Search
Sections
< All Topics
Print

25. Sharah [Al-Lateef]

Sharah [Al-Lateef]


32: الطیف (Barik Been)


 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

 

اَللّٰهُ لَطِيْفٌۢ بِعِبَادِهٖ يَرْزُقُ مَنْ يَّشَاۗءُ ۚ وَهُوَ الْقَوِيُّ الْعَزِيْزُ 19؀ۧ

 

“Allah Ta’ala apne bandon par bada hi lutaf karne waala hai, Jisay chahta hai kushaadah rozi deta hai, Aur woh badi taqat bady ghalbe waala hai” [Al Shoora:  19]

 

Neez irshaad hai:

 

لَا تُدْرِكُهُ الْاَبْصَارُ ۡ وَهُوَ يُدْرِكُ الْاَبْصَارَ  ۚ وَهُوَ اللَّطِيْفُ الْخَبِيْرُ ١٠٣؁

 

“Usko tu kisi ki nigaah muheet nahi ho sakti, Aur woh sab nighaahon ko muheet ho jata hai, Aur wohi bada bareek been, Baakhabar hai” [Al Anaam:  103]

 

“Al-Lateef” Allah kay Asma-ul-Husna mein say hai ya’ani Allah Ta’ala apne bande kay daakhli umoor jo uski zaat say muta’aliq hain un par aur isi tarha apne bande kay khaarji umoor par bareek nigaah rakhta hai. Chunaacha usy apne haq mein bhali cheezon ki taraf aur bhali cheezon ko uski taraf is tarha ly jaata hai kay usy iska shu’or bhi nahi hota. Yeh dar asal Allah kay ‘ilm, Karam, Aur rahmat ki nishaaniyon mein say hai, Isi liye “Al-Lateef” kay ma’aini ki 2 qismen hain:

 

Pehli qisam: Yeh kay Allah Ta’ala woh khabar rakhne wala aur agaah hai jis ka ‘ilm tamaam Poshidah-o-Makhfi umoor raaz paye sar bastah, Seenon kay bhedon, Andekhi cheezon aur har bareek say bareek cheez ko muheet hai.

 

Dusari qisam: Allah Ta’ala ka apne bande aur chaheete par Lutaf-o-Ahsaan, Jis par Allah Ta’ala apna ahsaan tamaam karna usay apni nawazish mein shaamil karna aur usay buland darjaat par faiz karna chahta hai. Lihaza usky liye aasaani faraham karta hai aur usay dushwaari say bachata hai aur usay mukhtalif azmaishon mein mubtala karta hai jinhen woh napasand karta hai aur woh is par giraan guzarti hain. Aur yahi uski sarapa bhalaai aur sa’adat ki raah hoti hai jaisa kay Allah Ta’ala nay qomon ki aizah rasaai aur apni raah mein jihaad kay zariye Anbia (علیہ السلام) ko azmaaya hai, Aur jaise Allah Ta’ala nay Yousuf (علیہ السلام) kay baare mein zikar kiya hai kay kesay roz baroz un kay halaat mein taraqqi hui aur Allah nay un par Lutaf-o-Ahsaan farmaaya. Aur unhe Allah kay muqaddar kardah halaat kay natijah mein Duniya-o-Akhirat mein neik anjaam haasil huwa. Aur isi tarha Allah Ta’ala apne Aoliya ko unki pasandeedah cheezon say nawazne kay liye aisi cheezon kay zariye aazmaata hai jo unhen na pasand hote hain.

 

Chunaacha Allah kay kitne Lutaf-o-Ahsaan hain, A’aqlen jin ka ihaatah nahi kar sakteen. Aur afkar mein unka tasawwur nahi ho sakta. Chunaacha banda kis qadar danyawi maqaasad mein say maslan gawarnari aur ya sardaari. Ya pasandeedah asbaab mein say kisi sabab ki taraf kis qadar lapakta aur uski khawahish karta hai lekin Allah Ta’ala mahaz us par karam karte huwe usay us mansab say pher deta hai aur in mansab ko un say pher deta hai taakeh woh mansab usy duniya mein nuqsaan na pohnchaye lekin banda apni Jahalat-o-Nadaani aur apne Rabb ki ‘adam ma’arifat kay sabab ghamgeen aur afsurdah ho jata hai. Halankeh Allah Ta’ala nay us kay liye ghaib mein jo kuch zakhirah kar rakha hai aur is say uski islaah maqsud hai. Agar woh usay jaanta tu Allah ki Hamad-o-Sana karta aur is par Allah ka shukar baja laata: Kiunkeh Allah Ta’ala apne bandon par bada Rahm-oKaram karne waala aur apne Aoliya par az had Lutaf-o-Ahsaan karne wala hai. Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Dua-e-Maasur mein hai:

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 61-62, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/91, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/228)

 

اللھم ما رزقتنی مما احب فاجعله قوۃ لی فیما تحب وما زویت عنی مما احب فاجعله فراغا لی فیما تحب

 

“Ay Allah Tu nay jo mujhe mere pasandeedah cheezain aata ki hain unhen apni pasandeedah cheezon ki adaigi mein mere liye quwwat ka zariya bana dy aur tu nay jo meri pasandeedah cheezain mujh say rok li hain unhen apni pasandeedah cheezon ki adaigi kay liye mere liye fursat ka zariya bana dy”

( Jame Tirmizi, Kitab-ul-Dawaat, Baab: 73, Hadees: 4391, Aur isy Hasan qarar dia hai, Aur Abdul Qadir Al Arnaot farmate hain: Hadees ka Hukum Imam Tirmizi ke kahne ke mutabiq hai. Dikhiy: Jame-ul-Usool: 4/341, Albattah Allamah Albani رحمہ اللہ ny is Hadees ko Zaeef Al Jame (Hadees: 1172) Mein Zaeef qarar dia hai.)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

Table of Contents