Search
Sections
< All Topics
Print

11. Ahl-e-Maghrib aur insaani Huqooq.

*EHLAY MAGHRIB AUR INSANI HAQOOQ*

 

Musalmanoon ke amli tor par duniya ke stage se hatt janay ki wajah se saari duniya mein jo fasaad zahir hua, is se faqra o masakin sab se ziyada mutasir hue, Urap aur America ne agar chay keh ahal duniya ki nazar mein dhool jhonknay ke liye insani haqooq ki kayi tanzeemen banai hain, lekin dar haqeeqat yeh tamam hathi ke daant hain jo dikhaanay ke aur aur chabanay ke aur hain.

 

Haqooq insani ki aalmi tanzeem

 

” – Eminesty Inter nation-” jo saari duniya mein haqooq insani ke liye chikhati chalati phir rahi hai, afsos keh usay Africi Mumalik ke un milion bachon ki himayat mein aik lafz tak kehnay ki tofeq nahi mili jo qillat ghiza ka shikaar ho kar raahi mulk adam hue, un majboor o be bas maa baap ko khanay ka aik luqmah pohanchanay ki fursat nahi mili jo bhook ka shikaar ho kar apnay hi murda bachon ki laashon ko kha gaye, woh America aur Urap jo insaaniyat ke liye magar mach ke ansoo bahata hai, jo duniya ke % 80 wasail o zaraye aamdani se malaa maal hain, unhon ne duniya mein bhakmari , gurbat aur fqar o faqa ko barqarar rakhnay ke liye lakhoon tan anaaj ko samandar mein duubo diya, sirf is liye keh ghalah ki aeemat girnay nah paye.

 

Barazeel ne 1975 mein pachaas million tan gehoo ke zakheeray ko aag laga kar jala dia aur Europi

“Aulaad Ki Tarbiyat”

 

Mumaalik kay mushtarkah ghazaai maarkeet nay pachaas million dollar apni zaroorat se zayaada anaaj aur zaray’i pedaawaar ki tabaahi kay liye mukhtas kiya, taakay un kay pedaawaar ki qeemat ‘aalmi mandii mein girnay nah paaye.

Jab kay isi saal Asia aur Africa kay mukhtalif mumaalik mein 20 ta 100 million insaan anaaj kay aik aik daanay ko taras rahay thay aur 460 se 1000 million log qillat-e- ghiza ki wajah se mukhtalif bimaariyon ka shikaar ban chukay thay. Is waqt ki ghiza aur zaraa’at ki aalmi tanzeem nay apni aik report mein har hafta tees laakh logon kay bhook say marnay ka khadsha zaahir kiya tha. Aur aaj bhi America ke kisaan, gosht ke ‘aalmi market mein apne Bar- aamad gosht ki qeemat barqaraar rakhnay ke liye, har saal laakhon ki t’adaad mein bail qatal kar ke zameen mein dafan kar dete hain.

 

( شخصیة المسلم كما يضوغبا الإسلام في الكتاب والسرية : دكتور محمد علي الباشمي )

 

Lekin bhook ki wajah se choohay billiyon ko kha jane waalay insaanon tak gosht ka aik tukda pohanchaanay ki inhain tofeeq nahi millti. Jahaan par ghiza rasaani ka kuch kaam ‘isaai masheenriyaan anjaam day rahi hain, un bhookhon payaason se hamdardi ya mohabbat ki bina par nahin, balkay is imdaad o t’aawun ke parda mein esaa’iyat ke parchaar, apne mazhab ki tableegh o ishaa’at ke ahem maqsad se sar anjaam day rahi hain :

” Be-khudi, be-sabab nahin Ghaalib kuch to hai jis ki parda daari hai”

Aisay maahol mein islaami, bilkhashoos petrol ki doulat se maala maal arab mumaalik ke liye acha moqa hai ke islam ke Derkhashandah ahkaam par amal karte hue un majburon,

Maqhooron, bhookhon, nangon tak pohanchain aur inhain, ghiza, libaas ke sath sath deen-e- haq ka bhi peighaam pohanchaayen, taakay bhook o payaas se sisakti hue insaaniyat ko jism ke sath sath rooh ki bhi ghiza mil jaye, aur is ke badlay mein yeh Rab-e- Rehman -o- Raheem ki rahmaton se maala maal ho jayen.

 

Baqol-e- Risaalat e Maab ﷺ :

 

” لان یهدی بک الله رجلا واحدا خير لك من حمر النعم

( Muttafiq alaihi )

 

Agar Allah Ta’ala ne aap ki wajah se kisi insaan ko hidaayat ata farmai to yeh tumharay haq mein surkh oonton se kahin zayaada behtar hai .

“M’aimaar-e- haram baaz batmeer-e- jahaan khaiz Az khawaab -e- giraan khawaab -e- giraan khawaab -e- giraan khaiz”

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents