04. Azkaar-o-Duaain [For Kids]
Azkar-o-Duayen
✦ 01. Sote waqt padhne ki dua.
اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ آمُوتُ وَأَحْيَا
Aye Allah! Tere naam ke saath marta hun aur jee uthta hu.
✦ 02. Neend se bedar hone par padhne ki dua.
الْحَمْدُ لِلهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا آمَا تَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Tamaam tareef us Allah ke liye hai jisne hamein maut dene ke baad dubara zinda kar diya aur (Qayamat ke din) phir zinda hokar usi ki taraf lautna hai.
✦ 03. Kapde pahanne ki dua.
الْحَمْدُ لِلهِ الَّذِي كَسَانِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِّنِي وَلَا قُوَّةٍ
Tamaam tareef us Allah ke liye jisne mujhe ye libas pehnaya aur mere zor-o-quwwat ke baghair mujhe ye libas ata kiya.
✦ 04. Bait’al khala me dakhil hote waqt padhne ki dua.
بسم الله
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ
Allah ke naam se (dakhil hota hun) Aye Allah! Mai khabees jinnon aur khabees jinniyon (ke shar) se teri panah maangta hu.
✦ 05. Bait’al khala se bahar nikal kar padhne ki dua.
غُفْرَانَكَ
Ya Allah mai teri maghfirat talab karta hun.
✦ 06. Wuzu ke shuruaat me padhne ki dua.
بسم الله
Allah ke naam se (wuzu ki shuruaat karta hu)
✦ 07. Wuzu karne ke baad padhne ki dua.
أَشْهَدُ أَنْ لَّا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ
Main gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi. Woh aik hai, uska koi shareek nhi aur main gawahi deta hun ke Mohammad (ﷺ) Allah ke bande aur uske Rasool hain. Aye Allah mujhe khoob tauba karne walon aur paak saaf rehne walon me se bana de.
✦ 08. Masjid me dakhil hone ki dua.
بِسْمِ اللهِ وَ السَّلامُ عَلى رَسُولِ اللَّهِ اللَّهُمَّ افْتَحْ لِي أَبْوَابَ رَحْمَتِكَ
Allah ke naam se (masjid me dakhil hota hu) salam ho Allah ke Rasool (ﷺ) par. Aye Allah! Mere liye apni rehmat ke darwaze khol de.
✦ 09. Masjid se bahar nikalne ki dua.
بِسْمِ اللهِ وَالسَّلَامُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ
Allah ke naam se (masjid se bahar nikalta hun) salam ho Allah ke Rasool (ﷺ) par. Aye Allah mai tujhse tera fazal talab karta hu.
✦ 10. Ghar se bahar nikalne ki dua.
بِسْمِ اللهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ
Allah ke naam se (ghar se bahar nikalta hun) maine Allah hi par bharosa kiya, Allah ki taufiq ke baghair na koi zor hai na koi quwwat.
✦ 11. Azaan ke baad ki dua.
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ
وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَّجِيدٌ
اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ
وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَّجِيدٌ
Aye Allah Ta’ala! Apni rahmat naazil farma Mohammad (ﷺ) aur aal-e-Mohammad (ﷺ) par jaisa ki tune apni rahmat naazil farmayi Ibraheem (علیہ السلام) par aur Aal-e-Ibraheem (علیہ السلام) par, beshak tu badi taarif wala aur buzurgi wala hai.
Aye Allah Ta’ala! Barkat naazil farma Mohammad (ﷺ) par aur aal-e-Mohammad (ﷺ) par jaisa ki tune barkat naazil farmayi lbraheem (علیہ السلام) aur aal-e-Ibraheem (علیہ السلام) par. Beshak tu badi taarif wala aur buzurgi wala hai.
✦ 12. Namaaz me takbeer tehreem ke baad padhne ki dua.
اللهُم رَبَّ هَذِهِ الدعْوَةِ الثَّامَةِ، وَالصَّلَاةِ الْقَائِمَةِ آتِ مُحَمَّدَ الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَّحْمُودَ الَّذِي وَعَدْتَهُ
Aye Allah! Main teri hamd ke sath teri paki bayan karta hu, aur yaqeenan tera naam bada babarkat aur teri buzurgi a’ala hai aur tere siwa koi ibadat ke layeq nhi.
✦ 13. Ruku me padhne ki duayein.
سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ
Main apne azeem Rabb ki paaki bayan karta hu.
سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي
Aye Allah! Aye hamare Rabb! Main teri hamd ke sath teri paki bayan karta hu. Aye Allah! Meri maghfirat farma de.
✦ 14. Ruku se khade hokar padhne ki dua.
رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ، حَمَّدًا كَثِيرًا طَيِّبًا تُبَارَكَا فِيهِ
Aye hamare Rabb! Hamd tere hi liye hai, aisi hamd jo bahot zyada ho, umdah aur pakizah ho aur jisme khub barkat daal di gyi ho.
✦ 15. Sajde me padhne ki duain.
سُبْحَانَ رَبِّي الأعلى
Mera Rabb (tamaam aibon se) pak hai sabse a’ala hai.
سُبحانَكَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي
Aye Allah! Aye hamare Rabb! Main teri hamd ke sath teri paki bayan karta hu. Aye Allah! Meri maghfirat farma de.
✦ 16. Donon sajdon ke darmiyan padhne ki dua.
رَبِّ اغْفِرْ لِي رَبِّ اغْفِرْ لِي
Aye mere Rabb! Meri maghfirat farma de, Aye mere Rabb! Meri maghfirat farma de.
✦ 17. Tashahhud me padhne ki dua.
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلَامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Tamam ibadatein Allah ke liye hai aur tamam namazein aur achhi baatein (bhi Allah ke liye hai), aap par salam ho Aye Allah Ke Nabi (ﷺ) aur Allah ki rehmatein aur uski barkatein nazil ho, ham par (bhi) salam ho aur Allah ke sabhi neik bandon par (bhi salam). Main gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi mabood nahi aur gawahi deta hu ki Mohammad (ﷺ) uske bande aur Rasool hain.
✦ 18. Tashahhud ke baad Nabi (ﷺ) par salat (yani durood) padhna.
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ
كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ
اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ
كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ
Aye Allah Ta’ala! Apni rahmat naazil farma Mohammad (ﷺ) aur aal-e-Mohammad (ﷺ) par jaisa ki tune apni rahmat naazil farmayi Ibraheem (علیہ السلام) par aur aal-e-Ibraheem (علیہ السلام) par, beshak tu badi taarif wala aur buzurgi wala hai.
Aye Allah Ta’ala! Barkat naazil farama Mohammad (ﷺ) par aur aal-e-Mohammad (ﷺ) par jaisa ki tune barkat naazil farmayi lbraheem (علیہ السلام) aur aal-e-Ibraheem (علیہ السلام) par. Beshak tu badi taarif wala aur buzurgi wala hai.
✦ 19. Nabi (ﷺ) par durood ke baad padhne ki dua.
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدجَالِ
وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ اللهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْمَأْثَمِ وَالْمَغْرَمِ
Aye Allah! Main qabr ke azab se teri panah mangta hu, aur maseeh dajjal ke fitne se teri panah mangta hu, aur zindagi aur maut ke fitne se teri panah mangta hu, aur gunah karne aur makrooz ho jane se teri panah mangta hu.
✦ 20. Khane se pehle padhne ki dua.
بِسْمِ اللهِ
Allah ka naam lekar (khata hun).
✦ 21. Khane se pehle ”Bismillah” bhul jane par padhne ki dua.
بِسْمِ اللهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ
Allah ka naam lekar (khata hun), uske shuru me aur akhiri mein.
✦ 22. Khane ke baad ki dua.
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا، وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِلِي وَلَا قُوَّةٍ
Tamaam tareef Allah ke liye hai, jisne mujhe ye khana khilaya aur mere zor-o-quwwat ke baghair mujhe ye rizq ata kiya.
✦ 23. Pani ya dudh waghairah pine se pehle padhne ki dua.
بِسْمِ اللهِ
Allah ke naam se (pani pita hu).
✦ 24. Pani pine ke baad ye dua padhein.
الْحَمْدُ لِلَّهِ
Tamaam tareef Allah hi ke liye hai.
✦ 25. Dudh pi kar padhne ki dua.
اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ
Aye Allah! Hamare liye isme barkat daal de aur mazeed ata farma.
✦ 26. Duniya aur akhirat ki bhalayi ki dua.
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aye hamare Rabb! Hame duniya me bhalayi ata farma, aur akhirat me bhi bhalayi ata farma, aur Jahannum ke azaab se bacha le.
✦ 27. Ilm ki zyadati ki dua.
رَبِّ زِدْنِي عِلْمًا
Aye mere Rabb! Mujhe ilm mein aur badha de.
✦ 28. Hidayat aur taqwey ki dua.
اللهم إني أسْأَلُكَ الْهُدَى وَالتَّقَى وَالْعَفَافَ وَالْغِنى
Aye Allah! Main tujhse hidayat, taqwa, paak daamni aur ghina (yani maaldaar) talab karta hu.
✦ 29. Har bimari se shifa ki dua.
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَسَبِي الْأَسْقَامِ
Aye Allah! Mai bars (yani safed daagh ki bimari) se, pagalpan se, juzam (yani kodh ki bimari) se aur (har qism) badtareen bimari se teri panah mangta hu.
✦ 30. Fikr-o-gham se nijat ki dua.
اللهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْهَم وَالْحَزْنِ وَالْعَجْزِ وَالْكَسَلِ وَالْجَبْنِ وَالْبُحْلِ وَضَلَعِ الدِّيْنِ وَغَلَبَةِ الرَّجَالِ
Aye Allah! Main fikr-o-gham se, ajizi-o-susti se, buzdili wa kanjusi se, aur qarz ke bojh aur dushmanon ke ghalbe se teri panah mangta hu.
(مسند أحمد ابو داود نسائي عن أنس (صحيح الجامع (۱۲۸۱) (صحيح)
لبخاري: الدعوات: ٦٣٦٩) عن انس
REFERENCE:
Book: “Deeni Taleem; (Part: 01)
By Fazilatus Shaikh Abu Zaid Zameer Hafidhahullah.
“Roman Transliteration by Farheen Khurshid”