46. Sharah [Ar-Rafeeq]
Sharah [Ar-Rafeeq]
85: الرفيق ( Narmi karnr wala )
Yeh sift sahih Hadees mein warid Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ke is farmaan se makhoz hai:
إِنَّ اللهَ رَفيقُ يُحبُّ الرّفْقَ، وَيُعْطِي عَلَى الرِّفْقِ مَا لَا يُعْطِي عَلَى الْعُنْفِ، وَمَا لَا يُعْطِي عَلَى مَا سواه
“Allah Ta’alaa narmi baratne wala hai. Narmi ko pasand karta hai, Aur narmi par woh cheezen ataa farmata hai jo sakhti par nahi deta, Aur jo is (narmi) ke ilawah par nahi deta.”
(Sahih Muslim Kitab-ul-Birr Wal Silati Wal Aadab, Baab-o-Fazl-e-Al Rifq, Hadees: 2593, Aur pahla Tukda Sahih Bukhari mein bhi hai, Kitab-o-Istitabat-e-Al Murtaddin, Baab-o-Iza Araz-e-Al Zimmi Wagairaho Yasubb-ul-Nabi صلی اللہ علیہ وسلم, Hadess: 6927)
Chunancha Allah Ta’alaa apne afaal mein narmi baratne wala hai. Us ne saari makhloqaat ko apni Hikmat-o-Narmi ke mutabiq batadreej basta basta peda kiya hai, Halaanke woh unhain aik hi dafaa aur aik hi lamha mein peda karne par Qaadir hai.
Aur jo makhloqaat par ghor kare ga aur sath hi shari’at ke ahkamaat par ghor kare ga keh Allah Ta’alaa kaise rafta rafta ahkamaat deta hai woh badi ‘Ajeeb-o-Ghareeb cheez dekhe ga. Chunancha aik sanjidah aadmi jo kaainaat mein Allah ki sunton ko apnate hue aur us ke Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki ittibaa karte hue: “Keh yahi Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ka uswah aur tareeqa tha, M’uamlaat ko narmi sakoon aur waqar se anjaam de ga. Us ke m’uamlaat aasaan ho jaaein ge, Bilkhushoos woh shakhs jo logon ko hukum daine mana karne aur inhain rahnumai karne ka hajatmand ho, Us ke liye to Shafqat-o-Narmi nihaayat na guzeer hai.” Isi tarhan woh shakhs jise log ghinaoni baton se takleef pouncha rahe hon aur woh un ke sath gaali galoch karne se apni zabaan mahfooz rakh le aur nihaayat Narmi-o-Mulaimat se apna difaa kar le is se un ki aizaa rasaniyan is qader daur ho jaaein gi jitni un ke bil-muqabil unhi jaise Aqwal-o-Afaal se nahi hosakin gi. Aur sath hi use Raahat-o-Itminaan neez sanjeedgi, waqar aur burdbaari bhi haasil hogi.
(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page:63)
Aur jab bande Allah se faryaad karte hain to woh un ki faryaad rasi karta hai, Chunancha Anas Bin Maalik (رضی اللہ عنہ) se marwi hai keh Jumme ke roz aik shakhs Masjid mein daakhil hua, Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) khutba irshad farma rahe the…. Phir us ne kaha: “Aey Allah ke Rasool! Maal tabah ho gaye aur raste band ho gaye Lihaza Allah se dua kar dijiye keh hamein sairaab kar de” Chunacha Allah ke Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ne apne dono hathon ko uthaya aur phir farmaaya:
اللهم أعْثنا، اللهم أغثنا، اللهم أغثنا
“Aey Allah! Ham par barish barsa, Aey Allah! Ham par barish barsa, Aey Allah! Ham par barish barsa.”
(Sahih Bukhari Kitab-ul-Istisqaa, Baab-ul-Istisqaa Fi Khutbat-e-Al Jumaati Gaira Mustaqbil-e-Al Qiblati, Hadees: 1014, Wa Sahih Muslim, Kitab-o-Salat-e-Istisqaa, Baab-ul-Duaa Fil Istisqaa, Hadees: 897)
To Allah Ta’alaa mushkilo aur dushwariyon mein apne bandon ki faryaad rasi karta hai, Aur tamaam makhloqaat ke mu’amlaat jab dushwar ho jate hain aur musibaton aur mushkilon mein ghir jate hain to wahi un ki faryaad rasi karta hai bhuke ko khana khilata hai nange ko kapda pehnata hai museebat zadah ko chutkara dilaata hai, Aur Haajat-o-Xaroorat ke waqt un par barish barsata hai. Isi tarhan hasrat zadon ki faryaad sunta hai y’ani Hasrat-o-Alam mushkil aur majboori ki haalat mein dua karne wale ki dua qubool farmata hai Lihaza jo Allah se faryaad kare ga Allah us ki faryaad rasi farmaye ga.
Aur Kitaab-o-Sunnat mein museebatein talne, Dushwariyon ka izaala karne aur mushkil ko aasaan karne ka zikar bakasrat maojood hai, Jo Maroof hai.
(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 67)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.