08. Talaq aur Aulaad par talaq kay Asraat [Divorce]
* Talaaq*
Talaaq aik aham sabab hai jis say bachon mein bigaad ata hai, is tarhan keh baap olaad ki maan ko talaaq dai dai aur us ki jagah par sotaili maan ko lay aye, jo bachay pehlay hi maamta say mehroom ho chukay hain wo ab sotaili maan kay zaalimanah salook say tang a kar baghaawat par aamaadah ho jaatay hain, jis ki wajah say baap aur bachon mein than jaati hai aur natijah donon kay haq mein bura nikalta hai.
Talaaq kay lughwi m’ana kholnay kay hain aur islaami muhaawray mein nikaah ki girah khol denay aur zojiyat ka rishta aur rabt tod denay ko talaaq kehtay hain. Paighambar-e-Islaam (ﷺ) nay talaaq ko Allah ki nazar mein, Halaal ashia mein sab say zayaada buri cheez qaraar diya:
“” أبغض الحلال عند الله الطلاق ،، ( أبوداؤد ۔ رابن ماجہ ) “
Lekin maa’sharay mein kabhi kabhi aisay haadsaat paish aa jaatay hain keh miyan biwi kay ta’lluqaat sard mehri mein anjmaad tak pohanch jaatay hain, aisay mein ta’lluq rog ban jaata hai aur taa’ruf bojh ho jaata hai, in haalaat mein shohar aur biwi kay liye is kay ilaawa aur koi chaarah nahi rah jaata keh dono aik doosray say juda ho kar chain-o-sakoon ki saans lain.
Maslan agar bad qismati say shohar islaami iqdaar say na waaqif ya buray a’adaat-o-atwaar ka shikaar ya sharaabi, zaani aur bad kirdaar hai jis ki wajah say dono kay darmyaan na ittafaaqi peda ho jaye to dono mein intihaai koshish kar kay milaap kara diya jaye, agar mard nay apnay atwaar nahi badlay to bilaakhir aurat ko Islaam nay ye haq diya hai keh wo shohar say khul’a lay lay. Agar biwi bad zubaan, jhagdaalo, ya azaad tabla aur bad qamaash hai to shari’yat nay mard ko talaaq denay say pehlay in tamaam kaamil ihtiyaataat ko robah a’mal laanay ka hukam diya, taakay in mein say kissi aik zari’ye say bhi agar baat ban sakti ho, nibaah ho sakta ho to ho jaye.
1- Wa’z-o-naseehat say samjhaanay ki koshish ki jay, kiynkay dil kay andar imaan ho to is say zaroor kuch na kuch faidah ho jaata hai.
Irshaad-e-Baari hai:
“﴿ فَذَكَّرُ فَإِنَّ الذِّكْرَ تَنْفَعُ الْمُؤْمِنِينَ ﴾ ( ذاریات : 55)
“Naseehat kejaiye, kiyn kay naseehat Moominon kay liye faidah mand hai.
2- Bistar say a’lahdagi:
Ye shohar ki nafsiyaati saza hai jo biwi ko deyta hai, is say har wo aurat jis kay dil mein shohar say thori si bhi muhabbat hai, bistar say a’laahdgi bardaasht nahi kar sakti, is say bohat mumkin hai keh aurat apnay ap ko shohar kay ahkaam aur marzi kay taab’a kar kay zindagi khush gawaar bana lay.
3- Zarb-e-khafeef:
Baraaye taadeeb aisi maar maaray jis say umeed ho keh is say faida ho ga, maar baraye maar na ho balkay baray islaah. Is mein bhi ye baat malhooz rahay keh sakht na ho, jisam par daagh aur nishaan chodnay wali na ho, takleef pohnchanay wali na ho, na hi seenah, pait aur chehrah par maara jaaye, na is mein zabardast sotay, danday must’amal hon, balkay Foqah’a Karaam kay aqwaal kay mutaabiq ye zarb miswaak waghaira jaissi kissi lakdi say ho. Aurat ko maarna kissi bhi mazhab maa’sharay mein acha nahi samjha jaata, Hazrat Ayesha (رضی اللہ عنہا) kay baqol Aap (ﷺ) nay apni hayaat-e-tayyiba mein kissi khaadim ya aurat ko nahi maara:
ما ضرب رسول الله الا الله بيده إمرأة قط ، ولا خادما ، ولا ضرب شيئا قط ،إلا أن يجاهد في سبيل الله ،، ( ابن سعد )
Keh Aap (ﷺ) nay siwaaye Jihaad Fi Sabeelillah kay apni zindagi mein na kissi aurat ko maara, na kissi khaadim ko na hi insaan jaanwar samait kissi cheez ko. Balkay Aap (ﷺ) say is ki mumaani’at saabit hai, Aap (ﷺ) nay mardon ko aorton ki pitaaiye say ye kehtay hoye a’ar dilayi keh:
” یعمد أحدكم فيجلد إمرأته جلد العبد ، فلعله يضاجعها من آخر يومه ،، ( متفق علیہ ) “
Tum mein say koi shakhs uthta hai aur apni biwi ki is tarhan be tahaasha maarta hai jis tarhan keh gulaam ko maara jaata hai, (issay kam az kam ye to sochna chahiye keh) shayad wo Issi din kay akhir mein is say ham bistari karay.
4- Tallaq kay waqoo’a say qabal shohar aur biwi ki jaanib say chand aqalmand log jama’a hon aur wo in ikhtilaafaat ka jaizah lay kar is ka hal talaash karain jo zan-o-sho kay darmyaan ba’as nazaa’ hain, taakay inki is akhari koshish say talkhiyaan khatam hon aur zindagi muhabbat ki digar par phir say rawaan dawaan ho jaye.
Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
﴿ وَاللَّنِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَاهْجُرُوهُنَّ فِي الْمَضَا مِعِ وَاضْرِبُوهُنَّ : فَإِنْ أَطَعْنَكُمْ فَلَا تَبْغُوا عَلَيْهِنَّ سَبِيلاً إِنَّ اللهَ كَانَ عَلِيًّا كَبِيرًا لا وَإِنْ خِفْتُمُ شِقَاقَ بَيْنِهِمَا فَابْعَثُوا حَكَمًا مِّنْ أَهْلِهِ وَ حَكَمًا مِّنْ أَهْلِهَا إِنْ يُرِيدَا إِصْلَاحًا يُوَفِّقِ اللَّهُ بَيْنَهُمَا إِنَّ اللهَ كَانَ عَلِيمًا خَبِيرًا (نساء : 35-34 )
“Aur jin logon say tumhain sarkashi ka andaisha ho to inhain samjhao, khawaab ghaahon mein in say alag raho, aur maaro, phair agar wo tumhaari mattee’ ho jayen to khawaah mkhawaah in par dast daraazi kay liye bahaanay talaash na karo (yaad rakho keh sab kuch wo dekh raha hai jo) Allah be shubah Buland-o-Baala, bada hai. Agar tumhain in dono kay ta’alluqaat bigad jaanay ka andesha ho to aik hukam mard kay rishtadaaron mein say aur aik aurat kay rishtadaaron mein say muqarrar karo, wo dono islaah karna chahain gain to Allah in kay darmyaan mowaafaqat ki koi soorat peda kar dai ga, Allah sab kuch jaan’nay waala aur baakhabar hai”.
Jab in tamaam iqdaamaat say bhi koi baat na banay aur khaandaani zindagi taabah honay lagay to mard ko ye ikhtiyaar diya gaya keh wo aik talaaq raj’e is tohar mein day jis mein keh is nay biwi say sohbat nhi ki hai. Is say faida ye ho ga keh a’aindah tohar (haiz say paaki) tak shohar ki judaai say biwi ko pohanchanay wala sadma aur biwi ki judaai say shohar ko honay wali takleef, umeed hai kek dono ko apnay saabiq rawiyye say a’itadaal ki raah par anay mein madadgaar saabit ho ga, agar khush bakhti say ye hua to shari’yat nay dono ko ye ijaazat di hai keh wo phir say apni zindagi miyaan biwi ki hasiyyat say shuru karain. Pehli tallaq kay ba’d aik maah tak bhi islaah ki koi umeed nazar nahi aai to phir shohar doosaray tohar (haiz say paaki kay bad) mein doosari tallaq dai ga, phir aik maah tak bhi tarafain ki jaanib say islaah ki koshishain baar aawar saabit huin aur dono miyaan biwi naaraazgi khatam kar kay phir say zindagi kay doraahay par muhabbat say gaamzan hona chahain to shari’yat nay shohar kay liye ab bhi darwaazay kholay rakhain hain keh dono talaaqon kay bad agar wo chahain to raj’at kay zari’ye biwi ko nikaah mein baaqi rakhay, lekin ab bhi dono nay tanaao daar aur sakht rawiyya apnaaya to shohar biwi ko teesray tohar mein teesri talaaq day kar apni zojiyat say khaarij kar dai.
Is liye keh Farmaan-e-Baari Ta’ala hai:
الطَّلَاقُ مَرَّتَانِ فَامُسَاكٌ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسُرِيحٌ بِإِحْسَانٍ (229)
“Talaaqain do(2) martabah hain, phir ya to achaai kay saath rokna (lota laina) ya umdagi kay saath chor daina hai”.
Talaaq dainay kay waqt shari’yat nay shohar par waajib kiya hai keh wo apni saabqah biwi ko kuch saaz-o-saamaan aur naqdi i’ddat kay kharch kay tor par dai, taakay talaaq yaafta aurat rupaiyyon ki majboori ki wajah say mushaqqat na uthaye aur is kay saath is ki olaad bhi faaqah kashi par majboor na ho.
Farman-e-Baari hai:
وَمَتِّعُوهُنَّ عَلَى الْمُوسِعِ قَدْرَهُ وَعَلَى الْمُقْتَرِ قَدْرَهُ مَتَاعًا بِالْمَعْرُوفِ حَقًّا عَلَى الْمُحْسِنِينَ (بقره: 236)
“Haan inhain Kuch na kuch faaida pohanchaao, khush haal apni taaqat kay mutaabiq aur tang dast apni maqadrat kay mutaabiq, dastoor kay mutaabiq acha faaida day, bhalaai karnay waalon par ye laazim hai. Agar aurat kay paas saabiq shohar ka koi bacha parwarish pa raha hai to is ka kharch bhi shohar kay zimay hai, tafseel kay liye Sorah Talaaq ka mutaal’ah kiya jaye.
Talaaq Ka Bid’ie Tareeqah
Talaaq ka bid’ie tareeqah wo hai, aam tor par Jaahil Musalmaan jis ka irtakaab kartay hain keh choti choti baaton par a’ao dekha na taao dhada dhad teen(3) talaaq (talaaq talaaq talaaq) ki baadh maar di, is kay baad U’lamaah-o-Madaaris ka chakar kaatnay lagay keh ab nibaah ki koi soorat nikaal dain, aissay mein wo in logon kay fatwon ki bhaint chad gaye jo “Shara’i halaalah” ki dokaan laga kar baithay hue thay, jaahan aik do din kay liye halaalay kay naam par aurton ki a’smaton ka soda kiya jaata hai, phir aik makhsoos raqam ki adaaigi kay bad teen(3) talaaqain dilwa kar pehlay shohar kay liye raah hamwaar ki jaati hai, aissay hi halaalah karnay aur karaanay waalon par Rasool (ﷺ) nay la’nat bhaiji hai:
” لعن الله المحلل والمحلل له ،، ( ابو داؤد – ترندی ) “
” Halaalah karnay waalay aur jis kay liye karaaya gaya dono par Allah lki la’nat ho”.
Aur issi kay muta’lliq Hazrat Umar Bin Khattaab (رضي الله عنه) nay farmaaya tha:
“Agar mujhay halaalah karnay aur karaanay waalay ka pata chalay to main inhain sangsaar kar don ga, (Kanz-ul-Ummaal)
Shari’yat kay batlaaye hue usoolon say hat kar jo talaaq di jaaye yahi bid’ie talaaq hai, maslan teen(3) maheenon mein teen(3) martabah talaaq dainay kay bajaaye aik hi martabah dai di Jaaye, ya tohar kay bajaaye haalat-e-haiz ya nafaas ya is tohar mein talaaq di jaaye jis mein mard nay aurat kay saath sohbat ki ho, aisi talaaq haraam aur deinay waala sakht gunahgaar hai. U’lamaa mein is baaray mein ikhtalaaf hai keh kaya bid’ie talaaq laagu ho gi ya nahin? Aksar Sahaabah karaam aur Taba’een aur Sheikh-ul-islaam Imaam Ibn-e-Taimiyah aur Imaam Ibn-e-Qayyam aur mojoodah dor kay aksar kubbaar ulamaa aur Muhaddiseen ka maslak yehi hai keh teen(3) talaaqain denay ki surat mein aik talaaq-e-raja’i waaqa’ ho gi aur baaqi do(2) talaaqain mardood hon gi, is liye keh Hazrat Abdullah Bib Abbas (رضي الله عنه) say ye saabit hai keh Rasool Ullah (ﷺ) kay a’had mubarak mein aik majlis ki teen(3) talaaqain aik hi shumaar ki jaati thin. (Muslim) Is maslah ki baabat A’llama Abdul A’zeez Bin Abdullah Bin Baaz (رحمه الله) saabiq Mufti-e-Aa’zam Saodiyah Arbiah irshaad farmaatay hain:
Is maslah mein sahih baat ye hai keh agar mard apni biwi ko aik hi kalmah kai zariye teen(3) talaaqain dai deta hai to ussay sirf aik hi shumaaar kiya jaaye ga, kiyunkay Imaam Muslim nay apni Saheeh mein Hazrat Abdullah Bin Abbaas( رضي الله عنه) kay hawaalay say riwaayat ki hai keh “A’hd-e-Nabwi, A’hd-e-Siddique aur A’hd-e-Faarooqi mein do saalon tak teen(3) talaaq ko aik hi talaaq shumaar kiya jaata tha, ba’d mein Hazrat Umar nay kaha keh log is maa’mlay mein tezi dikhlaanay lagay hain jis mein un kay liye mohlat thi, is surat mein kiyun na hum issay teen(3) qaraar dein dain, aur aap nay issay teen(3) qaraar dai diya”. Hazrat Abdullah Bin A’bbaas( رضي الله عنه) kay shaagirdon par mushtamil u’lamaa ki aik jamaa’t aur bohat say doosray u’lamaa ka mukhtaar qol yehi hai, khud Hazrat Abdullah Bin Abbaas (رضي الله عنه) say yehi riwaayat saabit hai, Saahib-ul-Siyyarah Imaam Muhammad Bin Ishaaq issi kay qaail hain, neez Sheikh-ul-islaam Ibn-e-Taimiya aur in kay shaagirad Rasheed A’lamah Ibn-e-Qayyam (رحمتہ اللہ علیہما ) nay bhi issi ko ikhtayaar kiya hai”. (Fataawa A’laamah Abd-ul-Azeez Bin Baaz: Muratab: Doctor Muhammad Luqmaan Salfi. Page 309-310)
Doosri jagah farmaatay hain:
“Hazrat Abdullah Bin Abbaas (رضي الله عنه) nay (aik saheh qol kay mutaabiq) issi ko ikhtiyaar kiya hai, aur teen(3) talaaq ko aik talaaq man’nay waalon mein Hazrat Ali (رضي الله عنه), Hazrat Abd-ul-Rehman Bin Au’f (رضي الله عنه), Hazrat Zubair Bin Awwaam (رضي الله عنه) bhi hain. Muhammad Bin Ishaaq (Seerat kay musannif) aur taaba’een ki aik jamaa’t bhi yahi kehti hai, aur mutaqaddimeen-o-muta’akhireen u’lamaah ki aik jamaat issi ki qaail hai, Sheikh-ul-islaam Ibn-e-Taimiya aur in kay shaagird Rasheed A’laamah Ibn-e-Qayyam (رحمه الله) ka bhi yahi maslak hai, aur main bhi yahi fatwah dayta hon, is liye keh is mein tamaam dalaail par amal ho jaata hai aur is mein Musalmaanon kay saath rehmat-o-shafqat aur narmi ka pahlu bhi hai. (hawaalah mazkor page 297)
Yahi wo maslak hai jo Kitaab-o-Sunnat say zayaada qareeb hai aur jis mein a’am Musalmaanon kay liye sakoon-o-raahat hai aur issi maslak par a’mal kartay hue wo hazaarha khaandaan jo mard ki ghair daanish mandi ki wajah say tabaahi say dochaar ho gaye phir say aabaad ho saktay hain.
Agar kissi nay apni biwi ko talaaq day di aur is nay apni marzi say kissy doosray mard say shaadi kar li, lekin bad qismati say is say bhi nibaah na ho saka, agar wo phir say pehlay shohar say shaadi karna chaahay to kar sakti hai, jaisa keh Farmaan-e-Baari hai:
﴿ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَا أَن يَتَرَاجَعَا إِنْ ظَنَّا أَن يُقِيمَا حُدُودُ اللهِ ( بقرة : 230 )﴾
“Phir agar wo bhi issay talaaq dai dai to in donon ko mail jol kar lainay mein koi gunaah Nahi bashart yekeh ye jaan lain keh Allah ki hadon ko qaaim rakh sakein gay.
* Olaad Par Talaaq Kay Asraat*
Talaaq chaahay sunni tareeqay par di jaye ya bid’ie par, is mein koi shak nahi keh olaad par is kay buray asraat murattab hotay hain, bachay maan aur baap kay darmyaan taqseem ho kar reh jaatay hain, jo bachay baap kay paas rehtay hain wo maan ki mamta ko tarastay hain, agar wo maan say milna bhi chaahain baap ka khof inhain milnay nahi deta, jo bachay maan ki sar parasti mein mojood hain wo baap ki shafqat kay liye tadap rahain hotay hain, lekin maan ki naaraazgi ka khouf inhain baap say milnay nahi deta, basa oqaat baap apnay paas rehnay waalay bachon mein maan kay khilaaf sakhat nafrat bhar deta hai, aur issi kay bar’aks maan kay paas parwarish paanay waalay bachay baap kay khilaaf nafrat aur haqaarat ko apnay ma’soom seenon mein paaltay hain, baday ho kar wo apnay baap ko bhi baap kah kar nahi bulaatay, maan agar khaatay peetay khaandaan say ta’alluq na rakhti ho to aisay mein ghurbat o mufflasi ka shikaar bachay bheek maangnay par aur aurat mehnat-o-mazdori karnay par bhi majboor ho jaati hai, ghar say nikal kar is be reham duniya mein is ki apni i’ffat-o-asmat ki hifaazat bhi aik mas’alah ban jaati hai, bachay maan ko ghar mein na pa kar awaarah gardi ka shikaar ho jaatay hain, kai bachay baap ki shafqat aur maan ki mamta say mehrom ho kar ghair samaaji a’naasur ki bhaint chad jaatay hain, jo inhain be reham qaatil aur saffaak daakou kay qaalib mein dhaal detay hain, jin nafrat kay dhaturon mein in ki parwarish hui wo agay chal kar inhain ghunda, bad ma’ash aur ma’asharay kay liye aik na soor bana kar hi chorain gay. Is liye waalidain say a’rz hai keh wo apnay bachon kay mustaqbil ki khaatir apnay chotay motay ikhtilaafaat ko hikmat-o-maslihat say khatam kar kay apnay bachon ko muhabbat bhari zindagi a’ta karain, taakeh agay chal kar wo maa’sharay kay liye aik raham dil baap, mushfiq shohar aur naik aur saalah insaan ka kirdaar ada kar sakain. وما ذلک علی الله بعزیز
REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”
Divorce and what it entails of poverty and homelessness
Among the factors that lead to children’s perversion is divorce due to the disunity and separation it entails. When the child misses the caring mother, or the responsible father, he will grow up corrupt and perverted. What makes such a situation even worse is the marriage of a divorced woman to another man, or her poverty that compels her to look for work outside her home. Islam instructed both spouses to give each other’s rights. Among these rights is that a wife:
– Must obey her husband beneficently.
– To guard her husband’s property and her chastity.
– To not reject her husband’s call whenever he desires her.
The husband:
-Must provide for his wife and children.
-Must consult his wife in household affairs.
– Must live with his wife beneficently and be kind to her.
– Must help his wife at home, following the conduct of the Prophet(ﷺ)
In case it is difficult to attain harmony, because of the husband’s or the wife’s ill manners, the husband must take these precautions before divorce:
- Admonishment and guidance. If this fails then,
- Forsake her in bed. If this also fails to work then,
- Slight beating so that it leaves no marks on her body, the beatings are away from the vulnerable areas, and the face is to be avoided.
- Resorting to arbitration; mediation with wise people from his and her families to investigate the problems held between the two spouses, and suggest practical solutions to regain harmony and understanding between them. Allah said,
وَٱلَّـٰتِى تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَٱهْجُرُوهُنَّ فِى ٱلْمَضَاجِعِ وَٱضْرِبُوهُنَّ ۖ فَإِنْ أَطَعْنَكُمْ فَلَا تَبْغُوا۟ عَلَيْهِنَّ سَبِيلًا ۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيًّۭا كَبِيرًۭاوَإِنْ خِفْتُمْ شِقَاقَ بَيْنِهِمَا فَٱبْعَثُوا۟ حَكَمًۭا مِّنْ أَهْلِهِۦ وَحَكَمًۭا مِّنْ أَهْلِهَآ إِن يُرِيدَآ إِصْلَـٰحًۭا يُوَفِّقِ ٱللَّهُ بَيْنَهُمَآ ۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا خَبِيرًۭا
“As to those women on whose part you see ill-conduct, admonish them (first), (next), refuse to share their beds, (and last) beat them (lightly, if it is useful); but if they return to obedience, seek not against them means (of annoyance). Surely, Allah is Ever Most High, Most Great. If you fear a breach between them twain (the man and his wife), appoint (two) arbitrators, one from his family and the other from her’s; if they both wish for peace, Allah will cause their reconciliation. Indeed Allah is Ever All-Knower, Well-Acquainted with all things.” (An-Nisa, 34-35)
In case they could not come to a compromise after going through these stages, the husband
divorces his wife once at a time when she is free from menstruation and during which time he has not had sexual intercourse with her. The aim is to give a chance to retain marital life after the first divorce, as Allah says:
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍۢ يَعْلَمُونَ
“And if he has divorced her (the third time), then she is not lawful unto him thereafter until she has married another husband. Then, if the other husband divorces her, it is no sin on both of them that they reunite, provided they feel that they can keep the limits ordained by Allah. These are the limits of Allah, which He makes plain for the people who have knowledge.” (Al-Baqarah, 230)
وَمَتِّعُوهُنَّ عَلَى ٱلْمُوسِعِ قَدَرُهُۥ وَعَلَى ٱلْمُقْتِرِ قَدَرُهُۥ مَتَـٰعًۢا بِٱلْمَعْرُوفِ ۖ حَقًّا عَلَى ٱلْمُحْسِنِينَ
“But bestow on them (a suitable gift), the rich according to his means, and the poor according to his means, a gift of reasonable amount is a duty on the doers of good.” (Al-Baqarah, 236)
In case the husband is poor and unable to provide for his children, the state has to sponsor those children to meet their needs and expenditures.
REFERENCE:
Book: Child Education In Islam
“BY Abdullah Nasih ‘Ulwan”