Search
Sections
< All Topics
Print

03. Baqeeli aur Kanjusi.

*Bukhal Aur Kanjoosi*

 

Olaad mein bigaad kay eham asbaab mein say aik baap ki kanjoosi aur bakheeli hai, baap khaata peeta aur maaldaar ho, lekin apani olaad kay saath kanjoosi ka rawiya apnaata ho to goya wo apani biwi bachon ko az khud chori karnay par majboor kar raha hai, chaahay wo is kay ghar say karain ya baahir say har Musalmaan kay liye ye jaan’na zaroori hai keh biwi bachon kay naan o nafqah par kharch karna bhi aik ibaadat hai aur is par Allah Ta’ala ajar a’ta farmaata hai.

 

Farmaan-e-Nabwi (ﷺ) hai:

 

دينار أنفقته في سبيل الله ، ودينار أنفقته في رقبة ، ودينار تصدقت به على مسكين ، ودينار أنفقته على اهلك، أعظمها أجر الذى أنفقته علی اهلک ،، ( رواه مسلم )

 

Wo deenaar jis ko tum nay Allah ki raah mein kharch kiya, aik wo deenaar jis ko tum nay kissi ko ghulaami say nijaat dilaanay mein sarf kiya, aik wo deenaar jisay tum nay kissi maskeen par khairaat kiya, aik wo deenar jisay tum nay apnay ehl o a’ayal par kharch kiya, in sab say zayaada ajar-o-sawaab ka baa’is wo deenaar hai jisay tum nay apnay ehl o a’ayal par kharch kiya.

 

Biwi ko jo luqmay khilaye jayen in kay mut’alliq Aap (ﷺ) nay irshaad farmaaya:

 

” وانک لن تنفق نفقة تبتغى بها وجه الله إلا أجرت بها ، حتى ما تجعل في في امراتک ( متفق علیہ ) “

 

Jis sarmaayah ko tum Allah ki khushnoodi haasil karnay kay liye kharch karo gay, is par bhi tumhein ajar milay ga, yahan tak jis luqmay ko tum apni ehliya kay monh mein daalo gay. (is par bhi tumhen ajar milay ga)

 

 

Neez irshaad farmaaya:

 

إذا أنفق الرجل على أهله نفقة ، يحتسبها ، فله صدقة “

 

Jab aadmi apnay ehl o a’ayal par kharch karta hai, aur is say sawaab ki umeed rakhta hai to is kay liye sadqah ho jaata hai.

 

“( متفق علیہ )

 

Agar kissi biwi ko kanjoos shohar say waastah paday to wo apnay bachon kay liye apnay shohar say issay batlaaye baghair itna maal lay sakti hai jo is kay bachon kay liye kaafi ho sakay.

Hazrat Hindah (رضی اللہ عنہا) (zojah Hazrat Abu Sufyan رضي الله عنه ) aik martabh khidmat -e-Nabwi mein ayen aur a’arz guzaar huin:

“Aa Allah kay Rasool (ﷺ)! Abu Sufyan bakheel aadmi hain, wo mujhay itna nahin datay jitna meray aur meray bachon kay liye kaafi ho, siwaaye is kay jisay main in ki la-i’lmi mein lay lon. (tab meray liye kaafi ho jaata hai)

Farmaaya:

Dastoor kay muatabiq jo tumharay aur tumharay bachon kay liye kaafi ho sakay, itna bila ijaazat lay sakti ho. (Bukhaari)

Mard ki bakheeli ka tazkirah kartay hue A’llaama Mehmood Mehdi Istanboli farmaatay hain:

Kehtay hain:

“Aik aurat apnay shohar say jhagda kar rahi thi, kiyunkay wo kharch danay mein had say zayaada tangi karta tha.

Aurat nay kaha:

“Allah ki qasam! choohay bhi sirf watan ki muhabbat kay sabab is ghar mein paday hue hain, warnah khuraak inhain pados kay gharon say mil jaati hai”.

Shohar ki bakheeli aur ikhraajaat mein sakht geeri ka munaasib haal waqi’yah jo A’llaama Ibn-ul-Jozi (رحمه الله) nay apani kitaab “Al Azkiya” mein likha hai:

” Hazrat Mugeerah Bin Shubah (رضي الله عنه) aur aik dosray Arab nojawaan ka mangani ka paighaam aik hi waqt mein aik aurat kay paas pohancha. Nojawaan khoobsurat tha. Aurat nay

Donon ko talab kiya aur kaha:

“Tum dono nay mangani ka paighaam bheija hai, lehaaza main sunay aur dekhay baghair kissi ko koi jawaab nahin dun gi, is liye agar chaho to falaan waqt haazir ho jao, dono mangaitar muqar’rara waqt par aye. Aurat nay donon ko aisi jagah bithaaya jahaan say wo inhain deikh sakti thi aur inki baatain sun sakti thi. Hazrat Mugheerah Bin Sho’uba (رضي الله عنه) ki nazar nojawaan par pri, us ka husan-o-jamaal aur us ki haalat deikhi to aap rishta say mayoos ho gaye aur yaqeen kar liya keh aurat issi nojawaan ko pasand karay gi. Aakhir aap ko aik tadbeer soojhi,

Aap nojawaan ki taraf muday aur us say kaha:

“Tunm husan-o-jamaal aur quw’wat-e-goyaaye say maala maal ho, kya is kay siwa bhi tumhaaray paas kuch hai?.”

Us nay kaha:

“Han! Phir us nay mazeed kuch khoobiyan ginwayen, phir chup ho gaya.”

 

Hazrat Mugheera Bin Sho’uba (رضي الله عنه) nay kaha:

“Hisaab kitaab kesa rakhtay ho?.”

Us nay kaha:

“Main apnay hisaab mein koi cheez baaqi rehnay nahin deta, aur jo raayi kay baraabar bhi koi cheez rehti hai ussay bhi wasool kar leta hun.”

 

Hzarat Mugheerah Bin Sho’uba (رضي الله عنه) nay kaha:

“Lekin mera haal ye hai keh main thailee ghar kay konay mein rakh choodta hun aur ghar waalay jis qadar chaahtay hain kharch kartay hain, aur jab dubaarah rupayya talab kartay hain , tab mujhay pata chalta hai keh rupayya khatam ho gaya hai.”

Aurat nay (Apnay dil mein) kaha:

“Allah ki kasam! Hisaab kitaab na lenay waala ye budha is nojawaan say behtar hai jo raaye baraabar bhi chodnay ka naam na lay. Is kay baa’d is nay Hazrat Mugheerah Bin Sho’uba (رضي الله عنه) say shaadi kar li. (Tohfa-tul-U’roos: 446)

 

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents