Search
Sections
< All Topics
Print

02. Dars-e-Quran [For Kids]

Dars-e-Qur’an


✦ 1. Shirk se bachte huye sirf Allah ki ibadat karni chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَ اعۡبُدُوا اللّٰہَ وَ لَا تُشۡرِکُوۡا بِہٖ شَیۡئًا

 

Aur Allah hi ki ibaadat karo aur uske saath kisi chiz ko shareek na banao.

[Surah Nissa:36]

 


✦ 2. Allah aur uske Rasool (ﷺ) ka har hukm manna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَ اَطِیۡعُوا اللّٰہَ وَ الرَّسُوۡلَ لَعَلَّکُمۡ تُرۡحَمُوۡنَ

 

Aur Allah aur uske rasool ki ataa’at karo taake tum par rehmat ki jaye.

[Surah Imran:132]

 


✦ 3. Panch namazon ko unke waqt par ada karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

فَاَقِیۡمُوا الصَّلٰوۃَ ۚ اِنَّ الصَّلٰوۃَ کَانَتۡ عَلَی الۡمُؤۡمِنِیۡنَ کِتٰبًا مَّوۡقُوۡتًا

 

Lihaza tum namaz qayem karo, yaqeenan namaaz Imaan walon par makhsoos auqaat me farz kardi gyi hai.

[Surah Nissa:103]

 


✦ 4. Jo shakhs maaldaar ho use apne maal ki zakat ada karna chahiye


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَ اَقِیۡمُوا الصَّلٰوۃَ وَ اٰتُوا الزَّکٰوۃَ وَ ارۡکَعُوۡا مَعَ الرّٰکِعِیۡنَ

 

Aur namaz padha karo aur zakat diya karo aur (Allah kay aage) jhukne walon kay saath jhuka karo.

[Surah Baqarah:43]

 


✦ 5. Ramadan ke rozon ka ahtamaam karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

یٰۤاَیُّها الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُتِبَ عَلَیۡکُمُ الصِّیَامُ کَمَا کُتِبَ عَلَی الَّذِیۡنَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ لَعَلَّکُمۡ تَتَّقُوۡنَ

 

Mominon! Tum par roze farz kiye gaye hain. Jis tarah tumse pahle logon par farz kiye gaye thay taake tum parhezgaar bano.

[Surah Baqarah:183]

 


✦ 6. Agar isteta’at ho to hajj karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَ لِلّٰہِ عَلَی النَّاسِ حِجُّ الۡبَیۡتِ مَنِ اسۡتَطَاعَ اِلَیۡہِ سَبِیۡلًا

 

Aur logon par Allah ke ghar ka hajj karna farz kar diya gaya, har us shakhs par jo uske raaste (yani safar) ki isteta’at rakhta ho.

[Surah Imran:97]

 


✦ 7. Taharat ka khoob ehtemaam karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

اِنَّ اللّٰہَ یُحِبُّ التَّوَّابِیۡنَ وَ یُحِبُّ الۡمُتَطَہِّرِیۡنَ

 

Yaqeenan Allah Ta’ala tauba karne walon aur paak saaf rehne walon ko pasand karta hai.

[Surah Baqarah:222]

 


✦ 8. Nabi (ﷺ) par salat bhejna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

اِنَّ اللّٰہَ وَ مَلٰٓئِکَتَہٗ یُصَلُّوۡنَ عَلَی النَّبِیِّ ؕ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَیۡہِ وَ سَلِّمُوۡا تَسۡلِیۡمًا

 

Allah aur uske farishte Paighambar par darood bhejte hain, mominon tum bhi Paighambar par darood-o-salaam bheja karo.

[Surah Ahzaab:56]

 


✦ 9. Deen ka ilm hasil karte rehna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَقُل رَّبِّ زِدْنِي عِلْمًا

 

Aur (Aye Nabi (ﷺ)) aap yun kahein, aye mere Rabb! Mujhe ilm mein aur badha de.

[Surat-Tahaa:114]

 


✦ 10. Qur’an ki tilawat ka ehtemaam karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَرَتِّلِ الْقُرْآنَ تَرْتِيلات

 

Aur Quran ko thehar thehar kar padha karo.

[Surah Muzammil:4]

 


✦ 11. Allah ka zikr-o-shukr karte rehna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ وَاشْكُرُ وَالِي وَلَا تَكْفُرُونِ

 

So tum mujhe yaad kiya karo main tumhe yaad kiya karunga aur mera ahsaan maante rahna aur nashukri na karna.

[Surah Baqarah:152]

 


✦ 12. Allah se ummeed-o-khauf ke saath dua karte rehna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

أَدْعُوا رَبَّكُمْ تَضَرُّعًا وَخُفْيَةً إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُعْتَدِينَ

 

(Logon) Apne Parwardigaar se ajizi se aur chupke chupke duayein maanga karo woh had se badhne walon ko dost nahi rakhta.

[Surah A’raaf:q111355]

 


✦ 13. Dusron ko deen ki dawat dena chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَادْعُ إلَى رَبِّكَ وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ الْمُشْرِكِينَ

 

Apne Rabb ki taraf dawat dete raho aur mushrikeen me se na ho jao. 

[Surah Qasass:87]

 


✦ 14. Sirf halal rizk kamana chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 
فَكُلُوا مِمَّا رَزَقَكُمُ اللهُ حَلَا طَيْبًا وَاشْكُرُوا نِعْمَتَ الوَإِنْ كُنْتُمْ إِيَّاهُ تَعْبُدُونَ

 

Pas Allah ne jo tumko halaal tayyab rizq diya hai use khao aur Allah ki nematon ka shukr karo, agar usi ki ibaadat karte hain.

[Surah Nahal:114]

 


✦ 15. Walidain se achha sulook karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ حُسْنًا

 

Aur hamne insaan ko apne walidain se achha sulook karne ki khaas taaqeed ki hai.

[Surah Ankaboot:8]

 


✦ 16. Fuqara’a-o-masaakeen ko unka haq dena chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَاتِ ذَا الْقُرْبَى حَقَّهُ وَالْمِسْكِينَ وَابْنَ السَّبِيلِ وَلَا تُبَذِّرْ تَبْذِيران

 

Aur qareebi rishtedaaron ko aur usi tarah miskeen aur musafir ko bhi uska haq do aur fazool kharchi se bachte raho.

[Surat Israr-:26]

 


✦ 17. Nek kaam me ek dusre ki madad karna chahiye.


 ✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَتَعَاوَنُوا عَلَى الْبِرِّ وَالتَّقْوَى وَلَا تَعَاوَنُوْا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ

 

Aur neki aur taqwa ke kaamon me ek dusre ki madad karo lekin gunah aur sarkashi ke kaamon me ek dusre ke madadgaar na bano.

[Surah-al-Maidah:2]

 


✦ 18. Gunahon se tauba karte rehna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَاسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوا إِلَيْهِ إِنَّ رَبِّي رَحِيمٌ وَدُوْدٌ

 

Aur apne Parwardigaar se bakhshish maango aur uske aage tauba karo. Beshak mera Parwardigaar rehem wala (aur) mohabbat wala hai.

[Surat-Hood:90]

 


✦ 19. Dusron ko mua’af kar dena chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَلْيَعْفُوا وَلْيَصْفَحُوْا أَلَا تُحِبُّونَ أَنْ يَغْفِرَ اللهُ لَكُمْ ، وَاللهُ غَفُورٌ رَّحِيمٌ

 

(Imaan walon ko chahiye ki woh dusron ki ghalti ko) muaaf kardein aur darguzar karein, kya tumhe ye baat pasand nahi keh khud Allah Ta’ala tumhari maghfirat karde? Aur Allah to bada maghfirat karne wala, raham farmane wala hai.

[Surah Noor:22]

 


✦ 20. Burayi ke badle bhalayi karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَلَا تَسْتَوِي الْحَسَنَةُ وَلَا السَّيِّئَةُ ادْفَعْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ فَإِذَا الَّذِي بَيْنَكَ وَبَيْنَهُ عَدَاوَةٌ كَأَنَّهُ وَلِيٌّ حَمِيمٌ

 

Aur bhalayi aur burayi donon barabar nahi ho sakte, tum burayi ko aisi chiz se dafa karo jo usse behtar ho, (jab tum aisa karoge) to tum dekh loge keh jis shakhs se tumhari dushmani thi wo tumhara bilkul dost ban gaya hai.

[Surat Fussilat:34]

 


✦ 21. Kanjoosi ke bajaye sakhawat karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

فَالَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَأَنْفَقُوْالَهُمْ أَجْرٌ كَبِيرُ

 

Lihaza tum me se jo log Imaan laye aur (nek kaamon me) kharch karte rahe unke liye bahot bada ajar hai.

[Surah Hadeed:7]

 


✦ 22. Takleef par sabar karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَإِن تَصْبِرُوا وَتَتَّقُوا لَا يَضُرُّكُمْ كَيْدُهُمْ شَيْئًاء

 

Aur agar tum sabar karo aur taqwa ka ahtamaam karo to in (dushmanon) ki chaalein tumhe koi nuqsan nahi pahuncha sakegi.

[Surah Imran:120]

 


✦ 23. Tamaam umoor me Allah hi par bharosa karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَتَوَكَّلْ عَلَى اللهِ وَكَفَى بِاللهِ وَكِيلًا

 

Aur Allah par bharosa rakhna, aur Allah hi kaarsaaz kaafi hai.

[Surah Ahzaab:3]

 


✦ 24. Khwahishe nafs ke bajaye adal-o-insaaf ki buniyad par faisla karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

فَلَا تَتَّبِعُوا الْهَوَى أَنْ تَعْدِلُوا

 

Aur khwahish ki pairwi na karo warna tum adal (o-insaaf) se dur ho jaoge.

[Surah Nissa:135]

 


✦ 25. Khayanat ke bajaye amanatdaari ka ehtemaam karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

يَأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَخُونُوا اللَّهَ وَالرَّسُولَ وَتَخونُوا آمَنَتِكُمْ وَأَنْتُمْ تَعْلَمُونَ

 

Aye Imaan walon! Na to Allah aur rasool ki amanat mein khyanat karo aur na apni amaanaton mein khayanat karo aur tum (in baaton ko) to jaante ho.

[Surah Anfaal:27]

 


✦ 26. Dusron se kiya hua wada-o-ahad nibhana chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

وَأَوْفُوا بِالْعَهْدِ إِنَّ الْعَهْدَ كَانَ مَسْئُولًا

 

Aur ahad (wada) pura karo, ahad ke baare me (qayamat ke din) zarur pooch hogi.

[Surah Israa:34]

 


✦ 27. Hamesha sach bolna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

يَأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَكُونُوا مَعَ الصَّدِقِينَ

 

Aye Imaan walon Allah se darte raho, aur sachchon ke sath ho jao.

[Surat-ut-Tauba:119]

 


✦ 28. Akhirat ki fikr aur uski taiyyari karte rehna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

يَأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللهَ وَلْتَنْظُرْ نَفْسٌ مَا قَدَّمَتْ لِغَدٍ

 

Aye Imaan walon! Allah se darte raho aur har shakhs ko dekhna chahiye ke usne kal (yani firdaaye qiyamat) kay liye kya (Samaan) bheja hai.

[Surah Hashar:18]

 


✦ 28. Zameen me fasaad phailane se bachana chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

وَلَا تَبْغِ الْفَسَادَ فِي الْأَرْضِ إِنَّ اللهَ لَا يُحِبُّ الْمُفْسِدِينَ

 

Aur zameen me fasad (yani bigaad) ki chahat na kar, Allah Ta’ala fasad karne walon ko pasand nahi karta.

[Surah Qasas:77]

 


✦ 29. Allah ke deen ki madad karna chahiye.


✯ Allah Ta’ala ne farmaya:

 

يَأْيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِن تَنْصُرُوا اللهَ يَنْصُرْكُمْ وَيُقَيْتُ أَقْدَامَكُمْ

 

Aye Imaan walon, agar tum Allah ki madad karoge to Allah bhi tumhari madad karega, aur tumhare qadam jama dega.

[Surah-Mohammad:7]

 

 

REFERENCE:
Book: “Deeni Taleem; (Part: 01)
By Fazilatus Shaikh Abu Zaid Zameer Hafidhahullah.
“Roman Transliteration by Farheen Khurshid”
Table of Contents