32. Sharah [Al-Quddoos; As-Salaam]
Sharah [Al-Quddoos; As-Salaam]
46: القدوس (Nihaayat Paak )
47: السلام ( Har qisam ke u’yoob se salamat )
Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa ka irshad hai:
هُوَ اللّٰهُ الَّذِيْ لَآ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ ۚ اَلْمَلِكُ الْقُدُّوْسُ السَّلٰمُ
“Wahi Allah hai jis ke siwa koi M’abood nahi, Badshah nihaayat paak sab a’ibon se saaf.” (Al Hashar: 23)
” الْقُدُّوْسُ السَّلٰمُ “ in dono ka maien’e qareeb qareeb hai. Kiunkeh ” الْقُدُّوْسُ ” قدس se makhoz hai, Jis ka maien’e yeh hai keh Ta’zeem-o-Buzurgi baja lane ke sath Allah Ta’alaa ko burayi se munazzah aur Paak kiya. Aur ” السَّلٰمُ” salamti se makhoz hai. Y’ani Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa apni makhlooq mein se kisi ki Misliat-o-Mushabahat Nuqs-o-A’ib aur apne kamaal ke manafi tamaam cheezon se salamat aur mahfooz hai.
(Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/105).
Lihaza Allah Ta’alaa har burayi se bilkul Paak ‘Azmat-o-Badai wala aur munazza hai, Apni makhlooq mein kisi ki Misliat se Nuqs-o-A’ib se aur apne kamaal ke manafi har cheez se salamat hai. Chunancha Allah Ta’alaa ko munazzah aur paak kiye jane ka yahi zabita hai keh Allah ko tamaam wajoh se har Nuqs-o-A’ib se paak kiya jaye, Neez us ka koi ham misal ya Shabeeh, Ya hamsar, Ya ham naam, Ya shareek ya mu’aariz hone se use pakeeza aur t’azeem tar qarar diya jaye. Isi tarhan us ki Sifaat mein se kisi sift mein Nuqs-o-A’ib se use pak kiya jaye jo ke sab se ‘Akmal sab se ‘Azeem tar aur sab se was’ee tar hain.
Isi tarhan Nuqs-o-A’ib se Allah ki paaki aur taqdees ka hissa yeh bhi hai keh us ke liye ‘Azmat-o-Badai ki khoobiyan saabit ki jaaein kiunkeh tanziyah maqsood ligairihi hai, Us ke zari’ya bad gumaniyom se Allah ke kamaal ki hifaazat maqsood hai. Jaisa keh Zamana-e-Jahliat ke log Allah ke bare mein badgumani rakhte the aisa gumaan jo Allah ki Jalaal-o-‘Azmat ke Shayaan-e-Shaan nahi, Is liye jab bandah apne Rab ki tareef karte hue kahe ga: “سبحان اللہ” (Allah paak hai) Ya “تقدس اللہ” ( Allah Ta’alaa be a’ib hai ) ya تعالی اللہ ( Allah Buland-o-Bartar hai ) waghairah to Allah Ta’alaa ko har nuqs se paak kar ke aur us ke liye har kamaal ko saabit kar ke us ki Hamd-o-Sana karne wala ho ga.( Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 81-82)
Imam Ibn-e-Qayyim (رحمہ الله) Ta’alaa Allah ke naam ” السَّلٰمُ ” ke bare mein raqamtaraz hain:
Deegar tamaam ashkhaas ke barkhilaaf Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa is naam ka sab se zayada haqdaar hai? Kiunkeh Allah Azzawajal tamaam wujood se har Nuqs-o-A’ib se paak hai, Lihaza har ai’tibaar se haqeeqi Salaam wahi hai jabke makhlooq Nasbi salaam hai. Chunancha Allah Ta’alaa zaati tor par Waham-o-Gumaan mein aane wale har Nuqs-o-A’ib se salam y’ani mahfooz hai, Siaati tor par har Nuqs-o-A’ib se paak hai. Afa’al ke ai’tibaar se har nuqs, A’ib, Shar, Zulum aur Khilaaf-e-Hikmat anjaam pane wale kaam se mubarra aur paak hai, Balkeh har Ai’tibaar-o-Haisiyat se wahi haqeeqi salam hai. Lihaza ma’loom hua keh Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa pore tor par aur har itlaq ke sath is naam ka mustahiq hai, Aur dar haqeeqat yahi woh pakizgi hai jo Allah Ta’alaa ne apni zaat ke liye aur us ke Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ne is ke liye farmai hai. Chunancha woh biwi bachon se salam hai, Nazeer, Hamsar, Ham naam, Aur ham misal se salam hai shareek se salam hai. Aur is liye jab aap Allah ke Sifaat-e-Kamaal ko alag alag dekhen ge to har sift ko us ke kalaam ki zid se salamat aur mahfooz payen ge:
Chunancha us ki zindagi mout, Uongh aur neend se salam hai, Isi tarhan us ki qayyoomiyat aur qudrat takaan se salaam hai. Us ka ‘Ilm kisi cheez ke posheeda hone ya bhool chok, Ya sochne yaad karne ki haajat se salam hai, Is ka iradah Hikmat-o-Maslihat se kharij hone se salaam hai. Us ki baatein jhoot aur zulum se salaam hain, Balkeh us ki baatein sachaai aur ‘Adal se pur hain. Us ki be nayazi kisi bhi tarhan doosre ki mohtaajgi se salam hai balkeh Allah ke siwa sab Allah ke mohtaaj hain aur woh apne siwa- sab se be niaz hai. Us ki badshahat us mein kisi jhagdne wale ya shareek, Ya Muawin-o-Madadgaar, Ya us ki ijazat ke baghair kisi sifarshi se salaam hai. Us ki ulohiyat us mein kisi Shareek-o-Saajhi se salaam hai, Balkeh woh Allah hai jis ke siwa koi haqeeqi ‘Ibaadat ke laiq nahi, Us ki burdbaari ‘Afu-o-Darguzar, Maghfirat aur nazar andazi is baat se salaam hai keh use in cheezon ki koi haajat ho, Ya kamzori ho, Ya koi rawadaari ya be ja narmi ho, Jaise Allah ke i’lawa se hua karta hai, Balkehh yeh khaalis Allah ka Wujood-o-Sakha aur Ahsaan-o-Karam hai, Isi tarhan Allah ka ‘azaab, Intiqaam, Sakht geeri, ‘Azaab mein jaldi zulum, Ya tashffi, Ya tund mizaji, Ya sakht dili se salaam hain, Balkeh woh khalis Allah ki hikmat, ‘Adal aur cheezon ko bar mahal rakhne ki bunyaad par hai, Jis par woh Hamd-o-Sana ka mustahiq hai jaise apne ahsaan sawab aur ne’maton par muttafiq hai. Yahi nahi balkeh agar sawab ko ‘azaab ki jagah par rakh diya jaye to yeh Allah ki Hikmat-o-‘Izzat ke khilaaf aur is se mutsadim ho ga. Is liye us ka ‘azaab ko ‘azaab ki jagah par rakhna us ke ‘Adal hikmat aur ‘izzat ka taqaza hai lihaza Allah Ta’alaa is baat se bhi salaam hai jo us ke bare mein us ke dushmanon ka jo Allah ke bare mein jaahil hain to ham hai keh yeh Allah ki hikmat ke khilaaf hai.
Isi tarhan Allah ka faisala aur us ki taqdeer be kaari, Jor-o-Zulum aur Hikmat-e-Baaligah ke khilaaf waq’e hone ka gumaan rakhne walon se salaam hai, Aur us ka Deen aur Shari’yat tanaquz ikhtilaaf. Kashmakash, Bandon ki maslihat aur un par Rahmat-o-Ahsaan ke khilaaf hone se salaam hai, Balkeh Allah ki poori Shariy’at saraapaa hikmat, Rahmat Maslihat aur ‘Adal hai, Aur isi tarhan Allah ka dena aur ataa karna is baat se salaam hai keh woh badla ki umeed ya jise diya gaya hai us se kisi zaroorat ki bina par ho, Aur Allah ka na dena bakheeli aur bhukmari ke andaishe se salaam hai, Balkeh Allah ka dena sarasar ahsaan hai kisi badla ki justojoo ya zaroorat ki bina par nahi hai, Aur na dena bhi serrapa ‘Adal-o-Hikmat hai is mein kisi bakheeli ya aajizi ka koi shaiyba tak nahi.
Isi tarhan Allah Azzwajal ka apne ‘Arsh par mustawi aur buland hona kisi cheez ki zaroorat se salaam hai jo use uthaaye aur woh us par mustawi ho, Balkeh ‘Arsh aur us ke uthane wale khud Allah ke mohtaaj hain. Woh ‘Arsh, Haamileen-e-‘Arsh aur apne siwa har cheez se be niaz hai, Woh aisa istawa aur bulandi hai jis mein mahdoodiyat ka koi shaiyba hai na ‘Arsh waghairah ki zaroorat ka aur na kisi cheez ke Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa ko muheet hone ka, Balkeh Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa tab tha jab ‘Arsh na tha. Use ‘Arsh ki Chandan haajat thi, Woh be niaz tareefon wala hai balkeh us ka ‘Arsh par mustawi hona aur apni makhlooq par qaabiz hona us ki badshahat aur Qahar-o-Ghalba ka taqaza hai, Use ‘Arsh waghairah ki haajat sire se nahi hai.
Isi tarhan Allah ka har raat Aasman-e-Duniya par utarna us ki bulandi ke khilaaf cheezon se salaam hai, Neez us ki be nayazi ke khilaaf cheezon se salaam hai. Aur us ka kamaal un tamaam baton se salaam hai jo Allah ke Asma-o-Sifaat ka munkir ya us ki tashbeeh daine wala gumaan karta hai. Aur is baat se bhi salaam hai keh woh kisi cheez ke neeche ya kisi cheez mein mahsor aur band ho, Hamara Rab Allah apne kamaal ke khilaaf har cheez se Buland-o-Bartar hai.
Isi tarhan Allah ki be nayazi, Us ka sunna aur dekhna tashbeeh daine wale ke khayalaat aur munkir Sifaat ki bakwas se salaam hai. aur us ka apne Aulia ko dost rakhna makhlooq ki dosti ki tarhan kisi kamzori aur be basi ke nateeje mein hone se salaam hai, Balkeh woh mahaz rahmat Khair-o-Bhalai aur Ahsaan-o-Karam ki dosti hai, Jaisa keh Allah Azzawajal ka irshad hai:
وَقُلِ الْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِيْ لَمْ يَتَّخِذْ وَلَدًا وَّلَمْ يَكُنْ لَّهٗ شَرِيْكٌ فِي الْمُلْكِ وَلَمْ يَكُنْ لَّهٗ وَلِيٌّ مِّنَ الذُّلِّ وَكَبِّرْهُ تَكْبِيْرًا ١١١ۧ
“Aur yeh keh dijiye keh tamaam tareefen Allah hi ke liye hain jo na aulaad rakhta hai na apni badshahat mein kisi ko Shareek-o-Saathi rakhta hai aur na woh kamzor hai keh use kisi himaayati ki zaroorat ho aur tu us ki puri puri badai bayaan karta reh.”
(Al Israa: 111)
Chunaacha Allah ne apna mutlaq wali aur dost hone ki nafi nahi ki hai, Balkeh kisi kamzori aur be basi ki wajah se walii hone ki nafi ki hai. Isi tarhan Allah Ta’alaa ka apne mohibbeen aur aulia se muhabbat karna makhlooq ki makhlooq se muhabbat ke awariz se salaam hai jaise koi haajat, Ya chaploosi, Ya qurbat se faida uthana waghairah neez is silsila mein Munkireen-e-Sifaat ki ghadi hui baton se bhi salaam hai.
Isi tarhan Allah ki apni zaat ki taraf mansoob ki hui cheezen jaise haath aur chaihra waghairah tashbeeh daine wale ki soch aur inkaar karne wale ki banai hui baat se salaam hai.
Lihaza ghor karen keh Allah ka naam “السلام” kis tarhan Allah ko paak ki jane wali tamaam baton ko shaamil hai. Aur is naam ko yaad karne wale kitne log hain jinhein is naam mein shaamil un sar basta razon aur ma’ani ka ‘Ilm nahi hai, Wallah-ul-Mustaaan ).
(Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 2/150-152, Aur misri Aedishn, Nashar Maktabah Al Qahirah, Woh Aedishan jisy Maktabat-ul-Riyaaz Al Hadeesiyyah ne shaya kia hai: 2/135-137, Nihayat mamoli tasarruf ke sath.)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.