Search
Sections
< All Topics
Print

54. Sharah [An-Naseer]

Sharah [An-Naseer]

 


 

98: النصیر ( Madad karne wala, Qabil-e-Aitmaad )

 


 

النصیر: فعیل ke wazan par Fail ya mafool ke maien’e mein hai. Kiunkeh do baham madad karne walon mein aik” ناصر” y’ani madad karne wala hota hai aur doosra” منصور jis ki madad ki jati hai aurنصرہ ، ینصرہ، نصرا ke maien’e hein kisi ke dushman ke khilaaf us ki madad ki aur sakht rawayya apnaya.

(Al Nihayah Fi Ghareeb-e-Al Hadees Az Ibn-ul-Aseer: 5/64)

 

Aur النصیر y’ani madadgaar dar haqeeqat woh hai jo itna Qaabil-e-Aitmaad ho keh woh apne wali ko dushman ke supurd na kare aur na hi use be sahara chode.”

(Al Asmaa Wal Sifaat Az Imam Baihaqi Bi Tahqeeq Shaik Imad-ul-Deen Ahmad: 1/127-128)

 

Aur Allah Azzawajal madadgaar hai, Aur us ki madad makhlooq ki madad jaisi nahi hai, Jaisa keh irshad hai:

 

لَيْسَ كَمِثْلِهٖ شَيْءٌ ۚ وَهُوَ السَّمِيْعُ الْبَصِيْرُ 11 ؀

 

“Us jaisi koi cheez nahi woh sune aur dekhne wala hai.”

(Al Shoora: 11)

 

Neez Allah ka irshad hai:

 

وَكَفٰى بِرَبِّكَ هَادِيًا وَّنَصِيْرًا 31؀

 

“Aur Tera Rab hi hidaayat karne wala aur madad karne wala kaafi hai.”

(Al Furqaan: 31)

 

Neez irshad hai:

 

وَاللّٰهُ اَعْلَمُ بِاَعْدَاۗىِٕكُمْ ۭ وَكَفٰى بِاللّٰهِ وَلِيًّـۢا  ڭ وَّكَفٰى بِاللّٰهِ نَصِيْرًا 45؀

 

“Allah Ta’alaa tumahre dushmanon ko khoob jan-ne wala hai aur Allah Ta’alaa ka dost hona kaafi hai aur Allah Ta’alaa ka madadgaar hona bas hai.”

(Al Nisaa:  45)

 

Neez irshad hai:

 

وَاعْتَصِمُوْا بِاللّٰهِ ۭ هُوَ مَوْلٰىكُمْ ۚ فَنِعْمَ الْمَوْلٰى وَنِعْمَ النَّصِيْرُ  78؀ۧ

 

“Aur Allah ko mazboot thaam lo, Wahi tumhara wali aur Maalik hai. Pas kaya hi acha Maalik hai aur kitna hi behtar madadgaar hai.”

(Al Hajj: 78)

 

Neez irshad hai:

 

فَاعْلَمُوْٓا اَنَّ اللّٰهَ مَوْلٰىكُمْ  ۭنِعْمَ الْمَوْلٰى وَنِعْمَ النَّصِيْرُ  40؀

 

“To yaqeen rakhen keh Allah Ta’alaa tumhara karsaaz hai woh bohat acha karsaaz hai aur bohat acha madadgaar hai.”

(Al Anfaal: 40)

 

Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa madadgaar hai jo apne momin bandon ki madad farmata hai, Jaisa keh irshad hai:

 

اِنْ يَّنْصُرْكُمُ اللّٰهُ فَلَا غَالِبَ لَكُمْ ۚ وَاِنْ يَّخْذُلْكُمْ فَمَنْ ذَا الَّذِيْ يَنْصُرُكُمْ مِّنْۢ بَعْدِھٖ  ۭوَعَلَي اللّٰهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُوْنَ ١٦٠؁

 

“Agar Allah Ta’alaa tumhari madad kare to tum par koi ghalib nahi aa sakta aur agar woh tumhein chod de to is ke baad kon hai jo tumhari madad kare? Imaan walon ko Allah Ta’alaa hi par bharosa rakhna chahiye.”

(Aal-e-Imraan: 160)

 

Neez irshad hai:

 

يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْٓا اِنْ تَنْصُرُوا اللّٰهَ يَنْصُرْكُمْ وَيُثَبِّتْ اَقْدَامَكُمْ  Ċ۝

 

“Aey Imaan walon! Agar tum Allah (ke Deen) ki madad karo ge to woh tumhari madad kare ga aur tumhein saabit qadam rakhe ga.”

(Muhammad: 7)

 

Neez irshad hai:

 

اِنَّا لَنَنْصُرُ رُسُلَنَا وَالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا فِي الْحَيٰوةِ الدُّنْيَا وَيَوْمَ يَقُوْمُ الْاَشْهَادُ   51؀ۙ

 

“Yaqeenan ham apne Rasoolon ki aur Imaan walon ki madad zindgani duniya mein bhi karen ge aur us din bhi jab gawahi daine wale khade hon ge.”

 

(Ghafir: 51)

 

Neez irshad hai:

 

وَيَوْمَىِٕذٍ يَّفْرَحُ الْمُؤْمِنُوْنَ  Ć۝ۙ بِنَصْرِ اللّٰهِ ۭ يَنْصُرُ مَنْ يَّشَاۗءُ ۭ وَهُوَ الْعَزِيْزُ الرَّحِيْمُ Ĉ ۝ۙ

 

“Us roz Musalman shadaman hon ge. Allah ki madad se woh jis ki chahta hai madad karta hai, Asal ghalib aur meharban wahi hai.”

(Al Room:  4-5)

 

Neez irshad hai:

 

ۭوَلَيَنْصُرَنَّ اللّٰهُ مَنْ يَّنْصُرُهٗ ۭ اِنَّ اللّٰهَ لَقَوِيٌّ عَزِيْزٌ 40؀

 

Jo Allah ki madad kare ga Allah bhi zaroor us ki madad kare ga. Beshak Allah Ta’alaa badi quwwatoon wala bade ghalbe wala hai.”

(Al Hajj: 40)

 

Neez irshad hai:

 

وَكَانَ حَقًّا عَلَيْنَا نَصْرُ الْمُؤْمِنِيْنَ  47؀

 

“Ham par mominon ki madad karna lazim hai.”

(Al Room: 47)

 

Neez irshad hai:

 

مَنْ كَانَ يَظُنُّ اَنْ لَّنْ يَّنْصُرَهُ اللّٰهُ فِي الدُّنْيَا وَالْاٰخِرَةِ فَلْيَمْدُدْ بِسَبَبٍ اِلَى السَّمَاۗءِ ثُمَّ لْيَقْطَعْ فَلْيَنْظُرْ هَلْ يُذْهِبَنَّ كَيْدُهٗ مَا يَغِيْظُ 15؀

 

“Jis ka yeh khayaal ho keh Allah Ta’alaa apne Rasool ki madad dono jahaan mein na kare ga woh uonchai par aik rassa bandh kar ( apne halaq mein phanda daal kar apna gala ghoont le ) phir dekh le keh us ki chalaakiyon se woh baat hatt jati hai jo use tadpa rahi hai?

(Al Hajj: 15)

 

Yeh aur un jaisi deegar ayaat se Allah Azzawajal ka apne bande ki madad karna wazih hai, Chunancha jo Allah ki madad karta hai Allah Ta’alaa us ki madad karta hai. Iaanat farmata hai aur us ki durusti farmata hai. Haan bande ke Allah ki madad ka matlab yeh hai keh woh Allah ke momin bandon ki madad kare, Allah ke haqooq bajalaaye. Us ke Ahad-o-Paimaan ki riayat kare. Us ke ahkaam ko apnaaye aur apne aap par Allah ki haraam kardah cheezon se daur rahe, Yeh bande ka apne Rab ki madad karna hai, Jaisa keh Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَاَنْزَلْنَا الْحَدِيْدَ فِيْهِ بَاْسٌ شَدِيْدٌ وَّمَنَافِعُ لِلنَّاسِ وَلِيَعْلَمَ اللّٰهُ مَنْ يَّنْصُرُهٗ وَرُسُلَهٗ بِالْغَيْبِ ۭاِنَّ اللّٰهَ قَوِيٌّ عَزِيْزٌ 25۝ۧ

 

“Aur ham ne lohe ko utaara jis mein sakht Haibat-o-Quwwat hai aur logon ke liye aur bhi (bohat se) faide hain aur is liye bhi keh Allah jaan le keh us ki aur us ke Rasoolon ki madad bey dekhe kon karta hai, Beshak Allah quwwat wala aur zabardast hai.

(Al Hadeed: 25)

 

Aur jo Allah ki ita’at aur Allah ki masiat se doori ke zariy’a Allah ki madad kare ga Allah us ki purzor madad farmaaye ga.”

(Dikhiy: Mufradat-ul-Quraan Az Allamah Asfahani, Page: 495)

 

Aur Allah Subhan-o-WaTa’alaa apne momin bandon ki un ke dushmanon ke khilaaf madad karta hai. Aur unhain un baton se aagah karta hai jin se woh choknah rahein, Aur jo dushmanon ke khilaaf un ke haq mein Muawin hon, Chunancha Allah ki Wilayat-o-Muhabbat mein bhalai ka husool hai aur us ki madad mein Shar-o-Burai ka khatma hai .

( Tafseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi: 2/76).

 

Aur Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) jab Ghazwah karte to farmate the:

 

اللهم أنت عضدي ونصيري،  بك أحولُ، وبك أطول، وبك أقاتل

 

“Aey Allah! Tu mera sahara aur mera madadgaar hai. Mein Taire hi zariy’a dushman ka faraib talta hoon, Taire hi zariy’a dushman par hamla aawar hota hoon, Aur Taire hi zariy’a ladta hoon.”

(Sunan Abi Dawoon, Kitab-ul-Jihad, Baab-o-Maa Yudaa Ind-e-Al Liqaa, Hadees: 2623, Wa Jame Tirmizi, Kitab-ul-Dawaat, Baab Fil Duaa Iza Ghaza, Hadees: 3548, Aur farmaya ko: Yeh Hadees Hasan Ghareeb hai. Neez Dikhiy: Sahih Tirmizi Az Allamah Albani: 3/183)

 

Allah Ta’alaa duniya mein apne momin bandon ki madad karta raha hai purane daur mein bhi aur naye daur mein bhi. Aur unhain aziat pohanchane walon se un ki ankhen thandhi karta raha hai, Chunancha Sahih Bukhari mein hai. Allah Ta’alaa farmata hai:

 

من عادى لي وليا فقد اذنته بالحرب

 

“Jis ne mere kisi dost se dushmani ki mein us se Ai’laan-e-Jung karta hoon.”

 

(Sahih Bukhari, Kitab-ul-Riqaq, Baab-ul-Tawazu, Hadees: 6502)

 

Isi liye Allah Ta’alaa ne Qoum-e-Nooh, Qoum-e-Aaad, Qoum-e-Samood, Ahal-e-Rass, Qoum-e-Loot, Ahal-e-Madyann aur Rasoolon ko jhutlane wale aur haq ki mukhalifat karne wale un jaise deegar logon ko Halaak-o-Barbaad kar diya, Aur Allah ne unhi ke darmiyan Imaan walon ko nijaat ataa farmai, Un mein kisi ko halaak na kya, Aur kafiroon ko azzab mein girftar kiya to un mein se kisi ko na choda.

 

Is tarhan Allah Ta’alaa ne Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ke mukhalfin, Jhutlane walon aur dushmanon ke khilaaf Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) aur Aap ke Sahaba رضی اللہ عنہم ki madad farmai aur apne Kalima-e-Tuheed hi ko sab se Buland-o-Bartar aur apne Deen hi ko saare Adyan par ghalib kar diya. Log joq dar joq Allah ke Deen mein daakhil hue, Aur Deen-e-Islam roye zameen ke Mashriq-o-Maghrib mein phail gaya.

(Tafseer Ibn-e-Kaseer: 4/84).

 

Aur Allah Ta’alaa ne apne madad karne walon ki Nusrat-o-Taeed ka wadah farmaaya hai, Lihaza jo Allah ke Deen ki pabandi us ki D’awat, Us ke dushmanon se Jihaad ke zariy’a Allah ki madad kare ga, Aur us ka maqsood Allah ki Raza ho ga Allah Azzawajal us ki madad aur himaayat kare ga aur use quwwat ataa farmaaye ga. Aur yeh wadah Allah ka hai jo bada kareem, Nihayat sachi baat aur umdah guftugo wala hai. Chunacah us ne wadah kiya hai keh jo apne Aqwaal-o-Afaal se Allah ki madad kare ga us ka Molaa us ki madad farmaaye ga, Aur saabit qadmi waghairah ke zariy’a us ki Fatah-o-Nusrat ke asbaab aasaan farmaaye ga.

(Tafseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi: 6/66)

 

Aur Allah jin logon ki madad kare ga un ki nishanain Allah ne bayaan kar di hain Lihaza jo Allah aur us ke Deen ki madad ka dawa kare aur un Sifaat aur khoobiyon se muttasif na ho woh jhoota hai. Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَلَيَنْصُرَنَّ اللّٰهُ مَنْ يَّنْصُرُهٗ ۭ اِنَّ اللّٰهَ لَقَوِيٌّ عَزِيْزٌ 40؀ اَلَّذِيْنَ اِنْ مَّكَّنّٰهُمْ فِي الْاَرْضِ اَقَامُوا الصَّلٰوةَ وَاٰتَوُا الزَّكٰوةَ وَاَمَرُوْا بِالْمَعْرُوْفِ وَنَهَوْا عَنِ الْمُنْكَرِ ۭ وَلِلّٰهِ عَاقِبَةُ الْاُمُوْرِ 41؀

 

“Jo Allah ki madad kare ga Allah bhi zaroor us ki madad kare ga. Beshak Allah Ta’alaa badi quwwatoon wala bade ghalbe wala hai. Yeh woh log hain keh agar ham zameen mein un ke paon jama dein to yeh poori pabandi se namazein qaim karein aur zakatein den aur ache kamon ka hukum karen aur bure kamon se mana karen. Tamaam kamon ka anjaam Allah ke ikhtiyaar mein hai.”

(Al Hajj: 40-41)

 

 

Chunancha yeh alaamat hai us ki jo Allah ki madad kare ga aur Allah us ki madad farmaye ga.

(Tafseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi: 5/302)

 

Aur Allah Ta’alaa ne apne momin bandon ko apna madadgaar banaane ka hukum diya hai, Irshad-e-Baari hai:

 

يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا كُوْنُوْٓا اَنْصَارَ اللّٰهِ

 

“Aey Imaan walon! Tum Allah Ta’alaa ke madadgaar ban jaaoo.”

(Al Saff: 14)

 

Aur Allah ke Deen ki madad mein Allah ki kitaab aur us ke Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) Sunnat ko seekhna, Us par logon ko ubhaarna aur bhalai ka hukum dena aur burai se rokna waghera shaamil hai.

 

(Tafseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi: 7/274)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents