Search
Sections
< All Topics
Print

37. Sharah [Ar-Raaziq; Ar-Razzaaq]

Sharah [Ar-Raaziq; Ar-Razzaaq]

 

 


 

56: الرزاق 57: الرازق (Rozi rasan )

 


 

الرزاق kasrat ka maien’e batane ke liye رزاق ka Sigha mubalagha hai, aur الرزاق Allah ke Asmaa-e-Husna mein se hai.

 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ هُوَ الرَّزَّاقُ

 

“Allah Ta’ala to khud hi sab ka rozi rasan.” (Al Zariat: 58)

 

Neez irshad hai:

 

وَمَا مِنْ دَاۗبَّةٍ فِي الْاَرْضِ اِلَّا عَلَي اللّٰهِ رِزْقُهَا

 

“Zameen par chalne phirne wale jitne Jandaar hain sab ki roziyaan Allah Ta’ala par hain.” (Hood:   6)

 

Isi tarhan Nabi-e-Kareem ka irshad graami hai:

 

إِنَّ اللَّهَ هُوَ الْمُسَعرُ الْقَابِضُ الْبَاسِطُ الرّازِقُ

 

“Beshak Allah Ta’ala hi cheezon ko arzaan mehanga karne wala, Rozi tang wala, Kushadah karne wala rozi rasan hai.”

(Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Buyoo Wal Ijaraat, Baab Fil Taseer, Hadees: 3451, Wa Sunan Al Tirmizi, Kitab-ul-Buyoo, Baab Fil Taseer, Hadees: 1314, Wa Sunan Ibn-e-Majah, Kitab-ul-Tijarat, Baab Man Kariha An Yusira, Hadees: 2200, Wa Musnad Ahmad: 3/156, Neez ise Imam Tirmizi ne Sahih qarar dia hai, Isi tarah Allamah Albani رحمہ اللہ ne Sahih Al Jame, Hadees: 1846, mein Sahih qarar dia hai.)

 

Aur Allah Ta’ala ki apne bandon ki rozi rasani ki do qismein hain: ‘Aam aur khaas.

 

1: ‘Aam: Y’ani tamaam tar makhloqaat ko apne jeene basne ki zaroriat ki saari cheezen pahunchana aur muhayya karna, Chunancha Allah ne rozi aasaan farmai, Un ke jismon mein is ka intizam kiya, Aur har har uzoo ko us ki matlooba khoraak pohanchai, Aur yeh cheez naik, Bad Muslim Kafir balkeh tamaam admion, Jinoo Firshton aur tamaam Haiwanaat ke liye ‘aam hai.

 

Isi tarhan aik doosre ai’tibaar se mukallafeen (jin par Shari’yat ke ahkaam laago hain) ke haq mein bhi ‘aam hai, Bain tor keh maal kabhi Halaal ho sakta hai jis mein bande koi Maqad-o-Malaamat nahi aur kabhi Haraam bhi ho sakta hai lekin is ke bawajood is ai’tibaar se use rozi aur N’emat kaha jata hai. Aur bola jata hai “رزقہ اللہ” Allah ne use rozi ataa farmai. Chahe us ne Halaal tareeqa se kamaya ho ya Haraam se yeh ‘aam rozi hai.

 

2: Riba Rizq-e-Mutlaq To woh yeh doosri qisam hai jise khaas rozi kaha jata hai y’ani woh rozi jo naffa bakhash hai jis ka naffa Duniya-o-Akhirat mein musalsal jari hai, Yeh woh rozi hai jo Rasoolon ke hathon pahunchti hai, Aur is ki do qismein hain:

 

Pehli qisam: ‘Ilm, Imaan aur un ke haqaiq ke zari’ya dilon ki rozi rasani, Kiunkeh woh is baat ke haddarja mohtaaj hain keh haq Ta’ala ki ‘Ibaadat-o-Bandagi karte hue use janne wale aur is ko chahane walay hon, Aur is ke zari’ya un dilon ki maldari haasil hoti hai aur un ki faqeeri zail hoti hai.

 

Doosri qisam: Halaal rozi jis mein koi A’ib-o-Malaamat na ho ke zari’ya badan ki rozi. Kiunkeh jis rozi ko Allah ne Imaan walon ke sath khaas kar rakha hai aur jise woh Allah se mangte hain woh dono baton ko shaamil hai. Isi liye bande ko chahiye keh jab apne Rab se Husool-e-Rizaq ki dua kare to apne dil mein in dono baton ko hazir rakhe. Chunancha “اللھم ارزقنی” (Aey Allah mujhe rozi ataa farma) kehne ka matlab yeh hai keh mujhe woh ‘Ilm, Hidaayat Maarifat aur har ‘Amal-e-Salih aur umdah akhlaq ko shaamil Imaan ataa farma jis se mera dil nikhar jaye, Aur woh Khushgawar Halaal rozi ataa farma jis mein koi dushwari ho na hi baad mein koi malamat jis se mere badan ki islaah ho jaye. (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 85-86, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/103, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/234)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents