Search
Sections
< All Topics
Print

28. Sharah [As-Samad; As-Sayyid; Al-Qaahir; Al-Qahhaar] 

Sharah [As-Samad; As-Sayyid; Al-Qaahir; Al-Qahhaar] 

 

 


 

38: السید ( Sardar, Aaqa)

39: الصمد ( by Niaz, Marja-e-Khalaiq)

 


Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

قُلْ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌ Ǻ۝ۚ اَللّٰهُ الصَّمَدُ   Ą۝ۚ

 

“Aap keh dijiye keh woh Allah Ta’alaa aik (hi) hai. Allah Ta’alaa be niaaz hai.” ( Al Ikhlaas: 1-2)

 

Aur Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka irshad hai:

 

السيد الله تبارك وتعالى

 

Sardaar to Allah Tabarak-o-Ta’alaa hai.

 

(Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Adab, Baab Fi Karahiyat-e-Al Tamaduhi, Hadees: 4806, Wa Amal-ul-Yaom Wal Lailati Libn-e-Al Sunni, Hadees: 387, Wa Amal-ul-Yaom Wal Lailati Lil Nasai, Hadees: 245, Wa Musnad Ahmad: 4/24-25, Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ne Sahi Al Jame, Hadees: 3700, Mein isy Sahi qarar dia hai, Aur is ki sanad Sahi hai; Fath-ul-Majeed, Page: 3/6, Bitahqeeq-e-Al Arnaot.)

 

السید Ka itlaq Rab, Maalik, Shareef, Faazil, Kareem, Burdbaar, Raees Shohar aur apni qoum ki aziat bardasht karne wale par hota hai. Aur haqeeqi Sayyad (Sardaar) to Allah Ta’alaa hai jo makhlooq ki paishaniyon ka Maalik aur un ki dekh rekh karne wala hai Lihaza Sardaari mukammal tor par dar haqeeqat Allah hi ke liye hai aur saari makhlooq us ki ghulaam hai.

lekin yeh insani afraad ke sath makhsoos izafi Sardaari ke manafi nahi hai. Kiunkeh Khaaliq Tabarak-o-Ta’alaa ki Sardaari kamzor makhlooq ki Sardaari ki tarhan nahi hai .

( Al Nihayah Fi Ghareeb-e-Al Hadees Az Ibn-ul-Aseer: 2/418, Neez Dikhiy: Aaon-ul-Mabood Sarah Sunan Abu Dawood: 13/161)

 

الصمد Aik aisa jam’e maie’ne hai jis mein is Mua’ziz naam ki Tafseer mein kahi gayi tamaam baatein daakhil hain, chunancha woh aisa الصمد ( Muraj’a ) hai jis ki taraf zillat faqeeri aur muhtaajgi ke sath tamaam makhloqaat qasad karte hain. Aur saari duniya jis ki panah laiti hai. Woh Allah ki zaat hai jo apne ‘ilm hikmat burdbaari, Qudrat, badai, Rahmat aur tamaam khoobiyon mein Kaamil-o-Mukammal ho, Lihaza صمد woh hai jo kaamil khoobiyon wala hai, Saari makhloqaat tamaam zaroriat mein jis ka Qasad-o-Iradah karti hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page:75).

 

Allah woh Sardaar hai jo apni sardari mein kaamil hai. Woh ‘ilm wala hai jo apne ‘ilm mein kaamil hai, Woh Burdbaar hai jo apni Burdbaari mein kaamil hai, Woh Ghani aur be niaz hai jo apni maldaari mein kaamil hai, Woh Jabbaar hai jo apne Jabroot mein kaamil hai. Woh Shareef aur Mua’ziz hai jo apni sharaafat mein kaamil hai, Woh ‘Azeem hai jo apni ‘Azmat-o-Badai mein kaamil hai, Woh Hakeem-o-Dana hai jo apni danaai mein kaamil hai, Wahi woh zaat hai jo tamaam qisam ki Buzurgi-o-Sardaari mein kaamil hai, Jis ki yeh khoobi hai woh Allah ki zaat hai Us ke siwa kisi ke liye yeh khoobi sazawar nahi. Us ka koi hamsar hai na Us ke ham misal koi cheez, Allah ki Zaat Pak hai jo tanha ghaalib hai .

(Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/100, Wa Tawzeeh-ul-Maqasid Wa Tasheeh-ul-Qawaid: 2/232).

 

 


 

40: القاھر ( Ghalib, Buland)

41: القھار ( Had darjah Ghalib, Buland)

 


 

Irshad-e-Baari Ta’alaa hai:

 

قُلِ اللّٰهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ وَّهُوَ الْوَاحِدُ الْقَهَّارُ 16 ؁

 

“Keh dijiye keh sirf Allah hi tamaam cheezon ka Khaaliq hai woh akela hai aur zabardast ghalib hai.” (Al Raad: 16)

 

Neez irshad hai:

 

يَوْمَ هُمْ بٰرِزُوْنَ ڬ لَا يَخْـفٰى عَلَي اللّٰهِ مِنْهُمْ شَيْءٌ ۭ لِمَنِ الْمُلْكُ الْيَوْمَ ۭ لِلّٰهِ الْوَاحِدِ الْقَهَّارِ    16؀

 

“Jis din sab log zahir ho jaaein ge, Un ki koi cheez Allah se posheedah na rahe gi. Aaj kis ki badshahi hai? Faqat Allah Wahid-o-Qahhar ki .” ( Ghafir: 16)

 

Neez irshad hai:

 

وَهُوَ الْقَاهِرُ فَوْقَ عِبَادِهٖ  ۭ وَهُوَ الْحَكِيْمُ الْخَبِيْرُ   18؀

 

“Aur wohi Allah apne bundon ke upar ghalib hai bartar hai aur wohi badi hikmat wala aur poori khabar rakhe wala hai.”

(Al Anaam:   18)

 

Yeh Allah ki zaat hai jo tamaam makhloqaat par ghalib hai. Aur tamaam makhloqaat us ke samne Zaleel-o-Past hain, Aur A’alam-o-Baala-o-Safli ke tamaam Ajzaa-o-A’nasir us ki Qudrat-o-Mashiyat ke tab’e hain, Lihaza Allah ke hukum ke baghair kisi wujood pane wali cheez ka wujood ho sakta hai na koi theharne wali cheez thehr sakti hai, Wahi jo chahta hai hota hai aur jo nahi chahta nahi hota tamaam makhloqaat Allah ke mohtaaj aur A’ajiz-o-Darmandah hain, Apni zaat ke liye bhi kisi naffa ya nuqsaan, Khair Ya shar ke maalik nahi hain, Aur Allah ka Qahar-o-Ghalba Allah ki zindagi i’zzat aur qudrat tamaam Sifaat ko lazim hai, Is liye keh makhlooq yeh Allah Ta’alaa ka mukammal Qahar-o-Ghalba us ki kamaal zindagi, kamaal quwwat-o-I’zzat aur kamaal Iqtidaar ke baghair nahi ho sakta.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page:76)

 

Kiunkeh agar yeh teeno Ausaf na hote to Allah ka Ghalba-o-Saltanat tamaam na hota.

 

(Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/101)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents