Search
Sections
< All Topics
Print

08. Rishtedaaron kay Huqooq.

*RISHTA DARON KE HAQOOQ*

 

 

Qaraabat daari ko Shari’yat mein ” sila rehmi” kaha gaya hai yani yeh reham madar ka rishta hai jo khoon aur paidaiesh se qaim hota hai, yeh reham, Rehman ke lafz se bana hai, yani Allah ne apni sift rehmat o Rehmaniyat se is rishta ko jor rakha hai. farmaan baari hai :

 

وَاتَّقُوا اللهَ الَّذِي تَسَاءَلُونَ بِهِ وَالْأَرْحَامَ ) (النساء : 1)

 

“Is Allah se daro jis ka vaastaa day kar tum aik doosray se sawal kartay ho aur rishta daari ka khayaal karo.”

 

Isi liye Allah Ta’alaa ne rishta daari ko khitaab kartay hue farmaaya :

 

” أما ترضين أن أصل من وصلك، وأقطع من قطعک ،، ( بخاری )

 

“Kya tu is se raazi nahi hai keh jis ne tujhe milaya main usay ( jannat se ) milaon aur jis ne tujhe kaata main usay ( jannat se ) kaat dun ?”

 

Qaraabat daron se muraad woh tamam rishta daar hein jo insan se nasab ki wajah se juray hue hein, chahay woh is ke waris hon ya nah hon.

 

Aulaad par waldain ke baad qaraabat daaron ka haq hai jis ka adaa karna farz hai. Allah Ta’alaa Ka irshad hai :

 

واتِ ذَالْقُرْبَى حَقَّه ) ( بنی اسرائیل : 26)

 

Aur qaraabat daar ko is ka haq adaa karo.

 

Aik aur aayat mein Allah Ta’alaa ne apnay haq ke sath walidain aur qaraabat daaron ke haq ko zikar farmaaya hai. farmaan Ta’alaa hai :

 

﴿ وَاعْبُدُوا اللهَ وَلَا تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا وَّ بِذِي الْقُرْنِي ﴾ (النساء:36)

 

“Allah ki ibadat karo aur is ke sath kisi ko shareek nah tehrao, walidain aur rishta daaron ke sath husan sulooq karo.”

 

Sila rehmi islam ke un awleen usoolon mein se aik hai jis ka elaan Rasool Kaayenaat (ﷺ) ne farman ki chotyon se kya Hazrat Abu-sufyaan (رضی اللہ عنہ) se un ke zamana kufar mein jab room ke shenshah Harqul ne Aap (ﷺ) ki talemaat ke muta’alliq jab un se sawal kya to unhon ne jawab detay hue kaha tha :

 

” يقول : أعبدوا الله وحده ، ولا تشركوا به شيئا ، واتركوا ما يقول آباؤكم ، ويأمرنا بالصلاة ، والصدق ، والعفاف ، والصلة ،، ( متفق علیہ )

 

Woh kehtay hain keh :

”Sirf aik Allah ki ibadat karo, is ke sath kisi ko shareek nah tehrao, apnay baap dada ke rasam o rivaaj ko chor do, woh hamein namaz, sachaai, pak damni aur sila rehmi ka hukam detay hain.”

 

Aik aur hadees mein Aap (ﷺ) ne elaan farmaaya :

 

” لا يدخل الجنة قاطع رحم ،، ( متفق علیہ )

 

“Keh rishta daari ko katnay wala jannat mein daakhil nahi hoga .”

 

Unhi talemaat ka nateeja tha keh Sahaba Karaam

رضوان اللہ علیہم اجمعین

Ne sila rehmi ke tor par apnay qeemti sarmaye qaraabat daaron mein laga diye, jab yeh aayat nazil hui

لن تنا

لُوا الْبِرَّ حَتَّى تُنْفِقُوا مِمَّا تُحِبُّونَ ﴾ ( آل عمران : 92)

 

“Jab tak tum apni pasandeeda cheez Allah ki raah mein kharch nahi karo gay us waqt tak bhalai ( jannat ) nahi pa saktay.”

 

Hazrat Abu Talhah Ansari (رضی اللہ عنہ) ne kaha :

 

“Ya RasoolAllah ! mera sab se behtareen maal mera khajoor ka baagh ”Berhaa” hai, aur yeh Allah ki raah mein sadqa hai, main is ke ajar ka Allah se taalib hon, usay Aap jahan munasib samjhain wahan laga den.”

 

Aap (ﷺ) ne inhen mahswara diya keh woh usay apnay qaraabat daaron mein taqseem kar den.

 

Hazrat Abu Talhah ne usay apnay rishta daaron aur chacheerey bhaiyon mein taqseem kar diya. ( متفق علیہ )

 

Islam ne kafir rishta daaron ke sath bhi naik sulooq karnay ka hukam diya hai.

 

Aap (ﷺ) ne Hazrat Asma Bint Abi Baker (رضی اللہ عنہما) ko un ki kafra maa ki khatir karnay ka hukam diya, Hazrat Umar Bin khattaab(رضی اللہ عنہ) ne RasoolAllah (ﷺ) ki janib se inhen tohfa mein di gayi aik chadar ko apnay mushriq bhai ke liye Hadia Makkah rawana kya.

Lekin afsos ke aaj musalmanoon ke taluqaat ziyada tar apnay rishta daaron se hi kasheeda hain, yeh kasheedgi aksar auqaat adawat aur dushmani bhi paida kar deti hai jis ke nateejay mein sazishain, jhoot, doghla pan, hasad, bughz, keena, nafrat, jadu mantar aur dushmani aam ki baat hogayi hai, insaan ghair ko to qareeb karnay mein koi harj mehsoos nahi karta lekin apnon ke sayay se bhi bhagnay ki koshish karta hai, isi liye kisi dil jalay ne kaha tha “mujhe gheiron ka har ik zulm gawara lekin! marey Allah mujhe apnon se bachaaye rakhna”

Is soorat haal mein walidain se iltamaas hai keh bachon ke dilon mein qaraabat daaron ke khilaaf nafrat o dushmni paida karnay ke bajaye un ke seeno mein sila rehmi Ki ahmiyat ko rasikh karein taakay bachay ke dilon mein aindah chal kar rishta daaron ke liye nafrat ke dhatooron ke bajaye mohabbat o shafqat ke ghulaab paida hon .

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents