Search
Sections
< All Topics
Print

22. Sharah [Al-Haleem; Al- ‘Afuww; Al-Ghaffaar ; Al-Ghafoor]

Sharah [Al-Haleem; Al- ‘Afuww; Al-Ghaffaar ; Al-Ghafoor]

 


24: الحلیم ( Burdbar)


 

Allah Azzwajal ka irshaad hai:

 

ۭوَاعْلَمُوْٓا اَنَّ اللّٰهَ يَعْلَمُ مَا فِىْٓ اَنْفُسِكُمْ فَاحْذَرُوْهُ  ۚ وَاعْلَمُوْٓا اَنَّ اللّٰهَ غَفُوْرٌ حَلِيْمٌ   ٢٣٥؁ۧ

 

“Jan rakho kay Allah Ta’ala ko tumhaare dilon ki baaton ka bhi ‘ilm hai, Tum us say khauf khaate raha karo. Aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Ta’ala bakhashish aur hilam waala hai” [Al Baqarah:  235]

 

Ya’ani jo apni makhluq par un kay gunah maa’asi aur bakasrat lagzishon kay bawujood apni Zaahir-o-Poshidah ne’ymaten nichaawar karta hai. Chunaacha Allah Ta’ala gunahgaaron kay bilmuqabal Hilam-o-Burdbaari farmaata hai. Aur unhain maa’afi maangne ka mauqa deta hai taakeh tubah kar len, Aur muhlat deta hai taakeh raju’ kar len.

(Tafseer Allamah Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi رحمہ اللہ: 5/630)

 

Allah Ta’ala hi is kaamil Hilam-o-Burdbaari say muttasif hai jo kafiron, Fasiqon, Aur gunahgaaron sab ko was’eeh hai. Baain tor kay Allah Ta’ala nay unhain fori a’azaab mein mubtala karne kay bajaye mohlat dy rakhi hai taakeh tuba kar len. Jabkeh agar Allah chahta to gunah sarzad hote hi unhain pakad leta. Kiunkeh gunaahon ka taqaazah yeh hai kay mukhtalif qisam ki faori sazaaon ki shakal mein in kay asraat murattab hon lekin yeh mahaz Allah ka Hilam-o-Burdbaari jis nay unhain muhlat day rakha hai. ( Sarah Al Qaseedat-ul-Noniyah Az Harras: 2/86) Jaisa kay Allah Azzwajal ka irshaad hai:

 

وَلَوْ يُؤَاخِذُ اللّٰهُ النَّاسَ بِمَا كَسَبُوْا مَا تَرَكَ عَلٰي ظَهْرِهَا مِنْ دَاۗبَّةٍ وَّلٰكِنْ يُّؤَخِّرُهُمْ اِلٰٓى اَجَلٍ مُّسَمًّى ۚ فَاِذَا جَاۗءَ اَجَلُهُمْ فَاِنَّ اللّٰهَ كَانَ بِعِبَادِهٖ بَصِيْرًا 45؀ۧ

 

“Aur agar Allah Ta’ala logon par un ka a’amaal kay sabab daarogeer farmaane lagta tu ruwey zameen par aik jaandar ko na chodta lekin Allah Ta’ala in ko aik Meya’ad-e-Mua’yyan tak mohlat day raha hai so jab unki woh meya’ad aa pohanchy gi Allah Ta’ala apne bandon ko aap dekh ly ga” [Faatir:  45]

 

Neez irshaad hai:

 

وَلَوْ يُؤَاخِذُ اللّٰهُ النَّاسَ بِظُلْمِهِمْ مَّا تَرَكَ عَلَيْهَا مِنْ دَاۗبَّةٍ وَّلٰكِنْ يُّؤَخِّرُهُمْ اِلٰٓى اَجَلٍ مُّسَمًّى ۚ فَاِذَا جَاۗءَ اَجَلُهُمْ لَا يَسْتَاْخِرُوْنَ سَاعَةً وَّلَا يَسْتَقْدِمُوْنَ 61؀

 

“Agar logon kay gunah par Allah Ta’ala unki garift karta tu ruwey zameen par aik bhi jaandaar baaqi na rehta. Lekin Woh tu unhain aik Waqt-e-Muqarrar tak dheel deta hai. Jab unka woh waqt aa jata hai tu woh aik sa’aat na peechay reh sakte hain aur na agay badh sakte hain” .[Al Nahal:  61]




 

25: العفو ( Ma’af karney wala)

26: الغفور 27: الغفار (boht bada bakhsney wala)

 


 

Allah Azzwajal ka irshaad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ لَعَفُوٌّ غَفُوْرٌ 60؀

 

“Beshak Allah darguzar karne waala, bakhshane waala hai” [Al Hajj:  60]

 

Jo hamesha say aur hamesha hamesh maa’afi say ma’aruf aur apne bandon ko bakhshane aur darguzar karne ki sifat say muttasif hai.

Har shakhs jaise Allah ki rahmat aur Ahsaan-o-Karaam ka mohtaaj hai isi tarha us ki maa’afi aur bakhashish ka bhi Mohtaaj-o-Majbur hai.

Allah Tabaarak-o-Ta’ala nay bakhashish aur ma’aafi kay asbaab apnaane waalon ko is ka wada farmaaya hai. Irshaad-e-Baari hai:

(Tafseer Al Saadi رحمہ اللہ: 5/663, Neez Dikhiy: Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 56)

 

وَاِنِّىْ لَغَفَّارٌ لِّمَنْ تَابَ وَاٰمَنَ وَعَمِلَ صَالِحًا ثُمَّ اهْتَدٰى 82؁

 

“Haan beshak mein unhain bakhshane -wala hon jo tuba karen, Imaan layen, Nek a’mal karen aur Raah-e-Raast par bhi rahen” [Taaha:  82]

 

Aur “Al-‘Afuo” woh zaat hai jis kay paas a’am maa’afi hai jo bandon say sarzad hone wale gunaahon ko shaamil hai, Bilkhasus jab woh maa’afi ka sabab faraham karen. Jaise Istighfaar Tuba, Imaan, Aur A’amaal-e-Saliha waghera. Chunaacha Allah Subhaan-oahu-o-Ta’ala apne bandon ki tuba qabul farmaata hai. Un kay gunah maa’af karta hai, Woh maa’af karne wala hai. Maa’afi ko pasand karta hai. Aur woh apne bandon say yeh chahta hai kay woh in aasbaab kay husool ki koshish karen jis say Allah ki maa’afi say hamkinaar ho saken: Jaise Allah ki raza kay kaamon ki koshish aur Allah ki makhluq kay sath Husan-e-Sulook waghera. Aur Allah kay kamaal ka shahkaar hai kay banda apne aap par jitni bhi ziyadati kar ly. Phir Allah ki taraf tuba kary aur ruju’ ho tu Allah Ta’ala us kay Sageera-o-Kabeerah tamaam jaraaim ko maa’af kar deta hai. Aur us nay hi faisla kar diya hai kay islaam apne pehly say saare gunaahon ko mita deta hai aur tuba apne say peshtar tamaam gunaahon ko mita deti hai. (Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/86, Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 56) Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

 

قُلْ يٰعِبَادِيَ الَّذِيْنَ اَسْرَفُوْا عَلٰٓي اَنْفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوْا مِنْ رَّحْمَةِ اللّٰهِ ۭ اِنَّ اللّٰهَ يَغْفِرُ الذُّنُوْبَ جَمِيْعًا ۭ اِنَّهٗ هُوَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْمُ 53؀

 

“(Meri jaanib say) keh do kay ay mere bando! Jinhon nay apni jaano par ziyadati ki hai tum Allah ki rahmat say na-umeed na ho jao. Bilyaqeen Allah Ta’ala saare gunaahon ko bakhsh deta hai. wqai woh badi bakhashish badi rahmat wala hai” [Al Zumar:  53]

 

Isi tarha Hadees-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) mein hai:

 

قال اللہ تبارک وتعالیٰ یا ابن ادم انک لو اتیتی بقراب الارض خطایا ثم لقیتی لا تشرک بی شیئا لا تیتک بقرابھا مغفرته

 

(Jame Al Tirmizi, Kitab-ul-Dawaat, Baab-o-Khalq-e-Allah Miaat-e-Rahmatin, Hadees: 3540, Allamah Albani رحمہ اللہ isy Sahi-ul-Jame (5/548) mein Hasan qarar dia hai.)

 

Allah Tabaarak-o-Ta’ala nay farmaya Ay Adam ki aulaad! Yaqeenan agar tu mere paas zameen bhar gunaah ly kar aye phir tu mujh say is haal mein milay kay tu nay mere saath kuch bhi shareek na kiya ho tu mein tere paas zameen bhar bakhashish le kar aun ga”

 

Neez Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

 

اِنَّ رَبَّكَ وَاسِعُ الْمَغْفِرَةِ

 

“Beshak tera Rabb bohat kush

 

aadah magfirat wala hai” [Al Najam:  32]

 

Aur Allah Tabaarak-o-Ta’ala nay apni bakhashish kay husool kay zaraeh khol rakhe hain. Jaise tuba Istighfaar, Imaan, Amal-e-Saliha, Bandgaan-e-Ilaahi kay sath Husan-e-Sulook, un say ‘Afu-o-Dar guzar, Allah kay fazal ki pukhtah lalach, Allah say khush ghumaani, Aur is kay ilawah deegar nekiyaan jinhain Allah nay apni magfirat say qareeb karne wala banaya hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 73-74)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents