Search
Sections
< All Topics
Print

06. Walidain kay Haq mein Aulaad ki Duaain.

*WALDAIN KE HAQ MEIN AULAAD KI DUAAYEN*

 

 

Aulaad apnay walidain ke liye hamesha Allah Ta’alaa se dua kartay rahein, walidain se muta’alliq kuch Qurani duayen mandarja zail hain :

 

(1) ورَبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا ﴾ ( بني إسرائيل : 24)

 

“Meray Rab! un par aisay hi reham farma jaisay keh unhon ne bachpan mein mujhe paala tha.”

 

 

رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِنْ ذُرِّيَّتِي رَبَّنَا وَتَقَبَّلُ دُعَاءِ لا رَبِّ اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ ﴾ (إبراهيم :41)

 

“Aey meray Rab! mujhe namaz ka qaim karnay wala banaday aur meri aulaad ko bhi, Parvar-digaar! meri dua qubool farma. Parvar-digaar! mujhe aur meray walidain aur tamam imaan laanay walon ko is din bakhash day jis din keh hisaab qaim hoga.”

 

 

(3) رَبِّ اغْفِرْلِي وَلِوَالِدَى وَلِمَنْ دَخَلَ بَيْتِيَ مُؤْمِنًا وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ( نوح : (28)

 

“Meray Rab! mujhe aur meray maa baap ko bakhash day aur har is shakhs ko jo meray ghar mein momin ki hesiyat se daakhil hua hai aur sab momin mardon aur aurton ko maaf farma .”

 

 

(4) رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَعَلَى وَالِدَيَّ وَأَنْ أَعْمَلَ صَالِحًا تَرْضَاهُ وَأَدْخِلْنِي بِرَحْمَتِكَ فِي عِبَادِكَ الصَّالِحِينَ ) (النمل: (19)

 

“Meray Parvar-digaar! mujhe tofeq ataa farma keh main teri un nematon ka shukar baja lau jo Tu ne mujh par aur meray maa baap par kiye hain, aur aisay naik kaam karoon jisay to pasand karta hai aur mujhe apni rehmat se apnay naik bandon mein shaamil kar day .”

 

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents