Search
Sections
< All Topics
Print

15. Allah ke Asmaa-ul-Husnaa ki sharah [Awwal, Aakhir, Zaahir, Baatin]

Pandarwah Mabhas:

Allah ke Asmaa-ul-Husnaa ki sharah

( Mein ny Allah ki aasani ke mutabiq Allah ke Asmaa-e-Husnaa jama kia aur har name ke liy Kitab-ul-Allah Ya Sunnat-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم ki aik daleel zikar ki. Phir in tamam namon ko apne shaik Adul Azeez bin Abdullah bin Baaz رحمہ اللہ ko paish kia. Jin namon ko unhon ne baqi rakha mein ny unhain Shamil-e-Kitab kia aur jin mein unhon ne tawaqquf kia ya nafi ki mien ne use nikal dia. Yahan tak keh mery paas sahih dalaik ke sath so (100) se zayadah Asmaa-e-Husnaa jama ho gay. Phir mein ne in namom mein se ninanwy namon ko muntakhab kia aur un ki mukhtasar sarah ki, Aur sarah ko muhaqqiqeen aur Ilm-e-Aqeedah ke baab mein pukhtah ilm walon ke maraje sy naqal kia; Jaise Shaik-ul-Islam Ibn-e-Taimiyah, Un ke shagrid Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ aur Allamah Abdul Rahman bin Nasir Saadi رحمہم اللہ.

Aur mien ne jin namon ko apne shaik ko paish kia aur unhon ne baqi rakha, Un mein se jin namon ka is sarah mein zikar nahi kia hai, Yeh hain: المستعان ( Madad manga jane wala), المسعر (Cheezon ko sasta mahnga karne wala), طیب ( Pakeezah), الوتر (Taaq Yaani tanha jis ka koi sharik nahi).

Isi tarah baaz ahadees mein kuch aur bhi name ay hain jinhain mein ne apne shaik ko pahis nahi kia, Na hi is sarah mein shamil kar saka hon, Jin mien se baaz ye hian:

 

1: الجواد: (Sakhi, Fayyaz) Kiunkeh Nabi-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki Hadees hai:

 

ان اللہ جواد یحب الجود ( Yaqeenan Allah sakhi hai, Sakhawat ko pasnad karta hai)

 

Isy Imam Abu Nuaeem Asfahani ne Al Hilyah mein riwayat kia hai: 3/26, 5/29. Aur Allamah Albani رحمہ اللہ  ne Sahih Al Jame (2/105, Hadees: 1740) mein Sahih qarar dia hai, Neez Silsilat-ul-Ahadees-e-Al Sahihah (4/169, Hadees: 1627) mien aur Hijab-ul-Marat-e-Al Muslimah (Page: 11) mien Zikar farmaya hai.

 

2: الدیان: (Ghalib, Qahhar), Kiunkeh Nabi-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki Hadees hai:

 

یحشر الناس یوم القیامۃ حفاۃ عراۃ غرلا، ثم ینادیھم بصوت یسمعہ من بعد کما یسمعہ من قرب ، انا الملک، انا الدیان

 

Qayamt ke din logon ko nange jisam, Ghair makhton aur khali hath ikatha kia jay ga, Phir Allah unahin aisi awaz se pukary ga jisy dor nazdeek wale yaksan sunain ge! Mein badsah hon, Mein Hisab laine wala ya Ghalib hon. (Isy Imam Ahmad: 3/495, Aur Imam Hakim ne (4/574) riwayat kia hai, aur unhon ne sahih qarar dia hai, Aur Imam Zahabi ne un ki muwafaqat farmai hai. Isi tarah Ibn-e-Abi Asim ne Al Sunnah (1/225, Hadees: 514) , Aur Baihaqi ne Al Asmaa Wal Sifat (1/139-140) mien riwayat kia hai, Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ne Al Sunnah Libn-e-Abi Asim ki takhreej mein isy sahih kaha hai. Neez Dikhiy: Fath-ul-Bari Az Hafiz Ibn-e-Hajar رحمہ اللہ: 1/209, 13/465)

 

Aur الدیان ka maana القھار hai. ( Al Nihayah Fi Ghareeb-e-Al Hadees: Az Ibn-ul-Aseer: 2/149)

 

3: المحسن kiunkeh Allah ke Rasool صلی اللہ علیہ وسلم ki hadees hai:

 

ان اللہ محسن یحب المحسنین وفی لفظ ان اللہ محسن یحب الاحسان

 

Be shak Allah talla achai karne wala hai, Achai karne walon se muhabbat karta hai. Aur aik riwayat mein hai: Be shak Allah talaa achai karne wala hai, Achai ko pasnad karta hai.

 

Aur aik riwayat mein hai: Isy Imam Tabarani ny Al Mujam-ul-Kabeer ( 3/332) mien aur Imam Abdul Razaq ne Al Musannaf ( Hadees: 8603) mein riwayat kia hai, Aur Allamah Albani رحمہ اللہ  ny isy Sahih Al Jame (2/129, Hadees: 1819-1820) mein sahi qarar dia hai aur Silsilat-ul-Ahadees-e-Al Sahihah (1/76, Hadees: 470) mein zikar farmaya hai.)


1 الاول (pehla)        2. الآخر( aakhri)         3. الظاھر (Zaahir-o-Ghalib)   4. الباطن (poshidah)


 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

 

هُوَ الْاَوَّلُ وَالْاٰخِرُ وَالظَّاهِرُ وَالْبَاطِنُ

 

“wahi pehly hai aur wahi peechay, wahi Zaahir hai aur wahi makhfi” [Al Hadeed:  3]

 

Yeh Allah Ta’ala kay 4 baa-barkat naam hain jin ki Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) nay jam’e aur -o-zih tafseer farmaai hai, Chunaacha apne Rabb Subhan-o-Ta’ala ko mukhatib karte huwe farmaate hain:

 

“اللھم انت الاول فلیس قبلک شیء وانت الاخر فلیس  بعدک شیء وانت الظاھر فلیس  فوقک شیء وانت الباطن فلیس دونک شیء  الی آخر الحدیث”

 

“Ay Allah Tu hi pehla hai, Tujh say pehly kuch nahi, Tu hi akhir hai, Tere baad kuch nahi,Tu hi Zaahir hai, Tujh say upar kuch nahi, Aur Tu hi poshidah hai, Tere peechay kuch nahi, Hadees kay akheer tak”

(Sahi Muslim, Kitab-ul-Zikri Wal Dua Wal Taubati Wal Istighfari, Baab-o-Maa Yaqolo Inad-e-Al Naom Wal Muztajae, Hadees: 2713)

 

Chunaacha Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) nay har naam ki tafseer us kay azeem ma’aini kay zariye farmaai, Aur is khilaaf aur manaafi cheezon ki is say nafi farmaai. Lihaza in ‘azeem aur Jaleel-ul-Qadar ma’aini par ghur karen jo Rabb ‘Azeem-o-Bartar kay Kamaal-e-Mutlaq mein munfarid hone aur “Awwal-o-Aakhir” mein zamaani ihaatah aur “Zaahir-o-Baatan” mein makani ihaatah par dalalat karte hain.

 

Chunaacha “Awwal” is baat par dalalat karta hai kay Allah kay si-o- har cheez haadis hai. Pehly na thi, Ba’ad mein wujood mein aai, Aur saath hi bande par -o-jib karta hai kay woh Deeni-o-Duniyawi naiymat mein apne Rabb ka fazal mihsoos kare, Kiunkeh sabab aur masbbab donon hi Allah ki jaanib say hain.

 

Aur Aakhir is baat par dalalat karta hai kay Allah hi woh maqsood hai kay tamaam makhluqaat apni ‘ibaadat, Raghbat-o-Chaahat, Khaof aur tamaam tar maqaasid kay sath us ka qasd karte hain.

 

Aur “Zaahir” is baat par dalalat karta hai kay Allah ‘Az-o-jal ki Sifaat ‘azeem hain aur us ki ‘azmat kay saamane har cheez pasmurdah hai, Kha-o-h woh zaatain hon ya Sifaat aur kitni bhi buland hon.

 

Aur “Baatin” is baat par dalalat karta hai kay Allah Ta’ala tamaam sar bastah raazon, Bhedon, Makhfi-o-Poshidah baaton aur baareek cheezon say -o-qif aur aagah hai. Isi tarha Allah kay kamaal qurbat par dalalat karta hai. Aur zahir aur baatan mein baham koi ta’aruz nahi hai: Kiunkeh tamaam tar Sifaat mein Allah kay misal koi cheez nahi.  

( Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 25, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/67)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents