35. Sharah [Ar-Rahmaan; Ar-Raheem; Al-Kareem; Al- Karam; Ar-Ra’oof]
Sharah [Ar-Rahmaan; Ar-Raheem; Al-Kareem; Al- Karam; Ar-Ra’oof]
50: الرحمان (Mehrbaan)
51: الرحيم ( Nihaayat raham karne wala )
52: الكريم (Karam wala)
53: الكرم ( Sab se bada karam wala )
54: الرءوف ( A’ala Shafqat-o-Narmi wala )
Allah Azzawajal ka irshad hai:
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِيْنَ Ǻۙ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ąۙ
“Sab tareef Allah Ta’ala ke liye hai jo tamaam jahanon ka paalne wala hai. Bada meharbaan nihaayat raham karne wala.”
(Al Fatihah: 1-2)
Neez irshad hai:
وَمَنْ شَكَرَ فَاِنَّمَا يَشْكُرُ لِنَفْسِهٖ ۚ وَمَنْ كَفَرَ فَاِنَّ رَبِّيْ غَنِيٌّ كَرِيْمٌ 40
“Shukar guzaar apne hi naffa ke liye shukar guzari karta hai aur jo na shukri kare to mera Parwar-Digaar ( be parwah aur buzurag) ghani aur Kareem hai.”
(Al Namal: 40)
Neez irshad hai:
وَيُحَذِّرُكُمُ اللّٰهُ نَفْسَهٗ ۭوَاللّٰهُ رَءُوْفٌۢ بِالْعِبَادِ
“Allah Ta’ala tumhen apni zaat se dara raha hai aur Allah Ta’ala apne bundon par bada hi meharbaan hai.”
(Aal-e-Imraan: 30)
Allama Shaikh Abdul Al Rahman Bin Nasir Sa’adi (رحمہ الله) farmate hain:
الرحمن, الرحیم, البر, الکریم, الجواد, الرؤوف, aur الوھاب, un naamon ke ma’ani qareeb qareeb hain, Aur yeh saare naam is baat par dalalat karte hain keh Rab Subhan-o-Wa Ta’ala rahmat. Ahsaan sakhawat, karam waghairah khoobiyon se muttasif hai, Neez yeh keh Allah ki rahmat aur us ki nwazishat badi kushadah hain, Jise us ne apni hikmat ke taqaza ke mutabiq saare wujood ke liye ‘aam kar rakha hai. Aur is mein se mominon ko khasusiyat ke sath khoob khoob aur bharpoor hissa ataa farmaaya hai, Allah Subhan-o-Wa Ta’ala ka irshad hai:
وَرَحْمَتِيْ وَسِعَتْ كُلَّ شَيْءٍ ۭ فَسَاَكْتُبُهَا لِلَّذِيْنَ يَتَّقُوْنَ وَيُؤْتُوْنَ الزَّكٰوةَ وَالَّذِيْنَ هُمْ بِاٰيٰتِنَا يُؤْمِنُوْنَ ١٥٦ۚ
“Aur meri rahmat tamaam ashya par muheet hai. To woh rahmat un logon ke naam zaroor likhoon ga jo Allah se darte hain, Aur Zakat dete hain aur jo hamari ayaton par Imaan laate hain.” (Al Aaraf: 156)
Aur naematain aur ahsanaat sab Allah ki rahmat, Jood-o-Sakha aur aur karam ki nishanain hain. Aur Duniya-o-Akhirat ki tamaam bhalaiyan bhi Allah ki rahmat ki nishanain hain.
(Tafseer Allamah Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi: 5/621)
Shaikh-ul-Islam Imam Ibn-e-Taimiyyah (رحمہ الله) Farmaan-e-Baari Ta’ala:
اِقْرَاْ وَرَبُّكَ الْاَكْرَمُ Ǽۙ الَّذِيْ عَلَّمَ بِالْقَلَمِ Ćۙ عَلَّمَ الْاِنْسَانَ مَا لَمْ يَعْلَمْ Ĉۭ
“Tu padhta rahe tera Rab bade karam wala hai. Jis ne qalam ke zari’ye (‘Ilm) sikhaya. Jis ne insaan ko woh sikhaya jise woh nahi jaanta tha.”
(Al Alaq: 3-5)
Ki Tafseer mein farmate hain:
Allah Ta’ala ne peda karne ki khabar daine ke baad apne aap ko karam ki sift se muttasif kya hai aur apna naam “الکرم” rakha hai taakeh yeh wazih ho jaye keh woh makhloqaat par apna ina’aam karta hai aur unhain Qaabil-e-Sataish maqasid tak pohanchata hai, Jaisa keh Allah Azzawajal ka irshad hai:
الَّذِيْ خَلَقَ فَسَوّٰى Ą۽ وَالَّذِيْ قَدَّرَ فَهَدٰى Ǽ۽
“Jis ne mujhe paida kiya aur sahih saalim banaya. Aur jis ne (theek thaak) andaaza kiya aur phir raah dikhayi.”
(Al Aalaa: 2-3)
Neez irshad hai:
قَالَ رَبُّنَا الَّذِيْٓ اَعْطٰي كُلَّ شَيْءٍ خَلْقَهٗ ثُمَّ هَدٰى 50
“Jawab diya keh hamara Rab woh hai jis ne har aik ko us ki khaas soorat shakal inaayat farmani phir raah samjha di.”
(Taaha: 50)
Neez irshad hai:
الَّذِيْ خَلَقَنِيْ فَهُوَ يَهْدِيْنِ 78ۙ
“Jis ne mujhe paida kiya hai aur wohi meri rahbari farmata hai.” (Al Shuraa: 78)
Chunancha Takhleeq aaghaz ko shaamil hai aur karam ikhtitaam ko shaamil hai, Jaisa keh Surah Al Fatiha mein irshad farmaaya: (رب العالمين)
(“Tamaam jahaanon ka paalne wala hai “)
Aur phir farmaaya: الرحمان الرحيم (“Bada mehrbaan nihaayat raham karne wala ) Aur karam ka lafz tamaam mahasin aur khoobiyon ka jam’e hai, Is se sirf daine ka maien’e Muraad nahi hai, Balkeh bharpoor maien’e ke ai’tibaar se dena Muraad hai. Kiunkeh doosre ki taraf ahsaan karna khoobiyon ka poora hona hai jabke “karam” bhalai ki kasrat aur aasani ko kehte hain. Aur Allah Subhan-o-Wa Ta’ala ne Sigha Tafzeel aur Mu’arfa (ال) ke sath bataya hai keh woh sab se zayada karam wala hai. Lihaza is se ma’loom hua keh Allah Ta’ala hi tanha sab se zayada karam wala hai barkhilaaf is ke keh agar Woh: “وربک اکرم” Kehta to hasar ka faida na deta. Aur Allah farmaan: “الاکرم” Hasar aur tahdeed ka faida de raha hai, Neez Allah ne “الاکرم من کذا” y’ani (falan se zayada karam wala ) bhi nahi farmaya. Balkeh naam ko mutlaq rakha. Taakej wazih ho jaye keh woh kisi qaid ke baghair mutlaq tor par sab se zayada karam wala hai. Lihaza ma’loom hua keh Allah Ta’ala haddarja karam se muttasif hai to us ke upar kuch hai na hi us mein koi Nuqs-o-A’ib hai )
(Fatawa Shaik-ul-Islam Ibn-e-Taimiyah: 16/293-294, Mamoli tasarruf ke sath.)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.