34. Sharah [Al-Barr; Al-Wahhaab]
Sharah [Al-Barr; Al-Wahhaab]
48: البر (Ahsaan karne wala )
49: الوھاب ( Ataa karne wala )
Allah Azzwajal ka irshad hai:
اِنَّا كُنَّا مِنْ قَبْلُ نَدْعُوْهُ ۭ اِنَّهٗ هُوَ الْبَرُّ الرَّحِيْمُ 28ۧ
“Ham is se pehle hi us ki ‘Ibaadat kiya karte the, Beshak woh Mohsin aur mehrbaan hai.” (Al Toor: 28)
Neez irshad hai:
رَبَّنَا لَا تُزِغْ قُلُوْبَنَا بَعْدَ اِذْ ھَدَيْتَنَا وَھَبْ لَنَا مِنْ لَّدُنْكَ رَحْمَةً ۚ اِنَّكَ اَنْتَ الْوَھَّابُ Ď
“Aey hamare Rab! Hamein hidaayat daine ke baad hamare dil tedhe na kar de aur hamein apne paas se rahmat ataa farma, Yaqeenan tu hi bohat badi ataa daine wala hai.”
(Aal-e-Imraan: 8)
Allah Ta’alaa ke Asma mein se “البرالوھاب” bhi hai, Y’ani Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa apne ahsanaat. Ataa aur karaam ke zariy’a tamaam kaainaat ko shaamil hai, Chunancha Allah bhalai ka Molaa, Daimi ahsaan wala aur kushadah aatiyon aur nawazishat wala hai, Us ki khoobi “البر” (ahsaan karne wala ) hai aur us khoobi ke asaar duniya ki tamaam tar Zahiri-o-Baatini na’ematain hain lihaza koi bhi makhlooq Allah ke Ahsaan-o-Nawazish se Chasham-e-Zadan ke liye bhi be niaz nahi ho sakti.
Aur Allah ka ahsaan ‘aam bhi hai aur khaas bhi:
1: ‘Aam ahsaan jis ka zikar Allah ke is farmaan mein kiya gaya hai:
رَبَّنَا وَسِعْتَ كُلَّ شَيْءٍ رَّحْمَةً وَّعِلْمًا
“Aey hamare Parwar-digaar! Tu ne har cheez ko apni bakhshish aur ‘Ilm se ghair rakha hai.” (Ghafir: 7)
Neez Allah ke is farmaan mein:
وَرَحْمَتِيْ وَسِعَتْ كُلَّ شَيْءٍ
“Aur meri rahmat tamaam ashya par muheet hai.” (Al Aaraf: 156)
Isi tarhan irshad hai:
وَمَا بِكُمْ مِّنْ نِّعْمَةٍ فَمِنَ اللّٰهِ
“Tumahre paas jitni bhi na’ematain hain sab usi ki di hui hain.” (Al Nahal:53)
Aur is ‘aam ahsaan mein naik, Bad, Aasman wale zameen wale aur mukallafeen (Paband-e-Shari’yat) aur deegar log sab shaamil hain.
2: Khaas ahsaan: Y’ani muttaqiyon par Allah ki khaas rahmat aur na’ematain, Jaisa keh irshad hai:
فَسَاَكْتُبُهَا لِلَّذِيْنَ يَتَّقُوْنَ وَيُؤْتُوْنَ الزَّكٰوةَ وَالَّذِيْنَ هُمْ بِاٰيٰتِنَا يُؤْمِنُوْنَ ١٥٦ۚ اَلَّذِيْنَ يَتَّبِعُوْنَ الرَّسُوْلَ النَّبِيَّ الْاُمِّيَّ
“To woh rahmat un logon ke naam zaroor likhoon ga jo Allah se darte hain aur Zakat dete hain aur jo hamari ayaton par Imaan laate hain. Jo log aise Rasool Nabi-e-Ummi ka iteba’a karte hain.” (Al Aaraf: 156-157)
Neez irshad hai:
اِنَّ رَحْمَتَ اللّٰهِ قَرِيْبٌ مِّنَ الْمُحْسِنِيْنَ
“Beshak Allah Ta’alaa ki rahmat naik kaam karne walon ke nazdeek hai.” (Al Aaraf:56)
Isi tarhan Sulaiman (علیہ السلام ) ki dua mein hai:
وَاَدْخِلْنِيْ بِرَحْمَتِكَ فِيْ عِبَادِكَ الصّٰلِحِيْنَ 19
“Aur mujhe apni rahmat se naik bundon mein shaamil kar le.” (Al Namal: 19)
Yeh khaas rahmat hai jise Anbiaa (علیہ السلام ) aur un ke peirokaar mangte hain jo Imaan, ‘Ilm aur ‘amal ki tufeeq tamaam ahwaal ki durusti, Abadi Sadat-o-Naik bakhti, Aur Falah-o-Kaamrani ki mutaqazi hai aur makhlooq mein khawaas ka yeh sab se ‘azeem matloob hai. (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 82-83, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/106)
Aur Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa jood (Sakha-o-Fayyazi ) ki sift se muttasif hai y’ani Fazal-o-Ahsaan ki Kasrat-o-Bohtat aur Allah ke Jood-o-Sakha ki bhi do qismein hain:
Pehli qisam: mutlaq Jood-o-Sakha jo tamaam kaainaat ko ‘aam hai aur Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa ne use apne Fazal-o-Karam aur qisam qisam ki ne’amaton se labraiz kar rakha hai.
Doosri qisam: khaas Jood-o-Sakha, Jo zabaan, Guftagu ya Zubaan-e-Haal se mangne walon ke sath khaas hai, khuwah naik ho ya bad Muslim ho ya Kaafir, Chunanacha jo Allah Ta’alaa se mangta hai woh us ki maang poori karta hai aur matlooba cheez ataa farma deta hai, Kiunkeh woh bada Mohsin aur meharbaan hai.
Allah Azzawajj ka irshad hai:
وَمَا بِكُمْ مِّنْ نِّعْمَةٍ فَمِنَ اللّٰهِ ثُمَّ اِذَا مَسَّكُمُ الضُّرُّ فَاِلَيْهِ تَجْــــَٔــرُوْنَ 53ۚ
“Tumahre paas jitni bhi na’ematain hain sab usi ki di hui hain, Ab bhi jab tumhen koi museebat paish aa jaye to usi ki taraf Naala-o-Faryaad karte ho.“
(Al Nahal: 53)
Aur us ki kushadah Sakha-o-Fayyazi ka hissa woh bhi hai jo us ne apne Ne’amaton bhare ghar (Jannat) mein apne Aulia ke liye tayyar kar rakha hai jise kisi aankh ne dekha, Na kisi kaan ne suna aur na kisi Fard-e-Bashar ke dil mein us ka khatka guzra.
(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 66-67, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/94)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.