Search
Sections
< All Topics
Print

50. Sharah [Al Mubeen]

Sharah [Al Mubeen]

 


 

94: المبين (Wazih, Roshan, Ayaan )

 


 

المبین: ابان یُبین Se Ism-e-Fail hai jab koi cheez wazih aur zahir ho jaye khawah qoli tor par ya faili tor par.

 

Aur البینہ wazih Dalalat-o-Rahnumai ko kehte hein khawah ‘aqli ho ya mehsoos, Aur البیان kisi cheez ko kholne aur numayan karne ko kehte hein…. Aur kalaam ko bayaan isi liye kaha gaya hai keh woh maqsad ko kholta aur ayaan karta hai, Jaise Allah ka irshad hai:

 

هذا ببان للناس 

 

“Aam logon ke liye to yeh (Quran) bayaan hai.”

(Aal-e-Imraan: 138)

 

Chunacha Allah Ta’alaa hi apne bandon ke liye hidaayat ka rasta roshan karne wala hai aur jin aamaal ki anjam dahi par woh sawab ke mustahiq hon aur jin kaamon par woh azaab ke mustahiq hon ge us ki wazahat karne wala hai, Aur neez inhein jo karna hai aur jo chodna hai Allah ne use wazih farma dia hai kaha jata hai: آبان الرجل فی كلامہ ومنطقہ  فھو مبین, “Y’ani aadam ne apne Kalaam-o-Guftagu mein wazih kiya, Lihaza woh wazih guftagu karne wala hai” Aur bayaan: Ke mein’e guftagu aur baat cheet ke hein, Aur isi tarah kaha jata hai: بان الکلام وآبان فھو مبین Dono aik hi mein’e mein hein, Y’ani wazih aur numayan karne wala (Dikhiy: Mufradat-ul-Quraan, Az Raghib Asfahani, Page: 68-69, Wa Ishtiqaq-ul-Asmaa Az Zujaji, Page: 180) aur Allah Ta’alaa ne apna naam bhi “المبین “rakha hai, Chunacha Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

يَوْمَىِٕذٍ يُّوَفِّيْهِمُ اللّٰهُ دِيْنَهُمُ الْحَقَّ وَيَعْلَمُوْنَ اَنَّ اللّٰهَ هُوَ الْحَقُّ الْمُبِيْنُ 25؀

 

“Us din Allah Ta’alaa unhain pura pura badla Haq-o-Insaf ke sath de ga aur woh jaan lein ge keh Allah Ta’alaa hi haq hai (aur wahi) zahir karne wala hai.” (Al Noor: 25)

 

Isi tarhan Allah Ta’alaa hi ne apne bandon ke liye hidaayat ki raahein wazih ki hein aur unhain chokanna kiya hai, Neez un ke samne Zalaalat-o-Gumraahi ke raastoon ki bhi wazahat ki hai, Aur inhain samjhane bujhane ke liye un ki taraf Rasool bheje hain aur kitaaben utari hain, Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

اِنَّ الَّذِيْنَ يَكْتُمُوْنَ مَآ اَنْزَلْنَا مِنَ الْبَيِّنٰتِ وَالْهُدٰى مِنْۢ بَعْدِ مَا بَيَّنّٰهُ لِلنَّاسِ فِي الْكِتٰبِ ۙاُولٰۗىِٕكَ يَلْعَنُهُمُ اللّٰهُ وَيَلْعَنُهُمُ اللّٰعِنُوْنَ ١٥٩؁ۙ

 

“Jo log hamari utari hui daleelon aur hidaayat ko chupate hein bawajood yekeh ham use apni kitaab mein logon ke liye bayaan kar chuke hain, In logon par Allah ki aur tamaam la’nat karne walon ki la’nat hai.” (Al Baqarah:  159)

 

Yeh un logon ke liye sakht dhamki hai jinhon ne sahih maqasid aur dilon ke liye naffa bakhash hidaayat ke silsila mein Rasoolon ki lai hui wazih rahnumaiyon ko chupaya, Jab keh Allah Ta’alaa ne apne Rasoolon par nazil kardah apni kitabon mein use bayaan kar diya hai.

 

Neez Irshad-e-Baari hai:

 

وَقَالَ الَّذِيْنَ لَا يَعْلَمُوْنَ لَوْلَا يُكَلِّمُنَا اللّٰهُ اَوْ تَاْتِيْنَآ اٰيَةٌ ۭ كَذٰلِكَ قَالَ الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِهِمْ مِّثْلَ قَوْلِهِمْ ۭ تَشَابَهَتْ قُلُوْبُھُمْ ۭ قَدْ بَيَّنَّا الْاٰيٰتِ لِقَوْمٍ يُّوْقِنُوْنَ   ١١٨؁

 

“Isi tarhan be ‘ilm logon ne bhi kaha keh khud Allah Ta’alaa ham se baatein kyun nahi karta. Ya hamare paas koi nishani kyun nahi aati? Isi tarhan aisi hi baat un ke aglon ne bhi kahi thi, Un ke aur un ke dil yaksaan ho gaye ham ne to yaqeen walon ke liye nishanain bayaan kar dein.” (Al Baqarah: 118)

 

Neez irshad hai:

 

كَذٰلِكَ يُبَيِّنُ اللّٰهُ لَكُمُ الْاٰيٰتِ لَعَلَّكُمْ تَتَفَكَّرُوْنَ   ٢٦٦؁ۧ

 

“Isi tarhan Allah Ta’alaa tumahre liye ayatain bayaan karta hai taakeh tum Ghor-o-Fikar karo.” (Al Baqarah: 266)

 

Neez irshad hai:

 

يُرِيْدُ اللّٰهُ لِيُـبَيِّنَ لَكُمْ وَيَهْدِيَكُمْ سُنَنَ الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِكُمْ وَيَتُوْبَ عَلَيْكُمْ  ۭ وَاللّٰهُ عَلِيْمٌ حَكِيْمٌ  26؀

 

“Allah Ta’alaa chahta hai keh tumahre waste khoob khol kar bayaan kare aur tumhein tum se pehle ke (naik) logon ki raah par chalaaye aur tumhari tuba qubool kare, Aur Allah Ta’alaa jan-ne wala hikmat wala hai.” (Al Nisaa: 26)

 

Neez irshad hai:

 

قَدْ جَاۗءَكُمْ مِّنَ اللّٰهِ نُوْرٌ وَّكِتٰبٌ مُّبِيْنٌ 15؀ۙ يَّهْدِيْ بِهِ اللّٰهُ مَنِ اتَّبَعَ رِضْوَانَهٗ سُبُلَ السَّلٰمِ وَيُخْرِجُهُمْ مِّنَ الظُّلُمٰتِ اِلَى النُّوْرِ بِاِذْنِهٖ وَيَهْدِيْهِمْ اِلٰي صِرَاطٍ مُّسْتَقِيْمٍ 16؀

 

“Tumahre paas Allah Ta’alaa ki taraf se Noor aur wazih kitaab aa chuki hai. Jis ke zariy’a se Allah Ta’alaa unhain jo Raza-e-Rab ke dar pe hon salamti ki raahein batlaata hai aur apni tufeeq se andheron se nikaal kar Noor ki taraf lata hai aur Raah-e-Raast ki taraf un ki rahbari karta hai.” (Al Maidah: 15-16)

 

Neez irshad hai:

 

ۭاُنْظُرْ كَيْفَ نُبَيِّنُ لَهُمُ الْاٰيٰتِ ثُمَّ انْظُرْ اَنّٰى يُؤْفَكُوْنَ 75؀

 

“Aap dekhye keh kis tarhan ham un ke samne daleelain rakhte hain phir ghor kijiye keh kis tarhan woh phire jate hain.”

(Al Maidah: 75)

 

Neez irshad baari hai:

 

وَيُبَيِّنُ اللّٰهُ لَكُمُ الْاٰيٰتِ ۭ وَاللّٰهُ عَلِيْمٌ حَكِيْمٌ 18؀

 

“Allah Ta’alaa tumahre samne apni ayatain bayaan farma raha hai aur Allah Ta’alaa ‘Ilm-o-Hikmat wala hai.” (Al Noor: 18)

 

Allah Ta’alaa hi logon ke liye shara’i ahkaam bayaan farmata aur un ki wazahat karta hai, Isi tarhan qadri hikmatein bayaan farmata hai, Aur woh bandon ki maslihton ka janne wala aur apni Shari’at-o-Taqdeer mein Hikmat-o-Danai wala hai,

(Tafseer Ibn-e-Kaseer: 3/274) Chunancha woh daur ras hikmat aur faisala kun Hujjat wala hai.

 

Neez Allah ka irshad hai:

 

كَذٰلِكَ يُبَيِّنُ اللّٰهُ لَكُمْ اٰيٰتِھٖ لَعَلَّكُمْ تَھْتَدُوْنَ ١٠٣؁

 

Allah Ta’alaa isi tarhan tumahre liye apni nishanain bayaan karta hai taakeh tum hidaayat paaoo.”

(Aal-e-Imraan: 103)

 

Neez irshad hai:

 

وَمَا كَانَ اللّٰهُ لِيُضِلَّ قَوْمًۢا  بَعْدَ اِذْ هَدٰىھُمْ حَتّٰي يُبَيِّنَ لَھُمْ مَّا يَتَّقُوْنَ  ۭاِنَّ اللّٰهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيْمٌ  ١١٥؁

 

“Aur Allah aisa nahi karta keh kisi qoum ko hidaayat kar keh baad mein gumraah kar de jab tak keh un cheezon ko saaf saaf na batla de jin se woh bachein beshak Allah Ta’alaa har cheez ko khoob janta hai.”

(Al Tubah: 115)

 

Allah Ta’alaa apni Zaat-e-Kareem aur mabni Bar ‘adal faisala ke bare mein hai keh woh kisi qoum ko us waqt tak gumraah nahi karta jab tak unhain apna peghaam nahi pohncha deta taakeh un par Hujjat qaim ho chuki ho.

(Tafseer Ibn-e-Kaseer: 3/296)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents