13. Allah ke Asmaa-ul-Husna ke shumar ke maratib Jannati
Terwah Mabhas:
Allah ke Asmaa-ul-Husna ke shamar ke maratib jin ka shamar karne wala jannat mein dakhil ho ga
Yeh Allah kay Asma-ul-Husna kay shumaar kay maraatib hain jin ka shumaar karne wala jannat mein daakhil hoga. Aur yahi Sa’adat-o-Naik bakhti ka mahwar aur Nijat-o-Kamraani ka sarchashma hai.
Pehla martabah: Asma-ul-Husna kay Alfaaz-o-Ta’adaad ka shumaar.
Dusara martabah: Un kay Ma’aini-o-Mafaheem ko samjhna.
Teesara martabah: Un kay zariye Allah say dua karna. Jaisa kay Allah ‘Az-o-jal ka irshaad hai:
وَلِلّٰهِ الْاَسْمَاۗءُ الْحُسْنٰى فَادْعُوْهُ بِهَا ۠
“Aur ache ache naam Allah hi kay hain so in naamon say Allah he ko musoom kiya karo”
[Al Aaraf: 180]
Aur is kay do maratib hain:
- Hamad-o-Sana-o-Ibaadat,
- Dua-e-Talab-o-Sawal.
Chunaacha Allah Ta’ala ki Hamad-o-Sana us kay Asma-o-Sifaat aur Sifaat-e-‘Aaleya hi kay zariye ki jaye gi.
Is se unhi ke zariay sawal kia jay ga. Aey Mujood! Ya aey cheez, Ya aey zaat meri maghfirat farma aur mujh par raham farma, Nahi kaha jay ga; Balkeh har zarorat ke waqt us ke name ke waseelah se dua ki jay gi jo us zarorat ke mutaqazi ho, Lihaza dua karne wala usi name ke zariey Allah ka waseelah qaim kare ga. Jo rasuloon ki duaaon Bilkhusoos rasuloon ke Khatam-o-Imam علیھم السلام ki duaaon par ghor kare ga, Isi ke mutabiq pay ga. Aur yeh tabeer un logon ki tabeer se bahtar hai jo kahte hain: یتخلق اللہ باسماء اللہ ( Yaani Allah ke namon ke zariea Izhar-e-Bandagi kare) Kiunkeh yeh tabeer durust nahi hai. Is liy yeh falasifah ke is quol se nikli hai jo taqat ke mutabiq Ilah ki mushabahat ikhtiar ke qail hain. Aur jo is se bahtar Abul Hakam bin Burhan ki tabeer التعبد hai aur is se bahtar woh tabeer hai jo quraan kareem ke mutabiq hai, Yaani الدعاء jo ibadat aur sawal donon ko shamil hai. Is tarah is ke char maratib hain. Jim mein sab se ghinaoni tabeer falasifah ki التشبہ hai, Aur is se bahtar tabeer التخلق kahne walon ki hai, Aur is se bahtar tabeer التعبد kahne walon ki hai, Aur sab se umdah tabeer الدعاء hai jo quraan kareem ka lafz hai.
(Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/164)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.