Search
Sections
< All Topics
Print

23. Sharah [At-Tawwaab; Ar-Raqeeb]

Sharah [At-Tawwaab; Ar-Raqeeb]

 

 


28: التواب ( Tawbah qubool karney wala)


 

Allah Azzwjal ka irshaad hai:

 

اَلَمْ يَعْلَمُوْٓا اَنَّ اللّٰهَ ھُوَ يَقْبَلُ التَّوْبَةَ عَنْ عِبَادِهٖ وَيَاْخُذُ الصَّدَقٰتِ وَاَنَّ اللّٰهَ ھُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيْمُ ١٠٤؁

 

“Kya unko yeh khabar nahi kay Allah hi apne bandon ki tuba qabul karta hai aur wahi sadaqat ko qabul farmaata hai aur yeh keh Allah hi tuba qabul karne mein aur rahmat karne mein kaamil hai”

[Al Tawbah:  104]

 

Allah Ta’ala “Al-Tawwab” hai ya’ani hamesha say bandon ki tuba qabul karta raha hai aur gunahgaaron kay gunaahon ki bakhashish farmaata raha hai, Lihaza jo bhi Allah ki taraf khaalis tuba kary ga, Allah Ta’ala us ki tuba qabul farmaye ga.

 

Chunaacha Allah Ta’ala tuba karne walon ki tubah qabul karne -wala hai hai. Pehly unhain tuba karne aur apne dilon ko Allah ki taraf amaadah karne ki tufeeq deta hai aur phir un kay tuba karne kay baad unki tuba qabul farmaata hai aur unke gunaahon ko maa’af krta hai.

(Tafseer Shaik Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi: 5/623)

 

Aur is buniyaad par Allah kay apne bandy ki tuba qabul karne ki 2 qismen hain.

 

Awwal: Bande kay dil mein apni taraf tuba karne aur ruju’ hone ka jazbah paida krta hai. Lihaza banda tuba karta hai aur gunaahon say ba’az aa kar is par nadim ho kar aur dubara gunaah na karne ka pukhtah ‘azam kar kay aur isy A’mal-e-Saliha say badal kay, Tuba kay shraait puray karta hai.

 

Doum: Apne bande ki tuba qabul farmaata hai aur is kay zariye gunaahon ko mitta deta hai, Kiunkeh tuba apne say peshtar gunaahon ko mitta deta hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 74)

 

Allah Subhaan-oahu wa Ta’ala ka irshaad hai:

 

فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ وَاسْتَغْفِرْهُ ڼ اِنَّهٗ كَانَ تَوَّابًا  Ǽ۝ۧ

 

“Tu apne Rabb ki tasbeeh karne lag hamad kay sath aur us say magfirat ki dua maang beshak woh bada hi tuba qabul karne wala hai” ( Al Nasar: 3)

 


 

29: الرقیب ( Nigran, Barikion se ba khabar)

 


 

Al-Raqeeb ya’ani seenon kay sar bastah raazon say agaah, Har nafs ki kaargardagi ki nighedaasht karne wala. Allah ka irshaad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيْبًا Ǻ۝

 

“Beshak Allah Ta’ala tum par nigahbaan hai” [Al Nisaa:  1]

 

Aur raqeeb Allah Subhaan-oahu wa Ta’ala ki zaat hai jis nay makhluqaat ki hifazat kar rakha hai aur unhain nihayat ‘umdah nazam aur mukammal tadbeer kay sath chala raha hai.

(Tafseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi: 5/623)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents