Search
Sections
< All Topics
Print

14. Asmaa-ul-Husnaa ki tadad mahdood nahi

Chodhwan Mabhas:

Asmaa-ul-Husnaa ki tadad mahdood nahi

 

Allah kay Asma-e-Husna Hasar-o-Shumaar kay dairay mein nahi atay, Na hi un ki koi mahmood ta’adaad hai. Kiunkeh Allah Ta’ala nay kuch Asma-o-Sifaat ko apne paas ‘Ilm-e-Gaib mein chupa (khaas kar) rakha hai. Jis ka ‘ilm kisi muqarrab farishte ko hai na Nabi-e-Mursal ko. Jaisa kay sahih hadees mein hai:

 

اسالک بکل اسم ھو  لک سمیت به نفسک، او علمته احدا  من خلقک، او انزلته فی کتابک، او استاثرت به فی علم الغیب عندک”

 

“Mein Tere har us naam kay -o-seelay say dua karta hon jo tera hai, Jo tu nay apna rakha hai, Ya tu nay apni kitaab mein utara hai, Ya tu nay apni makhluq mein say kisi ko sikhaya hai. Ya tu nay apne ‘Ilm-e-Gaib mein isy chupa rakha hai”

(Musnad-e-Ahmad: 1/391, Wa Musnad Abu Yaala: 9/198-199, Wa Mustadrak Hakim: 1/509-510, Wa Amal-ul-Yaom Wal Lailati Libn-e-Al Sunni, Hadees: 339-340, Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ny ise Al Silsilat-ul-Sahihah (1/337) mein Sahi qarar dia hai. Neez Dikhiy: Takhreej-ul-Kalim-e-Al Tayyib, Page: 73)

 

Chunaacha Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Allah kay namoon ki teen qismen ki hain:

 

1: Jo khud Allah nay apna naam rakha hai, Chunaacha usy apni marzi kay mutabiq apne farishton ya deegar logon kay liye zaahir kiya hai, Unhain apni kitaab mein nahi utara hai.

2: Jo Allah nay apni kitaab mein utara, Aur us kay zariye bandon nay Allah ko pehchana hai.

3: Jisay Allah nay apne ‘Ilm-e-Gaib mein chupa rakha hai, Apni makhluq mein say kisi ko is say agaah nahi kiya hai.

 

Isi liye farmaaya “استاثرت به” (Tu nay usay chupa rakha hai) ya’ani sirf tujhe hi us ka ‘ilm hai, Is ka yeh maqsad nahi hai kay woh naam rakhne mein munfarid hai, Kiunkeh yeh infradiyat in Asma mein bhi saabit hai jinhain Allah nay apni kitaab mein utara hai, Aur isi qabeel say hadees shafa’at mein Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka yeh farmaan hai:

 

“فیفتح اللہ علی من محامدہ بما لا اقدر علیه الان”

 

“Us -o-qat Allah Ta’ala mujh par apni ta’reefon kay aise alfaaz khole ga jo abhi mere bas mein nahi hain” (Sahi Muslim, Kitab-ul-Imaan, Baab-o-Adnaa Ahl-e-Al Jannti Manzilatan fiha, Hadees: 193-194)

 

Aur yeh ta’areefen Allah kay Asma-o-Sifaat kay zariye puri hongi.

 

Isi tarha Nabi Kareem ka irshaad hai:

 

“لا احصی  ثناء علیک انت کما اثنیت علی نفسک”

 

“Teri tamaam tar Hamad-o-Sana karna mere bas mein nahi, Tu -o-isa hai jaisa tu nay khud apni ta’areef ki hai”

(Sahi Muslim, Kitab-ul-Salat, Baab-o-Maa Uqaal Fil Rukoo-e-Wal Sujood, Hadees: 486)

 

Raha Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ka yeh farmaan:

 

“ان للہ تسعۃ وتسعین اسما من احصاھا دخل الجنۃ”

 

“Allah Ta’ala kay 99 naam hain, Jis nay unhain shumaar kiya woh jannat mein daakhil hoga” (Sahi Bukhari, Kitab-ul-Shuroot, Baab-o-Maa Yajuzo Mina-al-Ishtirat-e-Wal Sunya Fil Iqrari, Hadees: 2736, Wa Muslim, Al Zikri Wal Duaa Wal Taubati Wal Istighfari, Baab Fi Asmaa-e-Allah Talaa Wafaz-e-Man Ahsaha, Hadees: 2677, Aur Imam Hafiz Ibn-e-Hajar رحمہ اللہ ne is ki sarah Fath-ul-Bari mein farmai hai: 1/214, 2/228. Aur Hadees ke akheer mein hai: وھو وتر یحب الوتر

( Aur woh taaq yaani akela hai jis ka koi sharik nahi aur taaq ko pasand karta hai.)

 

Toh woh aik hi jumlah hai. Aur Farmaan-e-Nabwi: من احصاھا دخل الجنته” (jis nay inhain shumaar kiya woh jannat mein daakhil hoga”) mustaqbil ki khabar nahi balkeh is ki sifatt hai.

 

Ma’ana yeh hai kay yun to Allah kay namoon ki ta’adaad bohat badi hai lekin in 99 namoon ki khubi yeh hai kay jo inhain shumaar kare ga jannat mein daakhil hoga. Is say Allah Ta’ala kay liye in kay ilaa-o-h deegar namoon ki nafi nahi hoti. Is ki misal yun hai jaise aap kahen: Falaan kay paas 100 ghulaam hain jinhain us nay jihaad kay liye tayyar kar rakha hai, Tu is say is baat ki nafi nahi hoti kay us kay paas un 100 kay ila-o- deegar ghulam bhi hon jo jihaad kay ila-o- dusare kamoon kay liye tayyar kiye gaye hain. Aur is mein ‘ulama kay darmeyaan koi ikhtilaaf nahi. (Hashya: Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/166-167, Neez dikhiy: Fatawa Ibn-e-Taimiyah رحمہ اللہ: 6/379-382)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents