10. Baap ki bad saluki [Mistreatment of parents towards children]
*Baap Ki Bad Salooki*
Bachon kay inharaaf mein baap ki bad salooki ka bhi bada a’mal dakhal hai, agar baap buri a’daton maslan sharaab khori, qumaar baazi, jhagdalo, bad zubaan aur baat baat par bachon ko buri tarhan peetnay wala, inhain mukhtalif zariy’aon say zaleel karnay wala, in ka mazaaq udanay wala, in kay khilaaf ghalat paropagandah karnay wala aur in ki izzat-e-nafs ko khaak mein milaanay wala ho, to bachay bachpan mein to baap say daray sehmay rehtay hain lekin jawaan honay kay saath hi wo baap kay baaghi ban kar us ki naaqadri par utar atay hain, baap kay liye zaroori hai kay apnay keh apnay bachon kay saath payaar-o-muhabbat aur shafqat-o-maherbaani ka salook karay, agar kabhi kuch daant dipat aur halki si maar ki zaroorat bhi paish a jaaye to thodi dair ba’d is say payaar ka salook karay, taakeh bachay kay qalb-o-zehan mein ye baat na beith jaaye keh mera baap hameisha hi mujhay maarta hai, waalid kay liye zaroori hai keh bachay agar kabhi ghalati kar jaayen, ya sharaarat karain to bajaaye maarnay kay inhain payaar-o-muhabbat say samjhaaye, aur un kay a’mal say honay waalay nuqsaan ki inhain tafseel bataaye, jab sharaartain had say guzar jaayen to nafsayaati tor par un par asar daalay aur thodi dair kay liye aisa rukh apanaaye keh inhain ahsaas ho keh un ka waalid un say naraaz hai. Aur un ki tarbiyat mein raham dili aur muhabbat kay un tamaam taqaazon ko pura karay jin ka hum nay guzishta oraaq mein bit-tafseel zikar kiya hai, agar payaar-o-muhabbat kay islaami khatoot par in ki tarbiyat ho to un say hum baja ye umeed kar saktay hain keh budhaapay mein waalidain kay saath husan-e-salook say paish ayen gain.
Aik martabah Hazrat Mua’awiah Bin Abi Sufyaan (رضي الله عنه) apnay betay yazeed say naaraaz ho gaye, phir Hazrat Ahnaf Bin Qais (رضي الله عنه) say bachon say waalid kay salook kay muta’lliq un ki raaye daryaaft ki, jawaab mein unhon nay kehla bhija:
: ” ھم ثمار قلوبنا ، وعماد ظهورنا ، ونحن لهم أرض ذليلة ، وسماء ظليلة ، فإن طلبوا فأعطهم ، وإن غضبوا فأرضهم، فإنهم يمنحونك وُدّهم ، ويحبونك جهدهم ، ولا تكن عليهم ثقيلا فيملوا حياتك ، ويتمنوا وفاتك ،، ( تربية الأولاد في الإسلام : ج 1 صفحہ 101)
“Olaad hamaaray dil kay phal hain, aur hamaari reedh ki haddi hain, aur hum un kay liye narm zameen hain, aur saaya fugan asmaan hain, agar wo kuch talab karain to aap unhain a’ta karain, agar wo naaraaz ho jaayen to aap unhain raazi karain, phir wo aap par apni muhabbat lutaayen gain, aur apni mehnaton ka phal aap ko paish karain gain, aap un par bojh na banain is say wo aap ki zindagi say tang aa jaayen gain aur aap kay marnay ki aarzu karain gain”.
* Khaatamah*
Is baat say her khaas-o-aa’m waaqif hai keh bachay qom, millat aur mulk kay mustaqbil hain, ye wo beej hain jinhain agar zerkhaiz zameen mein boya jaaye, pjir is ko taqwa aur imaan kay paani say sairaab kiya jaaye to hameisha acha phal dein gain. Agar bachon ki tarbiyat ka hum gehraayi say jaaizah lein to hamain pata chalta hai keh teen(3) maahol aisay hain jo inhain acha ya bura banaanay mein kaleedi lirdaar ada kartay hain aur wo hain:
1- Ghar-o-Khaandaan
2- Madarsah
3-Maa’sharah.
In teenon(3) aham tarbiyati maahol ka avha aur naik hona fard kay ikhlaaq-o-kirdaar ki bhalaaye ka zaamin hai aur teenon(3) ka bura aur bigda hua hona fard kay bigaad aur fasaad kay liye kaafi hai. Allah Ta’ala nay shari’at-e-Islaamiah ko insaaniyat ki falaah-o-kaamyaabi kay liye naazil farmaaya hai, issi liye tarbiyat kay in teenon(3) aham masaadir ko theek rakhnay kay liye zaroori hidaayaat di hain:
1- Ghar kay muta’lliq farmaaya:
ما من مولود إلا يولد على الفطرة ، فأبواه يهودانه أو ينصرانه ، أو يمجسانه ،،
“Her bacha fitrat-e-islaam par peda hota hai, lekin is kay maan baap ya to issay yahoodi bana detain hain, ya ie’saaye, ya majoosi bana detay hain.
Neez farmaaya:
مروا أولادكم بالصلاة لسبع واضربوهم عليها لعشر ، وفرّقوا بينهم في المضاجع ،،
“Bachon ko jab wo saat(7) saal kay ho jaayein to namaaz padhnay ki taakeed karo, aur jab das(10) saal kay ho jaayen to inhain namaaz na padhnay par maaro aur in kay bistaron ko juda karo.
Ghar ka maahol islaami hai, waalidain paapan-e-shari’at hain to un say umeed ki ja sakti hai keh wo apnay bachon ki Deeni maahol mein pardaakht karain gai. Agar maa’mla bar’aks hai to ghar ka ghair deeni aur faishon zadah maahol olaad ko raah-e-haq say bhatkaanay kay lie kaafi hai.
2- Ghar kay ba’d bachay apna zayaada waqt madarsah, school, college aue university mein guzaartay hain, yahaan par anay kay ba’d bachon kay mustaqbil ka daar-o-madaar, do(2) aham rehnumaayon par hota hai:
(1)- Ustaad-o-Mudarris:
Mudarris bachon kay zindagi kay maqaasid ka rukh muta’in karta hai, agar mudarris zimahdaar aur bachon ki tarbiyat mein mukhlis hai to bachon ki ta’leemi zindagi par is kay baday naik asraat murattab hon gain. Agar bad qismati say ustaad ghair zimadaar balkay bad iklaaq ho, tadrees ko bas khaanay kamaanay ka aik paishah samajhta ho to jeisa keh aaj kal college aur universityon ka maahol hai keh professor hazraat bhi apnay shaagirdon kay saath mil beith kar sharaab noshi kartay hue pakday gaye, to aisa mudarris bachon kay bigaad mein aham kirdaar ada karay ga.
2- Ta’leem:
Kiyunk ta’leem hi bachon ki maa’sharti zindagi ki rehnumaayi karti hai, aur ta’leem kay liye zaroori hai keh wo sahih mnhaj aur fikar-e-saleem say muttasif ho, agar koi ta’leem in osaaf say muttasif nahin to phir ye bani no’u insaaniyat kay liye zehar halaahil ho gi, ghair islaami afkaar, mulhidaanah nazriyaat, aur majnoona theoriyon say jo ta’leem muta’lliq ho gi wo ” Aye Roshani-e-Taba’a tu Bar Man bala Shadi ” kay misdaaq bachon par balaaye qahwrmaan ho gi aur afsos keh aaj aksar hakoomaton ki ta’leem sarmaayah daaraanah nazriyaat, kamyunist afkaar, ya sociallisam aur jamhooriyat ki da’wat par mushtamil hai, aur in tamaam afkaar-o-nazriyaat ka islaam say door door tak ka bhi koi waastah nahin, sarmaayah daaraanah nazriyaat bukhal-o-hirs par mushtamil hain, jis mein her saheeh ya ghalat tareeqay say dolat ka hasool hi bunyaadi hasiyat rakhta hai to comunisom aur ishtaraakiyat hasad-o-bughz par mushtamil hai, jis say maaldaaron aur ghareebon kay dermayaan kashmakash ko hi ” Jihaad ” ka darjah haasil hai, jamhooriat mein qom parasti ko awwaleem maqaam haasil hai, andhi qom parasti jis mein siwaaye apnay tamaam aqwaam ko kam tar samjha jaaye, fard aur maa’shray mein ta’ssub tangnazri, zid aur hat dharmi ko janam deti hai. Aur in tamaam usool-o-nazriyaat ko taareekh aur insaani maa’shray nay apnay a’mal say rad ker diya hai, is liye Musalmaan apnay nisaab-e-ta’leem mein in tamaam gumraah aur baatil nazriyaat ki haqeeqt wazah ker kay islaami asaool-o-nazriyaat ka mahaasin-o-khoobiyon ko bachon kay dil-o-dimaagh mein raasikh karain.
3- Maa’sharah:
Maa’sharay ki islaah kay liye islaam nay amar bil ma’roof aur nahi a’n-il-munkar ka hukam diya hai,
Farmaan-e-Baari Ta’ala hai:
كُنتُمْ خَيْرَ أُمَّةٍ أُخْرِجَتْ لِلنَّاسِ تَامرون بِالْمَعْرُوفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ
“Tum behtareen ummat ho jo logon ki bhalaai key liye barpa ki gayi ho, tum logon ko nakiyon ka hukam detey ho aur buraaiyon sey roktay ho aur Allah Ta’ala par imaan rakhtay ho. Jis muaa’shray mein nakiyon ka hukam aur buraaiyon sey rokna baraabar jaari ho to is muaa’shray mein buray afraad aur samaaj dushman a’naasir nahi pinap sakein gein, nateejay mein muaa’shra Salah hoga, bachon kay liye naik saathi aur bhaaliyon par ta’awun karney waalay dost-o-ahbaab muyassar ayen gay, jin ki sohbat say umeed ki ja sakti hai keh bachay naik aur Saalah hon gay. Lekin afsos aaj amar bil ma’roof wa nahi a’n-il-munkar na honay ki wajah say muaa’shra buraaiyon say bhar gaya hai, buray aur samaaj dushman a’nasir ghaalib aur naik log maghloob ho gaye hain, aisay mein waalidain ka awwaleen farz banta hai keh wo apnay jigar kay tukdon buray maahol-o-muaa’shray kay asraat say mumkin had tak bachaanay ki koshish krain.
Waalidain ki khidmat mein arz hai keh wo apnay ghar, aur bachon kay school-o-college aur apnay muaa’shray ka jaaizah layen, agar ye teeno(3) jaghen theek hain to Allah Ta’ala ka shukar ada krain, agar un jaghon mein ghar ka maahol kharaab hai to apnay bachon par reham kartay hue usay Deeni banaayen, school-o-college kay maahol ko mumkin ho sakay to sudhaarain, warna kissi dosray madarsay ya college mein bachay ka daakhala karaain, agar muaa’shray ki islaah mumkin nahi to phir is buray muaa’shray say kissi naik maahol ki taraf naqal makaani krain, taakay ap kay bachay is ghalat muaa’shray say laahiq honay waalay nuqsaan say bach sakain.
Allah Ta’ala tamaam ki olaad ko naik aur Saaleh banaay, aur un say hamaaray dil ko raahat-o-sakoon aur ankhon ko thandak ata farmaaiye, tamaam ki bigadi hui olaad ko raah-e-hidaayat ata Farmaaye, aur inhain apnay waalidain ka muti’e-o-farmaan bardaar banaaye. Ameen.
رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ اَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا لا رَبِّ احْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلوةَ وَمِنْ ذُرِّيَّتِي رَبَّنَا وَتَقَبَّلُ الدُّعَاءِ رَبِّ أوزعني أن أشْكُرَ نِعْمَتَكَ الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَ عَلَى وَالِدَيَّ وَ أَنْ أعْمَلَ صَالِحًا تَرْضَهُ وَأَصْلِحُ لِى فِى ذُرِّيَّتِي إِنِّي تُبْتُ إِلَيْكَ وَإِنِّي مِنَ الْمُسْلِمِينَ ربّنا تقبل منا إنك أنت السميع العليم وتب علينا إنك أنت التواب الرحيم وصلى الله وسلّم على نبينا محمد وعلى آله وأصحابه وأزواجه وأهل بيته أجمعين ومن تبعهم بإحسان إلى يوم الدين.
REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”
Mistreatment of parents towards children
In case a child is treated by his parents and educators with cruelty, harshness, tormenting, blame, contempt, and being scandalized or derided, his reaction will be evident in his behaviour and manners, and the output of fear and seclusion will be reflected on his conduct and deeds.
Islam orders educators to show sublime manners and kind treatment in order that children may grow up righteous and feel dignified and appreciated. Islam instructs people to treat one another with mercy, forbearance, and tenderness. Allah said,
ۖ وَلَوْ كُنتَ فَظًّا غَلِيظَ ٱلْقَلْبِ لَٱنفَضُّوا۟ مِنْ حَوْلِكَ
“And had you been severe and harsh-hearted, they would have broken away from about you.”
(Al Imrån, 159)
And Al-Bukhari related that the Prophet (ﷺ)said, “Allah verily loves lenience in everything.” And Abü Dawûd and At-Tirmidhi related that the Prophet(ﷺ) said, “Mercy givers are given mercy by the All-Merciful. Give mercy to those on earth, so that He Who is in heaven may give mercy to you.”
REFERENCE:
Book: Child Education In Islam
“BY Abdullah Nasih ‘Ulwan”