47. Sharah [Al-Hayyiyy ; Al- Sitir ; Al-Ilaah]
Sharah [Al-Hayyiyy ; Al- Sitir ; Al-Ilaah]
86: الحی ( Haya karnay wala )
87: الستير (Parda poshi karne wala )
Yeh sift Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ke is farmaan se makhoz hai:
إن ربكمْ تبارك وتعالى حیٍ كريم ، یستحْیی منْ عبْده إذا رفع یدیه إلیْه أنْ یردهما صفْرا
Beshak tumhara Rab Tabarak-o-Ta’alaa bada ba haya aur sakhi hai, Jab us ka banda us ki janib apne dono hathon ko uthata hai to use sharam aati hai keh unhain khaali (na mooraad) wapas lota de.
(Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Witri, Baab-ul-Duaa, Hadees: 1488, Wa Jame Tirmizi, Kitab-ul-Dawaat, Baab: 104, Hadees: 3556, Wa Sunan Ibn-e-Majah, Kitab-ul-Duaa, Baab-o-Rafe-e-Yadain Fil Duaa, Hadees: 3866, Wa Musnad Ahmad: 5/438, Wa Mustadrak Hakim: 1/497, Aur kaha keh: Is ki sanad Sahihain ki shart par Sahi hai. Aur Imam Zahabi ne in ki muwafaqat farmai hai. Aur Imam Tirmizi farmate hain: Yeh Hadess Hasan Ghareeb hai. Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ne isy Sahi Al jame (1758) mein Sahih qarar dia hai.)
Neez Irshad-e-Giraami hai:
إن الله عز وجل حي ستیر یحب الْحیاء والستْر فإذا اغْتسل أحدكمْ فلیستتر
“Beshak Allah Azzawajal bada ba haya khoob parda karne wala hai. Haya aur parda ko pasand karta hai, Is liye jab tum mein se koi ghusal kare to parda kar le.
(Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Hammam, Baab-ul-Nahi Ana-e-Al Tarri, Hadees: 4012, Wa Sunan Nasai, Kitab-ul-Ghusal, Baab-ul-Istitar Ind-e-Al Ghusli, Hadees: 404, Wa Musnad Ahmad: 4/244, Wal Sunan Al Kubraa Lil Baihaqi: 1/198, Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ne ise sahih Al Jame (176) Aur Irwaa-ul-Ghaleel (2335) mein Sahih qarar dia hai.)
Yeh Allah ki rahmat, Us ke karam, Us ke kamaal aur us ki ‘Ilm-o-Burdbaari ka nateeja hai keh bandah apne Rab ka sakht mohtaaj hone ke bawajood us ke samne khule ‘aam gunah karta hai hatta keh us ke liye Allah ki nematon ke zariy’a quwwat haasil kiye baghair gunah karna bhi mumkin nahi jabke Rab Subhan-o-Wa Ta’alaa apni saari makhlooq se kamaal be nayazi ke bawajood apne Ahsaan-o-Karam se use be naqaab aur ruswa karne aur saza daine se sharmaata hai, Chunancha us ke liye parda poshi ke asbaab muhayya farma kar us par parda daal deta hai, Use maaf kar deta hai aur us ki mughfirat farma deta hai, Chunancha woh nemton ke sabab Allah ke bandon ki nigahon mein mahboob bana rehta hai aur woh logon ke gunaaho ke sabab us ki nigah mein mabghooz hote hain, Bandon par Allah ki Khair-o-Bhalai ka silsila lamhon ki tadaad mein jari rehta hai. Aur un ki sharartein Allah ke taraf chadhti rehti hain aur Muaziz farishta un ki buraiyan aur badiyan le kar Allah ki janib chadhta rehta hai.
Isi tarhan Allah Ta’alaa Islam ki haalat mein baal safaid hone walon ko azaab daine se sharmaata hai, Neez jo apne hathon ko Allah ki taraf badhata hai use khaali lautne se sharmaata hai. Woh apne bandon ko khud se dua karne ki D’awat deta hai aur un se qabuliat ka wadah farmata hai. Woh bada pakbaaz aur parda daar hai, Haya aur parda karne walon ko pasand karta hai, Aur jo kisi Musalman ki parda poshi karta hai Allah Ta’alaa Duniya-o-Akhirat mein us par bhi parda dalta hai. Aur isi liye bandoo ke gunah karne ke baad us ka charcha karne ko na pasand karta hai balkeh apne aur us ke darmiyan us ki tuba qubool kar laita hai use logon ke samne zahir nahi farmata. Aur Allah ke nazdeek aik sab se mabhgooz shakhs woh hai jo raat mein gunah kare aur Allah us par parda daal de phir subah uth kar woh apne aap se Allah ka parda faash kar de Allah Subhan-o-Wa Taalaa ka irshad hai:
اِنَّ الَّذِيْنَ يُحِبُّوْنَ اَنْ تَشِيْعَ الْفَاحِشَةُ فِي الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا لَهُمْ عَذَابٌ اَلِيْمٌ ۙ فِي الدُّنْيَا وَالْاٰخِرَةِ ۭ وَاللّٰهُ يَعْلَمُ وَاَنْتُمْ لَا تَعْلَمُوْنَ 19
“Jo log Musalmanoon mein be hayai phelane ke aarzoo mand rehte hain un ke liye duniya aur akhirat mein dard naak azaab hein, Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jante.” (Al Noor: 19)
Aur yeh saari cheezain Allah ke naam “الحليم” ka maien’e hein jis ki burdbaari Kafiroon, Fasiqon aur Gunahgaron ko was’ee hai. Aur Allah ne apni saza ko zaalimon par fori utrne se rok rakha hai. Chunancha Allah inhain mohlat deta hai taakeh tuba kar lein lekin agar woh apno harkatun par qaim aur sarkashi par adey rahin ge, Allah ki taraf ruju na Karin gin tu Allah unhin yunhi nah chodey ga.
(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 54-55)
88: الالہ ( Mabood-e-Haqeeqi )
Allah ka naa الالہ tamaam Sifaat-e-Kamaal aur Ausaf-e-Jamaal ka jam’e hai. Allah ke tamaam Asmaa-o-Husna is naam mein daakhil hain. Aur isi liye sahih qoul yahi hai keh اللہ ki asal” الالہ ” hai aur “ اللہ” naam tamam Asma-e-Husna aur Sifaat-e-Ulya ka jam’e hai wallah-o-Aalm.
(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 54-55).
Allah Azzawajal ka irshad hai:
ۭاِنَّمَا اللّٰهُ اِلٰهٌ وَّاحِدٌ ۭسُبْحٰنَهٗٓ اَنْ يَّكُوْنَ لَهٗ وَلَدٌ ۘ لَهٗ مَا فِي السَّمٰوٰتِ وَمَا فِي الْاَرْضِ ۭوَكَفٰي بِاللّٰهِ وَكِيْلًا ١٧١ۧ
“Allah ‘Ibadat ke laiq to sirf aik hi hai aur woh is se pak hai keh us ki aulaad ho, Usi ke liye hai jo kuch asmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai. Aur Allah kaafi hai kaam banane wala.” (Al Nisaa: 171)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.