Search
Sections
< All Topics
Print

04. Ustaad ki Bad Dua.

” Ustaad Ki Bad-Dua”

Ustaad ki bad-dua balkay andeisha bhi taalib-e-ilm ki zindagi ko barbaad kar deta hai Khateeb-ul-Islaam Hazrat Molaana Abd-ul-Raoof Saahib Jhanda Nagri ( رحمه الله) apni mash’hoor kitaab “Al-Ilm wal Ulamaa” mein likhtay hain:

” Sultaan Muhammad Khaan Paadari ,, apnay risaalah “Main Maseehi Kiyun Hua?” ,, mein zimani tor par aik waaqiyah likhtay hain keh

” Main ibtada hi say tahqeeq ki talab mein tha, chunaachah main baraabar Injeel waghaira ka mutaaliaa’h karta raha, iss waqt main madarsah Fatah Poori mein padhta tha, aik raat meray Kaabuli ustaaz tahaltay tahaltay meray kamray mein aye aur faarsi zubaan mein kaha “Tarassum Keh i’eesaaye nah shawai,,” mujhay andeisha hai keh kahin tum i’eesaaye na ho jao, main nay faarsi hi mein jawaab diya keh aap eisa kiyun kehtay hain, meri taraf eisi nisbat na kijiye,, lekin chand saal baa’d is tajarbah kaar ustaad ka maqolah harf ba harf sacha saabit hua kyunk wo i’eesaye ho gaye.

Shamsul Aiymah Halwaaiye ( رحمه الله) kissi zarorat say Bukhaara say nikal kar ba’az dehaat mein gaye hoay thay, ap kay tamaam talaamizah ne aa kar ap say mulaaqaat ki, magar Qaazi Abubakar na asakay to jis waqat in say Shamsul Aiymah Halwaaiye( رحمه الله) ki mulaaqaat hui to poucha:

“Tum kiyun nahi aye,,

Kaha:

“Main waalidah maajidah ki khidmat mein mashghool tha is liye na aska,,

To farmaaya:

“Dekh! Tujhay umer to bohat di jaye gi, magar dars ki ronaq say mehroom rahay ga,, Chunaancha eisa hi hoa in ko kabhi dars denay ka itafaaq na hoa. Issi wajah say u’lamah nay kaha hai:

 

” من تأذى منه أستاذه يحرم بركة العلم ،، “

 

Jis taalib ilm say is ka ustaaz takleef uthaata hai eisa shakhs, ilm ki barkat aur is kay intifaah say mehroom rahay ga. (Hawaalah mazkoor:69)

 

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents