Search
Sections
< All Topics
Print

05. Walidain se Husn Saluk unki Wafaat kay ba’ad.

*WALDAIN SE HUSAN-E-SALOOQ UN KI WAFAAT KE BAAD*

Aulaad ke sath walidain ka jismani talluq to un ki wafaat ke sath hi khatam ho jata hai lekin rohani talluq kabhi khatam nahi hota balkay woh un ke marhoom ho janay ke baad bhi nah sirf baqi rehta hai balkay aulaad ki nakiyon aur un ki janib se ki hui sadqa-o-khairat, hajj-o-umray, aurbani aur duaaon ka sawab musalsal pohnchta hi rehta hai, aulaad ki, ki hoi un naikion se woh wafaat ke baad bhi mehfooz hotay rehtay hein, un ke Darjaat buland hotay rehtay hain.

 

Jaisa keh farmaan Nabwi (ﷺ) hai :

 

1- عن أبى هريرة رضى ! الله : عنه قال : ترفع للميت بعد موته درجته فيقول : أى ربى أى شىء هذا ؟ فيقال له ولدك إستغفر لك . ) رواه البخارى فى الأدب المفرد )

 

Hazrat Abbu Hurairah (رضی اللہ عنہ) farmatay hain :

“Maiyat ki wafaat ke baad is ke darjaat ko buland kya jata hai,” to maiyat sawal karta hai :

“Aey meray Rab! yeh ( darjaat ki bulandi ) kis wajah se hai?”

Is se kaha jata hai :

“Yeh tairay larkay ki tairay haq mein duaye mughfirat ka nateeja hai.”

 

2 عن أبى هريرة رضى الله عنه قال قال رسول الله الله إذا مات الإنسان إنقطع عنه عمله إلا من ثلاث : صدقة جارية، أو علم ينتفع به، أو ولد صالح يدعو له . ( رواه مسلم وأبوداؤد والنسائی )

 

Hazrat Abbu Hurairah (رضی اللہ عنہ) se marwi hai keh RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaaya :

“Jab insaan wafaat pa jata hai to is ke aamaal ka silsila munqita ho jata hai, magar teen zariye aisay hain keh intqaal ke baad bhi usay barabar sawab milta rehta hai :”

 

“1 ) Apnay peechay koi hamesha jari rehnay wala sadqa chor gaya ho.

2 ) koi aisa ilm chorra ho jis se bandgaan ellahi mustafeed ho rahay hon. 3 ) ya aisa naik larka chorra ho jo hamesha is ke haq mein duaye khair karta rehta ho.”

 

3- عن مالک بن ربيعة رضی الله عنه قال : بينما نحن عند رسول الله إذ جاءه رجل من بني سلمة ، فقال يارسول الله ! هل بقى على من بر أبوى شيء أبرهما بعد وفاتهما ؟ قال : نعم ، الصلاة عليهما ، والإستغفار لهما ، وإنفاذ عهدهما ، وإكرام صديقهما ، وصلة الرحم التي لا توصل إلا بهما . ( أبوداؤد . إبن ماجة . حاكم )

 

Hazrat Maalik Bin Rabia (رضی اللہ عنہ) farmatay hain :

Hum RasoolAllah (ﷺ) ki majlis mubarak mein baithy hue thay keh qabeela Bano Salmah ka 1 shakhs Aap (ﷺ) ke paas aaya aur sawal kya :

“Ya RasoolAllah ! kya meray walidain ki wafaat ke baad bhi koi naik sulooq baqi hai jo main un ke sath karta rahon?” Aap (ﷺ) ne farmaaya :

“Haan! tum un ke liye dua karo, talabb mughfirat kya karo, un ke ehad o iqraar ko poora karo, un ke doston ki izzat o takreem karo, aur woh sila rehmi karo jo sirf un ke talluq ki bina par ho.”

 

4.  Hazrat Abdullah Bin Dinaar kehtay hain :

“Hazrat Abdullah Bin Umar (رضی اللہ عنہما) ki Makkah Mukarmah ke rastay mein 1 shakhs se mulaqaat hogayi, Aap ne is ko salam kya, jis gadhay par Aap sawaar thay is shakhs ko sawaar karaya aur apnay sir par baandha hua amaamh is ko ataa kya, “

Hum ne Aap se kaha :

“Allah Aap ko mazeed naik banaye! yeh badu log hain thori si cheez par khush ho jatay hain.”

Aap ne farmaaya :

“Is shakhs ka baap meray waalid Hazrat Umar Bin Khitaab (رضی اللہ عنہ) se mohabbat rakhta tha aur main ne Rasool Maqbool (ﷺ) ko farmatay hue suna hai : “

Sab se behtareen naiki yeh hai keh aadmi apnay baap ke chahanay walon ko milaye rakhay.” (مسلم)

 

5 . Aulaad ke liye zaroori hai keh woh apnay walidain, aaba wajdad aur marhomeen ke liye barabar aisaal sawab kartay rahein, aam musalmanoon ne aisaal sawab ke naam par bida’at o kharafat ki bharmaar kar rakhi hai, daswan, beeswan, chehlam, barsi, teeja, qull, aur 1 Is jaisi be shumaar rasomaat ka bazaar garam kya hai, balkay aisaal sawab ka masnoon tareeqa wohi hai jo Sarwar kaayenaat Janab Mohammad (ﷺ) ne apnay Uswah se hamein taleem di hai aur woh yeh keh marhomeen ke naam par sadqa o khairaat kya jaye, sadqa Jaria , maslan :

 

“Masjid, Madarssa banaya jaye, Kunwan khudwaya jaye aur Tubwel ya Sabeel lagai jaye. “

 

6- عن إبن عباس رضى الله عنهما أن رجلا قال يارسول الله ! إنّ أمّى توقيت ولم توص ، أفينفعها أن أتصدق عنها ؟ قال : نعم . ( الأدب المفرد : باب : بر الوالدين بعد موتهما )

 

Hazrat Abdullah Bin Abbas (رضی اللہ عنہما) se riwayat hai keh 1 shakhs ne Rasool Akram (ﷺ) ki khidmat Aqdas mein aakar arz kya :

Aey Allah ke Rasool (ﷺ) meri walida wafaat paa gai, aur unhon ne apni janib se ( sadqa o khairaat karnay ki ) koi wasiyat nahi ki, agar main un ki janib se sadqa kardoon to kya inhen is ka faida hoga?” Aap (ﷺ) ne farmaaya :

“Haan hoga.”

 

7.  Ya Kunwan khudwaya jaye ya pani ki Sabeel lagai jaye, is liye keh RasoolAllah (ﷺ) ka irshad graami hai :

 

أفضل الصدقة سقى الماء (نساى )

“Sab se behtareen sadqa pani pilana hai.”

 

Hazrat Saad Bin Abaadah (رضی اللہ عنہ) ne RasoolAllah (ﷺ) se arz kya ya RasoolAllah (ﷺ)! meri walida wafaat paa gai, un ki janib se konsa sadqa afzal hai, Aap (ﷺ) ne farmaaya :

“Pani pilana.”

Phir Hazrat Saad Bin Abadah (رضی اللہ عنہ) ne aik kunwan khudwaya aur usay waqf kar dia.

 

(موطا امام مالک ۔ ابوداؤد ۔ نسائی )

 

8 . Ya un ki janib se hajj aur Umra kya jaye :

 

: وعن ابن عباس رضی الله عنهما أن إمرأة من خثعم قالت : يا رسول الله ! إنّ فريضة الله على عباده في الحج ، أدركت أبى شيخا كبيرا لا يثبت على الراحلة : أفأحج ع عنه ؟ قال : نعم . وذلك في حجة الوداع . ( متفق عليه )

 

Hazrat Abdullah Bin Abaas (رضی اللہ عنہما) se riwayat hai keh Qabeela khasam ki aik aurat ne arz kya :

“Aey Allah ke Rasool (ﷺ) !Allah Ta’alaa ka jo fareeza hajj ke muta’alliq is ke bandon par hai, woh to hai, lekin main ne meray waalid ko is haal mein paaya keh woh be had boorhay hain, sawari par bhi theek tor se nahi baith satkay, kya main un ki janib se hajj kar sakti hon?” Aap (ﷺ) ne farmaaya :

“Haan!” aur yeh Hajj ul alvidah ka waqea hai.

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salafi”
Table of Contents