Search
Sections
< All Topics
Print

18. Sharah [Al-Majeed; Al-Kabeer; As-Samee’; Al-Baseer]

Sharah [Al-Majeed; Al-Kabeer; As-Samee’]

 


9: المجید ( Badai-o-Kushadgi wala)


 

Al-Majeed usay kehtay hain jis kay paas ‘Azmat-o-Kushaadgi ho, ‘Azmat wala, aur Majad Sifaat ki ‘Azmat-o-Badai aur wusa’at ko kehtay hain. Chunaacha Allah kay Sifaat mein say har har sifat ‘Azeem-ul-Shaan hai, Woh ‘Aleem hai jo apne ‘ilm mein Kaamil-o-Mukammal hai, Raheem hai jis ki Rahmat har cheez ko kushaadah hai, Qadeer ya’ani Qudrat wala hai jisay koi cheez ‘ajiz nahi kar sakti, Haleem hai jo apne ‘Ilm-o-Burdbaari mein kaamil hai, Hakeem hai jo apni Hikmat-o-Danaai mein kaamil hai, Yahi ma’amla Allah Ta’ala kay baqi Asma-o-Sifaat ka hai, Irshaad-e-Baari hai: (Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/72)

 

رَحْمَتُ اللّٰهِ وَبَرَكٰتُهٗ عَلَيْكُمْ اَهْلَ الْبَيْتِ  ۭ اِنَّهٗ حَمِيْدٌ مَّجِيْدٌ   73؀

 

“Tum par ay is Ghar kay logo, Allah ki rahmaten aur uski barkaten naazil hon, Beshak Allah Hamad-o-Sana ka sazawar aur badi shaan waala hai” [Hood:  73]

 


10:  الکبیر ( Badai wala)


 

Allah Subhan-o-Wa Ta’ala Majad ya’ani badi shaan, Kibriyai, Rahmat aur bazurgi, ki Sifaat say muttasif hai, Jo har cheez say bada, Har cheez say ‘azeem tar aur Buzurag-o-Bartar hai.

 

Aur usi ki T’azeem-o-Buzurgi us kay Aoliya-o-Burgazeedah logon kay dilon mein hai.

 

Allah ki ta’azeem bazurgi aur us kay saamne pasti aur us ki kibriyai kay liye Zillat-o-Inkasari say un kay dil bhare huwe hain. ( Taiseer-ul-Kaleem-e-Al Rahman Fi Tafeer-e-Al Mannan Az Allamah Saadi: 5/622) Allah Subhaan-oahu -o- Ta’ala ka irshaad hai:

 

ذٰلِكُمْ بِاَنَّهٗٓ اِذَا دُعِيَ اللّٰهُ وَحْدَهٗ كَفَرْتُمْ ۚ وَاِنْ يُّشْرَكْ بِهٖ تُؤْمِنُوْا ۭ فَالْحُكْمُ لِلّٰهِ الْعَلِيِّ الْكَبِيْرِ   12؀

 

“Yeh (‘azaab) tumhe is liye hai kay jab sirf akele Allah ka zikar kiya jata tu tum inkaar kar jate thy, Aur agar us kay sath kisi ko shareek kiya jata tha tu tum maan lete thy, Pas ab faisla Allah Buland-o-Bzurag ka hi hai” [Ghafir:  12]

 


11:  السمیع ( Sun’ney wala)


 

Irshaad-e-Baari hai:

 

ۭوَكَانَ اللّٰهُ سَمِيْعًۢا بَصِيْرًا

 

“Aur Allah Ta’ala bohat sunane waala aur khub dekhane wala hai” [Al Nisaa:  134]

 

Aksar-o-Beshtar Allah Ta’ala sunne aur dekhane ki sifatt ko aik saath mila kar zikar farmaata hai. Chunaacha Samaat-o-Basaarat donon sifaten apne tamaam Zaahir-o-Baatni mutalliqaat ka ihaatah kiye huwe hain. Allah Ta’ala woh sunane wala hai jis ki sama’at tamaam suni jaane -o-ali cheezon ko gheray huwe hai. Chunaacha ‘Aalam-e-Baala-o-Safali mein jitni bhi awazen hain woh tamaam a-o-azon ka kha-o-ah poshidah hon ya ‘ailaaniya aise sunta hain goyah us kay paas aik awaaz hai, Us par awazen gud-mud nahi hotin, Na us par tamaam zubaanen poshidah hain. Us kay nazdeek, Dur-o-Nazdeek aur ‘Ailaaniya-o-Poshidah sab yaksaan hain. Irshaad-e-Baari hai:

 

سَوَاۗءٌ مِّنْكُمْ مَّنْ اَسَرَّ الْقَوْلَ وَمَنْ جَهَرَ بِهٖ وَمَنْ هُوَ مُسْتَخْفٍۢ بِالَّيْلِ وَسَارِبٌۢ بِالنَّهَارِ  10۝

 

“Tum mein say kisi ka apni baat ko chupa kar kehna aur baa-awaz buland usay kehna aur jo raat ko chupa huwa hai aur jo din mein chal raha ho, Sab Allah par Barabar-o-Yaksaan hain”. [Al Raad:  10]

 

Neez irshaad hai:

 

قَدْ سَمِعَ اللّٰهُ قَوْلَ الَّتِيْ تُجَادِلُكَ فِيْ زَوْجِهَا وَتَشْـتَكِيْٓ اِلَى اللّٰهِ ڰ وَاللّٰهُ يَسْمَعُ تَحَاوُرَكُمَا ۭ اِنَّ اللّٰهَ سَمِيْعٌۢ بَصِيْرٌ Ǻ۝

 

“Yaqeenan Allah Ta’ala nay us aurat ki baat suni jo tujh say apne shohar kay baare mein takraar kar rahi thi, Aur Allah kay agay shikayat kar rahi thi, Allah Ta’ala tum donon kay Sawal-o-Jawb sun raha tha. Beshak Allah sunane wala dekhny waala hai”

[Al Mujadalah:  1]

 

Amma Ayesha Saddiqa (رضی اللہ عنہا) farmaati hain:

 

“Baa-barkat hai Allah ki zaat jis ki sama’at saari awazon ko ghaire huwe hai, Apne shohar say takraar karne wali khaatun Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ki khidmat mein aa kar shikayat karne lagi aur mein kamre kay goshay hi mein thi, Is kay bawujood mujhe us ki kuch baten sunai nahi dy rahi thn. Is par Allah Ta’ala nay yeh Ayat-e-Kareemah naazil farmaayi:

 

قَدْ سَمِعَ اللّٰهُ قَوْلَ الَّتِيْ تُجَادِلُكَ فِيْ زَوْجِهَا وَتَشْـتَكِيْٓ اِلَى اللّٰهِ ڰ وَاللّٰهُ يَسْمَعُ تَحَاوُرَكُمَا ۭ اِنَّ اللّٰهَ سَمِيْعٌۢ بَصِيْرٌ Ǻ۝

 

Yaqeenan Allah Ta’ala nay us aurat ki baat suni jo tujh say apne shohar kay baare mein takraar kar rahi thi, Aur Allah kay agay shikayat kar rahi thi, Allah Ta’ala tum donon kay Sawal-o-Jawb sun raha tha. Beshak Allah sunane wala dekhny wala hai”

[Al Mujadalah:  1]

 

Aur Allah Ta’ala ki sama’at ki 2 qismen hain:

 

Pehli qisam: Allah Ta’ala ka tamaam Zahir-o-Baatni aur Poshidah-o-A’ilaniya baaton ko sunna aur un ka mukammal ihatah karna.

 

Dusari qisam: Allah Ta’ala ka sawal karne walon, Dua karne walon, Aur ibaadat guzaron ki duain sunana. Unhain qabul karna, Aur unhain Ajar-o-Sawb dena. Isi qabeel say Allah ka yeh farmaan hai:

 

اِنَّ رَبِّيْ لَسَمِيْعُ الدُّعَاۗءِ

 

“Kuch shak nahi kay mera paalanhaar Allah duaon ka sunne wala hai” [Ibraheem:  39]

 

Isi tarha namazi ki ye dua bhi:

 

سمع اللہ لمن حمدہ

 

“Allah nay suna jis nay us ki Hamad-o-Sana ki”

 

Ya’ani qabul farmaaya.


12: البصیر   ( Dekhney wala)


 

Allah Ta’ala ki basarat zameen aur asmaanon kay tamaam hisson mein pheli hui wali tamaam cheezon ko muheet hai. Khawah koi cheez kitni hi poshidah kyun na ho, Chunaacha Allah Ta’ala ghata tup andheri raat mein chataan par reengane wali siyah chyunti ki chaal ko bhi dekh raha hai. Aur us kay tamaam Zahir-o-Poshidah a’azaa aur us kay bareek a’azaa mein ghiza kay sarayat karne ko bhi dekh raha hai. Isi tarha darakhton ki shaakhon aur un ki Ragh-o-Reshon mein paani kay sarayat karne ko bhi dekh raha hai, Neez mukhtalif qisam kay tamaam podon ko bhi dekh raha hai, Khawah woh kitne chote aur baareek hi kiun na hon. Isi tarha chyunti, Shehad ki makkhi, Aur machar balkehh is say bhi choti cheezon ki poshidah tar raghon ko bhi dekh raha hai. To Allah Ta’ala ki zaat nihayat Paak hai. Jis ki a’azmat Sifaat say muta’alliqah umoor ki wusa’at, Kamaal a’azmat bareek beeni, Ghib-o-Haazir ki Itlaah-o-Aghaahi waghera say a’aqlen Hairaan-o-Shashdar hain, Neez woh nighaahon ki khayanaton, Palkon kay ulat pher, Aur dilon ki dharkano ko bhi dekh raha hai. Allah ‘Azzawajal ka irshaad hai:

 

الَّذِيْ يَرٰىكَ حِيْنَ تَقُوْمُ   ٢١٨؀ۙ وَتَقَلُّبَكَ فِي السّٰجِدِيْنَ  ٢١٩؁ اِنَّهٗ هُوَ السَّمِيْعُ الْعَلِيْمُ ٢٢٠؁

 

“Jo tujhe dekhta rehta hai, Jabkeh tu khada hota hai, Aur sajdah karne walon kay darmyan tera ghumna phirna bhi, Woh bada hi sunne wala aur khub hi janne wala hai” [Al Shuraa:218-220]

 

Neez irshaad hai:

 

يَعْلَمُ خَاۗىِٕنَةَ الْاَعْيُنِ وَمَا تُخْفِي الصُّدُوْرُ    19؀

 

“Woh ankhon ki khayaanat ko aur seenon ki poshidah baaton ko (khub) jaanta hai” [Ghafir:  19]

 

Neez irshaad hai:

 

وَاللّٰهُ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ شَهِيْدٌ Ḍ۝ۭ

 

“Aur Allah Ta’ala kay saamne hai har cheez” [Al Burooj:  9]

 

Ya’ani woh waqif aur aagah hai, Aur us ka ‘ilm basarat aur samaat kainaat ki tamaam cheezon ko muheet hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 34-36, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/67)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents