Search
Sections
< All Topics
Print

03. Talib-e-Ilm kay adaab.

“Talab – e – Ilm Kay Aadaab”

 

Hazrat Abdullah Bin Mubarak (رحمه الله) talab-e-ilm kay aadaab zikar kartay hue farmaatay hain:

 

1- Taalib e ilm ki niyyat ka saaf hona.

2- Ustaad ka aik aik haraf kamaal-e-tawajjah say sun’na.

3- Iss kay baad khoob ghor o khoz say mazaameen ka dil mein utaarna.

4- Iss kay baad iss ka mahfooz kar leina.

5- Iss kay apnay shaagirdon mein iss ka phailana.

6- Deendaar hona.

7- Jhoot kabhi nah bolna.

8- Gunaah aur badii kay qareeb nah jana, kiyunkay ulamaa nay likha hay keh is ki wajah say insaan sayy-ul-hifz ho jaata hai.

Jaisa keh Hazrat Imaam Shaf’aye (رحمه الله) ka mash’hoor waaq’ia hai keh aap nay apnay haafizah ki kamzori ki shikaayat apnay ustaaz Imaam Wakee’ (رحمه الله) say ki, to aap nay farmaaya keh “Tum apnay aap ko har qisam kay fisq o fujoor say paak kar lo, is liye keh ilm Allah Ta’ala ka noor hai aur Noor-e-Ilaahi kissi bad a’mal aur naafarmaan ko nahin diya jaata.

 

Jaisa keh khud farmaatay hain:

 

فأوصاني إلى ترك المعاصي شكوت إلى وكيع بسوء حفظى
ونور الله لا يعطى للعاصى لأن العلم نور من إله
( رحمه الله اللإتحاف النبلاء بحواله : العلم والعلماء : از خطیب الاسلام مولانا عبد الرؤف جھنڈانگری )

 

Taalib-e-ilm kay liye zaroori hai keh apnay ustaaz ko kabhi aazaar na pohanchaaye, apnay a’mal, apni zubaan aur apnay a’azaa kay harakaat o saknaat say kissi ustaaz ko ranjeedah na karay, Imaam Taaos Yamani– farmaatay hain:

 

العلم ، منا من لم يوقر كبيرنا ، ولا شك أنه بمنزلة الوالد وإجلاله من إجلال ” من السنة أن يوقر العالم لقوله ” ليس
( ( فتح المغیث (۳۲۴

 

Ya’ni aalim e deen ki ta’zeem o toqeer sun’nat-e-Nabawi say saabit hai, kyunk Aap (ﷺ) ka farmaan hai:

“Jo hamaray bazurg ki ta’zeem nahin karta wo hum musalmaanon mein say nahin hai, is liye keh aalim bamanzalaye waalid kay hai aur is ki ta’zeem khud ilm ki ta’zeem hai.

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents