Search
Sections
< All Topics
Print

48. Sharah [Al-Qaabid; Al-Baasit; Al-Mu’tee]

Sharah [Al-Qaabid; Al-Baasit; Al-Mu’tee]

 


 

89: القابض (Tang karne wala )

90: الباسط (Kushadah karne wala )

91: المعطی (Ataa karne wala )

 


 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَاللّٰهُ يَـقْبِضُ وَيَبْصُۜطُ ۠وَاِلَيْهِ تُرْجَعُوْنَ  ٢٤٥؁

 

“Allah hi tangi aur kushadgi karta hai aur tum sab usi ki taraf lotaye jao ge.”( Al Baqarah:  245)

 

Aur Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka irshad hai:

 

إن اللہ ھو  الْمسعر الْقابض ‌‌‌‌‌‏الْباسط الرازق

 

“Beshak Allah Ta’alaa hi cheezon ko arzaan mehanga karne wala, Rozi tang karne wala, Kushadah karne wala rozi rasan hai.”

(Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Buyoo Wal Ijaraat, Baab Fil Taseer, Hadees: 3415, Wa Sunan Al Tirmizi, Kitab-ul-Buyoo, Baab, Fil Taseer, Hadees: 1314, Wa Sunan Ibn-e-Majah, Kitab-ul-Tijaraat, Baab-o-Man Kariha An Yusaara, Hadees: 2200, Wa Musnad Ahmad: 3/56. Neez ise Imam Tirmizi ne Sahih qarar dia hai. Isi tarah Allama Albani رحمہ اللہ ne Sahih Al Jame, Hadees: 1846 mein Sahih qarar dia hai.)

 

Neez irshad hai:

 

من یرد اللہ به خير یفقهه فی الدین واللہ المعطی وانا القاسم .

 

“Jis ke sath Allah bhalai karna chahta hai use Deen ki samajh ataa farmata hai aur Allah hi daine wala hai aur mein baantane wala hoon.”

(Bukhari, Kitab-ul-Ilm, Baab-o-Man Yurid-e-allau Bihi Khairan (71, Wa Muslim, Kitab-ul-Zakat, Baab-ul-Nahi An-e-Al Maslati(1037-100)

 

Aur isi tarhan Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaaya:

 

ان الله عز وجل لا ینام ولا ینبغی له أنْ ینام، یخْفض الْقسْط ویرْفعه، یرْفع إلیْه عمل الليل قبل عمل النھار عمل النھار قبل عمل اللیل …الحديث

 

“Beshak Allah Azzawajal nahi sota aur na hi sona us ke Shayan-e-Shaan hai woh Adal ko Past-o-Buland karta hai, Us ki taraf raat ka ‘amal din ke ‘amal se pehle aur din ka ‘amal raat ke ‘amal se pehle buland kiya jata hai.

(Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Baab-o-Qaol-e-Al Nabi صلی اللہ علیہ وسلم: ان اللہ لا ینام, Hadees: 179)

 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

قُلِ اللّٰهُمَّ مٰلِكَ الْمُلْكِ تُؤْتِي الْمُلْكَ مَنْ تَشَاۗءُ وَتَنْزِعُ الْمُلْكَ مِمَّنْ تَشَاۗءُ   ۡ وَتُعِزُّ مَنْ تَشَاۗءُ وَتُذِلُّ مَنْ تَشَاۗءُ  ۭبِيَدِكَ الْخَيْرُ  ۭ اِنَّكَ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ قَدِيْرٌ   26؀

 

“Aap keh dijiye aey Allah! Aey tamaam Jahan ke maalik! Tu jise chahr badshaahi de aur jis se chahe saltanat chean le aur tu jise chahe izzat de aur jise chahe zillat de, Taire hi haath mein sab bhalaiyan hein, Beshak tu har cheez par Qadir hai.” (Aal-e-Imraan: 26)

 

Aur Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka irshad hai:

 

“إن الله یرفع بهذا الكتاب أقْواما، ویضع به آخرین”

 

Beshak Allah Ta’alaa is kitaab ke zariy’a kuch logon ko buland karta hai, Aur isi ke zariy’a doosron ko past karta hai.”

(Sahi Muslim, Kitab-ul-Musafireen, Baab-o-Fazl-e-Man Yaqoomu Bil Quraan Wa Yuallimuho, Hadees: 817, Wa Sunan Ibn-e-Majah, Baab-o-Fazl-e-Man Tallam-e-Al Quraan Wa Allamaho, Hadees: 218, Wa Sunan Al Darami, Baab ان اللہ یرفع بھذا الکتاب اقواما ویضع بہ آخرین, Hadees: 3368)

 

Aur Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) Namaz se salam phairne ke baad jab logon ki taraf mun phairte the to farmate the:

 

لا إله إلا الله وحده لا شريك له، له الملْك وله الحمْد، وهو على کل شيء قدير اللهم لا مانع لما اعطيت، ولا معطي لما منعت ولا ينفع ذا الجد منك الجد

 

Allah ke siwa koi Laiq-e-‘Ibadat nahi, Woh tanha hai Us ka koi shareek nahi. Badshaahat us ki hai aur tamaam tareefen us ke liye hain aur woh har cheez par Qadir hai. Aey Allah jise tu de us se rokne wala koi nahi, Aur jise tu na de use koi daine wala koi nahi, Aur kisi maldaar ko us ka Maal-o-Doulat Teri bargaah mein koi naffa na de ga.”

(Bukhari, Kitab-ul-Azaan, Baab-ul-Zikri Baad-e-Al Salati, Hadees: 844, Wa Muslim, Kitab-ul-Masajid Wa Mawazi-e-Al Salati, Baab-o-Istihbab-e-Al Zikri Baad-e-Al Salati Wa Bayan Sifatihi, Hadees: 893)

 

Aik doosre ke muqabil naamon ke in Ausaf Kareemah ke zariy’a har aik ko doosre ke sath milaaye baghair Allah ki sana karna munasib nahi. Kiunkeh Allah ka kamaal mutlaq dono sifton ke ikhatta hone mein hai, Chunancha woh roziyun, Roohon aur jaanun ko qabz karne aur sametane wala hai, Roziyun, Rahmaton aur dilon ko kushadah karne wala hai, Wahi ‘Ilm-o-Imaan par qaim qomon ko bulandi ataa karne wala hai. Apne dushmanon ko past karne wala hai, Aur wohi apne ita’at guzaron ko izzat bakhsne wala hai, Aur yahi haqeeqi izzat hai kiunkeh Allah ka Mut’ee-o-Farmanbardar izzat wala hota hai agarche woh bzahir faqeer ho us ke madadgaar na hon, Aur wahi apne gunahgaron aur dushmanon ko Duniya-o-Akhirat mein ruswa karne wala hai kiunkeh gunahgaar agarche bzahir izzat ke Mazahir mein dikhayi de raha ho lekin us ka dil Zillat-o-Ruswai se bhara hota hai agarche nafsaani khwahishat mein doobe rehne ki wajah se use us ka shu’oor na ho. Kiunkeh saari izzat Allah ki ita’at mein aur Zillat-o-Khawari us ki Mashiat-o-Nafarmani mein hai, Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَمَنْ يُّهِنِ اللّٰهُ فَمَا لَهٗ مِنْ مُّكْرِمٍ  ۭ اِنَّ اللّٰهَ يَفْعَلُ مَا يَشَاۗءُ

 

“Jise Rab zaleel kar de use koi izzat daine wala nahi.” (Al Hajj: 18)

 

Neez irshad hai:

 

مَنْ كَانَ يُرِيْدُ الْعِزَّةَ فَلِلّٰهِ الْعِزَّةُ جَمِيْعًا

 

“Jo shakhs Izzat haasil karna chahta ho to Allah Ta’alaa hi ki saari izzat hai.“( Faatir:  10)

 

Neez irshad hai:

 

وَلِلّٰهِ الْعِزَّةُ وَلِرَسُوْلِهٖ وَلِلْمُؤْمِنِيْنَ وَلٰكِنَّ الْمُنٰفِقِيْنَ لَا يَعْلَمُوْنَ  Ď۝ۧ

 

“Suno! Izzat to sirf Allah Ta’alaa ke liye aur us ke Rasool ke liye aur Imaan daaron ke liy hai. (Al Munafiqoon: 8)

 

Aur Allah talaa hi rukne deny wala hai, Woh jisy nah de koi deny wala nahi, Aur jisy de use koi rokne wala nahi, Aur yeh saari cheezain Allah ke Adal, Hikmat aur hamd ke tab’e hain kiunkeh Allah jise past ruswa aur mahroom karta hai is mein us ki hikmat hoti hai, Allah par kisi ki koi Hujjat nahi, Is tarhan woh jise buland karta, Ataa karta aur us ke liye bhalaiyon ke khazane kholta hai us par Allah ka mahaz fazal hota hai, Is liye bande ke liye zaroori hai keh Allah ki hikmat ka aitraaf kare neez us ke Fazal-o-Ahsaan ka bhi aitraaf kare aur apni zabaan, Dil aur Aaza-o-Jawareh se us ka shukar bajalaye.

Aur chunke Allah Ta’alaa hi un cheezon mein akela aur munfarid hai aur yeh saari cheezen Allah ki taqdeer ke tehat chalti hain is liye Allah ne bande ko buland karne, Ataa karne aur us ki takreem ke asbaab banaaye hain, Isi tarhan us ki zid ke bhi asbaab banaye hain jo un cheezon ko anjaam deta hai is ka nateeja aur anjaam murattab hota hai, Aur jise jis kaam ke liye peda kiya gaya hai usse us ke liye aasaan kar diya gaya hai, Chunancha sadatmandon ko sadatmandon ke kaam ke liye aasaan kiya jata hai, Aur badbakhton ko badbakhton ke kaam ke liye aasaan kiya jata hai, Aur yeh cheez bande par wajib kar deti hai keh apni pasandeeda cheezon ko pane ke liye Allah ki tuheed bajalaye aur apne Rab par aitmaad rakhe, Aur naffa bakhash asbaab anjaam daine mein khoob mehnat kare kiunkeh yahi Allah ki hikmat ka maqaam hai .

 

( Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 89-90)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents