Search
Sections
< All Topics
Print

30. Sharah [Al Haadi]

Sharah [Al Haadi]

 

 


 

44: الھادی ( Rahnumaai karne wala )

 


 

Allah Azzawajal ka irshad hai :

 

وَكَفٰى بِرَبِّكَ هَادِيًا وَّنَصِيْرًا 31؀

 

“Aur tera Rab hi hidaayat karne wala aur madad karne wala kaafi hai.” ( Al Furqaan: 31)

 

Neez irshad hai:

 

وَاِنَّ اللّٰهَ لَهَادِ الَّذِيْنَ اٰمَنُوْٓا اِلٰى صِرَاطٍ مُّسْتَقِيْمٍ 54؀

 

“Yaqeenan Allah Ta’alaa Imaan daaron ko Raah-e-Raast ki taraf rahbari karne wala hi hai.” (Al Hajj: 54)

 

الھادی” Y‘ani Allah Ta’alaa jo apne bundon ko tamaam munaf’e ki aur nuqsanaat se dafa’a ki Hidaayat-o-Rahnmayi farmata hai, Jo kuch woh nahi jante hain unhain is ki t’aleem deta hai, Aur unhain hidaayat Tufeeq-o-Durustagi ki raah dikhata hai, Un ke dilon mein taqwa peda karta hai aur un ke dilon ko apni taraf ruj’oo karne wala aur apne hukum ka tab’e banata hai.”

(Taiseer-ul-Rahman Fi Tafseer-e-Kalam-e-Al Mannan: 5/631)

 

Hidaayat: Narmi ke sath rahnumai ko kehte hain aur Allah Ta’alaa ki insaan ko hidaayat daine ki chaar soortain hain.

(Badai-e-Fawaid: 2/36-38)

 

Awwal: ‘Aam hidaayat jis ki jins mein har mukallaf (Paband-e-Shari’yat) shaamil hai, Jaise ‘aqal, Zahanat, Aur deegar zaroori m’aloomaat jis mein se har cheez ko us ki haisiyat ke mutabiq aik andaza se ‘ataa farmaaya hai jaisa keh Allah Ta’alaa ka irshad hai:

 

رَبُّنَا الَّذِيْٓ اَعْطٰي كُلَّ شَيْءٍ خَلْقَهٗ ثُمَّ هَدٰى 50؀

 

“Hamara Rab woh hai jis ne har aik ko us ki khaas soorat shakal i’naayat farmai phir raah samjha di.” (Taaha: 50)

 

Doum: Woh hidayat jo Allah Ta’alaa ne logon ko apne Nabiyon ki zabani aur Quran-e-Kareem ke inzaal ke zariy’a unhain bulaa kar di hai, Aur Allah Ta’alaa ke hasbzail farmaan se yahi maqsood hai :

 

وَجَعَلْنَا مِنْهُمْ اَىِٕمَّةً يَّهْدُوْنَ بِاَمْرِنَا

 

“Ham ne un mein se aise peshwa banaaye jo hamare hukum se logon ko hidaayat karte the.” ( Al Sajdah: 24)

 

Soum: Woh hidaayat jo hidaayat yaftgaan ke sath khaas hai, Allah ke is farmaan se yahi Muraad hai:

 

وَالَّذِيْنَ اهْتَدَوْا زَادَهُمْ هُدًى وَّاٰتٰىهُمْ تَقْوٰىهُمْ    17؀

 

“Aur jo log hidaayat Yafta hain Allah ne unhain hidaayat mein aur badhadiya hai.” ( Muhammad: 17)

 

Neez is farmaan se bhi:

 

وَمَنْ يُّؤْمِنْۢ بِاللّٰهِ يَهْدِ قَلْبَهٗ  

 

“Jo Allah par Imaan laaye Allah us ke dil ko hidaayat deta hai. “ (Al Taghabun: 11)

 

Neez is farmaan se bhi:

 

اِنَّ الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ يَهْدِيْهِمْ رَبُّھُمْ بِاِيْمَانِهِمْ 

 

“Yaqeenan jo log Imaan laaye aur unhon ne naik kaam kiye un ka Rab un ko un ke Imaan ke sabab un ke maqsad tak pohncha de ga.” (Younus:  9)

 

Neez is farmaan se bhi:

 

وَالَّذِيْنَ جَاهَدُوْا فِيْنَا لَـنَهْدِيَنَّهُمْ سُـبُلَنَا   ۭ وَاِنَّ اللّٰهَ لَمَعَ الْمُحْسِنِيْنَ  69؀ۧ

 

“Aur jo log hamari raah mein mushaqqatain bardasht karte hain jo unhain apni rahein zaroor dikha den ge. Yaqeenan Allah Ta’alaa naikokaaron ka saathi hai.” ( Al Ankaboot: 69)

 

Chahaarum: Akhirat mein Jannat ki rahnumai, Jo Allah ke is farmaan se maqsood hai:

 

سَيَهْدِيْهِمْ وَيُصْلِحُ بَالَهُمْ  Ĉ۝ۚ

 

“Inhain raah dikhaae ga aur un ke halaat ki Islaah kar de ga.” ( Muhammad: 5)

 

Neez is farmaan se bhi:

 

الْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِيْ هَدٰىنَا لِھٰذَا 

 

“Allah ka (laakh laakh) shukar hai jis ne ham ko is maqam tak pohanchaya.” (Al Aaraf: 43)

 

Aur yeh chaaron hidaaytain biltarteeb (yakke baad deegre) hain, Chunancha jise pehli hidaayat nahi mile gi use doosri bhi mil sake gi, Balkehh is ka mukallaf (Paband-e-Shari’yat) hona hi durust na hoga, Isi tarhan jise doosri hidaayat nahi mile gi use teesri aur chothi bhi na mil sake gi. Aur jise chothi hidaayat mil gayi use pehli teneo hidaaytain mil gayi aur jaise teesri mil gayi use is se pehle ki dono hidaaytain mil gayi. Phir isi tarhan is ke bar ‘aks kabhi pehli hidaayat mile gi doosri nahi mile gi. Teesri nahi mile gi, Aur kisi ko hidaayat dena insaan ke bas mein nahi siwaye dua aur raastoon ki pehchan karane ke barkhilaaf baqiya hidaayat ki qasmon ke. Pehli qisam ki taraf Allah Ta’alaa ne in ayaat mein ishara farmaaya hai:

 

وَاِنَّكَ لَـــتَهْدِيْٓ اِلٰى صِرَاطٍ مُّسْتَقِيْمٍ    52؀ۙ

 

“Beshak aap Raah-e-Raast ki rahnumai kar rahe hain.” (Al Shoora: 52)

 

Neez irshad farmaaya:

 

يَّهْدُوْنَ بِاَمْرِنَا

 

“Jo hamare hukum se logon ko hidaayat karte the.” (Al Sajdah: 24)

 

Neez irshad farmaaya:

 

وَّلِكُلِّ قَوْمٍ هَادٍ

 

“Aur har qoum ke liye baadi hai.” (Al Raad: 7)

 

Y’ani Daie’e ( Da’wat daine wala ) hai.

 

Jabke deegar hidayaat ki taraf is Aayat-e-Karimah mein isharah farmaaya hai:

 

اِنَّكَ لَا تَهْدِيْ مَنْ اَحْبَبْتَ وَلٰكِنَّ اللّٰهَ يَهْدِيْ مَنْ يَّشَاۗءُ 

 

“Aap jise chahain hidaayat nahi kar satke balkehh Allah Ta’alaa hi jise chahe hidaayat karta hai.” (Al Qasas: 56)

(Al Mufradat Fi Ghareeb-e-Al Quraan Lil Asfahani: Page: 538)

 

Chunancha Allah ki saari baatein hidaayat hain. Is ke tamaam af’aal hidaayat mein Allah Ta’alaa bhatke hue hairan ki rahnumai karne wala hai, Lihaza use wazahat, T’aleem aur tufeeq har ai’tibaar se Sirat-e-Mustaqeem ki rahnumai farmata hai, Allah ki tamaam tar taqdeeri baatein jin ke zari’ya woh cheezon ko wujood mein lata hai aur mu’amlaat ki Tadbeer-o-Intizaam karta hai haq hain kiunkeh woh Hikmat-o-Danaai Husan-o-Khoobi aur pukhtagi par mushtamil hain. Isi tarhan Allah ke Shara’i Deeni aqwaal woh hain jin ke zari’ya Allah ne apni kitaabon mein aur apne Rasoolon ki zabani kalaam farmaaya hai jo khabar daine mein mukammal sachaai aur Hukum-o-Mumaani’at mein mukammal Adal-o-Insaaf par mushtamil hain, Kiunkeh Allah se badh kar koi raast go hai na is se umdah guftagu karne wala. irshad-e-Baari hai:

 

وَتَمَّتْ كَلِمَتُ رَبِّكَ صِدْقًا وَّعَدْلًا 

 

“Aap ke Rab ka Kalaam sachaai aur insaaf ke ai’tibaar se kaamil hai.” (Al Anaam: 115)

 

Y’ani Amar-o-Naahi mein. Aur yeh kalimaat bundon ki Hidaayat-o-Rahnumai ka ‘azeem tareen aur nihaayat Jalleel-ul-Qadar zari’ya hain, Balkehh un ke baghair hidaayat ka husool mumkin hi nahi lihaza jo un ke i’lawah se talaash kare ga Allah use gumraa kar dega, Aur jo un se rahnumai haasil nahi kare ga woh hidaayatyab nahi hai, Kiunkeh un se ‘Ilmi rahnumaai haasil hoti hai, Y’ani haqaiq, Usool, Furoo, Aur Deeni-o-Dunewi fawaid aur nuqsanaat aur ‘amli rahnumai bhi haasil hoti hai. Kiunkeh yeh kalimaat nafson ko pak karte aur dilon ko nikharte hain aur haddarja naik a’amaal aur nihaayat umdah akhlaq ki Da’wat dete hain. Aur har achai par amaada karte aur har buri aur ghatiya cheez se darate aur aagah karte hain, Lihaza jo un se rahnumaai haasil kare ga wahi hidaayatyab hai aur jo un se rahnumai haasil na kare woh gumraah hai, Aur Allah ne Rasoolon ko bhejne aur mutlaq hidaayat par mushtamil apni kitaabon ke utaarne ke ba’ad kisi ke liye Hujjat baqi na rakhi hogi bhi hai, Chunancha Allah ne kitne gumraahon ko apni hidaayat di hai aur kitne hairaanon ki rahnumai ki hai. Bilkhushoos jis ne Allah se lo lagai ho, Aur us se dil ki gaihrai se hidaayat mangi ho aur jaanta ho keh hidaayat sirf Allah hi ke bass mein hai (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 78-79, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/103).

 

Aur jahan kahin bhi Allah ne zikar kiya hai keh woh zaalimon aur kafiroon ko hidaayat nahi de ga: Woh teesri hidaayat hai (y’ani Tufeeq-o-Ilhaam ki hidaayat ) jo hidaayat yaftgan ke sath khaas hai. Aur chothi hidaayat hai y’ani akhirat mein sawaab aur Jannat mein daakhil karna jaisa keh Allah ka irshad hai:

 

وَاللّٰهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الظّٰلِمِيْنَ   ٢٥٨؁ۚ

 

“Aur Allah Ta’alaa zaalimon ko hidaayat nahi deta.” (Al Baqarah: 258)

 

Neez irshad hai:

 

ذٰلِكَ بِاَنَّهُمُ اسْتَحَبُّوا الْحَيٰوةَ الدُّنْيَا عَلَي الْاٰخِرَةِ  ۙ وَاَنَّ اللّٰهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكٰفِرِيْنَ ١٠٧؁

 

“Yeh is liye keh unhon ne duniya ki zindagi ko akhirat se zayada mahboob rakha. Yaqeenan Allah Ta’alaa Kafir logon ko Raah-e-Raast nahi dikhata.” (Al Nahal: 107)

 

Aur har woh hidaayat jis ki Allah Ta’alaa ne Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) aur deegar insanon se nafi farmai hai woh khaas hidaayat y’ani dua karne aur rasta ki pehchan karane ke ‘ilawah hai, Jaise ‘aqal dena tufeeq dena, Aur Jannat mein daakhil karna waghairah jaisa keh Allah Ta’alaa ka irshad ha:

 

لَيْسَ عَلَيْكَ ھُدٰىھُمْ وَلٰكِنَّ اللّٰهَ يَهْدِيْ مَنْ يَّشَاۗءُ 

 

“Unhain hidaayat par la khada karna taire zimma nahi balkeh hidaayat Allah Ta’alaa deta hai jise chahta hai.” (Al Baqarah: 272)

 

Lihaza mein Allah se dua go hoon keh hamein apni mahboob aur pasandeeda baton ki rahnumai farmaaye, Wahi madad mange jane ke Laiq hai, Us par bharosa hai aur Allah ke baghair koi Quwwat-o-Tasarruf nahi .

(Al Mufradat Fi Ghareeb-e-Al Quraan Lil Asfahani: Page: 539, Mamoli tasarruf ke sath).

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents