Samaa’t, Basarat aur qudrat ka isti’maal kiya ja sakta hai. Isi tarha af’aal kay zariye bhi khabar di ja sakti hai. Jaise قَدْ سَمِعَ اللّٰهُ (yaqeenan Allah Ta’ala nay suni) (فقدرنا فنعم القدرون) (phir ham nay andaza kiya aur ham kya khub andaza karne -o-ale hain) lekin yeh us surat mein jab fa’il muta’adi ho. Agr fa’il lazim ho tu us kay zariye Allah kay baare mein khabar nahi di jaye gi. Jaise “الحی” balkeh Allah par sirf ism aur masdar ka isti’maal kiya jaye ga fa’il ka nahi. Chunaacha “حی” ya’ani zinda hu-o- nahi kaha jaye ga.
Aathween baat: Allah Tabaarak-o-Wa Ta’ala kay afa’aal us kay Asma-o-Sifaat say sadir hote (nikalte hain) aur makhluqaat kay naam un kay afa’al say sadir hote (nikalte hain) Chunaacha Allah kay afa’al us kay kamaal say hain aur makhluq ka kamaal us ka af’aal say hai. Is liye makhluq kay naam us -o-qat mushtaq kiye gaye jab woh fa’il kay zariye kamaal ko pohanch gaya. Jabke Rabb Subhan-o-Ta’ala azal say hi kaamil hai. Bina bareen us kay kay aaf’al us kay kamaal say sadir huwe hain, Woh kaamil huwa phir Kya. Aur makhluq nay kiya phir is kamaal ko pohancha jo us kay laiq aur mozun hain. (Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/161-162, mamoli tasarruf ke sath.)
Naween baat: Sifaat ki teen qismen hain, 1: Sifaat-e-Kamaal. 2: Sifaat-e-Nuqs. 3: Aur woh Sifaat jo kamaal ya nuqs ki mutaqaazi nahi hain. Agarcheh kay taqdeeri chothi qisam ki bhi mutaqaazi hai, Ya’ani woh Sifaat jo do aitbaar say kamaal aur nuqs donon ki hon. Allah Ta’ala in teenon qismon say munazza aur paak hai. Siraf pehli qisam say muttasif hai. Us kay tamaam ausaaf Kamaal-e-Mahaz hain. Woh akmal tareen Sifaat say muttasif hai jo kamaal kay a’alaa martabah ki hain. Isi tarha Allah kay Asma jo us ki Sifaat par dalalat karte hain sab say umdaah aur akmal tareen hain. Namoon mein say un say acha aur piyara naam nahi ho sakta, Na koi naam un kay qaim muqaam ho sakta hai. Na un ka ma’aina aada kar sakta hai. In mein say kisi naam ki tafseer kisi dusare naam kay zariye khaalis mutraadif kay zariye tafseer nahi. Balkeh samjhaane aur qareeb karne kay liye hain. Jab aap nay yeh baat jaan li tu Allah ki har sifatt kamaal say us ka ‘umdaah tareen, Akmal tareen, Ma’aini say pur, Aur har qisam kay ‘Aib-o-Nuqs kay shaibah say nihayat dur aur paakeezah tar naam saabit hai. Chunaacha ‘Ilm-o-Idraak ki khubi mein is ki sifatt ‘aaqil faqiyah ki bajaye “Al-A’alim, Al-Khabeer” aur Saam’ah, Baasir, aur Naazir kay bajaye “Al-Same’eh, Al-Baseer” hai. Aur ahsaan ki khubiyon mein us ki Sifaat Shufuq -o-ghaira kay bajaye “Al-Barr, Al-Raheem, Al–o-dud” hain. Isi tarha woh Rafee’-o-Shareef kay bajaye “العلی العظیم” hai. Isi tarha Sakhi kay bajaye “Al-Kareem” hai. Aur fa’il, صانع, مشکل kay bajaye “الخالق, الباری, المصور” hai. Aur صفوح -o- ساتر kay bajaye “الغفار, العفو” hai. Yahi haal Allah Ta’ala kay tamaam namoon ka hai. Allah Ta’ala apni zaat kay liye in mein say akmal tareen, Nihayat umdaah, Aur jis ka koi qaim maqaam na ho aise namoon ka itlaaq farmaata hai. Isi tarha Allah kay Sifaat bhi akmal tareen Sifaat hain. Lihaza Allah nay jo apne naam rakhe hain unhain chod kar dusare ki taraf maail na hona, Isi tarha Allah kay apne baare mein bataye huwe aur us kay Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) kay bataye huwe ausaaf say agay badh kar baatil parast mu’attiloon (Munkareen-e-Sifaat) kay banaye huwe ausaaf ki taraf na jana.
(Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/167-168, Boht mamoli tasarruf ke sath.)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.