Search
Sections
< All Topics
Print

16. Sharah: [Al- ‘Aliyy; Al Aalaa; Al-Muta’aalee]

Sharah [Al- ‘Aliyy; Al Aalaa; Al-Muta’aalee]

 


 

5:   Al- ‘Aliyy  العلی  (Buland)

6: Al Aalaa الأعْلَى  (Baala)

7:  Al-Muta’aalee  المتعال   (Bartar)

 


 

✯ Irshad-e-Bari hai:

 

وَلَا يَـــــُٔـــوْدُهٗ حِفْظُهُمَا  ۚ وَھُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيْمُ

 

“Aur Allah Ta’ala in ki hifaazat say na thakta hai aur na uktata hai, Woh tu bohat buland aur bohat bada hai”

[Al Baqarah:  255]

 

 

✯ Neez irshaad hai:

 

سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْاَعْلَى  Ǻ۝ۙ

 

“Apne bohat hi buland Allah kay naam ki paakeezagi bayan kar”

[Al Aalaa:  1]

 

✯ Neez irshaad hai:

 

عٰلِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ الْكَبِيْرُ الْمُتَعَالِ Ḍ۝

 

“Zaahir-o-Poshidah ka woh ‘aalim hai (sab say) bada aur (sab say) Buland-o-Baala”

[Al Raad:  9]

 

➤ Yeh ayaten dalalat karti hain kay Uloom-o-Bulandi kay tamaam tar ma’aini Allah Ta’ala kay liye tamaam wujood say saabit hain.

Chunaacha Allah Ta’ala kay liye ‘Ulu-e-Zaat hai, Woh tamaam makhluqaat kay upar hai, Arsh par mustawi aur Buland-o-Baala hai.

Allah kay liye Ulu-e-Qadar hai ya’ani Allah kay Sifaat ki bulandi aur un ki ‘azmat, Chunaacha kisi makhluq ki sifatt Allah kay misal nahi ho sakti, Yahi nahi balkehh saari makhluqaat kay bas mein nahi kay Allah ki Sifaat mein say kisi aik sifatt kay kuch ma’aini ka ihaatah kar saken. Allah Ta’ala ka irshaad hai:

 

وَلَا يُحِيْطُوْنَ بِهٖ عِلْمًا

 

“Makhluq ka ‘ilm us par haawi nahi ho sakta”

[Taaha:  110]

 

Is say m’aalum huwa kay Allah ki tamaam tar Sifaaton mein us kay misal koi nahi hai.

 

Isi tarha Allah kay ‘Ulu-e-Qhar hai, Chunaacha -o-hi tanha Qahhar hai, Jo apni ‘izzat aur bulandi say tamaam makhluqaat par ghalib hai, Makhluqaat ki peshaaniyan Allah kay haath mein hain, Woh jo chahta hai woh hota hai, Us mein koi rukawat nahi daal sakta, Aur woh jo na chaahe nahi hota, Agr puri makhluq mil kar koi cheez ijaad karna chaahe, Jo Allah na Chahta ho, Tu un kay bas mein nahi. Aur agr puri makhluq mil kar koi cheez rokna chaahe jis ka Allah ki mashiyat nay faisla kar diya ho tu usay rok nahi sakti, Is liye kay Allah ka iqtidaar kaamil hai, Us ki mashiyat ka naafiz hona yaqeeni hai aur tamaam tar makhluqaat had darjah aur har tarha Allah kay muhtaaj hain.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 25, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/68)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

Table of Contents